Jagat Kee Mithya (03/24/2025)

March 24, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2591
                Jagat Kee Mithya

Jagat kee mithya meethi laagey
Karva laagey satya
Kitna manddbuddhi hai praani
Is bhram mein hee bitaa de zindagaani.

Mithya kee mithaas ko chod
Bhram ke bajaaye chalkar Parabahm kee oar
Aalingan karegi satya kee bhor
Duur hoga har andhera ghor.

Guruji ke charnon mein hai veh sthaan
Jahaan miley is satya ka daan
Mithya kee vyarthataa ka miley pramaan
Kyunki Guruji kee sharan mein hai Sachkhand mahaan.

Guruji hee karte Hain bhakt ko tayyaar
Le jaane ke liye uss paar
Raaste mein bhi rehte Hain angg-sangg
Dikhaate huey jagat ke rangg.

Chalte huey is raaste par
Bhakt Unkee maanta chale agar
Toh nishchay hee bhakt ne hai tarte jaana
Aur satya ne kareeb hai aana.

Satya ka ruhaani swad aur Guruji kee divya khushboo
Jabb inse anugrahit hoti hai rooh
Toh anand aata hai mithya kee mithaas ke bhi paar ka
Guruji ashirwaad dete Hain umda uddhaar ka.

Guruji kee meher ka hota hai asar
Bhakt bhram se oopar uthkar
Badhta hai asal gyan kee disha mein
Tyaag kar jadta ko beeti hui nisha mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Jagat Kee Mithya (03/24/2025)

Aapki Kirti… (03/23/2025)

March 23, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2590
         Aapki Kirti…

Param poojya Guruvar,

Aapki kirti jagmagaati rahe
Sangat Aapke dar par aati rahe
Aapki kanti srishti par chhaati rahe
Sangat Aapka ashirwaad paati rahe.

Jee loon mai seedha saadha jeevan
Aap mein ramaa rahe sada mann
Har karma karoon Aapko arpan
Aapki yaad mein rahoon har kshan.

Aapki bhakti se na ho jaaoon vimukh
Arzi hai ki mai bann jaaoon Gurumukh
Aapki oar hee rahe mera ruhaani rukh
Kabhi kisee ko na doon mai dukh.

Ye saansein thamm jaayein na jaane kabb
Kaal ka bulaava bhi aaye jabb
Aap hee lene aayiyega tabb
Kyunki Aap hee Hain Guru, aur Aap hee Rabb.

Aapse pyaar badhta jaa raha hai
Aapke naam ka nasha chadhta jaa raha hai
Ye inaayat hai Aapki, varna meri ibadat mein nahin hai vo baat
Meri toh Aapke charnon ke taley kee dhool kee si bhi nahin hai aukat.

Jabb takk ye rooh aati rahe shareer mein
Aap hon meri taqdeer mein
Na jeena chaahoon, na marna chaahoon Aapke bin
Aapke saanidhya mein hee beete mera har din.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Aapki Kirti… (03/23/2025)

O Mann Mere (03/22/2025)

March 22, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2589
        O Mann Mere

O mann mere,
Tu behta jaa
Pyaare Guruji ke pyaar mein
Doob jaa Unke aitbaar mein
Unke deedar kee intazaar mein
SadaShiv ke sansaar mein.

Bhagwaanon ke Bhagwaan Hain Guruji
Itne paraakrami aur mahaan Hain Guruji
O mann, tujh mein virajmaan Hain Guruji
Tere karmadaata sarvshaktimaan Hain Guruji.

Unhee se ho teri soch shuru
Unhee kee yaad mein rehta chal
Ve Hain Rabb ke roop mein Guru
Unhee se apni har baat kehta chal.

Aur kisee se kuch kehne ka koi faayda nahin
Kyunki kewal Guruji kar sakte Hain sab sahi
Aur agar tujhe lagey ki abhi takk sahi hua nahin
Toh bhi na chale jaana tu aur kaheen.

