Charam Seema Ka Gantavya (07/17/2023)

July 17, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1975

Charam Seema Ka Gantavya

Ye safar hai is janam ka
Koi mukaam khushi ka toh koi gumm ka
Kaheen kissa zindagi ka toh kaheen maran ka
Kaheen bhayy vann ka toh kaheen saundarya chaman ka.

Ye safar hai hamaare karam ka
Pichhle janam aur is janam ka
Pichhle janmon ke karmon ka bhugtaan
Aur is janam ke karam kriyamaan.

Praarabdh karam ke phal se bachna hai namumkin
Baaki sanchit karma beshak bhugatne hongei kisee aur din
Ye toh Guruji kee sharan mein hain toh aasaan hua hai safar
Kyunki Ve swayam par le lete Hain hamaare karam adhiktar.

Ye safar hai hamaare dharam ka bhi
Hindu muslim sikh isaai wala nahin
Balki hamaare kartavya nibhaane kee nipunta ka
Aur hamaari neki aur neeyat ke gunn ka.

Kaisa parinaam laata hai hamaara prayaas
Uss se zyada mahatva rakhti hai hamaari shraddha aur neeyat
Kaise abhinay karte hain hum duniya waalon ke samaksh
Uss se zyada mahatva rakhti hai hamaari asal shakhsiyat.

Aur sabse mukhya baat toh ye hai
Ki Guruji jaante Hain saari sachchaayee
Hamaare safar ke har pehlu ka
Kalyaan karti hai Unkee vadiyaayee.

Guruji kee mehar se safal ho sabhi ka safar
Janam, karam, aur dharam- har pehlu par ho Unke ashish ka asar
Guruji kee sharan toh hai charam seema ka gantavya
Kisee aur sahaare ka nahin hai is se adhik mahatva.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Charam Seema Ka Gantavya (07/17/2023)

Guruji Se Juda Hoga Har Jann Jabb Jabb (07/16/2023)

July 16, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1974

Guruji Se Juda Hoga Har Jann Jabb Jabb

Anginat jann hain Guruji kee sharan mein
Bahut fark hai sabke janam maran aur karam mein
Sabhi Guruji se judein hain lekin bhinn bhinn hai unke jeene ka tareeka
Guruji kee mehar se hum sabhi seekh jaayein Guruji ka mann pasand saleeqa.

Kuch jann koshish karte karte jaate hain thak
Kuch koshish karte karte jaate hain bhatak
Kuch karte hain shikaayatein athak
Kuch koshish karte rehte hain karte huey Guruji ka shukrana.

Kuch koste hain kismat ko
Kuch chunte hain khidamat ko
Kuch jutaate hain himmat ko
Karte huey Guruji ka shukrana.

Kuch baithte hain haath par haath dhar ke
Kuch dhakke khaate hain dar dar ke
Kuch satsang mein baith jaate hain Gurughar ke
Karte huey Guruji ka shukrana.

Kuch dete hain baahar waalon ko dosh
Kuch ko bheetar jhaank kar aata hai hosh
Kuch jaagte hain apne antas ko khoj
Karte huey Guruji ka shukrana.

Kuch sochna chod dete hain
Kuch nakaaraatmak soch ka sahaara lete hain
Kuch sakaaraatmak soch se kaam karte hain
Karte huey Guruji ka shukrana.

Jaisa Guruji chaahein, vaise bann jaayein hum sabb
Guruji ke agyakaari bachche kehlaayenge hum tabb
Guruji mein hain hamaare Guru, nath, meet, aur Rabb
Yakeenan hua hoga ye ehsaas, Guruji se juda hoga har jann jabb jabb.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Se Juda Hoga Har Jann Jabb Jabb (07/16/2023)

Befikr Sa Thaa Veh Musaafir Mastaana (07/15/2023)

July 15, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1973

Befikr Sa Thaa Veh Musaafir Mastaana

Befikr sa thaa veh musaafir mastaana
Usey ek sa lagta thaa mela aur viraana
Guruji kee dhun mein jeeta thaa
Guru naam ka amrit peeta thaa.

Musaafir ke mann hee mann mein chalta rehta thaa simran
Antas ke bheetar karta rehta thaa veh Guruji kee divyata ka chintan
Uske bheetar yoon roshan thaa Guruji ka nirmal prataapi noor
Ki usey ek pal ke liye bhi nahin lagta thaa ki Guruji Hain uss se duur.

Guruji ke dikhaaye raaste par chalta thaa veh sada
Guruji ko rijhaati thi uskee yeh ada
Uske vichaaron mein thi shuddhi
Aur bahut unnat thi uskee buddhi.

Kuch maangta nahin thaa Guruji se
Buss karta thaa apna kaam
Kuch bhi karne lagta thaa usey pareshaan
Toh le leta thaa Guruji ka naam.

