Atma-Mantha (05/13/2025)

May 13, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2641
      Atma-Manthan

Guruji ke pyaare bhakt jann
Agar sudhaarna hai ye jeevan
Agar sanvaarna hai janam maran
Toh kar lo Guruji ka vandan
Aur Unke anusaar ho atma-manthan
Taaki jaagey tumhaara soya antakaran.

Pehle pehle toh vish ugalegaa antakaran
Kyunki vish asal mein thaa aakramankaari
Itna samaa gaya vish antakaran mein aniyantrit
Ki banaa tumhaare liye amangalkaari
Isliye uska baahar nikalna zaroori hai
Taaki chakh paao tum amrit kalyaankaari.

Anmol ratna hai Guruji ka naam
Anmol sthaan hai Guruji ka dham
Guruji swayam Hain taruvar sabse pyaare
Aur Ve hee Vaidyanath, har tareh ke roag ke sahaare.

Antakaran ke manthan se
Guruji ke roop mein
Tumhe mil jaayenge sabhi ratna
Tum karo apni oar se prayatna.

Guruji swayam Hain Shiv avatari
Halaahal grahan karne ke liye tayyaar
Taaki Unka bhakt rahe surakshit
Aur Unke bhakt ka ho jaaye hitt.

Tyaago aalas
Baandho dhaadhas
Abb bhi samay hai, atma-manthan mein lagg jaao
Abb bhi samay hai jann, tum jagg jaao.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Atma-Mantha (05/13/2025)

Kamzor (05/12/2025)

May 12, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2640
                          Kamzor

Param poojya Guruji Maharaj,

Kamzor hai meri nazar
Jo kabhi kabhi dekh nahin paati Aapka kiya kalyaan
Kamzor hai meri pakad
Aap kabhi na chodna mujhe, chaahe mai chod doon hokar naadaan.

Kamzor hai mera shabd gyan
Kaise karoon Aapki mahima ka bakhaan
Kamzor hai mera mann
Asthirta mein guzaarta hai anmol kshan.

Kamzor hai mera sabr
Bhool jaati hoon karna shukr
Kamzor hai meri shraddha aur sehenshakti
Nikhar nahin paati isliye bhakti.

Mann kee kamzori ka karte rahiye upchaar
Taaki mann par vijay na paa sakein vikaar
Meri nazar, meri pakad ko dete rahiye Apna sahaara
Kyunki Aapke sahaare bin na ho paayega ek pal bhi mera guzaara.

Mera shabd gyan, mera vivek hai Aapki daya par nirbhar
Honei deejiye kripa kar unpar Aapki kripa ka asar
Sahi aur galat mein fark pehchaanoon
Kya atmasaat karna hai, kya nahin, ye jaanoon.

Mere shukrana ke bhaav ko aisa deejiye banaa
Ki mera har shwaas Aapka shukrana karte huey aaye jaaye
Sehenshakti, shraddha, aur sabr mein hoti rahe badhauti
Kyunki kabhi kabhi mushkil chhoti nahin hoti.

Kamzor hai ye shareer
Pehle se alag lagti hai abb tasveer
Vo toh swaabhaavik hai samay ke saath saath
Ye toh hai maamooli si baat
Buss, Aapki meher se rooh nikharti rahe har pal
Aapki meher se bhakti sanvarti rahe aaj aur kal
Aapki karuna se antas itna Aap mein khota jaaye
Ki Aapke prataap se charitra ka chitr sundar hota jaaye.

Chaarul ho charitra
Antas ho pavitra
Meri rooh par chhaaya rahe Aapka noor
Daata, kabhi na karna mujhe Apne se duur.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Kamzor (05/12/2025)

Ve Maa Ke Roop Mein (05/11/2025)

May 11, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2639
             Ve Maa Ke Roop Mein

Is jeevan mein mujhe laane ke liye
Guruji ne meri maa ko hetu banaaya
Aur Apni mamta ka kuch hissa meri maa ko saumpa
Jiske dwaara meri maa ne mujhe sab kuch sikhaaya.

Guruji bann kar rahe har pal prerna
Meri parvarish ke dauraan
Maa aur mujhe pavitra bandhan mein baandhaa
Guruji Hain itne meharbaan.

Duniyavi maa ko bulaaya jabb Apne paas
Guruji ne tabb bhi kiya upkaar
Tabb shaayad mai jaan na paayi
Aaj khud ko hee samjhaati hoon baar baar.

