Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2334
Kuch Bikhre Bikhre Se
Kuch bikhre bikhre se vichaar hain aaj Mere param poojya Guruji Maharaj Qubool keejiyega Sumat deejiyega.
Mere paapon ka pahaad chuur hokar toot jaaye Kaam krodh ahankar chhoot jaaye Lobh aur moh na karein pareshaan Kripa keejiye Guruji karunanidhaan.
Raat ke andhere se na ho bhayy Baadal dekh kar mujhe na ho sanshay Sooraj ke prakash jaise ho ye tayy Ki safar ho mangalmay.
Swatantra ichcha ka karoon sadupyog Anuchit disha mein na le jaaye koi bhog Aapne sweekaara hai, ye hai saubhagya khaas Aapka aabhhar prakat karne mein leen rahein mere shwaas.
Banta rahe Aapke dar par hee rehne ka koi na koi bahaana Aapka dar lagta hai bahut suhaana Kabhi bhi yahaan se na keejiyega mujhe ravaana Jabb keejiyega ravaana, toh yoon ki Apne mein hee mujhe samaana.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2333
Kabb Jeevan Mein Tufaan Aa Jaaye
Kabb jeevan mein tufaan aa jaaye Aksar nahin hota iska pataa Zyadaatar lagta hai ki aisa kyun hua Jabb ki humse toh hui nahin koi khataa.
Sunte sunaate aaye hain hum Ki pichhle janmon mein kiye karam Parinaam dikhaate hain baad mein Ghul kar kismat aur jazbaat mein.
Guruji Apni sangat par karte Hain rehem Karam ke parinaam ko bhugat-ti hui sangat ke Gehre ho sakte hain zakham Aur Guruji unn zakhmon par malte Hain marham Apni mamta ka Apni kshamta ka.
Maanav janam mila hai hamein Ismein ye hisaab chukaana bhi zaroori hai Guruji ke hukm mein rehkar chukaayein toh achcha Chaahe samajh kar farz ya samjhein ki ek majboori hai.
Kyunki Guruji sambhaalenge hamaare karmon ka adhiktar bhaar Mushkil se mushkil samay mein bhi hamein doobne se bachaayega Guruji ka pyaar Karmon ka bhaar utarne par hee pahunch paayenge hum uss paar Jahaan par mukammal hoga Rabb se milne ke liye rooh ka intazaar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2332
Aye Mann Mere
Aye mann mere, vaapis aaja Tu Guruji ke khayaalon mein Varna aur bhi kho jaayega Vyarth kee uljhanon aur sawaalon mein.
Jitna bhi chala ja idhar udhar Uss se tu na sakega sudhar Sach mein agar tujhe jaana hai sanvar Toh Guruji par apna dhyan tu dhar.
Guruji ne bakhsha hai tujhe simran Unkee kripa se tu usmein sakta hai ramm Unhee ko simar, simarta jaa Unke kareeb tu aata jaa.
Guruji tujhe jaante Hain tujhse bhi adhik Ve manzil Hain aur tu hai mahaz ek pathik Tu hai raaste aur uskee chunautiyon se beshak anjaan Chinta na kar, tere angg sangg Hain Guru karunanidhaan.
Aye mann, idhar udhar ke khayaal banaate jaayenge tujhe nirdhan Guru kripa se tu bator achche vichaaron ka dhan Karta chal Guruji ka bakhsha dhyan aur simran Dekhna, vikaar darenge tujh par karne se aakraman.
Abhi takk tu agar beshak asthir aur nirbal Ashanti kee agni mein abb aur tu na jal Badhaata chal tu apna bal Vahee kaam aayega pal pal Usee se niklega har mushkil ka hal Jiska saamna tu karega aaj aur kal.
Bujh jaayegi agni ashanti kee Tere bheetar lau hai Guruji kee kanti kee Guru naam se dho kar apna mal Abb honei de tu is kanti ko ujjwal.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2331
Saari Sangat Mein Dhoom Machee
Saari sangat mein dhoom machee Sabke mukh par hai nutan hansee Guruji ka avatar divas hai aaya Sangat ke liye khaas ashirwaad hai laaya.