Guruji se kuch chhipaane kee koshish na karna
Unke liye bhaav mein behte huey na darna
Tera bhola bhaav karega Unhe prasann
Ve vahee chaahein tujh se, o mann.

Tu Guruji kee oar jitna badhega
Tu Unkee yaad mein jitna bahega
Tu hota chalega sthir aur shant
Tujhe raas aata jaayega ekant.

Guruji ko mehsoos kar paayegi tere bheetar kee gehraayee
Guruji ka saanidhya honei se duur hogi teri tanhaayee
Tujhe aur koi sud-budh na rahegi, o mann
Guruji ke naam se goonj uthega tera kann kann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

O Mann Mere (03/22/2025)

Ruhaani Raahein (03/21/2025)

March 21, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2588
      Ruhaani Raahein

Pukaarein tujhe ruhaani raahein
Tujhe ve raahi banaana chaahein
Isliye pasaare huey apni baahein
Ve tere swaagat mein geet gaayein.

Inhee par chalne se saarthak hogi teri zindagaani
Inhee par chal kar kumm hogi teri pareshaani
Guruji ne tujhe karmakaandon se azad kiya hai
Tujhe in raahon par chalne ka Unhonei nimantran diya hai.

Ve kar rahe Hain tujhe vehem aur andhvishwaas se duur
Kar rahe Hain Ve tere ahankar ko chuur chuur
Kar rahe Hain tujhe Ve in raahon par chalne ke liye majboor
Taaki roshan hota rahe tera ruhaani noor.

Isliye beshak gagan ka sooraj jaaye dhal
Tu ruhaani raahon par chalta chal
Ujjwal rahega sooraj tere bheetar ke akash ka
Hetu banega vo teri rooh ke noorani prakash ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Ruhaani Raahein (03/21/2025)

Sundar Anjaam (03/20/2025)

March 20, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2587
                    Sundar Anjaam

Bada gazab karti hai maya
Isee ne sukh ka lubhaav hai sajaaya
Tabhi toh dukh bhi hota hai
Aur insaan raaste par khota hai.

Lekin maya bin safar bhi poora na ho paaye
Aur bin safar ke bhakt kaise tarr jaaye?
Shiv se jeev aur phir jeev se Shiv ka safar
Jispar Guruji ke pehra rehta hai har peher.

Manan karna zaroori hai
Manan karna majboori bhi hai
Tabhi Guruji karaayein Gurbani ka shravan
Taaki hota rahe bhakt ke antas ka pavitrikaran
Taaki hota rahe duvidhaaon ka haran
Aur bhakt karta rahe manan.

Safar hai ye bhi, kaun pahunche kisee aur se pehle ya baad mukaam par
Ye tayy karte hain bhakt kee mehnat aur Guruji kee rehmat
Mehnat bhi na rangg laaye Unkee rehmat ke bin
Chaahe bhakt lagaa rahe raat aur din.

Guruji ne hee dukh aur praarabdh katvaane Hain
Unhee kee rehmat se sangat ne saare sukh paane hain
Asal sukh vo jis par maya ka aavaran na ho
Is prayaas mein na jaane kitne gaye hain raaste par kho….
Maya ke hee bhool-bhulayiyan mein bhatak kar
Bhool kar ki darasal ye hai adhyatmikta ka safar.

Guruji sarvgyani Hain
Guruji Hain sarvshaktimaan
Guruji se jude rehne se shant ho jaayega
Maya ka ye goonga tufaan
Mil jaayega abhay daan
Miltee rahegi Guruji kee prerna mahaan
Uday hoga ik din asal gyan
Safar ko milega sundar anjaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Sundar Anjaam (03/20/2025)

Na Tumne Rehna Na Mainey (03/19/2025)

March 19, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2586

Na Tumne Rehna Na Mainey

Na tumne rehna na mainey
Na rahenge koi gehne
Na rehna in kapdon ne
Jo hum sab ne hain pehne
Na rehna kisee makaan ne, o pyaare
Khatm ho jaayenge ye saare.