Na mukti ke liye thaa tarasta
Na swarg kee chaahat mein thaa tadapta
Santusht thaa Guruji kee sharan mein
Khush thaa ki Ve angg sangg Hain har kshan mein.

Uske mann mein thi kaamna
Ki jab bhi ho uska mrityu se saamna
Toh usey lene aayein Guruji swayam
Aur Unkee goad mein ho uska maran.

Uspar ruhaaniyat ka rangg thaa bahut gehra
Sajaa thaa uske sir par sabr aur samarpan ka sehra
Khila hua thaa uska manobal aur atma-vishwaas
Sakaaratmakta se mehekta thaa uska har shwaas.

Veh nahin thaa koi badi hasti
Lekin aisee thi uskee alaukik masti
Ki jahaan se jaata thaa guzar
Vahaan ke logon par hota thaa uske spandan ka asar.

Loag uskee oar hotey thei aakarshit
Kayion ke anandit ho jaate thei chitt
Jabb veh bhakti ke geet sunaate huey ghoomta thaa
Toh har sunn-ne wala magn hokar jhoomta thaa.

Aane jaane waalon kee karta thaa madad veh musaafir
Ek jageh nahin rehta thaa tann lekin mann uska thaa sthir
Bin lobh laalach ke jeeta thaa har din
Na jaagta na sota thaa Guruji ka shukrana kiye bin.

Simran mein baithe baithe ek raat
Honei lagi uskee Guruji se baat
Chala gaya gehre dhyan mein aur lagg gayi uskee samaadhi
Subah nahin hui thi, balki raat bachi thi aadhi.

Guruji swayam aaye uske paas aur usey goad mein liya
Musaafir ne aakhiri saans lee aur atma mein jalaa divya milan ka diya
Bin kisee kasht ke musaafir ne tyaag diya shareer ko
Uskee atma ne shukrana kaha Guruji ko aur apni taqdeer ko.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Befikr Sa Thaa Veh Musaafir Mastaana (07/15/2023)

Mann Kabhi Na Bhooley (07/14/2023)

July 14, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1972

          Mann Kabhi Na Bhooley

Guruji kahein banda bann
Ye jaane kintu ye maane na ye mann
Lekin mann jabb takk hai manda
Tabb takk kaise baney koi banda?

Guruji, kripa kar Aap karein aisee rehmat
Ki mann mein aaye aisee sumat
Ki veh chod de vyarth kee hath
Aur tyaag de har anisht aadat.

Mann kartavya nibhaane ka dharma rakhey yaad
Chod de aalasya aur pramaad
Seekhey das bankar rehna
Seekhey kasht ko sehna.

Na bhatke, na dagamagaaye
Na galat raaste par jaaye
Shant rehna seekh jaaye
Aapki rehmat se sthirta paaye.

Tyaag de mann apna har vikaar
Basaa le swayam mein sabke prati pyaar
Karey Aapse bhakti ka vinamr izhaar
Toh yakeenan aayegi mann mein ruhaaniyat kee bahaar.

Aapki kripa se miltee rahe bakhshish simran kee
Taaki jaari rahe pavitrikaran kee vidhi mann kee
Sanvarti jaaye dasha aur disha jeevan kee
Badhauti ho antas mein adhyaatmik dhan kee.

Shuddhi se sajte rahein mann ke vichaar
Na karein ve apni ya doojon kee atma par vaar
Mann thaame ekaagrata kee patvaar
Mann se Aapke liye dhanyawaad nikle baar baar.

Safal ho jaaye mann ke uddhaar kee tarkeeb
Mann hota jaaye banda bann-ne ke uddeshya ke kareeb
Nikhar jaaye mann aur atma ka naseeb
Mann na rahe charitra ke dhan mein gareeb.

Mann baney apna aur doojon ka madadgaar
Mann karta rahe bakhshish ke liye Aapse pukaar
Mann mein sada basaa rahe Aapke mandir ka noorani darbar
Mann kabhi bhi na bhooley karna Aapki har kripa ka ikraar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Kabhi Na Bhooley (07/14/2023)

Ye Intazaar (07/13/2023)

July 13, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1971

           Ye Intazaar

Guruji, Aap Hain bakhshanhaar
Meetha banaa deejiye ye intazaar
Jismein Aap katvaa rahe Hain karam
Taaki uss dauran na sataaye gumm.

Kya karoon, nimaani hoon, hoon naadaan
Agyani hoon, hoon anjaan
Karte rahiye dheeraj kee aisee bauchaar
Ki saboori se beete ye intazaar
Jismein Aap rahe Hain taar
Taaki sehejta se chalta rahe ghar parivaar.