Guruji hee asal pita Hain, Guruji hee asal maat
Sampoorna satya hai ye baat
Guruji kee sharan milee jabb se
Ruhaaniyat ka rishta hua Unn Rabb se
Unhee mein maa aur pita ko paaya
Aur Unkee duniyavi maa ke prati mann mein aadar aaya
Dhanya huin mata ji jo Guruji ko Unhonei diya janam
Soch bhi nahin sakti mai ki kitne sunehre rahein hongei Unke karam.

Guruji mata pita ka Hain roop
Unkee dee suraksha sada hoti hai anoop
Itna khayaal aur koi nahin rakh sakta
Aur kisee se itna apnapan nahin lagta.

Jaanti hoon ki Guruji ko chinta hai mere ghar parivaar kee
Mere ghar parivaar mein mehek hai Unke paawan pyaar kee
Ve hee dete Hain har khushi, har sukh
Apne oopar le lete Hain mere dukh
Meri har muskuraahat Unkee badaulat hai
Kyunki mere paas Unkee dee mamta kee daulat hai.

Jabb kabhi meri aankhon se behti hai ashrudhaara
Guruji maa ke roop mein aakar bante Hain mera sahaara
Dete Hain haunsla aur mai aansoo ponchh leti hoon
Pyaar se Unhe Shukrana mai keh deti hoon.

Har kaaraj kee prerna Hain mere Guruji
Mere bheetar kee chetna Hain mere Guruji
Mai Unse kar paati hoon har baat
Samay kee paabandi nahin, beshak din ho ya ho raat
Mere sir par sada hota hai Unka haath
Jaanti hoon, Ve maa ke roop mein sada hotey Hain mere saath.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Ve Maa Ke Roop Mein (05/11/2025)

Mil Gaye Hain Ishwar (05/10/2025)

May 10, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2638
            Mil Gaye Hain Ishwar

Jabb hui Guruji sangg pehli mulaakaat
Toh lagaa ki pehle bhi hui hai Unse baat
Ve hee jaanein aisa kyun lagaa mujhe
Mai agyani anjaan, mujhe kaise soojhe?

Badhti gayin Guruji sangg mulaakaatein ruhaani
Sundar banti gayi jeevan kee kahaani
Har saans ho gayi hai Unkee aisee deewaani
Ki Unhee kee kripa se chal rahi hai zindagaani.

Guruji sangg har ruhaani mulaakaat ka anubhav hota hai anokha
Unkee leela itnee mayavi hai ki kabhi kabhi lagta hai aankhon ko ho raha hai dhokha
Lekin Guruji samjhaate Hain aur dete Hain Apni maujoodagi ka pramaan
Jis se pushti hoti hai ki har anubhav hai sachchi ruhaani dastaan.

Guruji ke khayaalon mein hee rehne ka dil karta hai abb
Sukoon hai jabb se jaana aur maana ki Ve Hain Rabb
Ankahi baat bhi sunn lete Hain
Jo jabb Unhe sahi lagey Ve de dete Hain
Meri soch toh hai aparipakva aur tuchh
Shukr hai ki Ve sambhaal rahe Hain sab kuch
Aasra hai Unkee kee rehmat ka
Unka naam hai strot meri himmat ka
Ve hee ibadat, Ve hee mere Khuda
Mujhe gavaara nahin hona abb Unse juda.

Isliye beshak Ve rakhein jis haal mein
Ve rakhein mujhe Apna banaa kar
Mujhe zaroorat nahin bhatakne kee dar dar
Mujhe toh Guruji mein mil gaye Hain Ishwar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Mil Gaye Hain Ishwar (05/10/2025)

Athak Koshish (05/09/2025)

May 9, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2637
                  Athak Koshish

Kabhi hairaani, kabhi pareshaani
Kabhi ritu suhaani
Aur kabhi mausam tufaani
Kuch aisee hee hai zindagaani.

Swatantra ichcha aur pichhle karam
Inse chalta hai ye jeevan
Pichhle karam toh hum badal nahin sakte hain
Lekin swatantra ichcha par hum niyantran rakhte hain.

Guruji nahin karte hamaari swatantra ichcha mein hastakshep
Lekin hamaari neeyat aur karmon ko rahe hotey Hain Ve dekh
Unkee sharan mein jo hum aaye hain
Unhonei hamaare pichhle karmon ke bhaar uthaaye Hain.

Rahegi jo achchi swatantra ichcha hamaari
Aaj kee zindagi jo nek karmon mein humne guzaari
Toh aagey ka raasta jaayega sudhar
Guruji kee mehar se bhavishya jaayega nikhar.

