Uss Raaste Ko Salaam (09/25/2024)

September 25, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2411
           Uss Raaste Ko Salaam

Uss raaste ko salaam
Jo mujhe le jaata hai mere Guruji kee oar
Poojya Guruji, aisee meher karte rahiyega
Ki mai kabhi na doon uss raaste ko chod.

Aap hee jaanein is raaste ke moad
Aapne hee le jaana hai manzil kee oar
Kahaan hai jharna raahat ka
Kahaan hai chandova chaahat ka
Kahaan hain patthar, kahaan raahein aasaan
Ye sabb jaante Hain Aap karunanidhaan.

Aapne samjhaaya ki raasta hai ruhaani
Beshak mujhe kabhi ritu lagey suhaani, kabhi tufaani
Lekin darasal vo hai mera bhram aur naadaani
Kyunki aakhir mai theheri naadaan aur nimaani.

Ritu ke rukh, jeevan ke sukh aur dukh
Sabb hain pichhle paap punya ka hisaab
Aap toh Hain sarvagyani
Aapke paas hai har bhakt ke karmon kee kitaab.

Ye toh hai Aapka ehsaan
Ki is raaste par chalaa rahe Hain
Sach kaha jaaye toh
Aap sahi raaste par laa rahe hain.

Kyunki pahunch kar sukh dukh ke bhi paar
Hai parmaarth ka veh pavitra sansaar
Jahaan hoga Aapka sthaayi sanatan deedar
Jiske liye chodne kee zaroorat nahin ye sansaar.

Buss, Aapke sangg apni rooh ko jodey rehna hai mujhe
Param poojya Guruji, shakti deejiye ki seh loon uske liye jo bhi ho sehna mujhe
Pyaasi nadiya hoon, buss Aapki bandagi mein behna hai mujhe
Mujhe apanaane ke liye Aapse shukrana kehna hai mujhe.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Uss Raaste Ko Salaam (09/25/2024)

Mahasaagar (09/24/2024)

September 24, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2410
         Mahasaagar

Mahasaagar Guruji kee meher bhari mamta ka
Mohtaaj nahin hai kisee aur kee kshamta ka
Ismein samaaya hai jitna prataap aur pyaar
Usey naap ya tol nahin sakta sansaar.

Is mahasaagar mein sanshay kee dhool takk ghul jaati hai
Is mahasaagar kee ik boond se hee malintaa dhul jaati hai
Har paap kee
Har santaap kee.

Is mahasaagar kee sheetalta mein hai adbhut shakti
Jis se chandni kee bhanti roshan hoti hai bhakti
Pratibimbit hota hai noor ruhaani
Bhakti kee har ghadi hoti hai suhaani.

Is mahasaagar ka tej hai sooraj ke tej se kaheen zyaada adhik
Jiskee oorja ka saubhaagya paata hai har pathik
Taaki sankat ke andhere mein bhi veh dekh paaye aagey
Aur bhaybheet hokar raasta chod kar na bhaagey.

Mahasaagar kee boondein dheeraj barsaati hain
Shraddha aur saboori kaayam rakhna sikhaati hain
Guruji kee kripa se miley ek boond, ya phir mahasaagar poora
Kisee bhi tareh se bhakt ka kalyaan nahin rehta adhoora.

Mahasaagar kee shanti mein chhipa ho sakta hai tufaan roopi imtehaan
Jiske aane kee khabar se bhakt reh sakta hai anjaan
Isliye karna is mahasaagar ka aadar
Kyunki ye hai sarvashaktishali dar.

Yahaan kee ek boond bakhsh sakti hai zindagi
Yahaan kee ek boond kaabil hai mitaane mein bheetar jamee hui gandagi
Chaahe vo ho karmon ya vikaar kee
Ya phir soch vichaar kee.

