Bulandiyon Mein Basee Geharayee (06/03/2021)

June 3, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1201

Bulandiyon Mein Basee Geharayee

Itne aagey nikal gaye hum sabb,
Ganit aur Vigyan mein,
Itne mast aur vyast huey,
Ki kumm kar diya humne baithna dhyan mein.

Abb aur lamhe kumm na honei dein,
Pyaare Guruji ke maan mein,
Varna kaise badhauti hogi,
Anivaarya adhyatmik gyan mein?

Aur waqt na ganvaayein,
Simran mein humbramm jaayein,
Dincharya ke saath saath,
Karte raho Guruji se baat.

Aagey badhte rahein Vigyan mein,
Lekin bhatak na jaayein uskee shaan mein,
Kyunki Vigyan bhi Guruji ne baksha hai,
Jinhonei har pal kee hamaari raksha hai.

Parivartan toh hota rahega nirantar,
Aur vigyan kee kuch baatein bhi shaayad badal jaayein,
Lekin Guruji se jo rishta juda hai,
Usey Unkee mehar se gehra karte jaayein.

Kyunki jabb praan jaayenge chhoot,
Tabb Vigyan se rishta jaayega toot,
Lekin janma-janmantar ka jo rishta hai adhyaatmik gyan ke sangg,
Usee se har janam mein atma ka nikhrega noore-rangg.

Is rangg mein rangte rangte ek pal aisa aayega,
Jabb atma ka har daag ghul kar is rangg mein samaa jaayega,
Sammaan karte huey simran kee mala ke har moti kee,
Chhoo legi atma bulandiyaan divya jyoti kee.

In bulandiyon mein basee hai geharayee,
Guruji ke paawan pyaar kee,
Jiske dulaar se atma tarr jaayegi,
Aur khatm hongi ghadiyaan intazaar kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bulandiyon Mein Basee Geharayee (06/03/2021)

Dhoondh Lo Bahaana, Ya Karte Raho Shukrana (06/02/2021)

June 2, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1200

Dhoondh Lo Bahaana, Ya Karte Raho Shukrana

Zindagi mein khush rehna bahut zaroori hai,
Chaahe marzi se khush raho, ya isliye ki ek majboori hai,
Kyunki khushi ke bina mushkil hai jeena,
Har baar mumkin nahin hota gumm ke ghoont peena.

Dhoondh lo bahaana muskuraane ka,
Dhoondh lo bahaana chalte jaane ka,
Jeevan ke lamhe nikalte jaa rahe hain haath se,
Phir na kehna ki pachhtaa rahe ho kisee baat pe.

Dhoondh lo bahaana gungunaane ka,
Dhoondh lo bahaana khushi manaane ka,
Guruji ne sajaaya hai tumhaare aaj aur kal
ko,
Poori tarehn se jee lo tum har pal ko.

Dhoondh lo bahaana asha ko jagaane ka,
Dhoondh lo bahaana niraasha ko sulaane ka,
Dekhna, jabb niraasha kee neend khulegi,
Toh veh bhi asha kee bhanti utsaah ke jhoole mein jhoolegi.

Dhoondh lo bahaana apne gumm ko rijhaane ka,
Dhoondh lo bahaana apni khushi ko badhaane ka,
Itna diya hai Guruji ne har jann ko,
Ki shukrana kee vajeh zaroor mil jaayegi mann ko.

Guruji Daata aur naath Hain,
Phir kya gumm hai?
Guruji har pal saath Hain,
Ye kya kumm hai?

Buss, isliye shukrana ko banaa lo apni dhaal,
Sanvar jaayega agar bigda bhi hoga haal,
Sukh dukh dono hee jeevan mein aate rahenge,
Kabhi hansee aayegi, toh kabhi aansoon bahenge.
Guruji ka shukrana karne se nikharti rahegi bhakti,
Shukrana mein rehkar tumhe jeene kee milegi shakti.

Dhoondh lo bahaana, ya karte raho shukrana,
Yeh faisla tumne hee apne mann ko hai sunaana,
Bahaana dhoondhte dhoondhte zindagi hee na beet jaaye,
Jo shaks shukrana karey, veh har paristhiti mein jeet paaye.