Guruji toh baithey Hain kasht kumm karne ke liye
Unhonei toh abhi takk bhi sudharne ke kitney mauke hamein hain diye
Baaki hum par karta hai nirbhar
Ki na gavaayein hum sudharne ka koi bhi avsar.

Jeevan ke sabhi lamhe imtehaan hain
Shukr hai angg sangg Guruji meharbaan Hain
Katt toh jaayega hee jaise taise ye jeevan
Kyun na banda bann kar jeeyein har kshan.

Deh samaa jaayegi paanch tatva mein
Koi do rai nahin hai is satya mein
Rooh ka safar toh rahega jaari
Jabb takk na aayegi Guruji mein samaane kee baari.

Athak koshish karte rahein manzil kee oar badhne kee
Athak koshish karte rahein ruhaani seedhiyan chadhne kee
Guruji koi kasar nahin chodte hamaare kasht harne kee
Hum bhi athak koshish karte rahein Guruji ko prasann karne kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Guruji, Aapki Leela (05/08/2025)

May 8, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2636
              Guruji, Aapki Leela

Guruji, Aapki leela ko
Koi bhi jaan na paaya hai
Kisee ko nahin andaaza uska
Buss gungaan gaa paaya hai.

Aapki leela pyaari, Aapki leela nyaari
Aapki leela ne kripa kee hai har baari
Aapki leela samajh na aaye
Beshak zindagi beet jaaye saari.

Aapki leela hai har tark vitark se paar
Aapki leela mein hai Parbrahm ke tatva ka saar
Nahin hai hum insaanon mein kaabiliyat Aapki leela ko samajh paane kee
Lekin Aapki leela mein hai aseem kaabiliyat
Hum sabko paar lagaane kee.

Yugon yugon ke tapp se
Yugon yugon ke japp se
Poshit hui leela Aapki
Banee davaa sangat ke santaap kee.

Aapki leela mein hai daya aur dulaar
Aapki leela mein hai mamta aur pyaar
Aapki leela hai har mushkil ka upchaar
Aapki leela se ho saari sangat ka uddhaar.

Aapki leela, Aapki mahima
Jo bhi suney sunaaye
Aapka kiya kalyaan
Uskee jholi mein aaye.

Aapki leela ka ye gungaan
Bhakton ke liye hai vardaan
Aapka mahaatmay suney saara jahaan
Sabhi jaan lein ki Aap Hain Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Guruji, Aapki Leela (05/08/2025)

Aapki Marzi….. (05/07/2025)

May 7, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2635
                Aapki Marzi…..

Param poojya Guruvar Mere,

Aapki marzi par mai vaari jaaoon
Ik baar nahin, har baari jaaoon
Aapki marzi mein vo meharbaani paaoon
Jis se mai ye zindagi jee paaoon.

Aapki marzi bin meharbaani nahin hoti
Aapki meharbaani bin sangat apne paap na dhoti
Aapki marzi se jabb jabb hoti hai meharbaani
Toh sanvarti jaati hai sangat kee zindagaani.

Kyunki Aap Hain karta dharta
Aap Hain dukh harta
Aapki marzi se bhakt hai jeeta aur marta
Aapki marzi bin har karma hai bhaari padta.

Kyunki Aapki marzi se milta hai vivek
Aapki marzi se miltee hai daat pratyek
Yoon toh manmaani karne wale bhakt hain anek
Par har bhakt kee jholi bharne wale Hain Aap ek.

Aapki marzi se jud paayi Aapke sangg
Aapki marzi se chadhne lagaa mujh par Aapka rangg
Mera har shwaas aata jaata rahe Aapki marzi se
Mujhe sada Aapki marzi zyada badi lagey meri arzi se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Aapki Marzi….. (05/07/2025)

Chal Paa Rahi Hoon Kyunki… (05/06/2025)

May 6, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2634

Chal Paa Rahi Hoon Kyunki…

Param poojya Guruji Maharaj,

Chal paa rahi hoon kyunki
Aap rahe Hain chalaa
Jaanti hoon ki jo bhi ho jaaye
Aap sada karenge bhalaa.

Aap pita Hain, Parameshwar Aap
Aapki vaddi hai vadiyaayee
Bhakt beshak jaisa bhi ho
Aap sada karte Hain uskee bhalaayee.

