Bholenath Kee Bagiya (01/19/2023)

January 19, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1796

Bholenath Kee Bagiya

Ye Bholenath kee bagiya hai
Yahaan sab kuch itna badhiya hai
Badhiya, kyunki yahaan koi aadambar nahin
Yahaan pehchaana jaata hai galat aur sahi
Yahaan bilkul koi dhong ya dikhaawa nahin
Yahaan koi rishwat, koi chadhaawa nahin.

Bholenath kee bagiya mein jharne hain sachchaayee ke
Yahaan ke panchhee gaate hain geet vadiyaayee ke
Bholenath kee vadiyaayee
Jinka ek bhavya swaroop hai Guruji kee guruyaayee.

Is bagiya ka har phool hai sundar
Har phool mein trishul hai andar
Jo bhakton ko museebat se raahat dilaaye
Aur unka jeevan apni khushboo se mehekaaye.

Guruji ke roop mein Bholenath
Swayam Hain is bagiya ke baghban
Tabhi toh jitnee nipun hai ye bagiya
Utnee aur koi bagiya nahin, beshak dhoondh lo saara jahaan.

Yahaan apni kirnon ko bikherne ke liye
Sooraj har subah hota hai bekaraar
Yahaan chandni chaadar bichhaane ke liye
Karti hai pyaar se apna shringar
Taare is bagiya par timatimaate hain
Vayu ke jhonke taazagi ka noor phaylaate hain.

Is bagiya ke dwaar par kalash hain
Vishwaas aur samarpan ke
Pravesh par jo rangoli hai, usmein hain kitne sundar rangg
Ye rangg hain sewa, simran, shukrana, aur satsang.

Titaliyaan mandaraati hain masti mein
Moar itaraate hain apni hasti mein
Om kee dhvani nikhaarti is bagiya ke spandan ko
Guruji ke abhamandal ke darshan hotei hain kuch bhakt jann ko.

Bagiya mein ek sundar sa jhoola paata hai sthaan
Vahaan param poojya Guruji aksar hotei Hain viraajmaan
Guruji ko bagiya mein sair karna hai pasand
Itna tez Ve chalte Hain, ki sabb reh jaate hain dangg!

Shraddha se bagiya mein har bhakt hai aata
Guruji baghban Hain, Unkee marzi jo, vo ashirwaad bhakt hai paata
Guruji mein ramm jaaye jo bhaav se
Veh bhraman karey is bagiya mein chaav se
Is bagiya mein hai nirmal anand anant
Kyunki baghban Hain swayam Guru Bhagwant.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bholenath Kee Bagiya (01/19/2023)

Behti Hui Nadiya (01/18/2023)

January 18, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1795

                  Behti Hui Nadiya

Behti hui nadiya swayam ko thi saraah rahi
Usey dekh kar vahaan ek titlee thi muskuraa rahi
Nadiya par befikri ka ullaas thaa chhaaya
Titlee ko iska kaaran samajh na aaya.

Titlee boli, β€œAye nadiya nyaari
Tum Guruji ko ho itnee pyaari
Raaste kee har vipda ko ho sehti
Tum Unkee mehar se ho behti rehti.”

β€œKoi pathar, koi shila tumhe na roak paaye
Na hee kumm kar sakey ve tumhaara utsaah
Guruji ne bakhshi hai tumhe behne kee raah
Uss raah par tum poori karti ho behne kee chaah.”

Nadiya ne kaha, β€œGuruji kee kripa aparampaar hai, lekin Unkee kripa ko paane ke liye
Zaroori hai ki bhakt atmasamarpan kar ke jeeye
Varna bhakt poore ashirwaad se reh jaata hai vanchit
Aur saath hee aur karma kar leta hai sanchit.”

β€œGuruji isee tareh se karte Hain mera pavitrikaran
Kiya hai Unhonei mere karmon ke bojh ka haran
Unkee karuna dwaara hee toh mai bann paayi hoon itnee nirmal
Unkee leela se hee mera jal hai itna taral aur ujjwal.”

β€œGuruji ko sabb samarpan karne se
Mujhe zaroorat nahin darne kee kisee se
Guruji har pal hotey Hain mere saath
Mai befikr hokar behti hoon, karte huey Unse mann hee mann baat.”

