Aye Mere Mann Naadaan (01/13/2024)

January 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2155
           Aye Mere Mann Naadaan

Aye mere mann naadaan
Apni kamzoriyan pehchaan
Unhe sudhaarne ka kar kaam
Lete huey Guruji ka naam.

Guruji bade dayalu Hain
Guruji bahut kripaalu Hain
Teri khaamiyan Ve jaante Hain
Teri β€˜mai’ ko pehchaanate Hain.

Tu apni madad karne ke liye ho tayyaar
Guruji tujh par chadhi mayl ko denge utaar
Chamakne lagega tera darpan, aye mann
Apne bhale ke liye tu abb samajhdaar bann.

Tu dikhta nahin, ye sahi hai
Tu jaisa sochta hai, tann karta vahee hai
Guruji karna chaahte Hain tera uddhaar
Aye mann, tu apni soch ko sudhaar.

Na mehsoos kar swayam ko asahaay
Yaad rakh, Guruji sada sahaay
Unhonei bakhsha hai tujhe simran, aye mann
Unkee ye bakhshish hai anmol divya dhan.

Aye mann, tu vyarth na jaane dena is dhan ko
Unke naam simran se sajaa le apne bheetar ke upvan ko
Tere roam roam mein vaas karegi Guruji kee khushboo
Toh harsh se gadd gadd ho jaayegi meri rooh.

Mere is ruhaani safar mein
Bahut mahatvapoorna hai tera kirdaar
Is safar ko safalta kee oar le jaane ke liye Tujhe niyantrit karna hoga apna har vikaar.

Aye mere mann, tu nishtha bhaav se koshish kar
Vikarshan se na ho vyakul, chunautiyon se na darr
Guruji mein lagan lagaa, tu Unkee mehar se jaayega tarr
Tu buss apne aap ko Guruji ke charnon mein arpit kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aye Mere Mann Naadaan (01/13/2024)

Tere Saath Hain Tere Parwardigaar (01/12/2024)

January 12, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
# 2154

Tere Saath Hain Tere Parwardigaar

Guruji ke bin bulaaye koi pahunch nahin sakta Unke paas
Har bhakt ko samay ke saath saath ho jaata hai is satya ka ehsaas
Guruji zaroor sunte Hain bhakt ke dil kee ardaas
Unke har nirnay mein hota hai bhakt ke kalyaan ka vaas.

Tu khushkismati se pahunch paaya hai Guruji ke dar par
Abb tu Unke har faisle par aitbaar kar
Haunsla rakh, yoon jeete jee na marr
Guruji awashya safal karenge tera safar.

Aayengi mushkilein, dene padenge imtehaan
Kintu har pehlu mein sangg hongei Guru karunanidhaan
Jabb milne lagey safalta, tu na karna abhimaan
Varna badhte jaayenge tere jeevan mein imtehaan.

Tu raaste mein girne lagega toh Guruji tujhe Apni goad mein utha lenge
Tu sankat kee karkash dhoop mein jalne lagega toh Ve Apni mamta kee chhaaon denge
Aapatti kee aandhi aur timir ke tufaan mein Ve teri raksha karenge
Tu naummeed honei lagega toh Ve teri jholi ummeed aur utsaah se bharenge.

Arey, tera kalyaan karne ke liye liya hai Unhonei tujhe Apni sharan mein
Isliye Ve tera saath na chodenge kisee bhi janam mein
Tu bhi na chod karna Unpar aitbaar
Aitbaar hai is rishte ka aadhaar.

Apne bhaav ko tu nikhaar
Kar shraddha se bhaav ka shringar
Shukrana karte huey Guruji kee leela ko nihaar
Samarpan kar Unpar tu swayam ko de vaar.

Jis uddhaar ka teri atma ko hai sainkdon janmon se intazaar
Guruji awashya denge teri atma ko uss uddhaar ka uttam uphaar
Tu dheeraj rakh, aur himmat na haar
Tere saath Hain tere Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tere Saath Hain Tere Parwardigaar (01/12/2024)

Sharan Tihaari (01/11/2024)

January 11, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2153
       Sharan Tihaari

Guruji ka bhakt thaa
Rehta thaa ik gaaon mein
Bahut hee santusht thaa
Guruji kee mamta kee chhaaon mein.

Kabhi kabhi sheher thaa jaata
Bhautikvaad dekhkar aa jaata
Ek din Guruji ne liya uska imtehaan
Usey mila ek vyaapaari kisaan.