Guruji kee mamta ka mahasaagar dekh raha hai hamein har pal
Isee kee goad mein hum leheron ke sangg beh rahe hain
Guruji sunn rahe Hain sabb, chaahe hum chup hain ya keh rahe hain
Guruji hum bhakton ke liye na jaane kitna kuch seh rahe hain.

Guruji aur is divya mahasaagar ka shukriya
Jinhonei sada hamaara uddhar hai kiya
Is mahasaagar mein samaayi hai Guruji kee aisee meher
Jo nishchay hee har bhakt ko dikhaayegi shubhta kee seher.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mahasaagar (09/24/2024)

Suno Ik Maanav Kee Kahaani (09/23/2024)

September 23, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2409
       Suno Ik Maanav Kee Kahaani

Suno ik maanav kee kahaani
Kuch kuch aisee thi uskee zindagaani
Vyavsaay se thaa veh ik chor
Dekhta na thaa ki ratri hai ya bhor
Karta rehta thaa veh chori
Usne dhan sampatti bahut si jodi
Par sab paani kee tareh beh gayi
Aur uskee tijori khali reh gayi.

Usey samajh na aaya ki kya hua
Haalaat ke thappad ne usey yoon chhua
Ki sadma pahuncha usey zabardast
Abb veh na raha pehle jaisa mastt.

Uska utsah honei lagaa khatam
Usey vyarth lagne lagaa apna janam
Yaad aaya usey jabb hua veh adheer
Ki usne ik baar dekhi thi ik tasveer
β€˜Blessings always’ jis par thaa likha
Vahee noorani swaroop usey mann kee aankhon mein dikha.

Usey maalum na chala kyun uskee aankhein bhar aayeen
Darasal ye thi swaroop wale Guruji kee vadiyaayee
Waqt aa gaya thaa uska Guruji kee sharan mein aane ka
Guruji ne taras kiya usey Apne charnon mein bulaane ka.

Yoon hui Guruji kee mauj
Ki chor ne shuru kee apne bheetar satya kee khoj
Guruji kee bhakti mein behne lagaa uska bhaav
Guruji se apni har baat kehne ka badhne lagaa uska chaav.

Chor ke paas na thaa Guruji ka swaroop koi
Uskee bhavna uske mann mein basey swaroop mein khoyi
Guruji kee meher se veh jaan gaya ki Guruji Hain ekmaatra sahaara
Deen bhaav se pachhtaate huey chor ne Guruji ko pukaara.

Haath par haath dhar
Hokar Guruji par nirbhar
Veh sunaata gaya haal apne mann ka
Jismein satya thaa uske beete huey jeevan ka.

Kab beet gaya samaa chor ko na chala pataa
Maan kee usne apni har khataa
Guruji se usne kshama maangi pavitra bhavna se
Guruji ka vandan kiya sudharne kee kaamna se.

Chor Guruji ke charnon mein haara
Guruji ne meharbaan hokar usey taara
Guruji ne kiya uska kalyaan
Dekar usey sadasheelta ka vardaan.

Hum sab ke bheetar hai jo paapi ya chor
Guruji se arzi hai ki Ve nazar daalein uskee oar
Guruji dein aisee bakhshish ki hum saari sangat sanvar jaaye
Jo disha Ve dikhaayein, Unka har bhakt udhar jaaye.

Phir nishchit hai hamaara kalyaan
Jo karenge swayam Guruji karunanidhaan
Atmabodh dwaara hum satya takk pahunch paayenge
Aur durdasha se yakeenan hum bach jaayenge.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Suno Ik Maanav Kee Kahaani (09/23/2024)

Guruji Ke Charnon Mein (09/22/2024)

September 22, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2408
           Guruji Ke Charnon Mein

Guruji ke charnon mein maatha jo teka
Toh antas ke darpan mein dekha
Ki har devi devta ko kar liya naman
Jo chhoo liye Guruji ke charan.

Haath se choone se bhi zyada zaroori hai
Samarpan ke bhaav se charnon ka sparsh karna
Kyunki sampoorna rishta toh rooh se rooh ka hai
Baaki sab adhoora hai varna.