Isliye, is shukrana ke spandan se,
Sajaa lo apna ghar sansaar,
Phir koi bahaana dhonndhne kee,
Zaroorat hee nahin padegi baar baar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Dhoondh Lo Bahaana, Ya Karte Raho Shukrana (06/02/2021)

Uljhan Kee Suljhan (06/01/2021)

June 1, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1199

                 Uljhan Kee Suljhan

Computer, phone, microphone, aur headphone kee,
Taarein aapas mein ulajh gayin,
Aisee gaanthein padd gayin,
Ki har plug nikaalna pada vaheen.

Phir baitha banda taaron ko suljhaane,
Aur saath saath apne mann ko samjhaane,
Ki jabb takk taarein uljhee rahengi,
Vidyut toh oorja ke sangg tanaav ko bhi sahegi.

Mushkil hoga yeh jaan-na,
Ki kis yantra ke liye hai kis taar ko thaamna,
Dekhne mein bhi uljhee hui ve lagengi ast-vyast,
Jitna uljhengi, utna hee suljhaane mein hoga kasht.

Hamaare mann ka har vichaar,
Maano jaise hai ek taar,
Jo jabb baaki vichaaron se ulajhta jaata hai,
Toh phir suljhaana mushkil ho jaata hai.

Saagar mein tufaan ho jaise,
Mann ka haal ho jaata hai vaise,
Vichaaron ka aata hai jwaar,
Mann par padta hai iska bhaar.

Ashanti honei lagti hai,
Bechayyni mann ko thagti hai,
Neend bhi jahaan udd jaati hai,
Khushi bhi vaheen mudd jaati hai.

Maano ya na maano,
Iska ek hee hai upaay,
Simran, simran, aur aur bhi simran,
Vichaaron ko jo de suljhaaye.

Guruji isliye simran karne ke liye kehte Hain,
Kyunki hum insaanon ke mann mein anginat vichaar behte hain,
Hum unn vichaaron kee ulajhi hui gaanthon ko sehte hain,
Aur isliye hum itne pareshaan aur khinn-chitt rehte hain.

Simran se kendrit hotey hain vichaar,
Simran hai vichaaron ke sulajhne ka aadhaar,
Simran se badhta hai atma-vishwaas,
Jis se utsaahit hota hai vichaar suljhaane ka prayaas.

Mann ke vichaaron ko simran dwaara,
Dikhaayein hum suljhan ka kinaara,
Taaki ve na banein kaaran ashanti ka,
Balki ulajh kar dein sanket kanti ka.

Simran se vichaar roopi taaron ko,
Hum uljhan se azad karein,
Guruji mein shraddha se dhyan lagaakar,
Mann ko niswaarth prem se aabaad karein.

Sakaaratmakta se shubh hoga,
Bheetar aur baahar ka spandan,
Guruji kee kripa se yakeenan,
Sulajh jaayegi vichaaron kee har uljhan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Uljhan Kee Suljhan (06/01/2021)

Is Bandhan Kee Badaulat (05/31/2021)

May 31, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1198

         Is Bandhan Kee Badaulat

Bandhee jo Guruji ke sangg,
Meri prem bhari bhakti kee doar,
Tabb se jaana diya chhod,
Mainey kaheen bhi aur.

Is doar ke bandhan mein,
Thaa ek aisa adbhut jazbaat,
Ki is doar mein bandh kar,
Honei lagi mai azaad.

Azaad, andhvishwaas se,
Azaad, gulaami ke har ehsaas se,
Azaad, ruhaaniyat mein aane wali har rukaavat se,
Azaad, zamaane kee bagaavat se.

Is doar mein bandh kar aisa pyaar mila,
Jis se dil ka har ghaav bhar gaya,
Is doar mein bandh kar aisa aitbaar mila,
Jis se mera antar-mann tarr gaya.

Guruji ke sangg bandhe is bandhan mein,
Bahut anand aata hai vandan mein,
Aisee divya mehek hai Unke Spandan mein,
Ki vaisi khushboo na miley kabhi bhi kisee chandan mein.