Kisaan ne bhakt ko dee naukari
Jiske dwaara bhakt kee jeb khoob bhari
Thode hee samay mein vo ho gaya bahut dhanwaan
Gaaon mein raha banaakar ek ghar aalishaan.

Kaam mein rehne lagaa bahut vyast
Logon kee bheed mein honei lagaa mastt
Uplabdh hui usey har vyavastha
Kintu girne lagi uske mann kee avastha.

Waqt na nikaalta thaa jaane ke liye satsang mein
Aksar bhool jaata thaa baithna simran mein
Sewa bhaav honei lagaa kumm
Jaise jaise badhta gaya dhan.

Sheher gaya jabb ek baar
Karne vo koi vyaapaar
Uss sthaan par usey dikha Guruji ka darbar
Gurbani kee awaaz sunn vo pahuncha uss dwaar.

Guruji ka satsang chal raha thaa
Vo bhi baith gaya vahaan Guruji kee mehar se
Jaap aur aarti ke baad ek sangat ne sunaaya aisa anubhav
Ki bhakt ka deedar hua jaagriti kee sehar se.

Veh sangat bhautikvaad mein Guruji ko gayi thi bhool
Bhool gayi thi ki vo hai Guruji ke charnon kee dhool
Bhakt ko satsang sunn kar apne par hui bahut glaani
Ki usne sewa, simran, satsang bhool kar kee kitnee naadaani.

Veh hua khada
Aur ro pada
Uska antas hua saaf
Guruji ne usey kiya maaf.

Guruji toh Bhagwaan ka roop Hain
Ve sarvottam karunanidhaan ka swaroop Hain
Bhakt par Unhonei kripa barsaayee
Bhakt ke bheetar chetna jagaayee.

Subah ka bhoola shaam ko ghar aaya
Bhakt ko Guruji ne girne se bachaaya
Is se pehle ki vo ahankari bann kar ho jaata Guruji se aur bhi duur
Guruji ne usey Apne dwaar par bulaaya aur toad diya uska shuru hua guroor.

Ek satsang mein Guruji ne bhakt ko aisa diya taar
Ki usey yaad aa gaya ki Guru kripa bin nahin hai uska ghar sansaar
Mehnat se karta raha vo apna vyaapaar
Kintu abb Guruji ka chintan karne lagaa baarambaar.

Guruji ne uss bhakt ko girne se bachaaya
Guruji ne uss bhakt ko raasta dikhaaya
Vaise hee Ve sabhi ko dikhaayein raah
Aur jaagrit rakhein har bhakt mein bhakti ka utsaah.

Guruji, hum toh naadaan hain
Aap Hain kshamasheel Shiv avatari
Bakhshte rahiye hamein neevanpann
Aaye hain hum sharan tihaari.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sharan Tihaari (01/11/2024)

Kahar Ka Kohara (01/10/2024)

January 10, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2152
     Kahar Ka Kohara

Kohara chhaaya hua thaa kahar ka
Koi sanket na dikh raha thaa sehar ka
Musaafir ko sataa raha thaa bhayy
Mann mein uth rahe thei anek sanshay.

Ghabraa raha thaa badhne se aagey
Toot na rahe thei vikaaron ke dhaagey
Soch mein thaa ki bhaagey toh kahaan bhaagey
Is se pehle ki mann mein koi aur asur jaagey.

Mann mein sahi aur galat ka yuddh chal raha thaa
Itna maansik oorja roopi rakt baha thaa
Vaad vivaad ke shastra kar rahe thei ghaayal mann ko
Jiske kaaran kasht ho raha thaa tann ko.

Yakayak uske saamne aayi ek parchhaayi
Thaame huey haath mein damru aur trishul
Usey mehsoos hui shareer mein ek kampan
Aur achanak satark sa hua uska mann.

Bijlee ke jaisi chamak, aur phir gulab kee khushboo
Is anokhe anubhav se aashcharyachakit hui uskee rooh
Veh toh malta hee reh gaya apni aankhein
Jabb usey Guruji dikhey apne aagey.

Kohara na jaane chala gaya kahaan
Abb ujaala hee ujaala thaa vahaan
Guruji ne Apne haath se musaafir ka maatha chhua
Guruji kee leela se uska toh kalyaan hua.

Usee pal shant aur sthir ho gaya uska mann
Guru kripa se shuru hua uske mann mein simran
Guruji ne bakhshi usey avastha dhyan kee
Aur uske bheetar jyot jalaayee gyan kee.