Guruji ke charnon mein aansoo jo bahenge tumhaare
Toh Guruji ke charan banenge tumhaare atoot sahaare
Jo bhavsaagar paar karaayenge
Tumhe kinaare par pahunchaayenge.

Guruji ke charnon mein bhool na jaana muskuraana
Yaad rakhna karte rehna Unke charnon mein shukrana
Jo bhakt hua Guruji ke kamal charan ka deewaana
Uske liye unn charnon mein hee shuru aur safal ho har afsaana.

Guruji ke charan dekhte aaye hain na jaane tumhaare kitne janam
Inhee divya charan mein arpan kar do apne saare karam
Dukh haran hain Guruji ke kamal charan
Jo bhakt maan le Guruji ke vachan
Vo toh bin chhuey bhi paa le Guru charan mein sharan
Aur Guruji sambhaalein uska jeevan aur maran.

Guruji ke charnon mein arpit karo shraddha ke suman
Guruji ke charnon mein samarpit karo apna mann
Guruji ke charnon ke taley kee dhool roopi vibhooti ko kar ke mastak par kendrit
Guruji ko cheto, din raat Unhee mein lagaao chitt.

Neend bhi khuley toh bheetar chal raha ho Guruji ka naam
Jaagte huey bhi rahe Guruji ke vachan aur charan ka maan
Guruji ke charnon mein hee praapt ho jaaye har teerath dham
Guruji ke charnon ke siwa abb aur kaheen na miley is rooh ko aaraam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Charnon Mein (09/22/2024)

Sarvavyaapi Sarvatra (09/21/2024)

September 21, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

2407

                 Sarvavyaapi Sarvatra

Param poojya Guruji Maharaj,

Sarvavyaapi sarvatra Hain Aap
Adbhut chhavi ka chhatr Hain Aap
Chhavi Aapki mamta kee chhaaon kee
Pavitrata Aapke kamal roopi paaon kee
Kin lafzon mein karoon Aapke divya saundarya ka bakhaan
Aap hee bataayiye, mere Guruvar mahaan.

Aapka anupam abha mandal noorani
Aapki ruhaani khushboo suhaani
Raat ke andhere mein prakash phailaata Aapka swaroop
Din mein bhi tej aisa ki pheeki laage dhoop.

Jitna prem hai Aapki mamta mein
Jitna prataap hai Aapki kshamta mein
Namumkin hai utna aur kaheen
Gavaah hain aasmaan aur zameen.

Karti rahoon mai Aapki Ji huzoori
Har din kumm hoti chale Aapse mujh nacheez kee duuri
Yahee toh hai meri rooh ke liye zaroori
Taaki uskee yatra safalta se ho poori.

Chhipa nahin hai Aapse kuch
Aap jaanein ki mai hoon praani tuchh
Apne kamal charnon mein karte rahiye mera uddhar
Apni meher-e-nazar se deejiye mujhe taar.

Jaise din kee dhoop shaam ke aanchal mein hai dhalti
Mai Aapke charnon ka anusaran karti hui rahoon chalti
Samarpan ho mere mann mein
Santosh ho jeevan mein
Aapse hee saanson mein bhakti
Aapse hee bhakti mein shakti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sarvavyaapi Sarvatra (09/21/2024)

Aaj Aur Abhi (09/20/2024)

September 20, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2406
                       Aaj Aur Abhi

Kaumi ekta ka hai Guruji ka darbar
Jahaan milta hai anoop anant pyaar
Niswaarth aur nirmal
Komal aur taral.

Guruji ke pyaar mein nahin hai koi paksh-paat
Jo hai duniyaavi pyaar se bilkul hee alag baat
Kewal insaanon ke beech ke paksh-paat kee baat nahin
Balki har praani ke liye Guruji ka pyaar hai ek sa hee.

