Aap Pooran Paramatama (02/11/2024)

February 11, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2184
                   Aap Pooran Paramatama

Mere param poojya Guruji Maharaj,

Aap Pooran Paramatama, mai musaafir atma
Dono Hain rooh
Is sundar se pyaare se ehsaas ne
Mere dil ko liya hai itnee kareebi se chhoo.

Aapke satya ke sangg ka rangg
Mujh par chadh kar karey mujhe malang
Aap Hain mere angg sangg
Koi is rooh se rooh ke rishte ko nahin kar sakta bhangg.

Kyunki is rishte par hai madhur mohar
Aapke paawan ashirwaad kee
Aap hee paalanhaar Hain mere
Ye bhi kripa hai Aapki.

Aapke saanidhya mein hai ruhaani masti
Is ruhaani safar mein mit jaaye meri hasti
Aap Apne mein mujhe deejiye yoon ramaa
Ki mai sampoornata se Aapki aseemta mein jaaoon samaa.

Is rishte mein duuri ka na ho koi naam-o-nishaan
Aapke kamal charnon ke taley milta rahe mujh nacheez ko sthaan
Aapse Aapko maangne kee vinamr arzi karoon mai naadaan
Uske baad koi maang na rahegi, mere komal karunanidhaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aap Pooran Paramatama (02/11/2024)

Na Buddhi Mein Ho Halchal (02/10/2024)

February 10, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2183
       Na Buddhi Mein Ho Halchal

Na buddhi mein ho halchal
Na mann sukh dukh ke aanchal mein raha ho pal
Na ahankar ko poshit kar paaye koi bhi bal
Na kahein ki aaj ka simran hum karenge kal.

Indriyan rahein niyantran mein
Na ruchi ho kisee vishay ke prati aakarshan mein
Doobein na hum bhog vilaas mein
Kewal divya deedar ho antas ke niwaas mein.

Kyunki jabb takk koi bhi duvidha roopi yuddh
antas mein ho chal raha
Tabb takk yog mumkin nahin, mahapurushon ne hai kaha
Guruji ke chintan mein jitna lagega mann
Utnee badhti jaayegi Unmein mann kee lagan.

Mann jabb rahega Guruji kee lagan mein magan
Toh maya mein rehte huey bhi anaasakt reh paayenge har kshan
Raasta beshak nahin itna aasaaan
Kintu Guruji angg sangg Hain subah aur shaam.

Is raaste ka sukoon zaroor aayega raas
Guruji prasann hongei dekhkar das dwaara kiya abhyaas
Besharte nirantar chale ye paawan prayaas
Rehmat karenge Guruji, par kumm se kumm mehnat toh karein hum das.

Kal kee na karein hum intazaar
Abhi se hum ho jaayein tayyaar
Guruji toh karna chaahte Hain hamaara uddhaar
Hum bhi apni neeyat mein laayein sudhaar.

Bilkul bhi duur nahin hai veh kal
Jabb Guruji mehsoos hongei hamein har pal
Roam roam mein antas aur atma ke
Phir har lamha surt judi rahegi Unn Pooran Paramatama se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Na Buddhi Mein Ho Halchal (02/10/2024)

Guruji Se Pyaar (02/09/2024)

February 9, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2182
       Guruji Se Pyaar

Bhulaate na bhoole kabhi bhi karna Guruji se pyaar
Unkee kripa se sajaa rahe antas mein Unhee ka darbar
Na aaye antas mein koi khayaal dusht
Rahein hum sada harshit aur santusht.

Antas ke darbar mein hee hota hai imtehaan
Vaheen hai simran, vandan, aur dhyan ka ruhaani jahaan
Vaheen hai Guruji ko arpit kiye shraddha ke phoolon ka gulistaan
Vaheen hai atma-saakshaatkaar ka paawan sthaan.

Hamaari aisee vritti banaa de Unka vandan
Ki vayumandal mein phailey hamaare shuddh bhaav ka spandan
Guruji ke charnon kee dhool bann-ne kee bhi nahin hai hamaari aukat
Isliye maangte rahein Guruji se kshama aur subuddhi kee saugat.