Mann mein chal raha yuddh aur vaad vivaad hua khatm
Bharne lagey uske tann aur mann ke zakhm
Musaafir hua aur bhi hairaan
Jabb Guruji ho gaye antardhaan.

Mann jo hua shant aur sthir
Toh musaafir chal pada ek baar phir
Raasta aa raha thaa saaf nazar
Mann mein na thaa koi agar-magar.

Guruji kee karuna se hua musaafir ka kalyaan
Guruji Maharaj Hain deen dayal karunanidhaan
Ghaney se ghanaa kohara bhi ho jaata hai duur
Itna balshaali aur ujjwal hai pyaare Guruji ka noor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kahar Ka Kohara (01/10/2024)

Anekon Baar (01/09/2024)

January 9, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2151
         Anekon Baar

Param poojya Guruji,

Bhookh lagti rahe Aapke darshan kee
Pyaas lagti rahe Aapke simran kee
Kashish hoti rahe Aapse milan kee
Lagan lagi rahe Aapke manan kee.

Antas mein umadti rahein leherein Aapke naam kee
Sudh na rahe mujhe subah ya shaam kee
Aankhein khuli hon ya hon bandd, sajeev tasveer dikhtee rahe Aapke dham kee
Aapko arpit karte huey poorti ho mere har kaam kee.

Kuch bhi hai mera apna
Toot jaaye mera ye sapna
Yahaan bhi aur vahaan bhi, sab kuch hai Aapse aur Aapka
Ye yaad rakh naash ho mere har paap aur santaap ka.

Ye saral nahin hai, jaanti hoon
Kintu Aapki kripa ko mai aseem maanti hoon
Aapki mehar se ye sab hai mumkin
Taaki mai tarr jaaoon anekon janam liye bin.

Jabb takk ye safar rehta hai jaari
Jabb takk aati nahin mukti kee manzil kee baari
Tabb takk rakhiyega har pal Apne charan mein
Ardaas hai is daasi kee Aapki sharan mein.

Aur jabb aaye veh haseen mubarak bela
Jabb aaye meri atma ka Aap mein samaa jaane ka vela
Tabb mukammal hoga veh intazaar
Jiske liye janam liya hoga mainey anekon baar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anekon Baar (01/09/2024)

Tayyaar (01/08/2024)

January 8, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2150
                Tayyaar

Tann ka khayaal rakhna zaroori samjha
Taaki rahe nirogi aur sundar kaaya
Mann ko vash mein karne kee koshish kee
Jisey iska mahatva samajh mein aaya.

Na aaya samajh jisko
Vo mann ko vash mein na kar paaya
Mann ne uska swami bannkar
Usko bada sataaya.

Ye baat toh hui tann aur mann kee
Abb atma ke baare mein karein baat
Atma Paramatama ke sangg milan ke liye karti hai safar
Is koshish mein na jaane kitne janmon se leti veh hai guzar.

Ye maamla dikhaawe ka nahin
Ye baat hai bheetar kee
Anant mahatva rakhti hai is milan ke liye
Kripa aur karuna Guruvar kee.

Baaki sab hai nashwar
Kintu atma ko aisa nahin banaate Ishwar
Kyunki veh toh Unhee ka hissa hai
Unke milan ka hee ye saara kissa hai.

Tann aur mann ke saath saath
Anivaarya hai atma ka poshan
Tabhi toh uska aagey ka safar
Hoga safalta se roshan.

Utaarna hoga uss par se pichhle karmon ka bhaar
Taaki hota rahe atma ka uddhaar
Har pratikool daag hoga mitaana
Taaki atma ka safar ho suhaana.

Guruji ke bakhshe simran aur dhyan se
Hota chalega antas ka pavitrikaran
Unkee mehar se dhulega mal
Paap aur vikaar ka prabhaav jaayega tapp kee agni mein jal.

Guruji katvaate rahein karam
Taaki atma ko lene padein kumm janam
Tabhi toh uskee Paramatama sangg milan kee aayegi baari
Jiske liye veh na jaane kitne janmon se kar rahi hai tayyaari.