Kyunki Ve toh Hain MahaShiv Bhagwaan swayam
Jo aaye sanvaarne hamaara janam maran
De rahe Hain hamein mauka sudhar jaane ka
De rahe Hain mauka Apne kareeb aane ka.

Mil rahi ho amrit kee khan
Toh kyun na karein amrit ka paan
Kyun na har boond ka aadar kar ke
Pavitra spandan ko antas mein bhar ke
Banein pehle se behtar insaan
Taaki humse prasann ho jaaye Bhagwaan.

Is amrit ke mol ko jaano
Ismein basey ashirwaad ko pehchaano
Kewal Guruji ko nahin, Guruji kee bhi maano
Ye shubh kaam kal par na chodo, aaj aur abhi ye karne kee thaano.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aaj Aur Abhi (09/20/2024)

Kewal Rabb (09/19/2024)

September 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2405
                      Kewal Rabb

Apnon ko dekha paraaye hotey huey
Phir dekha unhe begaanon kee bheed mein khotey huey
Safar mein chalte huey kuch ajanabi ho gaye apne
Sach huey khwaab kuch, aur toot bhi gaye kuch sapne.

Jo jo socha aur chaaha, vo poora hua, aisa bilkul nahin
Lekin swatantra ichcha hataa dee jaaye toh phir shaayad jo bhi hua vo thaa sahi
Khel hai ye karam ka
Mela hai janam maran ka.

Is mele mein so na jaana
Is mele mein kho na jaana
Apni sachchaayee ko paana
Na dhoondhte rehna bahaana.

Yoni milee hai insaan kee
Sharan milee hai Guruji mahaan kee
Jinhonei bakhsha hai simran
Taaki hota rahe tumhaara pavitrikaran.

Swatantra ichcha mein
Guruji na karenge hastakshep
Unkee raza hui toh
Ve dobaara likhenge puraane lekh.

Isliye mele mein vyast rehne ke bajaaye
Mele mein aasakt rehne ke bajaaye
Guruji ke chintan mein raho vyast
Guruji kee yaad mein raho mastt.

Guruji nishchay hee Hain roop Rabb ka
Ve jaanein tumhaara Unka naata hai kabb ka
Yahee naata hai sabse sachcha
Yahee naata hai sabse achcha.

Guruji ne hai tumhe apnaaya
Isliye na karo ek bhi shwaas zaaya
Unhe paane ka karo prayaas
Bann jaao tum Unke das
Vyaapaar hai baaki sabb
Yathaarth Hain toh kewal Rabb.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kewal Rabb (09/19/2024)

Guruji Ke Bharose (09/18/2024)

September 18, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2404
     Guruji Ke Bharose

Guruji ke bharose chalte jaao
Manzil mil hee jaayegi
Veeraanepann wale vann mein
Kalyaan kee kalee khil hee jaayegi.

Satark rehna, jaagte rehna
Zaroorat pade toh bhaagte rehna
Rukna pade toh rukte jaana
Sada Guruji ke charnon mein jhukte jaana.

Rukte huey, bhaagte huey, chalte huey
Soorat ke uday hotey aur dhalte huey
Guruji ko yaad karte rehna
Unse baatein karte rehna
Raasta katt hee jaayega
Kaaraj nipat hee jaayega.

Dekho toh sahi aisa kar ke
Arey, aaye ho Guruji ke dar pe
Kabhi na lautoge niraash yahaan se
Tabhi toh sangat aati hai yahaan vahaan se.

Guruji kee izaazat hui hai toh tum bhi aaye ho
Ve jaante Hain ki tum ghabraaye ho
Kalyuga aur karmon kee hain ye chunautiyan saari
Guruji bhugatvaayenge ek saath ya baari baari.

Ye Unn par hai nirbhar
Jo Hain mayapati Gangadhar
Jinse kaal bhi jaata hai darr
Jinke dwaara paapi takk jaate hain tarr.