Rahenge toh Guruji aur Unka naam
Sada sada ke liye
Nav nirmaan mein bhi
Ye jalaayenge divyata ke deeye.

Yoon hee toh nahin Guruji ko naman karti saari srishti
Unkee meher se hogi gyan kee veh vrishti
Jo laati rahegi naya savera
Aur banaayegi sansaar ko aisa dera
Jahaan phaylega aisa satyugi spandan
Jismein gagan barsaayega ruhaani chandan
Jiskee khushboo se mehekengi hawaayein
Har oar chhaayengi Guruji kee duaayein
Guruji ke naam amrit se paripoorna hogi har nadiya
Ruhaani pushpon se hari bhari hogi har bagiya.

Keejiye kalpana
Ki aisa samaa
Sada reh sakta hai jeevan mein
Agar Guruji kee yaad basee rahe mann mein.

Baahar jo bhi yug chal raha ho
Guruji ke bhakti bhaav mein kho
Bheetar reh sakta hai satyuga har kshan
Aur shant aur sthir reh sakta hai mann.

Asal gyan ho jaayega toh
Har paash jaayega toot
Guruji kee kripa yoon barsegi
Ki moh maya sab jaayegi chhoot.

Taral titliyaan mandraayengi
Komal kaliyaan khil jaayengi
Ruhaaniyat se bagiya bhar jaayegi
Satyugi bahaar kee chunri lehraayegi
Vo naam ka khumaar badhaayegi
Saari sangat tarr jaayegi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Na Tumne Rehna Na Mainey (03/19/2025)

Aapka Hee Satsang (03/18/2025)

March 18, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2585
               Aapka Hee Satsang

Param poojya Guruvar,

Aapka hee satsang
Aapka hee simran
Aapka hee chintan
Aapse hee jeevan.

Aap hee yagya ka uddeshya
Aap hee tapasya kee manzil
Aapse hee yog ka aadhaar aur imtehaan
Param poojya Guruji, Aapko shat shat pranaam.

Aapki daya ke dariya mein
Aapki bakhshishon kee bagiya mein
Daya aur bakhshishon ke khazaane hain
Aapke sabhi bhakt Aapke deewaane hain.

Jinhe sweekaara hai Aapne
Ve toh sukh aur santaap dono mein
Surakshit rahe hain aur rahenge bhi
Unhe Aapki sharan jo hai milee.

Is yug parivartan ke samay mein
Kitne jann jee rahe hain bhayy mein
Lekin Aapke charnon mein aakar badhta hai atma-vishwaas
Aur nirbhayta se bhar dete hain Aap bhakton ka shwaas.

Itnee kripa hai Aapki
Ki namumkin hai karna bayaan
Itnee mahima hai Aapki
Ki kar na paaoon mai bakhaan.

Hum jaise adhoore insaanon ko mil gaye Aap jaise Pooran Guru aur Bhagwaan
Na jaane ye kis punya ka hai parinaam
Aapka shukrana karte huey beet jaaye jo aaj ka har pal
Toh bhi baaki shukrana ke liye kumm padd jaayega har aane wala kal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Aapka Hee Satsang (03/18/2025)

Nibha Le…. (03/17/2025)

March 17, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2584
                    Nibha Le…. 

Nibha le tu yahaan par
Achche se apna kirdaar
Varna aana jaana padega yahaan
Na jaane kitnee aur baar.

Guru Govind sab dekh rahein Hain
Ye tu bhool na jaana
Jaan boojh kar kuch aisa na karna
Ki padey tujhe pachhtaana.

Anjaane mein toh galatiyan hoti rahengi
Kyunki tu Bhagwaan nahin
Lekin apni oar se koshish kar
Ki tu chal le raasta sahi.

Guruji sab rahein Hain sambhaal
Varna abb takk tu ho jaata behaal
Guruji ka raksha kavach hai teri dhaal
Buss, tu rakhta chal seedhi chaal.

