Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2650
Karam Bade Balvaan
Karam bade balvaan, musaafir Karein ve kismat ka nirmaan Par sabse bade Bhagwaan, musaafir Sabse bade Bhagwaan.
Bhagwaan swayam dharti par aaye Lekar roop Guruji Maharaj ka Unhonei Apni sharan mein liya kitnon ko Anginat jann lete Hain naam Unn sartaj ka.
Rakhte Ve koi bhed bhaav nahin Har bhakt ko dete Hain pyaar Sabhi dho rahe hain jo karmon ka bhaar Usey kumm karne aaye Guru sarkar.
Karmon se kaheen adhik balvaan Hain Guruji Maharaj karunanidhaan Tabhi toh abhi takk bach paaye hain hum insaan Jinhe Guruji ne banaaya Apni santaan.
Varna jaane anjaane mein Kiye hongei humne dushkarma kitne Ye toh kewal Guruji hee jaanein Phir bhi Ve Hain dayavaan itne.
Bakhshte rehte Hain Ve bakhshanhaar Karte Hain Apni kripa dwaara sabka uddhaar Utarvaate Hain bhakton ke karmon ka bhaar Taaki balvaan karam na bann kar reh jaayein bhaar.
Beshak karam balvaan Hain Par Guruji meharbaan Hain Unkee marzi ho toh lekha bhi likh dete Hain dobaara Bhaagya nikhaar Ve dete Hain saara Parantu zaroori hai Unhe aur Unke hukm ko maan-na Zaroori hai ye jaan-na Ki rakhna hoga Unhe rijhaakar Khud achcha insaan bann kar Unhe dikhaakar Rakhte huye nek neeyat, nek kriyamaan karam Nibhaate huey ruhaaniyat aur insaaniyat ka dharam Varna is jeevan mein vyarth chala jaayega samay Is baat mein nahin hai koi bhi sanshay.
Musaafir, Is jeevan ke dauran Karta chal Guruji ka gungaan Tu banaa balvaan apne mann ko Taaki vo rok sakey vikaaron ke aakraman ko.
Guruji ka bakhsha simran karta chal Taaki badhta rahe tera manobal Vikaaron ka aakraman jaayega tal Manobal kaam aayega aaj aur kal.
Sab kuch antar sambandhit hai Ye jaan lene mein tera hitt hai Guruji se judi rahegi jo teri rooh kee taar Toh tujhe ye smaran hoga baar baar.
Pichhle karmon se milee ye kismat Abb ke karmon se aagey kee kismat banegi Aaj ke balvaan karam aise hon ki unke dwaara ho tere kalyaan ka nirmaan O musaafir, Guruji kee bakhshi chetna aur sumat se apni soch aur karam par deta chal tu dhyan.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2649
Mere Guruji Ka Sahaara Hai
Samay aur yug ke saath saath Jagg ka drishya badalta jaata hai Jaisa bhi jagg ka nazaara hai Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.
Koi lamha nahin jabb mujhe nahin hoti mere Guruji kee zaroorat Ve hotey Hain angg sangg toh har pal hota hai shubh mahoorat Ve yaheen hotey Hain jabb bhi mainey pukaara hai Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.
Guruji jaanein mere liye kya sahi hai aur kabb Unhee ke bharose choda hai abb sabb Unka kaaraj sanvaarne ka har tareeka nyaara hai Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.
Bin Unke baare mein jaane bhi mai jeevit rahi hoon Unhee ke ashirwaad se Ve toh waakif Hain meri har arzi, har fariyaad se Unke bin abb jeena nahin gavaara hai Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai
Duniya ke apne aur paraaye, darasal mein sabhi paraaye hain Sabhi yahaan karmon ka hisaab chukaane aaye hain Abb mujhe koi bhi nahin Guruji se zyaada pyaara hai Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.