Guruji dete rahein is tayyaari ke liye hamein prerna aur jaagriti
Unkee kripa se sudhar jaaye hamaari soch aur karmon kee aakriti
Taaki kumm hotey hotey khatm ho atma par se karmon ka bhaar
Aur veh Paramatama Guruvar mein samaane ke liye ho jaaye bilkul tayyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tayyaar (01/08/2024)

Sachkhand Ka Dwaar (01/07/2024)

January 7, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2149

Sachkhand Ka Dwaar

Suna hai bahut sundar hai Sachkhand ka dwaar
Aur uss se bhi soumya hai vahaan ke bheetar ka darbar
Vahaan ke nazaare dekhne ka agar dil ko hai intazaar
Toh anivaarya hai swayam ko uske yogya banaane ke liye karna tayyaar.

Ghaat ghaat par kar liya snaan
Phir bhi na mitey atma par se paap ke nishaan
Anekon teerath ka pee liya paani
Kintu Guruji kee baat na maani.

Chhaka Guruji ka langar prasad
Chakhte rahey kintu buss dekhte reh gaye uska swad
Bhool gaye ki uska saar hai Guruji ka ashirwaad
Aur usey grahan kar ke karna hai Unka dhanyawaad.

Guruji neevan banaayein taaki hum ruhaani seedhi chadhein
Hum hain toh ahankar se bharpoor hokar aagey badhein
Aise toh nigal legi adhogati kee khaayi
Aur haasil na hogi adhyaatmik oonchaayee.

Guruji yaad dilaate Hain
Hum hain toh bhool jaate hain
Ve kshama shehed barsaate Hain
Hum kukarma se baaz nahin aate hain.

Apne vikaaron ka vish peete peete
Amrit ka mol na jaana
Aisa na ho ki bhautikvaad mein jeete jeete
Hona padey ek din yahaan se ravaana.

Uss se pehle kyun na jaag jaayein
Taaki atma ka bhagya bhi jaaye jaag
Guruji ka prataap toh itna mahaan hai
Ki ek pal mein mit jaaye har santaap aur paap.

Ek koshish hamaari, Guruji kee bakhshishein beshumaar
Nek neeyat hamaari, Guruji kee rehmatein aparampaar
Ek kadam hamaara, Guruji ke kadam kayi hazaar
Nirantar prayaas hamaara, toh khul jaayega sachkhand ka dwaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sachkhand Ka Dwaar (01/07/2024)

Har Din (01/06/2024)

January 6, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2148
                            Har Din

O subah, tera shukrana
Tu laati hai asha ka khazaana
O din, tu deta hai avsar
Ki mai jaaoon sudhar
O shaam, jee chaahe chhoo loon tere charan
Tere saaye mein karoon din ke anubhav par manan
O raat, tera dhanyawaad
Tu de nidra kee saugat.

Guruji Maharaj, Aapka anantam shukriya
Aapne waqt ke har pehlu mein ashish hai diya
Apni kripa se ujjwal rakhiye har peher mere bhaav ka deeya
Apne spandan se sanvaariye meri har soch aur meri har kriya.

Har din ke har anubhav se seekh paaoon
Har din ke har peher mein Aapka chintan karti jaaoon
Har pal shukrana kee leher umadti rahe yoon mere mann mein
Ki Aapka shukrana karna na bhooloon kisee bhi pal mai.

Har din baantoon Aapke sangg dil ka haal
Din se haftey, haftey se maheene, maheene se banein saal
Aapke bakhshe simran mein leen ho antas kee layy aur taal
Har din mujhe surakshit rakhey Aapke nirmal naam kee dhaal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Din (01/06/2024)

Anjaan Raahi (01/05/2024)

January 5, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2147
                   Anjaan Raahi

Raasta thaa anjaan
Manzil ka na thaa naam-o-nishaan
Khatm na ho raha thaa imtehaan
Raahi thaa bahut pareshaan.

Ho raha thaa haalaat se hairaan
Mehsoos kar raha thaa swayam ko bejaan
Anekon dar par veh jhuka thaa
Mann uska haar chuka thaa.

Uskee itnee koshishein huin thi bekaar
Ki koshish par se uthne lagaa thaa uska aitbaar
Phir ek raaste par mila usey ek ajanabi ek baar
Jiske sparsh se praapt ho gaya raahi ko jeevan ka saar.

Hua yoon raahi ke ek anubhav ke dauran
Baitha thaa vo ek vriksh ke neeche karne dhyan
Sahsa jaagrook hua ki kisee ne usey chhua
Aankhein khuli toh ek ajanabi de raha thaa raahi ko dua.

Ajanabi thaa saadagi kee moorat
Bahut bholi si thi uskee soorat
Uske chehre par thaa aisa adbhut noor
Ki raahi uskee oar aakarshit honei ke liye hua majboor.