Har Chandan pheeka pad jaaye,
Gulaab bhi laagey neeras,
Jabb Guruji kee ruhaani mehek,
Dil mein jaati hai buss.

Is bandhan mein bandh kar mainey jaana,
Ki koi seema nahin hai divya pyaar mein,
Aur bandhan mein rehkar yeh sukoon bhi hai,
Ki azaadi hai pyaar ke is izhaar mein.

Koi dikhaawa nahin, koi chadhaava nahin,
Buss jodni hai seedhi taar,
Aur saralta, taralta, aur nirmaltaa se,
Dena aur paana hai dulaar.

Ek kadam jo leti hoon Guruji kee oar,
Toh Guruji anginat kadam meri oar badhaate Hain,
Is tarehn se aur bhi pakka ho raha hai bandhan,
Aur Ve mera haath thaamkar mujhe chalaate Hain.

Guruji, kabhi mukt na karna is bandhan se,
Kabhi vanchit na rakhna mujhe Apne vandan se,
Is bandhan se hee toh mainey mehsoos kiya Aap Paramatama ko,
Is bandhan kee badaulat hee mukti milegi meri atma ko.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Is Bandhan Kee Badaulat (05/31/2021)

Guru Ke Roop Mein Bhagwaan (05/30/2021)

May 30, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 1197

    Guru Ke Roop Mein Bhagwaan

Kal Guruji ka MahaSamadhi Diwas hai,
Hum sabko dilaata hai ye yaad,
Ki hamaare Guruji Bhagwaan Hain,
Unhee se hai yeh duniya aabaad.

Bashar ka roop lekar aaye,
MahaShiv is sansaar mein,
Guruji kehlaaye Ve aadar se,
Sab beh gaye Unke pyaar mein.

Pyaar, jismein Unkee divyata hai,
Pyaar, jismein hai ruhaaniyat,
Pyaar, jo har pal badhta gaya,
Jis se tarr gayi insaaniyat.

Maada waqt hai aana,
Guruji ne bataaya,
Sangat ka aur bhi uddhaar ho,
Isliye Unka roop divya prakash mein samaaya.

Abb pehle se bhi zyada maujood Hain Ve,
Dharti ke har konei mein,
Shraddha ho jis bhakt ke mann mein,
Der nahin lagti uska kalyaan honei mein.

Har satsang mein aate Hain,
Sangat ke mann mein rehte Hain,
Kabhi swapn mein darshan Hain dete,
Kabhi Apne Swaroop dwaara kuch kehte Hain.

Divya khushboo Guruji kee,
Kayee baar sugandhit kar deti hai vaataavaran,
Aaj bhi Unke langar prasad se,
Hota hai kashton ka haran.

Guruji Sarv-vyapi Jagdeeshwar Hain,
Sarvagya antar-yaami aur Sarv-shaktimaan,
Bhagwaan ke roop mein Guru Hain,
Aur Guru ke roop mein Bhagwaan.

Aaj ke is bahut khaas din par,
Duniya mein aur bhi sakaraatmakta hum phailaayein,
Guruji hamaare liye sab kuch karte Hain,
Hum bhi Unke achche bachche bann jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Ke Roop Mein Bhagwaan (05/30/2021)

Jeevanmukt (05/29/2021)

May 29, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1196

                     Jeevanmukt

Ved padhe aur padhe puraan,
Phir bhi na mila veh saarthak gyan,
Isliye uskee khoj mein raahi chalta gaya,
Aur intazaar mein har roz sooraj dhalta gaya.

Baitha thak kar neeche taruvar ke,
Sab kuch Guruji ko samarpan kar ke,
Bahut samay takk baitha raha,
Waqt ke bahaav ko sehta raha.

Kuch pal hee nahin,
Kayee din beet gaye,
Mausam badalte gaye,
Jeevan se kayee meet gaye,
Lekin usne Guruji se rishta gehra kiya,
Apni chetna par atal pehra diya,
Anaasakti honei lagi usey bhautikvaad se,
Lagaav kumm hota gaya duniyavi jazbaat se.

Simran mein Guruji ko maan deta raha,
Buss Guruji ka dhyan kar ruhaani khuraak leta raha,
Guruji ko bhi aaya taras,
Uspar Unkee mehar gayi baras.