Guruji kee mahima ka karein aur sunein varnan
Kintu uss se bhi zyada, uspar awashya karein manan
Tabhi toh har anubhav mein mehsoos hoga Unka prataap
Tabhi toh saha jaayega laukik dukh aur santaap.

Guruji kee dhun mein yoon leen ho jaaye chitt
Ki tann mann ke roam roam kee β€˜mai’ sada ke liye jaaye mitt
Guruji ko paane kee chaahat mein antas khota jaaye
Guruji se pyaar pal pal zyada hota jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Se Pyaar (02/09/2024)

Tumhaari Yatra (02/08/2024)

February 8, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2181
                    Tumhaari Yatra

Prapanch toh pratibimb hai kewal
Na phanso ismein ye hai dall dall
Hai ye paash
Jisey rehti hai tumhaari talaash
Jeev se Shiv bann-ne kee raah par
Na honei do apne par iska asar.

Guruji kee kripa se aaye yahaan
Tum Shiv se jeev bann kar
Jeev se Shiv kee raah par rakhna sabar
Aur har pal karte rehna Guruji ka shukar.

Anivaarya hoga niswaarth sewa ke bhaav mein rehna
Taaki ahankar ka aakraman na pade sehna
β€˜Mai, mera, mujhe’-isey hoga mitaana
Agar ahankar se apne aap ko hai bachaana.

Satogun ka bhi ho sakta abhimaan
Isliye koshish karo ki bano sato pradhaan
Guruji se karo nirantar fariyaad
Ki Unke chaahe charitra se ho jaao aabaad.

Guruji Hain Shiv avatari
Unhee kee leela hai ye saari
Tumhaare kalyaan ke vaaste
Unhonei banaaye Hain imtehaan ke raaste.

Safalta kee manzil par bhi Ve hee pahunchaayenge
Simran dwaara tumhaare antas kee mayl hataayenge
Vikaaron ke vish ko Apne naam ke amrit se dhulvaayenge
Tumhe satsang mein bulaayenge.

Duniya waalon ka nahin, Guruji ka karo anusaran
Guruji ko arpit karo apna har karam
Anaasakt raho, par nibhaate chalo apna dharam
Yaad rakho ki asthaayi hain dono, khushi aur gumm.

Guruji ka naam hai satya
Ye hai param tathya
Ve hee Shiv tattva Hain swayam
Har saans se Unhee mein jaao ramm.

Guruji ne bulaaya hai tumhe Apne dwaare
Dikha rahe Hain tumhe Shiv se jeev kee raah ke nazaare
Jeev se Shiv kee raah par Ve rahenge angg sangg tumhaare
Tumhaari yatra awashya safal hogi Unke sahaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tumhaari Yatra (02/08/2024)

Guruji Kee Sharan Mein (02/07/2024)

February 7, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2180
             Guruji Kee Sharan Mein

Jahaan sanhaar bhi hai swaroop uddhaar ka
Jahaan asal roop dikhne lagta hai mayavi sansaar ka
Jahaan mrityu se bhi bhayy nahin
Jahaan mann mein koi sanshay nahin.

Vo hai param poojya Guruji kee sharan
Jahaan se chadhdi kala paata hai jeevan
Jahaan sulajhta hai janam maran
Jahaan milta hai asal dhan.

Guruji kee sharan mein pyaar milta hai
Guruji kee sharan mein miltee hai kshama
Guruji kee sharan mein sukoon milta hai
Guruji kee sharan mein yoon beet jaata hai samaa
Jaise sambhaala hua ho Guruji ne hamaara har pal
Aur Unkee sharan mein baari baari har kasht raha ho tal.

Kyunki yahee hai satya
Yahee hai tathya
Aur isee se dhanya hain hum
Isee se gumm hota jaa raha hai kumm.

Kyunki chaahe ho saagar kee ya phir gumm kee gehraayee
Guruji doobne se bachaate Hain
Chaahe ho mann kee ya atma kee tanhaayee
Guruji akelepan se bachaate Hain.