β€œSamarpan mein hee shukrana hai
Kyunki shukrguzaar huey bin samarpan karna nahin hai mumkin
Aur samarpan mein hee basaa hai Guruji mein mera vishwaas bhi
Ki jo Ve karenge, vahee mere liye hoga sahi.”

Nadiya ne kaha phir titlee se,
β€œSuno tum mera ye kehna
Shuru kar do samarpan mein rehna
Sweekar lo Guruji kee raza
Dekhna, tumhe aayega jeene ka mazaa.”

β€œTum kewal apne farz nibhaana
Baaki sab Guruji par chodte jaana
Yaad rahe ki Guruji ke nirnay ko karna hoga tumhe sweekar
Kyunki sweekriti hai samarpan ka saar.”

Titlee ko nadiya kee baat aayi pasand
Titlee ke mukh par phir se aayi muskaan mandd
Usne socha ki nadiya ko jin Guruji ne banaaya nirmal
Ve Guruji kaash uspar bhi barsaa dein Apni kripa ka jal.

Yaheen se samarpan karna kiya titlee ne shuru
Uske neeven bhaav se prasann Huey Dugri ke Guru
Guruji titlee ko taarne lagey
Uske janmon kee yatra sanvaarne lagey.

Titlee kee atma ka hua uddhaar
Kumm samay mein uskee atma ne paayi mukti
Guruji kee mehar se samarpan se sabhi bhakt sajaayein apni bhakti
Guruji ko sarvsamarpan karne mein hai uttam uddhaar kee yukti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Behti Hui Nadiya (01/18/2023)

Aye Bhakti, Tumse Hai Guzaarish (01/17/2023)

January 17, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1794

    Aye Bhakti, Tumse Hai Guzaarish

Aye bhakti, tumse hai guzaarish
Poori kar do meri ye khwaahish
Tumhaare dwaara mai Guruji takk pahunch paaoon
Unke charnaarvindon mein har pal sees jhukaaoon.

Jo mera kiya shukrana tumhaare ark mein hai
Usey Guruji swayam jaan jaayenge
Jo meri ardaas tumhaare bhaav mein hai
Guruji awashya usey sunn paayenge.

Guruji hee daata Hain uss oorja ke
Jiskee praapti se mai tumhaare dwaara
Har pal paati hoon Guruji ka sahaara
Aur bayaan kar paati hoon dil ka haal saara.

Mujhse koi galati ho jaaye
Toh sikha dena mujhe sahi yukti
Tumhaare kisee angg ka na kar paaoon yadi sahi prayaas
Toh kripa kar kshama karna meri truti.

Aye bhakti pyaari, tum mein kitne vikalp hain shaamil
Ek ya anek, jis par bhi aa jaaye dil
Uss vikalp roopi angg ko Guruji kar lete Hain sweekar
Itne karunanidhaan Hain Guru sarkar.

Chaahe β€˜shravan,’ chaahe β€˜kirtan’ ke dwaara
Ya phir Guruji ka β€˜smaran’ ho angg tumhaara
β€˜Daasi’ bannkar karoon Guruji ke charnon mein tumhe prastut
Ya phir β€˜sewa’ ya β€˜archan’ se
Tumhaare β€˜sakhya’ angg ke maadhyam se karoon Guruji par vishwaas
Ya rijhaaoon Unhe β€˜vandan’ aur β€˜atmasamarpan’ se
Guruji karein jaisa maargdarshan
Vaisa hee ho mera prayatan.

Aye bhakti, tum ho kitnee mahaan
Tum mujhe jodti ho Guruji ke charan se
Guruji kee daya ke bin yeh mumkin nahin
Ye daya barasti hai Unkee sharan mein.

Tum mein jitna ramm jaaye bhakt
Tum deti ho utnee shakti
Tum mein prabal honei kee aseem yogyata hai
Tumhaari daasi hai mukti.