Aapki mehar hai
Ki Aap kar rahe Hain mann ke bartan ko saaf
Aapki mahaanta ke liye shabd kumm hain
Ki Aap kar dete Hain maaf
Unn sab galatiyon ke liye bhi
Jo humne pichhle janam mein kee
Aapki karuna ka kavach pehne huey beete ye intazaar
Taaki Aap mann ka bartan saaf kar bhar dein usmein Apna anugraha bhara pyaar.

Karaate rahiye aisa simran, aisee dhaarana, aisa dhyan
Dete rahiye aisee subuddhi aur gyan
Jaisa Aap chaahein
Yoon roshan keejiye hamaari raahein
Ki noorani rahe ye intazaar
Aur duur ho bheetar ka andhkaar.

Kabhi na hataayiyega hum par se Apni nadar
Sumat deejiyega taaki hamein sada rahe Aapki guruyaayee kee kadar
Aapki daya se nirmalta aur neevenpann se yoon sajey ye intazaar
Ki dhul jaaye antas kee mayll aur mitt jaaye hamaara ahankar.

Beshak is jeevan mein antt na ho janam maran ka
Guzaarish hai ki har janam mein deejiye sukh Apni sharan ka
Nikhaarte rahiye bhakti
Bakhshiye mukti kee yukti
Taaki atma ka ho Aap Paramatama se deedar
Aur safar ke har pehlu mein milta rahe Aapka pyaar
Apni inaayat se safal keejiye ye intazaar
Apne mein hee samaa leejiyega, param poojya Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ye Intazaar (07/13/2023)

Is Varsh Ka Saawan Maas (07/12/2023)

July 12, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1970

Is Varsh Ka Saawan Maas

Chal raha hai is varsh ka saawan
Is maas ka har din maana jaata hai paawan
Chaar July ko hua ye shuru
Ikattees August ko hoga sampann
Hoti hai Shivji kee pooja archana vishesh
Jis se mitt jaate hain bhakton ke kasht klesh.

Is varsh ke saawan mein hain do maah
Guruji ke ashish se milee hai jo Shiv Shakti kee raah
Uspar shraddha aur prem bhaav se hum chalein
Taaki teenon prakaar ke taap talein.

Saawan mein is varsh jo adhik maas hai aaya
Purushottam maas veh hai kehlaaya
Vishnu ji kee pooja ka hai mahatva is adhik maas mein
Tridev ka hee sahaara hai anand mein aur traas mein.

Guruji Maharaj Hain Shiv avatari
Unkee sharan mein sabko miltee hai baari
Unka ashirwaad paane kee
Unkee mahima gungunaane kee.

Saawan kee pooja ka jo karey vidhi vidhaan
Maanyata hai ki uska hota hai kalyaan
Guruji Hain Maha Shiv mahaan
Ve bhakt ke bhaav se uskee bhakti kee gehraayee jaayein jaan.

Saawan ke maheene mein Shiv Puran padhne sunn-ne se miley khaas ashirwaad
Guruji ka gupt paath, gupt sewa, gupt daan ka vachan hamein rahe yaad
Vaise toh Guruji ko samarpit ho hamaara har shwaas
Lekin phir bhi reeti ke anusaar Saawan ka maas hai khaas.

Sabhi Shiv bhakton ko Saawan maas ke do maah kee shubhkaamnaayein
Guruji Maharaj Apni kripa se sabhi ke jeevan kee naiya paar karaayein
Unkee mehar se tal jaayein sabki balaayein
Aur sabhi Unkee bakhshish kee baarish mein bheeg jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Is Varsh Ka Saawan Maas (07/12/2023)

Beeti Jaa Rahi Hai Zindagi (07/11/2023)

July 11, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1969

 Beeti Jaa Rahi Hai Zindagi

Beeti jaa rahi hai zindagi
Abb nahin toh kab karega tu bandagi
Guruji ne sweekaara hai tujhe Apni sharan mein
Tera uddhaar shuru hua hai isee janam mein.

Tu badha Unkee oar ek kadam
Ve teri taraf sainkdon kadam badhaate chalenge
Tu hoga jinse anjaan
Ve toh tere ve sab kasht bhi harenge.

Japp le tu Unka naam
Vahee aayega tere kaam
Samay na kar barbaad
Antas ko kar Guru naam se yoon aabaad
Ki uska japp chale nirantar tere bheetar
Aur duur ho jaaye tera har sanshay aur har darr.

Tu koshish kar shraddha rakhte huey mann mein
Ve teri koshish ko bhi karenge kabool
Teri neeyat nek hogi
Toh Ve maaf karenge teri bhool
Toone ye sab pehle bhi suna hai Guruji ke anek satsangon mein
Tu Unka naam japte huey rangg jaa Unke rangon mein.

Unke rangon ka indradhanush
Teri bhakti ko nikhaarega
Tere dwaara japaa hua Guruji ka naam
Teri taqdeer sanvaarega.