Sewa aur simran mila hai tumhe bakhshish mein
Vishwaas aur shraddha rakhte chalo Guru roopi Ish mein
Guruji ke satsang suno sunaao
Guruji kee mahima gaate jaao
Unka naam duhraate jaao
Unke aur kareeb aate jaao.

Sakaaratmakta vichaaro
Guruji ko pukaaro
Sanshay chod do
Sankalp odh lo
Hota hai jo
Vo honei do
Raasta Guruji se
Manzil bhi Hain Vo.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Bharose (09/18/2024)

Mere Sir Par Rakha Jo Aapne Haath (09/17/2024)

September 17, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2403
    Mere Sir Par Rakha Jo Aapne Haath

Param poojya Parwardigaar Guruvar mere,

Mere sir par rakha jo Aapne haath
Mil gaya mujhe jo Aap Paramatama ka saath
Toh mitt hee gaya akelapann
Kyunki Aapse jud gaya mera mann.

Aapse hee baatein hoti hain rehti
Kabhi mai sunti hoon Aapki
Kabhi apni baat hoon kehti
Aapka swaroop bhi nahin hota agar
Toh bhi mulaakaat chalti hai aksar
Kabhi kabhi darshan ho jaate hain sapne mein
Kabhi bhi lagte nahin Aap mujhe duur apne se.

Jabb dil mein hoti hai tadap ki Aapko 2007 se pehle nahin dekha
Toh swayam ko samjhaati hoon ki ye hai kewal bhautik samay kee ek rekha
Kya maalum mujhe ki huey hon Aapke darshan
Aur mainey Aapko pehchaana na ho uss kshan?

Ya phir uss se pehle Aapse miltee agar
Toh Aapko na maanti Bhagwaan
Jab ki aaj toh jaisi hai jeevan kee dagar
Aapke siwa na soojhe mujhe koi aur karunanidhaan.

Aap hee jaanein har kaaran
Kaaran karta Hain Aap Shiv avatari
Aisee sumat bakhshiye
Ki mai har haalaat mein jaaoon Aapke balihaari.

Aapke hee gunn mai gaaoon
Aapke charnon mein sees jhukaaoon
Divya Jyoti ek
Sabhi devi devta ke darshan ke liye jaaoon
Kintu Aapse seedhi taar judi rahe yoon
Ki Aapke dar se kaheen aur na jaaoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mere Sir Par Rakha Jo Aapne Haath (09/17/2024)

Paheli Aur Saheli (09/16/2024)

September 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2402
                 Paheli Aur Saheli

Aye zindagi, tu bann kar reh gayi hai paheli
Aye maut, ek tu hee lagti hai aslee saheli
Tum dono hee ho Guruji ke niyantran mein
Isliye Unse arzi hai mann hee mann mein…

Ki chaahe ho maut ya zindagi ka pal
Mujhe sambhaale Unhee ka aanchal
Kyunki aur kaheen na milegi aisee suraksha
Aur kaheen na milega aisa pyaar
Jaisa unke aanchal mein milta hai baar baar.

Paheli boojhne kee mujh mein nahin hai kshamta
Guruji chalaa rahe Hain toh mai rahi hoon chal
Unhe hee maalum hai kabb saheli sahi hogi
Tabb takk vo bhi Unkee marzi se jaayegi tal.

Zaroori hai dono se preet
Kyunki dono hain ik reet
Jo hogi nibhaani
Jabb takk milan kee bela nahin hai aani.

Paramatama se rooh ke milan kee bela
Sabko ye safar tayy karna hai akela
Kewal Guruji ka saath aayega kaam
Vyarth hai baaki har intazaam.

Pehle bhi shukrana thaa Guruji ka
Aaj bhi hai shukrana
Waqt ne toh hai guzar jaana
Lekin shukrana ne sada kaam hai aana.

Shukrana Guruji kee bakhshindagi ka
Shukrana bandagi ka
Har paheli ka shukrana
Har saheli ka shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Paheli Aur Saheli (09/16/2024)