Tum mata ho vairagya aur gyan kee
Tumhe saadar pranaam
Aye bhakti, tumhaare har angg dwaara mujh mein yoon buss jaaye
Guruji ka paawan naam
Ki mai khud ko poori tareh se kho doon
Paakar is paawan naam ka dhaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aye Bhakti, Tumse Hai Guzaarish (01/17/2023)

Guruji Kee Deewanagi Mein (01/16/2023)

January 16, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1793

        Guruji Kee Deewanagi Mein

Guruji kee deewanagi mein
Mastt hokar chal raha thaa dil
Koi fikr nahin thi, jaanta thaa vo
Ki Guruji ke charnon mein hai uskee manzil.

Na traas ke tufaan ka thaa usey bhay
Uske dridh vishwaas ne kar liya thaa tayy
Ki Guruji kee leela par na karega veh tanik bhi sanshay
Buss, isliye veh ghoomta thaa hokar nirbhay.

Na sonei mein mushkil hoti thi
Na jaagne se veh thaa katraata
Idhar udhar kaheen judta nahin thaa
Sab maya hai, swayam ko thaa yaad dilaata.

Simran pasand thaa usko itna
Ki naam simarta thaa Guruji mauka dete thei jitna
Guruji se karta rehta thaa ardaas
Ki lagti rahe usey simran aur dhyan kee pyaas.

Dil ka pyaar thaa komal aur sachcha
Vaisa, jaisa Guruji ko lagta thaa achcha
Guruji kee deewanagi mein veh thaa jaise koi bachcha
Guruji ko paane kee thi uskee ekmaatra ichcha.

Mehsoos karta thaa Guruji ko aur Unke pyaar ko
Jataata nahin thaa kabhi bhi sansaar ko
Dimaag karta bhi thaa tark
Toh dil ko nahin padta thaa fark
Guruji mein uskee bhakti thi aisee bemisaal Ki usey kabhi na hota thaa koi sawaal.

Dil Guruji ke prem mein aisa gaya thaa khil
Ki gulistaan mein bhi aisa phool na sakta thaa mil
Jo hua thaa dil ke jaise khila hua
Itna anokha thaa yeh silsila.

Guruji kee kripa se aaya veh sundar pal
Jabb dil kee har dhadkan hui safal
Jis tann mein veh dhadakta thaa, veh tann panchbhoot mein samaaya
Aur dil ne Guruji ke kamal charnon mein sthaan paaya.

Aisee hai mehar Guruji Maharaj kee
Aisee hai mahima Guru Sartaj kee
Ki Unke prem mein deewana har dil
Paa leta hai Unke charnon mein apni manzil.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Deewanagi Mein (01/16/2023)

Paawan Nadiya Hai Guruji Ka Naam (01/15/2023)

January 15,2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1792

Paawan Nadiya Hai Guruji Ka Naam

Paawan nadiya hai Guruji ka naam
Ismein shraddha se dubki lagaana
Mahasaagar bhi hai Guruji ka naam
Isne jeevan kashti ko hai paar lagaana.

Ati uttam hai Guruji ka naam
Isey kabhi na tum bhulaana
Is naam mein aseem shakti hai
Iska kavach antakaran ko pehnaana.

Guruji ka naam divyata ka anmol raag hai
Jitna ho sakey usey gungunaana
Guruji ke naam mein ruhaani sangeet hai
Is se jeevan ko sureela banaana.

Guruji ke naam mein shanti hai anant
Is naam ko simarte jaana
Guruji ke naam mein aatmabodh ka upaay hai
Is naam mein dhyan lagaana.

Guruji ke naam mein amrit hai
Is se roam roam mein shuddhi ne hai aana
Guruji ke naam mein subuddhi hai
Is se vivek ke vaas ko safal banaana.

Guruji ke naam mein mitrata hai
Isne sada hai saath nibhaana
Guruji ke naam mein poorna pavitrata hai
Is se tumne ik din hai tarr jaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Paawan Nadiya Hai Guruji Ka Naam (01/15/2023)

Aaya Aaya Makar Sankranti Ka Utsav (01/14/2023)

January 14, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1791

Aaya Aaya Makar Sankranti Ka Utsav

Aaya aaya Makar Sankranti ka utsav
Sabhi manaayein khushi se ye parv
Dhanu Rashi se kiya Makar Rashi mein pravesh Surya Dev ne
Sankranti ka naam paaya is pravesh ke samay ne.

