Mann Roopi Akash (03/27/2026)

March 27, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2959
                 Mann Roopi Akash

Kaag ho ya ho tota
Panchhee bada ho ya ho chhota
Sundar ho ya na ho aakarshak
Akash ko nahin padta koi fark
Akash rehta hai vaisa hee… …sthir
Chaahe panchhi udey ya jaaye gir.

Baadal garjein ya barsein
Ya barasne ko tarsein
Akash unhe karta hai dhaaran
Kintu asthir nahin hota is kaaran.

Beshak sooraj chamke ya ho raat chandni
Ya phir ho amavasya kee raat
Akash tabb bhi sthir rehta hai
Usey pareshaan nahin karti koi baat.

Jaisi bhi ho paristhiti
Kaayam rehti hai akash kee sthiti
Aisa ho jis jann ka mann
Kitna sukhad ho uska jeevan.

Mann ke sthir rehne se
Bhaav ke bin vahaan rukey behne se
Jeevan ho kitna santulit
Ho jaaye har jann ka hitt.

Guruji ne bakhsha hai dhyan aur simran
Jiske dwaara badhta hai manobal
Is se sthirta badhti rehti hai mann kee
Santushti aur shanti badhti hai uss jann kee.

Zaroori hai simran aur dhyan ka prayaas nirantar
Taaki bal badhta rahe mann ke bheetar
Is se nikharta hai adhyatmik safar
Kalyaankaari hai is safar mein hona agrasar.

Jeevan mein toh aate rahenge utaar chadhaav
Lekin Guruji se jo badhta rahega judaav
Toh Unkee kripa se poshit hoga simran aur dhyan ka chaav
Aur mangalkaari hoga sthir mann ka bhaav.

Iskee oar jo prayaas hota rahega har pal
Toh mann roopi akash sthir ho jaayega aaj nahin toh kal
Taaki koi bhi vikaar ya vichaar roopi panchhi
Uske santulan ko bigaadne mein nahin hoga safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Mann Roopi Akash (03/27/2026)

Leave a comment