βSpecial blessingsβ ka din hai aaj Janme aaj ke din Param poojya Guruji Maharaj Unke mata pita ko bhi maalum na thaa Lekin waqt ne sabhi ko diya bataa Ki chhota sa saadhaaran sa lagta veh baalak Banega saare jagat ka pratipaalak.
Guruji pyaare Shiv avatari Unkee deewaani hoti gayi sangat saari Unke bachpan se hee Unkee leela dikhne lagi Kitnon kee soyi kismat Guruji ke sparsh se jagi.
Samay ke saath saath Loag aapas mein karne lagey baat Guruji ke prabhutva kee Har baat thi bahut mahatva kee.
Vikhyaat honei lagi Guruji kee vadiyaayee Sakaaratmak parivartan laane lagi Unkee guruyaayee Guruji ne bakhsha bhakton ko simran aur dhyan Andhvishwaas aur vehem se duur kar mitaaya bhakton ka agyan.
Unke satsang sunn-ne sunaane kee aarambh hui pratha Jo banti gayi sangat ke anubhavon kee satya katha Sunn-ne aur sunaane wale ko miley Guruji ka ashish Sangat tarti jaa rahi hai paakar Unkee bakhshish.
Guruji ka avatar divas hai bahut hee shubh din Kyunki sangat kee sadgati nahin hai Guruji bin Khushi aur garv se samast Guruparivaar is shubh parv ko manaaye Guruji kee kripa se kalyuga mein satyuga ka paigaam phayltaa jaaye.
Aaj ka din hai Guruji ke sangat par khaas ashirwaad ka Aur sangat kee oar se Guruji ko khaas dhanyawaad ka Isliye Unka shukrana karna bhool na jaana Unke charnon mein shraddha ke suman chadhaana.
Sabhi ko Guru Sahib ke avatar divas kee shubhkaamnaayein Guruji ka hukm maankar hum sab bande bann jaayein Yaad rakhein sewa simran satsang shukrana aur samarpan ka paath Aur Guruji kee mahima ka gungaan sunein aur sunaayein din raat.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2330
Har Shwaas Kee Yeh Aas Hai
Param poojya Guruvar,
Abb bahut lamba lagne lagaa hai intazaar Lekin dil kahe mujhse, β Ummeed na haarβ β Bahut dayavaan Hain Guruvar sarkarβ β Ve awashya karenge tera beda paar. β
Dil kee in baaton ne rooh ko liya chhoo Aur rooh se niklee hai ye arzoo Ki khol deejiye gaanthein kismat kee Barsaa deejiye boondein rehmat kee Ichhuk hoon Aapki dee hidaayat kee Meri kismat mohtaaj hai Aapki inaayat kee.
Aur jaaoon bhi toh jaaoon kahaan Aur kyun mai jaaoon yahaan vahaan Mere liye toh Aapse hai saara jahaan Aap hee nikhaar sakte Hain meri dastaan.
Nazar andaaz kar deejiye meri khaamiyan Maaf kar deejiye meri gustaakhiyan Aapne anginat paapiyon ko hai taara Mujhe bhi aaj takk Aapne diya hai sahaara.
Aapki rehmaton ke bina aagey bhi bilkul na hai mera guzaara Aap toh jaante hee Hain haal saara Khatkhataa rahi hoon aaj bhi Aapka dwaara Yakeen hai haalaat sudhar jaayenge paakar Aapka ek ishaara.
Shiv avatari Guruvar pyaare Aapke tareeke hain anokhe aur nyaare Kuch bhi nahin hai Aapke liye namumkin Aap din kahein raat ko, toh raat hakeekat mein bann jaaye din.
Aapki chaukhat par jhuka hai mera sees Aapke dar par mujhe aaj bhi milega ashish Ye ummeed nahin, balki mera vishwaas hai Niraash na karna mujhe, mere har shwaas kee yeh aas hai.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2329
Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar
Teri raahon mein chetna ke deep rahein hain jagmagaa Dhyan rakh tera kadam na jaaye dagmagaa Tu in raahon par chalne mein na ghabraa Guruji kar rahe Hain tera maargdarshan Unkee nigraani mein beet raha hai tere safar ka har kshan.