Shuru hua is varsh kee nayi fasal ka mausam
Daan aur snaan ka mahatva hai sarvapratham
Din honei lagte hain lambe aur raatein hoti hain chhoti
Surya ke dharti ke uttari golaarddh mein aane se Uttaraayan kee sthiti hai hoti.

Kaha jaata hai ki Bhishma Pitamah ne shareer chodne ke liye
Makar Sankranti ke din ka kiya thaa chayan
Ganga Maiya jaakar samaayin saagar mein karne shayan
Bhagirath Maharaj ne apne poorvajon ke moksh ke liye kiya tarpan.

Bhaarat ke anek pranton mein anekon hain is parv ke naam
Jaise Tamil Nadu mein Pongal, jismein
gaay aur bhainson ko sajaakar bhakt jann karte hain unhe pranaam
Uttar Pradesh Bihar mein Khichri hai is tyohaar ka naam
Kaata jaata hai taaza dhaan
Uskee khichri ke bhog lagaate Hain Surya Bhagwaan.

Saath mein dahi chuda bhi hai banaaya jaata
Maanyata hai ki in sab se kasht duur ho jaata
Shubhta aaye iske daan se, aisa bhi hai kaha jaata
In sabse paachan kriya mein aaraam bhi hai aata.

Til aur gur ke mishran se banaayee gayi gajjak aur mithai
Sharad ritu mein shareer ko de garmi ka laabh
Hum apne vichaar, vyavhaar aur vaani ko meetha rakhein, miltee hai ye prerna
Tyohaar aane par kaash jaagey hum sabki soyi chetna
β€˜Patang Mahotsav’ manaaya jaaye is din
Patangein udtee hain, rangg unke bhinn bhinn.

Shuru hongei abb maangalik kaam
Vishnu ji kee vishesh pooja ka bhi hai vidhaan
Har oar umadta hai udaarata, prem, aur daan ka paigaam
Kaash har samay aise hee rahein hum insaan.

Aapas mein ho saamanjasya aur pyaar
Zarooratmandon kee madad karne se na karein hum inkaar
Bhojan aur bhaav mein ho sakaaratmak oorja
Insaan hain, insaan bannkar jeeyein, neki se saji ho pooja.

Guruji ne Apne bhakton ko dee hai azaadi har tyohaar manaane kee
Guruji ne β€˜banda bann’ kehkar koshish kee hai har bhakt ko samjhaane kee
Guruji chaahein hum har pal aise jeeyein jaise ho vo ek tyohaar
Khush rahein, mastt rahein, aur Unka shukrana karein baar baar.

Gupt paath, gupt sewa, gupt daan
Karne ko kahein Guruji meharbaan
Kewal Sankranti ke din hee nahin
Balki har din karein nek kaam.

Makar Sankranti mein udtee patang kee bhanti
Hamaari kahaani kee kitaab ka kaagaz bhi phat jaayega
Naam simran hai jo har janam mein kaam aayega
Guruji kee kripa se naam simran hamein sachkhand takk pahunchaayega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aaya Aaya Makar Sankranti Ka Utsav (01/14/2023)

Ye Pehar Bhi Bann Jaayega Itihaas (01/13/2023)

January 13, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1790

    Ye Pehar Bhi Bann Jaayega Itihaas

Jald hee ye pehar bhi bann jaayega itihaas
Tum abb takk baithey nahin ho GurujΔ« ke paas
Maana ki Guru Govind ka hai tumhaare mann mein vaas
Kintu kuch kaho Unse, aur kuch Unkee sunn-ne ka karo prayaas.

Kehna aur sunn-na dono hain zaroori
Taaki rishte mein na mehsoos ho koi duuri
Shant ho, ekant ho, toh kehna sunn-na hoga sukar
Buss, tum ho aur hon tumhaare Guruvar.

Guruji sunte Hain, ismein nahin hai koi sanshay
Guruji se baanta karo dil ka haal
Ve kisee na kisee tareh se denge jawaab
Jabb bhi tumhaare mann mein hongei sawaal.