Shivji ne kaha thaa Brahma se ki dukhi jeevon ko karaane sansaar saagar se paar Ve Guru ke roop mein aakar unn jeevon ka karenge uddhaar Unhee Parameshwar ne Guruji ka roop liya saara hai Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2648
Shivalay Hai Guruji Ka Dar
Shivalay hai Guruji ka dar Ye dar hai Unke bhakt ka sachcha ghar Yahaan pita bhi aur maa bhi Shiv Shakti ke Guru roop mein Hain rehte Bhakt kee har baat Hain sunte aur baatein Hain kehte.
Nyaayalay hai Guruji ka dar Jahaan Ve bakhshte Hain, karte Hain maaf Sabhi ke karmon ko nazar mein rakhkar Guruji nadar kar ke karte Hain insaaf.
Vidyaalay hai Guruji ka dar Jahaan aadarsh vaakya hai βbanda bannβ Yahee hai sidhaant har kaksha aur har paath ka Sadupyog karna hai Gurbani ke saath ka.
Vishwavidyaalay bhi hai Guruji ka dar Jismein praapt hota hai aagey ka gyan Shiv se jeev bann kar aaya insaan Bann-ne lagta hai jeev se Shiv Bhagwaan.
Granthaalay hai Guruji ka dar Guruji ke vishay ke granthon ko suna sunaaya jaata hai Jo bhi likhta, padhta, aur sunta hai inhe Vo Guruji kee mahima gaata hai.
Nireekshanaalay hai Guruji ka dar Jahaan Guruji bhakt ka nireekshan toh karte hee hain Aur bhakt ko bakhsh kar simran aur dhyan Usey atma-nireekshan karne ka mauka bhi dete Hain.
Hridayaalay hai Guruji ka dar Jahaan bhakt kee atma ko miley sukoon aur shanti Guruji ke prem kee khushboo se mehekta hai ye ghar Aur atma ko noor bakhshti hai Guruji kee kanti.
Is dar ka mahatva Is dar par aane wala hee jaan paata hai Jo bhi Guruji kee kripa aur leela dekhta hai Vo Unka Ishwaratva maan paata hai.
Guruji Maharaj Hain har bhakt ke Ye jaane har bhakt Guruji Maharaj ka Har bhakt ka kalyaan prayojan hai Unn sartaj ka Ve hee sambhaalein bhaar bhakt ke bhoot, bhavishya, aur aaj ka.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2647
Bhool Na Jaanaβ¦
Bhool na jaana tum jeete jeete Ki Guruji ke ashish ka amrit peete peete Jee paa rahe ho tum har pal is janam ka Varna na jaane kya hota haal is jeevan ka.
Guruji kee vaddi vadiyaayee ko Unkee param oonchaayee ko Pehchaan paana nahin hai saral Beshak koshish karo tum aviral.
Tumhaare kitne kasht, kitnee chunautiyan Inmein kee Hain Guruji ne kitnee katautiyan Tumhaare kalyaan ke vaaste Aur banaaye Hain Unhonei raaste Bilkul bhi na thaa koi raasta mumkin jahaan Aur uss raaste se Ve tumhe le gaye vahaan Jahaan tum soch bhi na sakte thei kabhi Aur jahaan tum khade ho abhi.
Ye kewal duniyavi raaston ka nahin hai silsila Jinmein tumhaari kismat ka kamal hai khila Balki ye silsila hai ruhaani raaston ka bhi Jinkee parvarish Guruji ne hai kee.
Isliye duniyavi raaston par chalte chalte Bhoolna nahin ruhaani raaston ka poshan Duniyavi raaste toh yaheen reh jaayenge Ruhaani raaste hee karenge aagey ke safar ko roshan.
Guruji bade dayalu Hain Amrit barsaate rahenge Apne ashish ka Guruji bade kripalu Hain Praapak banaayenge tumhe Apni dee bakhshish ka.
