March 26, 2026
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2958
Antarjaat Anand
Anand toh hai antarjaat
Yaad rakhni hogi ye baat
Dukh sukh toh mehez hain aavaran
Lekin inpar yoon nirbhar ho jaata hai jeevan
Ki hum bhool jaate hain aantarik anand ko
Bhool jaate hain Satchittanand ko.
Jahaan se aaye hain
Aur jaana hai jahaan
Usey bhoole baithey hain
Kya itna pasand aaya hai ye jahaan?
Yahaan do chaar din ka hai basera
Aur apne bheetar hai anand ka savera
Ye yaad rakhein toh hoga hamaare liye achcha
Ye kewal ek vichaar nahin, ye hai tathya sachcha.
Guruji se judey rehne ka prayaas kiya jaaye
Guruji ke chintan ko samay deeya jaaye
Aur Guruji se kee jaaye fariyaad
Toh antarjaat anand rahega yaad.
Guruji toh Hain rasik bairagi swayam
Hamaare liye aaye aur jeeya Unhonei maanav ka jeevan
Unkee prerna se itna toh kar hee sakte hain hum
Ki shukrana karte huey karein Unka anusaran.
Shukrana ka ehsaas swayam mein uss anand kee yaad dilaayega
Jisey mehsoos karne kee koshish se hee dukh sukh ka aavaran hatne lagg jaayega
Apne bheetar anand ka anubhav hee hai mukti
Is se gehri nahin hai koi yukti.
Swayam ko yaad dilaana hoga baar baar
Karna hoga khud ko tayyaar
Jaa kar mann, buddhi, chitt, ahankar ke paar
Milega is param anand ka sansaar
Guruji kee kripa se bheetar chalein is param anand kee oar
Vaheen milegi divya jyot se ujjwal bhor.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Antarjaat Anand (03/26/2026)