Duniya ke sabse ujjwal prakash se bhi ujjwal,
Aisa ujaala hua uske antar mann ke lochan mein,
Guruji ke saakshaat darshan huey usey,
Jeevanmukt hua veh uss kshan mein.

Jeevit rehte huey na mil sakta thaa is se behtar uphaar,
Is divya deedaar ke liye usne kiya shukrana baarambaar,
Guruji se saarthak gyan paakar hua uska upkaar,
Jaana aur maana usne ki saaray hai yeh sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jeevanmukt (05/29/2021)

Ruhaaniyat Kee Oonchaayee (05/28/2021)

May 28, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1195

      Ruhaaniyat Kee Oonchaayee

Zindagi ke safar mein chalte chalte,
Sooraj ke uday hotey hotey aur dhalte dhalte,
Galati se bhi bhool na jaana,
Guruji ke sangg rishta nibhaana.

Safar ke utaar chadhaav mein,
Kamee na aane dena apne bhaav mein,
Kyunki har utaar chadhaav imtehaan hoga bhakti ka,
Har utaar chadhaav imtehaan hoga tumhaari shraddha kee shakti ka.

Utaar par niraash aur udaas na hona,
Chadhaav par ahankaar mein charitra ko na bhigona,
Kyunki chaahe taqdeer mein hansna ho ya ho rona,
Dono ka nishchay hee antt hai hona.

Isliye utaar chadhaav kee paristhiti se,
Na ganvaa baithna rishta mann kee shant sthiti se,
Kyunki mann kee shant sthiti hai bahut zaroori,
Yahee kaam aati hai jabb bhi hoti hai koi majboori.

Is mann kee shant sthiti ke liye,
Kitnee tapasya karni padi har saadhak ko,
Tabb kaheen jaakar ve mitaa paaye,
Apne kiye huey paap aur paatak ko.

Tumhe to Guruji ne diya hai apna naam,
Jiske simran se utaar chadhaav sehna hoga aasaan,
Aur simran hee mann kee sthirtaa ke liye hai sarvottam upaay,
Isliye har shwaas ke sangg bolo ‘Om Namaha Shivaya.’

Jabb mann sthir hokar simran mein leen rahega,
Toh har utaar chadhaav Guruji kee kripa se yoon bahega,
Jaise aakar jaane waali paani kee lehar,
Aur har lehar laayegi Guruji kee mahaan mehar.

Utaar chadhaav aakar chale jaayenge,
Mehar ke anmol ratna chamakte jaayenge,
Simran se mann kee sthirtaa chhoo legi ruhaaniyat kee oonchaayee,
Itnee kalyaankaari hai pyaare Guruji kee vadiyaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ruhaaniyat Kee Oonchaayee (05/28/2021)

Guruji Sunte Hain Ardaas (05/27/2021)

May 27, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1194

          Guruji Sunte Hain Ardaas

Guruji sunte Hain ardaas,
Pooran karte Hain aas,
Lekin hamein maangna hee kahaan aata hai,
Tabhi toh maangne se ghaata ho jaata hai.

Isliye Guruji se Guruji ko hee maang lein,
Har din pehle se bhi zyada Unhe pyaar dein,
Har bhakt hai Guruji ka pyaara sa bachcha,
Chaahiye Guruji ko kewal hamaara bhaav sachchaa.

Bachche hotei hain naadaan,
Bachche hotey hain anjaan,
Bachchon se kusoor bhi ho jaata hai,
Bachchon ko guroor bhi ho jaata hai.

Mata pita phir dobaara samjhaate hain,
Bachchon ko sahi raah dikhaate hain,
Aisa paawan rishta hai mata pita se santaan ka,
Aur har bhakt aur uske Bhagwaan ka.

Guruji mata pita Hain hamaare,
Meet, bhai, shikshak aur rakshak bhi Hain Ve,
Saari sangat hai Unkee santaan,
Aur Ve Hain hamaare MahaShiv Bhagwaan.

Yahaan ke rishte toh reh jaayenge yaheen,
Sach hai ye, chaahe hum karein ya na karein yakeen,
Lekin janma-janmaantar ka hai Guruji ke sangg juda naata,
Hamaare har janam mein yeh rishta hai saath nibhaata.