Guruji kee sharan mein akelapan toh ekant jaata hai bann
Guruji kee sharan mein shabd se jud jaata hai antarmann
Guruji kee sharan mein ruhaaniyat mein bhakt ka roam roam jaata hai ramm
Guruji kee sharan mein bade bhaagya waalon kee zindagi ka safar hota hai khatm.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Sharan Mein (02/07/2024)

Guruji Ka Noor Anokha (02/06/2024)

February 6, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2179

Guruji Ka Noor Anokha

Guruji ka noor anokha
Anokha hai Unka pyaar
Guruji kee leela anokhi
Anokha hai Unka dulaar.

Aksar gupt hota hai Unka kiya kalyaan
Aur samajh nahin paate hain hum naadaan
Hum sabhi Unkee shakti se hain anjaan
Har taraf hai veh vidyamaan, phir bhi hum dhoondhte hain uss shakti ka pramaan.

Guruji kee ruhaani maujoodagi ka bahut hee prabal hai prataap
Unke ruhaani saanidhya mein rehne se hee duur honei lagte hain dukh santaap
Veh khushboo, veh amrit, Unke prem se paripoorna langar prasad
Veh simran, ve satsang, Unkee mamta se garbhit Unka diya har ashirwaad.

Pooran Guru Hain Guruji Maharaj
Sanvaarte aaye Hain bhakton ke kaaj
Saari sangat ke dilon par karte Hain Ve raaj
Sangat Unkee deewani hai, aur Ve Hain sangat ke Shiv Sartaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Noor Anokha (02/06/2024)

Mehmaanon Ka Maanav Jeevan (02/05/2024)

February 5, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2178
   Mehmaanon Ka Maanav Jeevan

Tu bhi yahaan mehmaan hai
Mai bhi yahaan hoon atithi
Na tu jaane na mai jaaoon
Kab aa jaaye yahaan se jaane kee tithi.

Kyun na yahaan rehte huey
Sudhaar lein apne mann kee sthiti
Taaki kumm se kumm yahaan rehte huey toh
Jhel paayein har tareh kee paristhiti.

Varna toh yahaan jeena ho jaayega dushvaar
Kyunki hamein ghaayal karta rahega pratikool paristhitiyon ka vaar
Aise mein mushkil hoga adhyaatmik uddhaar
Kaise hongei phir hum bhavsaagar se paar?

Mann kee sthiti sudhaarne ke liye
Usey sthirta se sanvaarne ke liye
Usey shanti se sajaane ke liye
Guruji ne bakhsha hai simran
Guruji ne bakhsha hai dhyan
Utsaah bhi bakhshte rahein hamein prayaas ka
Ye rahe ansh Unse kee hamaari ardaas ka
Neevan hokar Unse ardaas karein
Unke simran se mann ka roam roam bharein
Taaki mann mein yoon samaa jaaye Guruji ka naam
Ki mann bann jaaye japp tapp se goonjta hua teerath dham.

Guruji ke naam ka hoga nirantar chintan
Toh shant aur sthir rahega mann
Aur jabb mann kendrit rahega Guruji par har kshan
Toh aanandit hoga yahaan hum mehmaanon ka maanav jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mehmaanon Ka Maanav Jeevan (02/05/2024)

Aapka Beintaha Shukrana (02/04/2024)

February 4, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2177
         Aapka Beintaha Shukrana

Param poojya Guruji Maharaj,

Saari sangat ke nath Hain Aap
Sabke har janam ko jaanein Aap
Sabke har karam ko jaanein Aap
Sabhi ko Apna bachcha maanein Aap.

Koi bachcha maanein Aapki baat
Koi ziddi ya avagyaakaari
Koi neevan toh kisee mein abhimaan
Koi naadaan toh koi anjaan
Koi sakapat toh koi niswaarth shraddhaalu
Koi nirdayee hai toh koi dayalu.

Har bachche ke apne karma
Har bachche kee apni kahaani
Har bachche ke liye hai Aapki sharan
Jismein beet rahi hai bachche kee zindagaani.

Bachche hon chaahe jaise bhi
Aap sabhi par barsaate Hain Apna pyaar
Aapke ashirwaad se vanchit nahin koi bhi bachcha
Chaahe usey ho ya nahin ho is sachchaayee par aitbaar.

