Apaar Kripa Kee Khan (10/05/2023)

October 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2055

Apaar Kripa Kee Khan

Guruji kuch dekar bhi azmaayein
Ve kuch lekar bhi lein pareeksha
Unkee leela mein sada hoti hai
Bhakt ke liye kalyaan aur shiksha.

Na hai koi bhi Guruji ke jaisa
Na hai Unke sangg rishte jaisa koi bhi aur naata
Bhakt Unkee oar chalne kee jitnee karey koshish
Uskee oar sainkdon kadam zyaada badhaate Hain Guru daata.

Har bhakt ka anubhav anokha
Har bhakt ka anokha hai safar
Ye safar kaun kab se kar raha hai
Iskee kewal Guruji ko hai khabar.

Is safar se pehle kya thaa
Aur kya hoga is safar mein
Veh bhi Guruji hee jaanein sabke baare mein
Hum toh raasta dhoondh rahe thei andhiyaare mein.

Guruji ne liya thaam hamaari baahon ko
Apni divyata se ujjwal kiya hamaari raahon ko
Unhonei diya hai atoot akhand sahaara
Bakhshi hai Apne naam kee sheetal dhaara.

Hum hain kitne bhaagyavaan
Ki hamein Guruji mein miley hain Bhagwaan
Kyun na leen ho jaayein Unhe paane mein
Na ki ulajhe rahein duniyadaari aur zamaane mein.

Jabb amrit kee khan mil sakti hai
Toh daldal mein kyun dhanste rahein?
Jabb asal azaadi mil sakti hai
Toh kyun janam maran mein phanste rahein?

Guruji sumat bakhshein ki hum grahan kar paayein Unkee dee shiksha
Unka shukrana ki Unhonei sweekaara hamein aur maangne dete Hain hamein bhikhsha.

Bhakt beshak hon anjaan
Guruji sada rehte Hain dayaavaan
Unke liye ek si hai Unkee har santaan
Guruji toh Hain apaar kripa kee khan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apaar Kripa Kee Khan (10/05/2023)

Guruji Aur Shishya Ka Rishta (10/04/2023)

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2054

     Guruji Aur Shishya Ka Rishta

Bahut khoobsoorat rishta hai
Guruji aur Unke shishya ka
Bayaan nahin ho sakta spandan
Unke ek saath honei ke drishya ka
Apitu mehsoos kiya jaa sakta hai antas ke roam roam mein
Dhyan dhar ke Guruji swaroopit Om mein.

Om hee Hain Pranav
Pranav Hai Shiv
Shiv avatari Hain Guruji
Guruji Hain Om divya.

Guruji se judti hai jo seedhi taar
Uske liye Guruji ka shukrana baarambaar
Na koi anya vikarshan
Na koi dooja aakarshan
Buss, Guruji mein hee ramta hai mann
Uss seedhi taar dwaara har uss kshan
Jabb jabb hota hai Unke naam ka simran
Jabb jabb hota hai Guruji ka chintan.

Guruji hee Hain veh divya prakash kee jwaala
Jo santaap mita kar banaaye shishya ka jeevan niraala
Jo agyan kee nisha mitaakar laaye shishya ke jeevan mein ujaala
Guruji ne sada shishya ke bhavishya ko sundar saanche mein hai dhaala.

Guruji kee mehar se ye rishta rahe anant
Guruji kee marzi se hee shishya bann paaye santt
Guruji mein hee shishya ke maargdarshak aur madadgaar
Guru hee Hain Om, Guru hee Hain Onkar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Aur Shishya Ka Rishta (10/04/2023)

Katt Jaayenge Janam Maran Ke Phere (10/03/2023)

October 3, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2053

Katt Jaayenge Janam Maran Ke Phere

Param poojya Guruji,

Aapki mamta ne liya hai mere antas ko yoon chhoo
Ki Aapke naam amrit ke liye pyaasi rehti hai meri rooh
Kripa kar barsaate rahiye is amrit kee aviral dhaara
Iske bin toh ek pal bhi nahin hai guzaara.

Aapke naam ne diya hai ek naya jeevan
Aapke naam se chale meri har dhadkan
Aapki bandagi mein ramta chale ye mann
Batorte huey Aapke naam ka dhan.

Aapke aanchal mein milta hai jo pyaar
Kum hai mai jitna bhi karoon uske liye shukrana ka izhaar
Aapka ye pyaar le jaayega mujhe bhav saagar ke pyaar
Aapki kripa se badhta jaaye mera Aap par aitbaar.

Aapki kripa bin na ho paaye satsang ya simran
Aapki mehar bin na safal ho ek bhi kshan
Aapki karuna bin chayyn na paaye mann
Aapki daya se jeevan mein aaye santulan.