Swapn mein, ya kisee shabad ke dwaara hee
Saakshaat darshan dekar, ya swaroop dwaara bhi
Vo titlee jo dikh jaaye mandaraati hui
Ya koi moar, ya phir kali mehekti aur muskuraati hui
Ya koi sandesh jo swayam ko doharaayega
Ya prakriti se hee koi sanket aayega.

Har bhakt ke saath anokha hai Guruji ka naata
Har bhakt ni-sandeh Unka ashirwaad hai paata
Tum bhi is sabse anmol rishte kee oar nibhaao apna kritya
Pyaar bhari bhakti se nikhaaro apna har kartavya.

Guruji kee kripa se tumhe mila hai sewa, simran, satsang ka avsar
In rehmaton se tumhaara jeevan gaya hai nikhar
Mann se kar do Guruji ko sarv-samarpan
Mil jaayega santosh ka dhan.

Na jaane do bekaar kisee pehar ko
Honei do anant antarmann kee sehar ko
Guruji ke sanatan saath ko angikaar karo
Unkee mehar ke ehsaas se chitt ka roam roam bharo
Guruji aur tumhaare beech mahafooz hai tumhaari har baat
Guruji tumhaari jholi mein barsaayenge Apne ashirwaad kee daat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ye Pehar Bhi Bann Jaayega Itihaas (01/13/2023)

Aye Thakey Huey Musaafir (01/12/2023)

January 12, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1789

          Aye Thakey Huey Musaafir

Aye thakey huey musaafir
Yoon idhar udhar matt phir
Aa baith ja, Guruji ke paas
Mit jaayega tera traas.

Dishaheen hokar tu chala jaa raha hai
Kyun apne tann aur mann ko yoon sataa raha hai?
Guruji dikhaayenge tujhe disha hitkaari
Duur hogi tere tann mann aur atma kee beemari.

Kitnee baar tujhe maya ne rulaaya hai
Phir bhi tu samajh nahin paaya hai
Ye safar sirf tera hai, isliye kisee se bhi koi ummeed na kar
Guruji har kadam par tere angg sangg Hain, isliye tu bilkul na dar.

Mayoos hokar niraasha ke andhere mein na dhoondh asha ke deep ko
Simran dwaara koshish kar ki Guruji ke sameep ho
Thoda ruk kar Unkee sharan mein baith kar dekh
Thoda jhuk kar Unke charnon mein maatha tek
Ve tere bin bataaye jaante Hain tere antakaran ka haal
Tu vishwaas rakh, Ve rahe Hain tujhe sambhaal.

Guruji ka koi nihit swaarth nahin hota kabhi
Ve chaahte Hain ki khush rahein Unke bhakt sabhi
Rakh tu apna utsaah barkaraar
Karta chal Unhe dhanyawaad baarambaar.

Tere saamne aane wali har chunauti kee Guruji ko khabar hai
Tujhe dikhta nahin, lekin teri kismat par Unke hukm kee mohar hai
Tujhe nahin bhi yaad ki hui ho tujhse koi galati
Toh bhi Unse maafi maang kar maang le Unse sumati
Ve karunanidhaan Hain
Ve mamta kee khan Hain
Ve denge tujhe itna pyaar
Ki tu aagey badhne ke liye ho jaayega tayyaar.

Aagey badhte badhte rukaavaton kee vajeh se na hona tu peechche
Oopar chadhte chadhte charitra mein na gir jaana tu neeche
Beshak tu jaaye kabhi thakk
Kabhi na karna Guruji kee mahima par shak.

Mit-tee jaayegi teri thakaavat
Paar hoti jaayegi har rukaavat
Guruji ke dil mein Apne har bhakt ke liye hai jageh
Unke maargdarshan se kar paayega tu har maidaan fateh.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aye Thakey Huey Musaafir (01/12/2023)

Thaama Hai Jabb Se Aapne Mera Haath (01/11/2023)

January 11, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1788

Thaama Hai Jabb Se Aapne Mera Haath

Pyaare Guruvar,

Thaama hai jabb se Aapne mera haath
Diya hai Aapne jabb se Apna salona saath
Santosh hai ki bann jaayegi har bigdi baat
Jo na baney, toh uskee nahin koi ahamiyat ya aukat.

