Ek Meetha Sa Intazaar (03/20/2026)

March 20, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2952
             Ek Meetha Sa Intazaar

Guruji ko hee dena tum pehli pukaar
Guruji ko hee pukaar aakhiri
Guruji ko hee pukaarna har baar
Unke darbar mein lagaana tum haaziri.

Aksar ek hee pukaar ke pashchaat
Unke dar par bann jaati hai baat
Aksar aati hee nahin pukaar kee naubat
Unhe bin boley mil jaata hai sab.

Guruji hee jaanein sahi kya hai aur kabb
Lekin vyakul mann maang maangne lagta hai abb
Is se behtar yahee ki zidd na karo
Apni koshish kar, Unpar chod kar shukr karo.

Zaroori hai karte rehna Guruji ko yaad
Unkee yaad mein basaa hota hai ashirwaad
Meethi meethi yaad Unkee
Sangg yaad shabad kee dhun kee
Guruji se surt judi rehti hai ruhaani taar se
Ye zyada prabal hai kisee bhi pukaar se.

Aisee hai is naate kee nirmalta
Is naate mein anivaarya hai saralta
Saath mein bhaav mein ho bholi si komalta
Toh santulan banaaye rakhein utsah kee oorja aur sehejta kee sheetalta.

Phir na ho koi bechayyni ya bebasi
Hriday mein ho tripti kee hansee
Pukaar mein maang ke bajaaye ho buss pyaar hee pyaar
Aur Guruji ko paane ke liye ek meetha sa intazaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Ek Meetha Sa Intazaar (03/20/2026)

Leave a comment