Guruji sangg tu apne rishte ko na bann-ne de shabdon ka mohtaaj Is rishte mein teri oar se prem aur shraddha ke bhaav ka rahe raaj Tabhi toh tu Guruji ke aadesh aur nirdesh ko jaan aur maan paayega Varna tu asmanjas ke aasmaan ke baadalon mein kho jaayega.
Guruji aur apne beech kee har deewar toad Unke sangg apni rooh kee seedhi taar joad Unhonei tere naseeb ko Apne sanchaalan kee oar diya hai moad Tu bhi abb baaki har aasare se ummeed rakhna chod.
Kyunki Guruji Hain sarvopari sarvshaktimaan Unke charnon mein toh sabhi devi devta bhi karein pranaam Adbhut hai Unkee leela, Ve Hain mahapratapi mahaan Tu kismat wala hai jo Unhonei diya hai tujhe Apne naam ka daan.
Japp se dhyan, dhyan se japp Jaisa ho paaye tujhse jabb jabb Abhi se kar le, varna karega kabb Maan le, jaan le, Guruji Hain Rabb.
Japp aur dhyan se mann kee aankhein jaayengi khul Japp aur dhyan se tere paap bhi jaayenge dhul Chetna ka har jagmagaata deep tujhe ujjwal nazar aayega Tere bheetar ka har sanshay, har sankoch duur ho jaayega.
Tu mehsoos kar kar paayega Guruji ke maargdarshan ka anusaran Karte rehna Unkee sharan mein tu prem bhaav arpan Unke charnon mein rehne kee badhti jaayegi jo teri lagan Toh tu hota chalega Unke khayaalon mein magan.
Buss, phir tu kabhi bhi na dagmagaayega Tujhe tera lakshya saaf nazar aayega Guru kripa se tu hota chalega lakshya kee oar agrasar Bin dagmagaaye Unkee daya se tu tayy kar paayega apni dagar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2328
Fakir Aur Yuvak
Andheri si thi raat Baras rahi thi barsaat Koi nahin thaa saath Fakir Khuda se kar raha thaa baat.
Keh raha thaa veh Khuda se Tum kyun ho juda juda se? Baarish kee boondein bhejte ho Mere aansoo nahin dekhte ho?
Mai kab se raha hoon tumhe pukaar Mujhe toh vyarth lagta hai sansaar Yahaan rehkar karoon kya, aata nahin samajh Jitna sochta hoon, utna jaata hoon sawaalon mein ulajh.
Achaanak kisee ne fakir ke kandhe par rakha haath Fakir ne dekha, ek sundar sa yuvak khada thaa uske saath Pata na chala vo kahaan se aaya Vo fakir ko dekh kar muskuraaya.
Khuda ke bande bannkar raho sansaar mein Khuda kee har rachna kee sewa karo Khuda kee ibadat karo aur karte raho Uska dhanyawaad Vo tumhaare karmon ka bhaar halka karega aur deta rahega ashirwaad.
Khuda se tumhe jodne mai hoon aaya Sundar yuvak ne fakir ko bataaya Usee ko yaad karo, Usee se fariyaad karo Sansaar mein jeeyo kintu Khuda se judo.
Jitna tum usey karoge yaad Vo karega tumhaara antas aabaad Shiv Guru Nanak Isa Allah sab Hain ek Uss ek divya jyot ke naam hain anek.
Fakir ne poochha, βAap kaun?β Toh yuvak tabb ho gaya bilkul maun Kintu Unke maathe par ujjwal hua noorani Om aur Ek Onkar Aur fakir ko samajh aane lagaa yuvak kee baaton ka saar.
Fakir ne kaha yuvak se ki vo kaun hai Jiskee daya se uskee jaagriti hui hai shuru Yuvak ne kaha ki Ve swayam Guruji Maharaj Hain Aur fakir ne Unkee agya se banaa liya Unhe apna Guru.
Aarambh hua fakir ka ek naya safar Rehte huey usee sansaar mein Guruji kee sharan mein kar ke jeevan basar Veh bheegne lagaa Unke kiye upkaar mein.
Andheri raatein huin Guruji ke dhyan se roshan Guruji ke simran se miley ruhaani gyan ne Kiya fakir kee atma ka poshan.
Abb bhi aksar hoti thi barsaat Par abb Guruji thei fakir ke saath Shukrana ke aansoo behte thei Guruji se bahut kuch kehte thei.