Bakhshiye santushti kee daat, maalik mere
Har farz nibhaa paaoon, chaahe hon haalaat ghanere
Aapki shukrguzaar rahoon mai shaam savere
Aapki rehmat se katt jaayenge janam maran ke phere.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Katt Jaayenge Janam Maran Ke Phere (10/03/2023)

Na Ho Tu Yoon Udaas (10/02/2023)

October 2, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2052

             Na Ho Tu Yoon Udaas

Aye dil, na ho tu yoon udaas
Guruji Hain tere itne paas
Ki aur koi na hai itna kareeb
Isliye tu hai bahut khushnaseeb.

Aye dil, tu yoon na himmat haar
Guruji ne bulaaya hai tujhe Apne dwaar
Taaki Ve dein tujhe taar
Aur tera jeevan dein sanvaar.

Aye dil, tu na khonei de apna utsaah
Guruji roshan kar rahe Hain teri raah
Ve sada dete aaye Hain tujhe panaah
Buss, tu na hona laaparwaah.

Aye dil, tu buss nibha apna farz
Tujh par hai karmon ka karz
Tu buss Unhee se kar sab arz
Unkee naam dava mitaayegi tere sab marz.

Aye dil, tujhe milee hai simran kee daat
Tu rakh shukrana ka jazbaat
Aseem hai Guruji ka ashirwaad
Is se badi na hai koi bhi saugat.

Aye dil, tu jeete jee yoon na marr
Chod de zamaane ka darr
Guruji na chodenge koi kasar
Awashya safal hoga tera safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Na Ho Tu Yoon Udaas (10/02/2023)

Guruji, Aap Ji Sada Sahaay (10/01/2023)

October 1, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2051

        Guruji, Aap Ji Sada Sahaay

Jabb jabb sanyam kho jaaye
Jabb chetna so jaaye
Jabb utsah kumm ho jaaye
Toh Aap ji sada sahaay, Guruji, Aap ji sada sahaay.

Jabb dhyan na lagey simran mein
Jabb shanka aaye mann mein
Jabb raasta na dikhe jeevan mein
Toh Aap ji sada sahaay, Guruji, Aap ji sada sahaay.

Jabb khud par bhaari padein vikaar
Sudhaar mein baadha baney vyavhaar
Jabb bhi dil se nikle pukaar
Toh Aap ji sada sahaay, Guruji, Aap ji sada sahaay.

Jabb roshni na aaye nazar
Jabb mushkil lagey safar
Jabb jawaab dene lagey sabar
Toh Aap ji sada sahaay, Guruji, Aap ji sada sahaay.

Jabb Aapse Apne pyaar ka bakhaan na kar paaoon
Jabb bhakti ke maarg par kisee kaaran vash bhatak jaaoon
Jabb bin Aapke chintan ke samay vyarth ganvaaoon
Toh Aap ji sada sahaay, Guruji, Aap ji sada sahaay.

Jabb shukrana karne se jee katraaye
Jabb bhakt sharmindagi se sir ko jhukaaye
Kshama maangne Aapke charnon mein jann gir jaaye
Toh Aap ji sada sahaay, Guruji, Aap ji sada sahaay.

Jabb chaahne par bhi Aap mein na paaoon ramm
Jabb Aapke darshan ke liye aankhein hon numm
Jabb kabhi mera bhakti bhaav honei lagey kumm
Toh Aap ji sada sahaay, Guruji, Aap ji sada sahaay.

Mera antas bhookha hai gyan ka
Aur pyaasa hai amrit kee khan ka
Ichchuk hai Aapke kripa ke daan ka
Aap ji sada sahaay, Guruji, Aap ji sada sahaay.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji, Aap Ji Sada Sahaay (10/01/2023)

Aapke Charnon Mein (09/30/2023)

September 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2050

               Aapke Charnon Mein

Param poojya Guruji,

Aapke rubaroo hokar aaya samajh
Ki vyarth ganvaaya samay duniya mein ulajh
Asal sukh toh hai Aapse judey rehne mein
Asal sukoon hai Aapse sab kuch kehne mein.

Aapse jud kar seekha ki duniya aur duniyadari
Farz se zyaada ho toh banti hai beemari
Agar Aapke kareeb aane kee karni hai tayyaari
Toh baaki har aasakti kee aadat chodni hogi baari baari.

Aapne bakhsha simran itne pyaar se
Aapne satsang mein baithaaya dulaar se
Aapne Apni mamta barsaayee
Aapne Apni leela dikhaayee.