Unkee leela tumhe na bhi aaye samajh Toh bhi jaan lo ki tumhaare kaaraj rahe hain sulajh Aisee hee hai Unkee meharbaani Chaahe sangat ho Unkee leela se anjaani.
Kyunki Guruji SadaShiv Hain swayam Jo sanvaarne aaye hum sangat ke karam Lekar roop aise insaan ka Jinmein gupt raha roop Bhagwaan ka.
Guruji ke kamal charan mein hai ardaas bhara vandan Na chhoote kabhi bhi Guruji ka daaman Sir sada Unke charnon mein jhuk kar karey Unka naman Khushnaseeb hai har vo jann, jisey milee Guruji kee sharan.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2646
Tu Jaan Leβ¦
Kabb aa jaaye Guruji ko tujh par taras Kabb Unkee kripa jaaye tujh par baras Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare Tu jaan le ki Ve Hain tere akhand sahaare.
Guruji kee marzi bin ek patta bhi na hil paaye Unkee ichcha se kabb teri kismat khil jaaye Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare Tu jaan le ki tere parivaar ke sabhi sadasya hain Unhe pyaare.
Guruji ke hukm ka tu paalan karta chal Guruji kee meher se tere kasht kabb jaayein tal Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare Tu jaan le ki Unke kalyaan ke tareeke hain nyaare.
Guruji ke dar par jo bhi aata hai Kabb uska uddhaar ho jaata hai Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare Tu jaan le ki sabhi hain karmon ke maare.
Kaise Guruji trilok ko sambhaalte Hain Aur kaise Ve sab ko taarte Hain Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare Tu jaan le ki Unhee ko naman karte hain saare.
Kabb kis par padd jaaye Guruji kee nazar Kabb ho jaaye kis par Unkee nadar Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare Tu jaan le ki Ve sabhi kee naiya ko lagaate Hain kinaare.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2645
Guruji Ka Pyaar
Jeevan mein bahut pyaar mila Thoda nahin, balki beshumaar mila Phir Guruji ka dwaar mila Yahaan ke pyaar ka thaa anokha silsila.
Guruji ke dwaar par Guruji ka pyaar mila is kadar Ki chhoti padne lagi jholi Aur mai Guruji kee ho li.
Guruji ke hee khayaal din aur raat Guruji ke zikr bin poori na lagey koi bhi baat Har shwaas hai Guruji kee hee dee hui daat Jeevan ka har pehlu hai Unhee kee dee saugat.
Guruji ke simran mein bhi mehsoos hota hai Unka pyaar Unke har satsang mein hoti hai Unke ruhaani pyaar kee bauchhaar Guruji kee sewa mein prateet hota hai Unka kiya pyaar bharaa uddhaar Jitna samarpan hota hai Unhe, Unke aur kareeb laata hai Unka pyaar.
Guruji se miley paawan pyaar ne badhaaya hai mera atma-vishwaas Guruji ka pyaar deta hai har pal Unke saanidhya ka mujhe ehsaas Guruji ke pyaar ke roop mein Guruji Hain mere paas Guruji ke pyaar kee badaulat hua hai Unka mere mann mandir main vaas.
Varna mai is yogya kahaan Ki meri ho aisee shubh kismat Ye toh hai mere Guruji kee rehmat Ki Unhonei bakhshi Apne pyaar kee divya daulat.
Chaahoon toh bhi na naap sakoon, na tol sakoon Itna aseem hai Unka pyaar ki mai shabdon mein na bol sakoon Unhee kee meharbaani se mehsoos hota rehta hai Unka pyaar Unhee kee daya se badhta jaa raha mera Unke liye pyaar.
Ve nath Hain, Ve Guru aur Ve hee Bhagwaan Unka pyaar paakar mai hui itnee dhanwaan Apni is khushkismati par hota hai neevan sa naaz Guruji ka pyaar mila hai, vo hee hai is naaz ka raaz.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2644
Dasha Aur Disha Mere Mann Kee
Param poojya Guruji Maharaj,
Jee rahi hoon magar mrityu lok mein Ye maya nahin toh hai kya Ye toh shukr hai ki mere oopar Baras rahi hai Aapki daya.