Vo sab fakir aur Guruji ke beech kee hai baatein Jinmein guzarti gayi fakir ke din aur uskee raatein Fakir kee rooh ne jodi Guruji se seedhi taar Aur Guruji ne fakir ko Apni meher se diya taar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2327
Nazaaron Ne Poochha
Nazaaron ne poochha Mai kisey dhoondh rahi hoon Bahaaron ne poochha Mai kyun jhoom rahi hoon.
Mai dhoondh rahi hoon Apne Guruji ko Mainey kaha nazaaron se Unke khayaalon mein jhoom rahi hoon Mainey kaha bahaaron se.
Nazaaron se mujhse mere bheetar nazar daalne ko kaha Mainey unka kaha maana Mere bheetar hee toh Guruji Hain Mainey phir ye jaana.
Jaise jaise mai Guruji ke khayaalon mein rahi thi jhoom Bahaaron ne mere antas mein machaayi ek adbhut anand kee dhoom Uss ruhaani si aantrik dhvani se milee mujhe anokhi shanti Dhyan lagaa aur ruhaani naynon ko dikhee Guruji kee kanti.
Anandmayi drishya Jyoti divya Jismein Guruji ke darshan Dikhey uss kshan.
Bheeni bheeni si sugandh Ne kiya dhyan ka antt Chehre kee aankhein jo khuli Toh lagaa bheetar kee dhool udi Vahaan kee bahaaron mein Aur ghul gayi kaheen nazaaron mein.
Kintu antas kee aankhon ko saaf dikhne lagaa Bheetar kee chetna ka soya baalak jagaa Guruji kee kripa se Unse duuri kee uljhan gayi sulajh Guruji kee karuna se aane lagaa samajh Ki Guruji Hain Bhagwaan, mai hoon nimaana das Aur Guruji swayam karte Hain mere bheetar vaas.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2326
Mere Parwardigaar Aapki Kripa Apaar
Mere Satguru sarkar Mere Guruji paalanhaar Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Mere taaranhaar Aapka pyaar hai aparampaar Mere Shiv avatar Aap Hain shabdon ke paar Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Mai aayi Aapke dwaar Ye hai Aapka upkaar Aapse hee hai sangat ka ghar parivaar Mere param poojya pyaare daataar Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Aap Hain pyaare Shiv avatari Aapki deewani hai sangat saari Aapki leela hoti hai nyaari Sabke bhale kee aati hai baari Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Karte ho sangat ka kalyaan Dete ho Apne naam ka daan Mahima Aapki sabse mahaan Is se nahin hai koi bhakt anjaan Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Aapki prerna se chal raha hai sangat ka kaarvaan Aapki daya par nirbhar hai har bhakt kee dastaan Aapki sharan mein mil gaya mujhe saara jahaan Aapke charnon mein jaaoon mai samaa Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2325
Teri Dastaan
Jhuk jaata hai aasmaan Guruji jaate Hain jahaan Unse anugrahit hai teri dastaan Na bhatak tu yahaan vahaan.
Guruji ke kamal charnon mein hai tu Samarpan aur shraddha bhaav se unhe tu chhoo Unhe hee toh dhoondh rahi thi teri rooh Unkee kripa se hee tujhe miley Ve yoon.
Dekhega tu dastaan ke dauraan Ki lega jitna tu Guruji ka naam Teri dastaan lagne lagegi aasaan Chaahe tujhe parishram karna padey bina koi vishraam.
Baadal bijlee barkha barsaat Sunehri subah ho ya andheri raat Ho ghar, gharonda ya ho raaste ka koi ghat Dastaan mein Guruji har pal Hain saath.
Jitna sanyam rakhega tera mann Tufaanon ka zor lagega utna kumm Jitnee sakaaraatmak hogi teri vichaardhaara Utna utsaahit karega tujhe Guruji ka diya sahaara.
Dastaan mein mil jaaye tujhe asal khazaana Isliye Guruji se surt jodne ka koi mauka na gavaana Phir ek pal ke liye bhi sooni na rahegi teri dastaan Tujhe Guruji ke angg sangg honei ka ehsaas hoga tu hoga jahaan Guruji Hain komal karunanidhaan Saarthak karenge Ve teri dastaan.