Aur koi dekhe ya nahin
Guruji dekh rahe Hain har pal
Kirdaar jitna saaf hoga tera
Utna hee nikharega tera aane wala kal.

Jaise jaise teri khaamiyaan hongi duur
Teri rooh par chhaata rahega Guruji ka noor
Teri neeyat aur koshish ka hota rahega asar
Guruji kee kripa se kirdaar jaayega sanvar.

Abb aur der na kar
Achche se tayy kar tu safar
Jaisa kirdaar nibhaayega yahaan
Vaisa parinaam bhogega vahaan
Aisa hee hota aaya hai, aisa hee hota rahega
Aane wala janam bhi pichhle janmon kee kahaani kahega
Tu samajh paayega ya nahin
Ye tujh par karega nirbhar
Kyun na aaj, isee pal se koshish kar
Aur na chod apni oar se koi kasar.

Praapt hui hai tujhe Guruji kee sharan
Sanvaar le tu apna janam maran
Guruji ke vachan maan aur β€˜banda bann’
Guruji tujh se hongei bahut prasann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Nibha Le…. (03/17/2025)

Sumangal Ka Vidhaan (03/16/2025)

March 16, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2583
 Sumangal Ka Vidhaan

Jaana aakar asaliyat ke kareeb
Ki mere jeevan kee naiya hai khushnaseeb
Is naiya ka kivaiya hai bada khoobsoorat
Vo toh khud hee hai Khuda kee moorat.

Guruji Hai Unka naam
Unke charnon mein hai param teerath dham
Jabb bhi koi Unhe pranaam karey
Vo har Guru ko namaskar karey.

Guruji ke bhakton ka antas hai Shivalay
Unka har satsang hai vidyaalay
Yahaan Gurbani ka paath sunaaya jaata hai
Yahaan Unkee agya se bhakt aa paata hai.

Sabhi vidyaarthiyon ko Guruji se milta hai anubhav gyan
Guruji hee bakhshte Hain simran aur dhyan
Unhe pasand ki bhakt karey gupt sewa, gupt paath, gupt daan
Guruji ke kamal charnon mein hai amrit kee khan.

Guruji hee Hain murshid, Ve hee pita aur mata
Tarr jaata hai jo koi bhi Unse hai jud jaata
Guruji kee sharan mein safar hai kalyaan ka
Unka dikhaaya raasta hai sumangal ke vidhaan ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Sumangal Ka Vidhaan (03/16/2025)

Aapki Prerna Se… (03/15/2025)

March 15, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2582
               Aapki Prerna Se…

Jaise bhi hon haalaat Guruji
Bakhshte rahiye daya kee daat Guruji
Bakhshte rahiye din raat Guruji
Aap hee pita, Aap hee maat Guruji.

Aap Hain Daata, mai Aapka kookar
Aap Shehenshah, mai hoon kinkar
Pyaasi hoon Aapki bakhshish kee
Daasi banee rahoon Aap Ish kee.

Aukat nahin ki bann sakoon Aapke charnon ke taley kee dhool
Phir bhi Aap ne mujhe banaaya Apne bagh ka ik phool
Aapki mamta ke poshan se khilee hoon, varna murjhaayee rehti
Na jaane Aapke bin kaise mai mausam kee chunautiyan sehti.

Har kalee ko le leejiye Apni sharan mein
Har murjhaaye phool ko jageh deejiye Apne charan mein
Aapki dee suraksha sabhi ko miley
Har kalee, har phool muskuraaye aur khiley.

Saare sansaar ka ho mangal
Jiska aaj nahin hua, uska ho jaaye kal
Badhaa deejiye sabhi ka manobal
Taaki ho sakey duvidhaaon ka hal
Aap Hain karunanidhaan, Aap komal
Aapki prerna se sabka jeevan ho ujjwal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Aapki Prerna Se… (03/15/2025)