Abb Duur Nahin Hai Bhor (03/24/2026)

March 24, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2956

Abb Duur Nahin Hai Bhor

Abb Duur Nahin hai bhor
Na jaana kaheen aur
Guruji ke dar par raho sthir
Guruji kee leela dekho phir.

Andhere mein bhi Guruji kar rahe Hain tumhaara kalyaan
Kar rahe Hain tumhaare liye Ve sundar bhor ka intazaam
Tumhe mila hai SadaShiv ka aashray
Tyaag do tum har bhay aur sanshay.

Hai ye asal sadhna ka saar
Ye le chalta hai mukti ke dwaar
Iske liye sthir karna hai mann ka sansaar
Vash mein karna hoga apna vichaar aur vyavhaar.

Bhor toh honi hee hai aaj ya kal
Guruji kee kripa se kasht aaj ya kal jaayenge tal
Ye hotey hotey vyarth na ganvaao koi bhi pal
Prayaas karo ki badhey manobal.

Guruji kee yaad mein leen raho
Guruji deendayal, tum deen raho
Guruji ne thaami hai tumhaare karmon kee doar
Ve uddhaar kar rahe Hain, abb duur nahin hai bhor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Abb Duur Nahin Hai Bhor (03/24/2026)

Leave a comment