Aapki bandagi mein bandh kar
Hua ek adbhut si azaadi ka ehsaas
Har veh lamha jo beete Aapke chintan mein
Veh lamha hota hai itna anmol aur khaas
Ki jee chaahta hai Aapke khayaalon mein har lamha doon guzaar
Aapse mera prem badhta jaaye, karoon Aapse ye arzi baarambaar.

Maalik Hain Aap mere, murshid bhi Hain Aap meharbaan
Aap Hain nath, bhraata, aur meet mahaan
Duniya ke raaste beshak jaayein yahaan ya vahaan
Mera raasta vahee rahe Aap le jaayein jahaan.

Isey kahoon khwaahish ya guzaarish
Mai na samajh paaoon
Dhanya ho jaaye mera janam maran
Jo Aapke charnon mein antim saans le paaoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Charnon Mein (09/30/2023)

Aanandit Reh Tu Is Satya Se (09/29/2023)

September 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2049

       Aanandit Reh Tu Is Satya Se

Aanandit reh tu is satya se
Ki Guruji Hain tere angg sangg
Nishchint reh tu is tathya se
Ki Ve nikhaarenge tere lekhe ke rangg.

Santusht reh is baat se
Ki Guruji Hain tere saath
Khush reh Unke saath se
Ye hai sabse uttam baat.

Magn reh Unke chintan mein
Guruji Hain Shiv avatari
Mastt reh Unke simran mein
Ve Hain pyaare kirpadhaari.

Satsang ka shukrana kar
Guruji ka barasta hai ashirwaad
Unke sangg ka shukrana kar
Unhonei kiya hai tera jeevan aabaad.

Shuddh bhaav se kar Unkee bhakti
Guruji de rahe Hain tujhe shakti
Bin maange Unkee kahi maan-ne mein rakh tripti
Guruji de rahe Hain sukh kee yukti.

Mann ka haal kar ya na kar bayaan
Guruji toh Hain antaryami
Jo bhi ho raha hai yahaan vahaan
Guruji toh Hain jahaan ke swami.

Unke bhaane ko meetha jaan
Guruji Hain taaranhaar
Unkee mahima ko le tu maan
Ve Hain paawan Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aanandit Reh Tu Is Satya Se (09/29/2023)

Aankh Mein Tinka (09/28/2023)

September 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2048

  Aankh Mein Tinka

Behosh sa apne ahankar mein
Raja chal raha thaa baazaar mein
Prajaa jhuk kar usey kar rahi thi salaam
Koi koi haath jod kar usey kar raha thaa pranaam.

Raja akad mein raha thaa chal
Saath saath thei pehredaar
Raja ke vahaan aane se
Shant sa ho gaya baazaar.

Ek kisaan, nirbal aur nirdhan
Raja ko dikha usee kshan
Ghrina se bhar gaya abhimaani raja ka mann
Raja peechhe hua jaise hee kisaan ne chhooey uske charan.

Raja ke mann mein aaya vichaar
Ki kisaan kee tinke kee bhanti hai jaat
Phir hui ek aisee adbhut si baat
Ki raja ko samajh aayi uskee kya hai aukat.

Kuch kshanon ke liye tez aandhi aayi
Raja kee ek aankh mein ghusa ek tinka dhool ka
Usey honei lagi bahut takleef
Jaise hua ho prahaar kisee shool ka.

Aankh mein se aansoo lagey behne
Raja ko dard aur jalan padey sehne
Is se pehle ki kuch madad karte raja ke pehredaar
Kisaan ne raja kee aankh par sheetal jal chidka baar baar.

Aankh khuli, jal ke sangg tinka beh gaya
Raja bhaav vibhor aur dangg reh gaya
Jis kisaan kee upma usne tinke se kee thi
Usee ne uskee samay par madad kee thi.

Raja ne kisaan ke aagey sir jhukaaya
Maafi maangi aur usey galey se lagaaya
Kisaan ne phatey kurte kee jeb se
Guruji ka swaroop nikaal kar raja ko dikhaaya
Guruji ahankar karne se manaa karte Hain
Kisaan ne raja ko bataaya.

Raja ko aayi bahut sharam
Ki uske thei ahankar se bhare karam
Guruji ka swaroop dekh kar
Uske bheetar jaagi pashchaataap kee bhawna
Usne mann hee mann ardaas kee
Ki usey sudharne kee hai kaamna.

Guruji ne raja ko Apne sangg joda
Raja ke charitra mein sudhaar aane lagaa thoda thoda
Usey simran bakhsh kar Guruji ne uska ahankar toda
Usey prajaa ke liye sewa karne kee oar moda.

Raja ka hua uddhaar
Prajaa bann gayi uska parivaar
Veh Guruji ka shukrana karta thaa baarambaar
Guruji ne Apni mehar se diya raja ko taar.