Vilamb na kar
Na bhatak dar dar
Mila hai tujhe naam japne ka var
Aur tere Guru toh swayam Hain Har.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Beeti Jaa Rahi Hai Zindagi (07/11/2023)

Aapke Kamal Charan Mein Rehkar (07/10/2023)

July 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1968

   Aapke Kamal Charan Mein Rehkar

Param poojya Guruvar pyaare,

Aapka divya abha mandal
Uss se sangat ka ho mangal
Aapke pyaar kee khushboo
Uss se gadd gadd ho jaaye dil aur rooh.

Aapka roop raajsi, tejasvi, aur aalishaan
Aapka Prabhutva mahaan
Aapki rahasyamayi nigaahein
Aapki madadgaar baahein.

Aapki maya roopi shakti
Aapki har leela kee anokhi yukti
Aapki chuppi mein veh maun awaaz
Aapki uss awaaz mein chhupa kalyaan ka raaz.

Aapka har bhakt kee raksha karna
Aapka saari sangat ke kasht harna
Aapka bakhsha hua simran, dhyan, aur gyan
Aapka diya hua har hukm aur har vardaan.

Aapki rehmat bhari nazar
Uss nazar ka mehar bhara asar
Uss asar se sanvar jaaye mera ye safar
Kyunki Aapke charnon mein hai mera basar.

Isliye har shaam ka dhalta sooraj jaate jaate
De jaata hai subah ke aane ka paigaam
Niraasha kee nahin hoti zara si bhi gunjaaish
Kyunki poori hui hai sabse badi khwaahish
Mujhe param poojya pooran Guru mil gaye
Is janam mein meri kismat ke dwaar khul gaye.

Aap par mai vaari jaaoon
Sabko Aapki mahima sunaaoon
Aapki kripa ke taley dabb kar mai tarr jaaoon
Aapke kamal charan mein rehkar is sansaar se vida ho jaaoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Kamal Charan Mein Rehkar (07/10/2023)

Ghaayal Hai Har Koi (07/09/2023)

July 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1967

               Ghaayal Hai Har Koi

Ghaayal hai har koi
Kaal ke baan se
Phir bhi na chhoote vishayon mein aasakti
Toh kaise safal hogi jaagrit honei kee koi bhi yukti?

Dharma ka aacharan hai bahut zaroori
Agar bhayy aur sanshay se mitaani hai duuri
Thoda sa bhi prayaas jo kiya jaaye dharma ke aacharan kee oar
Toh shaayad na hogi durdasha ghor.

Arth aur kaam ke saath saath
Dharma ke haath mein rakhna haath
Adhyaatmik seedhiyon ka raasta hai vahaan
Vaheen se guzar kar milega unnat jahaan.

Arth, kaam aur dharma ke trivarg se aagey
Le jaayenge Guru shishya bandhan ke dhaage
Kyunki is bandhan mein hai mukti
Jo hai purusharth kee poorna saarthakta kee yukti.

Arth, kaam, dharma, mukti hain purusharth ke angg
Uddeshya samaan hain, isliye jeevan chalna hai inke sangg
Guruji kee kripa se dharma ke raaste par badhein
Guruji kee mehar se adhyaatmik seedhiyan chadhein.

Unhee ke kamal charan mein swarg hai hamaara
Moksh bhi milega Unhee kee daya ke dwaara
Unkee dee prerna aur chetna se uddeshya poorti kee oar chalte chalein kadam
Chaturvarg purusharth ke raaste aur manzil kee oar le jaayein hamaare karam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ghaayal Hai Har Koi (07/09/2023)

Roop Aapka Anoop (07/08/2023)

July 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1966

                Roop Aapka Anoop

Param poojya Guruji,

Roop Aapka anoop
Kabhi sardiyon kee meethi dhoop
Toh kabhi sooraj shaktimaan
Jiskee dhoop hai mahaan.

Chand bhi sharmaaye
Aapki toh sheetalta bhi itnee mahaan
Itne divya saundarya mein samaayee hai itnee shakti
Ki naadaan anjaan das kee bhi nikhar jaaye bhakti.

Ye Aapki mehar nahin toh aur kya hai
Sangat par barasti har rehmat Aapki hee daya hai
Rehmat, jiskee barsaat hoti hai har haalaat mein
Rehmat, jo samaayi hai Aapki dee har daat mein.

Is barsaat ke amrit mein bheeg rahi hai Aapki sangat
Aapki kripa rahe aisee ki chadh jaaye sab par Aapki rangat
Naadaan hain, galatiyon ko kar deejiye nazar andaaz
Aap jo samjhaana chaahte Hain, hamein samajh aa jaaye har veh raaz
Har janam ka safar hota rahe pehle se zyada aasaan
Aapki sharan mein milta rahe adhyaatmik mukaam takk pahunchne ka vardaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Roop Aapka Anoop (07/08/2023)