Raahi hua aashcharyachakit usey dekh
Veh anabhigya thaa ki ajanabi aaya thaa likhne dobaara uske lekh
Darasal Ve thei Guruji, Jinhonei roop liya thaa ajanabi ka
Dene aaye thei Ve raahi ko ashish khushnaseebi ka.

Ajanabi ne nahin kee kuch adhik baat
Buss, ve dono baithe rahe kuch der ke liye ek saath
Uss vriksh ke neeche
Chhoot gaya raahi ka ateet kaheen peechhe.

Baras rahi thi Guruji kee leela kee boond
Raahi ne apni aankhein bin kaaran leein moond
Phir aankhein kholi usne agley hee pal
Parantu ajanabi ho chuka thaa ojhal.

Raahi ke tann mann mein hui ek kampan
Anaayaas hee shuru hua uske antas mein simran
β€˜Om Namaha Shivaya’ ka veh karne lagaa jaap
Usey lagaa ki dhul rahe hon uske paap aur mit raha ho santaap.

Laut aaya uska saahas aur atma-vishwaas
Usey lagaa ki shubh oorja hai uske bheetar aur aaspaas
Uske mann mein dheeraj ka neeraj khil gaya
Usey lagaa ki uska khoya hua naseeb usey vaapis mil gaya.

Rangg laata raha Guruji ka ashirwaad
Guruji ne usey Apne mandir bulaaya kuch varshon baad
Dekh kar Unka swaroop
Raahi ko yaad aaya ajanabi ka roop
Uskee aankhein gayin shukrana ke aansoo se bhar
Jaana ki Guruji kee mehar se veh gaya thaa tarr.

Guruji ne usey bakhshi sewa Unkee mahima phailaane kee
Bakhshi usey Unhonei daat satsangon mein baithaane kee
Waqt ke saath Unhonei bakhsha usey ghar parivaar aur sukhad vyaapaar
Usey ruhaani gyan bakhsh kar samjhaa diya usey jeevan ka uddeshya aur saar.

Dhanya hua veh raahi
Dhul gayi niraasha kee siyahi
Guruji kee mahima aparampaar
Raahi ko karaaya bhavsaagar se paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anjaan Raahi (01/05/2024)

Ummeed Kee Kiran (01/04/2024)

January 4, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2146
  Ummeed Kee Kiran 

Ummeed kee kiran
Tu dikh nahin rahi
Kaheen tu
Hawaa ke sangg toh nahin bahi?

Dil kehta hai ki tu vaheen hai
Laachaari ke baadal ke peechhe
Dekh rahi hai shaayad tu pyaar se
Mujhe khade huey apne neeche.

Mai baatein karne lagi kiran se mann hee mann
Is vishwaas se ki veh mera kaha legi sunn
Guruji toh bhakt ke bin bataaye jaanein uske dil kee baat
Kuch kuch aisa hee hua ek baar phir mere bhi saath.

Vidaa hui meri hichkichaahat kee doli
Toh mai ummeed kee kiran se boli…
β€˜Tu jhukti hai sajde mein
Guruji ke kamal charan mein
Tu paati hai apni roshni
Guruji kee sharan mein.’

β€˜Zara sunn, aye ummeed kee kiran
Tu Guru kripa se karti hai niraasha ka haran
Tujhe Guruji ne sewa bakhshi hai itnee pyaari
Ki tu apne ujaale se sajaati hai sabke jeevan ke upvan kee kyaari.’

β€˜Tu na bhi dikhe toh bhi karti hoon tera dhanyawaad
Kyunki toone anginat baar kiya hai ummeed se mere mann ko aabaad
Mai na bhi dekh paaoon tujhe, toh bhi tu dekh sakti hai mujhe
Aaj bhi kar rahi hoon tera kitna intazaar, kaise bataaoon mai tujhe…’

Guruji toh sunn rahe thei ye vaartaalaap
Unhe daya aayi aur Unhonei dikhaaya apna prataap
Baadalon ke peechhe se dikh gayi kiran
Mai muskuraane lagi mann hee mann.

Guruji ne dilaaya ehsaas
Ki vo toh pratibimb hai kiran ka
Kyunki antas mein hai kiran asal
Jis se hoga safar safal.

Guruji bakhshte rahein sabhi ko
Sabhi ko dikhti rahe ummeed kee kiran sada
Jo bhi ho raha ho jeevan mein
Sabhi apnaa paayein sakaraatmak soch kee ada.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ummeed Kee Kiran (01/04/2024)