Ahankar ka vikaar baadha hai uddhaar mein
Archan hai ye Guru Govind ke deedar mein
Ahankar nahin honei deta pavitrata divya pyaar mein
Ahankar ko baahar chodkar jaana hoga bheetar Guruji ke darbar mein.

Hum sabhi tinke hai mitti ke
Ya phir tinke bhi shaayad nahin
Jabb itnee bhi aukat nahin hai
Toh kya ahankar karna hai sahi?

Zara sochiye apne bhavishya ke baare mein
Jabb sab mitti mein mil jaayenge
Vikaaron par niyantran paa liya
Toh sachkhand mein khil paayenge.

Guruji bakhshein aisee sumat
Ki Unke dikhaaye raaste par chal paayein
Unkee seekh ko apnaayein
Aur Unkee kripa se tarte jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aankh Mein Tinka (09/28/2023)

Buss, Aapse (09/27/2023)

September 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2047

                      Buss, Aapse

Shukrana, mere Guruvar pyaare
Aapne sainkdon bhakt Hain taare
Dhanya hui mai bhi ki Aapne bulaaya Apne dwaar
Mera janam maran deejiye sanvaar.

Yaad rahe mujhe mahatva sanyam ka
Mera mann gulam baney ruhaaniyat ke har niyam ka
Ruhaani hoon mai praani, mujhe sada rahe yaad
Har anubhav ke dauran, uss se pehle, aur uske baad.

Preet kee reet nibhaaoon
Kintu moh mein na phansti jaaoon
Dharma ke maarg par chal paaoon
Apne vichaar aur vyavhaar mein daya bhaav ko samaaoon.

Aapke naam japp se jeevit rahe saanson kee sargam
Aapki guruyaayee mein yoon magn rahoon ki na mehsoos ho koi gumm
Mere antas ka saara mal
Pashchaataap ke ashruon mein ghul jaaye
Aur vo mere har paap, har fikr ke sangg
Aapke sneh kee aviral dhaara se dhul jaaye.

Kalyuga ke is bhanvar mein
Chunautiyon kee is dagar mein
Hamesha kee tareh Apna saath deejiyega
Kripa kar meri naadaani seh leejiyega.

Mann mein simran chalta rahe Aapke naam ke jaap se
Aapki mehar se mukti miley har kiye paap se
Aapki bhakti mein bekhabar ho jaaoon har santaap se
Mere pyaare Guruvar, mera toh kal, aaj, aur kal hai buss, Aapse.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Buss, Aapse (09/27/2023)

Aap Vahaan Pahunchaayenge Zaroor (09/26/2023)

September 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2046

Aap Vahaan Pahunchaayenge Zaroor

Param poojya Guruvar,

Jabb se mila Aapki sharan ka sahaara
Tabb se dikh gaya jeevan kee naav ko kinaara
Aap paar le jaayenge Apni kripa kee patvaar ke dwaara
Shukrana Aapka ki Aapne is nacheez ko sweekaara.

Chaahe ho hawaa ka madhur sa jhonka
Ya phir aaye aandhi tufaan
Mujhse kaheen zyaada fikr hai Aapko mere ghar parivaar kee
Mere mann mein santushti hai apne is vichaar kee.

Mujhe aane wale kasht kee na bhi ho khabar
Aapko toh bahut pehle hee veh aa jaata hai nazar
Aap kitne aise kashton se mujhe aur meri naav ko bachaa lete Hain
Aur aksar sapnon mein bhi karma katvaa dete Hain.

Bhavsaagar kee lehrein jabb kabhi leti hain kathor roop
Toh Aapki leela ho jaati hai pehle se bhi anoop
Aapke dumm se lehrein jaati hain thamm
Ya Aapke kehne par ve nuksaan karti hain kumm.

Bhavsaagar ko paar karaate huey
Aap Apni mahima sunvaate aur kehlaate Hain
Apne kiye karmon ka thoda sa ansh bhugatnaa hoga
Aap kayi tareekon se samjhaate Hain.

Uss dauran bhi Aapke aanchal mein miltee hai suraksha aur mamta
Aapke bakhshe simran se mann ko miltee hai sehensheelta aur kshamta
Kripa keejiye ki Aapka dhyan karne se aaye mann mein samta
Taaki badi se badi chunauti mein bhi antas mein ho sthirta aur nishchintataa.

Naav ke is safar mein milee hai Aapki sharan
Is saugat se safal ho gaya hai jeevan
Kinaara ho chaahe kitnee bhi duur
Poora vishwaas hai ki Aap vahaan pahunchaayenge zaroor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aap Vahaan Pahunchaayenge Zaroor (09/26/2023)