Bhaagyawaan hain Aapke saare bachche
Kuch karma toh sabhi bachchon ne zaroor kiye hongei achche
Jo miley Aap bakhshanhaar Badshah Sachche
Jinkee mahima ke satsang ke bachche karte Hain anginat charche.

Kripa karte rahiyega Apne sabhi bachchon par sada
Sabhi bachche seekh lein Aapke shukraguzaar rehne kee ada
Shukr kar ke jeene mein hai Aapke har bachche kee bhalaayee
Aapka beintaha shukrana, ki Aapki itnee vaddi hai vadiyaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapka Beintaha Shukrana (02/04/2024)

Har Lamhe Ko Hum Bitaayein (02/03/2024)

February 3, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2176
      Har Lamhe Ko Hum Bitaayein

Veh ghadi jo lagi hai deewar par
Ya vo jo bandhi hai kalaayee par
Bayaan karti hai vo bin sanshay
Ki uss jageh par kya hai samay.

Kaunsa samay kaunse mukaam ke liye sahi hai kiske jeevan mein
Ye Guru Govind hee jaanein
Sukhi rehte hain ve bhakt jann
Jo Guru Govind ka kehna maanein.

Sabhi ko sahi waqt ka rehta hai intazaar
Koi himmat aur sabr rakh paata hai, koi jaata hai himmat aur sabr haar
Guruji toh karte rehte Hain sabhi bhakt janon ka uddhaar
Ve toh pratyek bhakt jann se karte Hain behad pyaar.

Bhagwaan nahin badal sakte Hain jo lekha
Vo Guruji badal sakte Hain, kayion ne hai dekha
Mushkil samay kee avadhi bhi Guruji kar sakte Hain kumm
Unke prataap mein hai tezi se karma katvaane ka poora dumm.

Ve hee har kaam kaaj ka sahi samay nirdhaarit karte Hain
Aur hamein mehnat karne ke liye protsaahit karte Hain
Unkee inaayat se hamaare kathin waqt ke lamhe kat-te hain
Unke taras aur Unkee bakhshish se hum apni jholiyan bharte hain.

Jo kasht aa raha hai jis samay par
Guruji ne awashya kumm kiya hai aur kee hai hum par nadar
Jo dukh ya vipatti hai, darasal honi thi uss se kaheen zyaada
Aur Guruji angg sangg Hain sada, ye hai Unka har bhakt se vaada.

Waqt ek jaisa nahin rahega
Boond boond ke jaise lamha lamha bahega
Guruji mehar karein ki hum har lamhe se aawashyak seekh seekh paayein
Aur param poojya Guruji kee raza mein razi rehkar har lamhe ko hum bitaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Lamhe Ko Hum Bitaayein (02/03/2024)

Ekmaatra Sach (02/02/2024)

February 2, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2175
                    Ekmaatra Sach

Ekmaatra sach hai kewal Rabb
Jhooth hai baaki sabb
Rabb ko dhoondh rahi thi jabb
Guruji mein mujhe mil gaye Ve Rabb.

Jaana ki Guruji Hain veh sundar sach
Unka naam hai bhakt kee raksha ka kavach
Jo apni suraksha se bhakt ko rakhta hai salaamat
Chaahe aa jaaye badi se badi qayamat.

Guruji ke naam ke kavach ka sanrakshan
Beparwaah hokar jeene kee prerna deta hai har kshan
Besharte bhakt kar paaye Guruji ko sarvsamarpan
Aur har paristhiti mein maane Unke naam ko sabse anmol dhan.

Phir bhakt kabhi bhi nahin hoga nirdhan
Guruji ke naam dwaara nirmal hota jaayega uska bhi mann
Guruji ka naam japte huey veh jeeyega apna saara jeevan
Aur uske saath jaayega Guruji ke paawan naam ka dhan.

Yeh dhan uska uddhaar karta chalega har janam
Sanvarta jaayega uska har janam aur maran
Guruji swayam harenge uske vibhinn janam maran
Dete huey bhakt ko har janam mein Apni mangalmay sharan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ekmaatra Sach (02/02/2024)