Isliye arzoo hai ki jabb takk rahe yeh shwaas,
Uske baad bhi rahe Guruji par vishwaas,
Rahe har janam mein Guruji sangg rishta khaas,
Aayiye, karein hum Guruji se yahi ardaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Sunte Hain Ardaas (05/27/2021)

Asal Ghar (05/26/2021)

May 26, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1193

                      Asal Ghar

Nepal ke Lumbini gaaon mein,
Apnepan kee chhaaon mein,
Liya janam ek rajkumar ne,
Aur Unmein basey Vishnuji ke avataar ne.

Raajasi gharaane mein janam liya,
Vahaan ke karmon ka bhugtaan kiya,
Tabb Siddharth Gautam hua Unka naam,
Lekin niyati ka thaa kuch aur hee parinaam.

Dharma arth kaam ke jeevan mein,
Ashaanti hui Unke mann mein,
Phir yuddh ke pashchaat toh hua aisa vishaad,
Ki pashchaataap ka jaagrit hua jazbaat.

Tapasya mein ho gaye Ve leen,
Kyunki Unhe ho gaya thaa yakeen,
Ki sachcha sukh hai anaasakti mein,
Aur anant shakti hai bhakti mein.

Bodh Gaya mein Bargad ke taruvar ke taley,
Unchaas din takk bina hiley,
Kiya Gautam Buddh ne mahaan tapp,
Samjhaaye maanav jaati ko char arya satya.

Ahimsa, dharam aur satya ka maarg dikhaaya,
Insaan ko ruhaaniyat se avagat karaaya,
Isliye aaj ka din parv ke jaise manaaya jaata hai,
Kyunki aise mahapurushon se hee Srishti ka uddhaar ho paata hai.

Aaj Gautam Buddha ke janam kee khushi manaate huey,
Apne antar-mann ko chetna ke mankon se sajaate huey,
Hum Guruji ka karein naman,
Aur karein Unke vachanon par manan.

Sabki manzil ek hai,
Chaahe raaste hon anek,
Bhakti, gyan, aur vairaagya se hee,
Hongei hum Paramatama ke sangg ek.

Is advait avastha se badhkar kuch nahin,
Baaki aur kuch bhi sach nahin,
Simran aur dhyan se hee hogi praapti,
Aur asal ghar kee oar hogi vaapasi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Asal Ghar (05/26/2021)

Mool Aur Saar Tapasya Ka (05/25/2021)

May 25, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1192

      Mool Aur Saar Tapasya Ka

Ek din toh har kisee ne yahaan se jaana hai,
Na dhan daulat, na koi vikaar kaam aana hai,
Phir kyun atma par bojh lekar chalte hain hum insaan,
Jabb ki ek baar nahin, balki anek baar samjhaate Hain Bhagwaan.

Hum sab toh Guruji ke bhakt hain,
Hamaara kartavya hai Unka anusaran karna,
Guruji ke hee vash mein hai,
Hum sabka jeena marna.

Yeh rishta kewal Guru aur shagird ka nahin,
Yeh rishta hai mata pita ka santaan se,
Aur jabb meet aur bhai bhi mil gaya Guruji mein,
Toh buss seedhi taar jodein Unse aur Unke naam se.

Yug bhi mausam kee bhanti badalte rahenge,
Yeh prakriti kee parampara hai,
Prakriti hum se kaheen zyada shaktishali hai,
Lekin hamaara Guru prakriti se bhi bada hai.

Isliye har pal lete chalein Guruji ka paawan naam,
Is naam ko japte huey karein hum apne saare kaam,
Guruji ke naam mein hai hamaare karmon ke bhugtaan ka bandomast,
Isliye kyun na Unke naam ko japne mein ho jaayein mastt hokar vyast.

Yahee hai sabse saral samaadhaan hamaari har samasya ka,
Yaheen hai mool aur saar hamaari tapasya ka,
Mokshdaayi hai Guruji ka nirmal naam,
Guruji ke naam mein hai har teerath dhaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mool Aur Saar Tapasya Ka (05/25/2021)