Kyunki Aap hee jaanein mere liye kya hai sahi
Kya mere lekhe mein hai aur kya nahin
Kya Aap likhna chaahte Hain dobaara
Aapko gyat hai ye saara ka saara.

Mujhe ye sab sochne kee zaroorat nahin hai, Aapka shukr hai
Jo hona hai meri zindagi mein, uskee zabse zyaada Aapko fikr hai
Aapse hee mera raasta, Aapse hee meri manzil
Ye jaan kar beparwaah ho gaya hai mera dil.

Beparwaah sahi, magar kabhi laparwah honei lagoon
Toh kar deejiyega mujhe savdhaan
Ashirwaad deejiye mujhe
Ki har din banti chaloon pehle se behtar insaan.

Zindagi mein har imtehaan kee kasauti par Khari utarne ka karti rahoon nek prayaas
Jeevan mein utaar ho ya chadhaav
Har paristhiti mein Aap par rahe mujhe atoot vishwaas.

Meri galatiyon ko kshama kar
Mujhe unse seekhne kee deejiyega subuddhi
Mann mein heen vichaar na aayein
Kar deejiyega aisee chitt shuddhi.

Bakhshte rahiyega daat sewa aur simran kee
Daan mein deejiye shanti aur sthirta mann kee
Aapse pyaar aur wafaa nibhaati rahoon
Aapki mahima ke geet gaati rahoon.

Sweekriti aur samarpan rahein mere har karma ke do patvaar
Jis bhi haalaat mein rakhein Aap, karti rahoon Aapka shukrana baarambaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Thaama Hai Jabb Se Aapne Mera Haath (01/11/2023)

Mehmaan Ho Tum Yahaan (01/10/2023)

January 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1787

        Mehmaan Ho Tum Yahaan

Mehmaan ho tum yahaan
Mehmaan bann kar raho
Jis Prabhu ne tumhe bheja hai yahaan
Unka shukrana kaho.

Anant takk toh rehna nahin yahaan
Kar lo vo jo kaam aaye vahaan
Duniyadari ke farz nibhaao, kintu iske jaal mein na ulajho
Vahaan ke liye tayyaari ka mahatva samjho.

Guruji ne dee hai sharan kee suraksha
Guruji se milee hai tumhe naam kee deeksha
Maangte chalo Unse tarne kee bhiksha
Ve sada karenge tumhaari raksha.

Koi padaarth saath na lekar jaaoge
Apne paraaye bhi sab reh jaayenge yaheen
Karmon aur paapon ka bhaar uthaakar
Chodni padegi ye duniya aur ye zameen.

Mehmaan navaazi ho rahi hai jo yahaan
Toh vo bhi pichhle janmon ke karmon ka hai phal
Aur jo chaahte ho ki yadi agla janam ho toh sukh miley
Toh aaj ke prayaas se sudhaar lo abhi se aane wala kal.

Kal, is janam ka aur agley janmon ka
Taaki jeete jeete mukti kee avastha par pahunch paao
Aur Guruji ko prasann kar Unke ashirwaad se
Ruhaaniyat kee seedhiyan chadhte jaao.

Prayaas karte chalo ki simran hota rahe
Prayaas, ki ahankar khota rahe
Prayaas, ki har karma koi paap dhota rahe
Prayaas, ki har vikaar aur aasakti ka asur sota rahe.

Prayaas, ki Guruji ko maangne ke alaawa na ho koi aur chaahat
Prayaas, ki Guruji ke simran aur dhyan se miltee rahe raahat
Tum apni oar se karte chalo prayaas
Guruji ke charnon mein arpan kar ke har shwaas.

Is tareh se asal ghar takk jaane kee hoti rahegi tayyaari
Aur Guruji kee mehar se kabhi na kabhi toh aayegi vahaan jaane kee baari
Vahaan tumhaari sifaarish na kar sakegi ye duniyadaari
Vahaan kaam aayegi kewal Guru Govind se rishtedaari.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mehmaan Ho Tum Yahaan (01/10/2023)