Jabb girne lagti hoon thakk kar
Aap hee himmat dete Hain
Aapne haath thaama hua hai
Aap hee sahaara dete Hain.

Mere udaas lamhon mein
Aap bante Hain meri muskuraahat
Meri khushi ke lamhe bhi hotey hain
Aap pyaare pita kee chaahat.

Rotey rotey chup ho jaati hoon
Sochkar ki mere ronei se Aap hotey hongei udaas
Shukrana hee mann mein aata hai tabb bhi
Ki Aap udaas samay mein bhi hotey Hain aas paas.

Aapko hanste dekh muskuraati hoon
Khush hoti hoon ki khush Hain Aap
Kaash meri vajeh se Aapko kabhi pareshaani na ho
Aise dho paaoon mai apne paap.

Aap sada maujood hotey Hain har jageh
Par mai Aapke samaksh bhi kabhi khayaalon mein kho jaati hoon
Jabb apni is gair-haaziri ka ehsaas hota hai
Toh bahut sharminda ho jaati hoon.

Lekin Aap bakhshanhaar Parwardigaar
Itne karunanidhaan
Yaad dilaate Hain, ekaagr hona sikhaate Hain
Taar judne par meri har khaami mujhe bataate Hain.

Sada mujhe sikhaate rahiyega
Sada raasta dikhaate rahiyega
Sahi galat ka vivek Aap hee dete rahiyega
Hukm pratyek Aap hee dete rahiyega.

Mai bahut bhaagyashaali hoon, sach much
Aapne diya hai mujhe sab kuch
Dekar Apne kamal charan mein sthaan
Vaheen rahoon har janam mein, kripa keejiye Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Chal Paa Rahi Hoon Kyunki… (05/06/2025)

Subah Honei Hee Wali Hai (05/05/2025)

May 5, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2633
        Subah Honei Hee Wali Hai

Guruji Hain tumhaare saath
Unke haath mein hai tumhaara haath
Tumhaari kismat badi niraali hai
Subah honei hee wali hai.

Honei wala hai sooraj uday
Isliye tyaag do andhere ka bhayy
Guruji kee leela badi matvaali hai
Subah honei hee wali hai.

Jald hee meethi dhoop degi dharti par pehra
Sooryoday sangg uday hua bhaagya hoga sunehra
Guruji ka prataap bahut balshaali hai
Subah honei hee wali hai.

Subah laayegi soch nayi
Kaaraj pooran hongei kayi
Guruji kee prerna badi shaktishali hai
Subah honei hee wali hai.

Chidiyon ka chehekna abhi baaki hai
Phoolon ka mehekna abhi baaki hai
Tumhaara Guru tumhaari bagiya ka meherbaan maali hai
Subah honei hee wali hai.

Tum Guruji ke aanchal mein rahe ho pal
Tumhaare kasht Unkee karuna se rahe hain tal
Kabhi na sochna tumhaari jholi khaali hai
Subah honei hee wali hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Subah Honei Hee Wali Hai (05/05/2025)

Karoron Arbon Kee Bheed (05/04/2025)

May 4, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2632
         Karoron Arbon Kee Bheed

Karoron arbon kee bheed mein se
Guruji ne chuna apni sangat ko
Kitnee bhagyashali hain hum saari sangat
Mauka mila hai apnaane Guruji kee rangat ko.

Bann kar sadh sangat
Mil sakti hai veh rangat
Jiske liye devi devta bhi taraste Hain apne lok mein
Jiske bin Ve bhi reh jaate Hain shok mein.

Sangat mein Guruji Hain baste
Sangat sangg Ve rotey aur hanste
Guruji ka roop hai sadh sangat
Pheeki na ho paaye iskee ruhaani rangat.

Ye rangat Guruji kee dee bakhshish hai
Ye rangat Guruji ka deeya ashish hai
Ye rangat dikhaaye aisa ruhaani raasta
Jahaan hota hai buss Guruji se vaasta.

Kyunki vahee ek rishta hai sachcha
Baaki har rishta hai kachcha
Guruji ne jo rangat bakhshi hai
Usmein Guruji ne piroya hai Apna noor
Taaki Unkee sangat Unse kabhi na ho duur.

Har daat bakhshne ke liye Guruji ka shukrana
Har vo daat jo nahin milee, uska bhi shukrana
Bann kar sadh sangat aa jaaye hamein Guruji ke rangg mein rangte jaana
Guruji aur Unkee ruhaani rangat se bada nahin hai koi khazaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Karoron Arbon Kee Bheed (05/04/2025)