Zara Sochiye… (03/17/2026)

March 17, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2949
       Zara Sochiye…

Ye Guruji Maharaj ka dar hai
Yahaan sabhi ka vyaktigat sa safar hai
Param poojya Guruji kee sabhi par nazar hai
Aaj ya kal ho jaati sabhi par Unkee nadar hai.

Kataare lagi hain sainkdon kee yahaan
Sachcha bhagat koi virla hai
Maangne aate hain kayi hazaar yahaan
Asal cheez maangta koi virla hai.

Koi yahaan beemari ke bahaane aata hai
Aur nirogi hokar yahaan se jaata hai
Koi khoye ko paane aata hai
Aur paakar chala jaata hai.

Koi aata hai darshan karne
Koi apni jholi bharne
Koi yoon hee hota hai pareshaan
Kisee ne suna hota hai yahaan ka gungaan.

Par ye toh hai nishchit
Ki yahaan hota hai hitt
Aur koi nahin aa sakta yahaan Guruji kee agya bin
Chaahe vo minnatein kar le raat aur din.

Hai toh sabb apne karmon ka heir pher
Aksar andhera leta hai gher
Par beshak lagey yahaan kabhi kabhi der
Kintu andher mein bhi ho jaati hai saver.

Kaaran hota hai Guruji kee oar se vilamb ka
Kabhi kabhi hota hai vo sanket naye aarambh ka
Kabhi Unkee marzi se karmon ka poora bhog karna hota hai zaroori
Ve maalik, hum nimaane, ye hai hamaari majboori.

Phir bhi aksar swayam par hamaare karmon ka bhaar lete huey
Guruji dete Hain taar
Ek baar nahin, balki baar baar
Varna hamaara jeena hota dushvaar.

Guruji Maharaj toh Hain sabse dayalu naath
Saari sangat hee maan leti ye sachchi baat
Guruji Hain parampita karunanidhaan
Par kya hum bann paaye honhaar santaan?

…Zara sochiye…

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Zara Sochiye… (03/17/2026)

Leave a comment