Bahut haseen hain duniyavi bhog aur aakarshan Mushkil hai inke bina jeena jeevan Inse milne wala sukh hai asthaayi Aap dilaate Hain yaad Inmein khonei na dena Prabhu Aapse hai ye fariyaad.
Bahut kashtdaayi hotey hain dukh aur sankat Aapne sikhaaya ki inke dwaara mere hee praarabdh karma rahe hain katt Aapse hee miltee hai unhe jhelne kee himmat Har prerna hai Aapki hee inaayat.
Aapse rooh kee taar yoon judi rahe Ki bhautik aasakti se veh mudi rahe Aap mein lagi rahe lagan Aap mein rahoon mai mastt magan Deewani banoon buss Aapki Bhaagi na banoon aur paap kee Dhanyawaad Aapka ki Aap rahe Hain taar Dhanyawaad Aapka ki Aapne bulaaya Apne dwaar.
Naman uss dukh ko jo Aapse rakhe mujhe jodey Salaam har uss pal ko jo mera ahankaar todey Mrityu lok mein jeete huey mujhe na bhooley kshanbhangurta jeevan kee Daata mere, jeev se Shiv bann-ne ke imtehaan mein sambhaalte rehna dasha aur disha mere mann kee.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2643
Savera Honei Se Pehle
Mitt jaayega andhera Ho jaayega savera Lekar Guruji ka naam Is satya ko lo tum maan.
Kyunki andhera aur savera Ye daalein jabb mann mein dera Toh Guruji ka naam banta hai aisa paigaam Ki mann mein bann jaata hai Guruji ka dham Jahaan chhaa jaata hai Guruji ka noor Aur andhera ho jaata hai duur.
Kisee bhi tareh ka andhera Guruji ke noor ke samaksh theher na paayega Isliye Guruji ka naam simarte raho Is naam ke bin koi bhi peher na beet jaayega.
Mann par beshak honei bhi lagey kabhi andhere ka aakraman Toh Guruji ke naam ke sahaare ladd kar vijayi hoga mann Isliye manobal badhaane par kaam karo Kisee bhi chunauti se tum na daro.
Jo mann rahega Guruji ke naam mein leen Uske liye har chunauti hogi ksheen Kyunki Guruji ke naam se miltee hai aisee shakti Jo banti hai har chunauti ka saamna karne kee yukti.
Guruji ke naam se manobal ko badha kar Lagan ko poori tareh se Guruji mein lagaa kar Divyata kee lau jalegi yoon andhere mein Ki savera honei se pehle hee pahunch jaaoge savere mein.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2642
Unkee Daya Bhari Meharbaani
Veeraanon mein bhi aksar phool khil jaate hain Begaanon mein bhi aksar apne mil jaate hain Ye ruhaaniyat nahin toh aur kya hai Ye bhi Guruji kee hee daya hai.
Unkee daya se karmon ke khaate khulte hain Hisaab poora kar ke saaf honei ke liye Hum Guruji kee sharan mein bulaaye jaate hain Apne paap dhonei ke liye.
Swayam ko maanenge ruhaani jeev Jo nikaley hain insaani safar par Toh sehej honei lagega karmon ka saamna karna Kumm ho jaayega museebaton se darna.
Guruji kee kripa se ruhaani oonchaayee chadhenge Guruji kee vadiyaayee sunte sunaate aagey badhenge Ruhaani jeevan kee bagiya mein hogi dhoop meethi aur suhaani Guruji kee kripa se atma hogi Guruji ke prem mein aisee deewani Ki is deh mein jeete huey rahegi is duniya se begaani Guruji ne apna liya hai, isliye hum hain bahut khushkismat praani Hum par barasti hai Unkee daya bhari meharbaani.