Ek Nadiya Ke Bahut Paas (12/14/2023)

December 14, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2125

Ek Nadiya Ke Bahut Paas

Ek nadiya ke bahut paas
Ek gaaon mein karta thaa vaas
Ek niwaas mein ek jann udaas
Jiske bheetar thi Guruji kee praapti kee aas.

Swayam ko maanta thaa Guruji ka das
Prabal rehti thi uske mann mein simran kee pyaas
Din raat karta thaa simran aur dhyan ka abhyaas
Guruji anugrahit karte rahe uska ye paawan prayaas.

Guru praapti kee aas mein das hua itna udaas
Ki veh Guruji se karne lagaa ardaas
Ki ye sansaar usey aata nahin hai raas
Veh kewal chaahe ki veh ho buss Guruji ke paas.

Guruji ne dhyan ke dauran dilaaya das ko ehsaas
Ki jeevan mein purusharth ka mahatva hai bahut khaas
Guruji ne bakhsha das ko purusharth safal karne ke liye ullaas
Aur Unka hukm maankar mitne lagaa das ka traas.

Kartavya nibhaate huey bhi Guruji mein leen rehta thaa das
Badhta gaya uska Guruji par vishwaas
Usey aakarshit na karta thaa bhog vilaas
Guruji mein hee ramaa raha uska har shwaas.

Ho gaya Guruji kee dhun mein befikr aur bindaas
Usey gyat ho gaya jabb aaya uske shareer chodne ka maas
Din aur kshan bhi jaan liya usne, aisa divya hua aabhaas
Aur Guruji ke kamal charnon mein samaa gaya veh das.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ek Nadiya Ke Bahut Paas (12/14/2023)

Guruji Ke Naam Ke Mahasaagar Mein (12/13/2023)

December 13, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2124
Guruji Ke Naam Ke Mahasaagar Mein

Guruji ke naam ke mahasaagar mein
Tum jitne gotey khaaoge
Guruji mein tum utna hee zyaada
Ramm kar khotey jaaoge.

Aisa karte karte tum
Apne bheetar jhaank paaoge
Atma-saakshaatkaar dwaara
Guruji kee kripa ka lekar sahaara.

Guruji ka bakhsha hua simran aur dhyan
Le jaayega tumhaare bheetar tumhe vahaan
Jahaan jhaank kar badal jaayega tumhaara jahaan
Jahaan baahar ke jahaan ka na hoga naam-o-nishaan.

Buss, vahaan hongei Guruji aur tum
Tum ho jaaoge uss jahaan mein gum
Yoon goonjegi Guru milan kee dhun
Ki har baahari ehsaas kee oar tum ho jaaoge sunn.

Guruji kee mehar hogi aparampaar
Hoga tumhe atma-saakshaatkaar
Duur nahin hai veh saal aur veh vaar
Buss, prayaas karna hai baarambaar.

Ek pal bhi na karo vyarth
Is zaroorat ka hai gehra arth
Kyunki isee mein hai tumhaara kalyaan
Jo karenge Guruji karunanidhaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Naam Ke Mahasaagar Mein (12/13/2023)

Taqdeer Bante Dekhi Hai (12/12/2023)

December 12, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2123
          Taqdeer Bante Dekhi Hai

Taqdeer bante dekhi hai, Guruji,
Aapke darbar mein
Aapka darbar divya hai, anokha hai, Atulneeya hai is saare sansaar mein.

Mujh par rehmat keejiye ki kabhi kamee na rahe
Aapke prati mere pyaar mein
Aapki khushi sabse zyada ahamiyat rakhe mere liye
Zindagi ke din chaar mein.

Kyunki jagg ko khush karne kee na hai mujh mein kaabiliyat
Na hee aisee hai mujh mein koi chaahat
Gireban mein jhaankoon toh Aap khush aayein nazar
Toh chayyn se kar paaoongi jeevan basar.

Jagg kee mithya, jagg mein raag dvesh
Bhayy aur dosh se duniya ke badalte vesh
Inse badhte huey mere vichaar aur vikaar
Bante rahenge mann kee ashanti aur asthirta ka aadhaar
Inse sanchit hotey rahenge karam
Aur na jaane kitnee baar lena padega janam.

Sabhi ke liye dua nikle mere dil se sada
Aapse bakhshish mil jaaye jabb jabb mujhse ho khataa
Tasalli hai mujhe ki Aapne hai sweekaara
Varna kaise chalta mera jeevan mein guzaara
Khushnaseeb hoon mai ki Aap Hain mera sahaara
Aapke sahaare bin jeena nahin gawara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Taqdeer Bante Dekhi Hai (12/12/2023)

Guruji Kee Mehar-e-Nazar (12/11/2023)

December 11, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2122
           Guruji Kee Mehar-e-Nazar

Guru hee Shiv
Shiv hee Guru
Guru aur Shiv mein nahin koi fark
Is satya mein na jeet paaye koi tark.

Guruji kee mehar-e-nazar ka shikhar
Hamein aa hee nahin sakta nazar
Jabb takk na ho Unkee nadar
Kyunki veh shikhar hai saadhaaran se bilkul hatkar.

Guruji Hain swayam saadagi aur saralta kee moorat
Ati vinamr hai Unke sarvshaktimaan shikhar kee soorat
Tabhi toh hai veh shikhar saadhaaran se hatkar
Jhuk kar choom leta hai har bhakt ko, jo aata hai Guruji ke dar par.

Bhakt jitna neevan hota jaata hai
Veh jitna ahankar khota jaata hai
Mehsoos hoti hai usey Guruji kee utnee hee mehar-e-nazar
Badhti jaati hai uske antas mein Guruji ke kiye har kalyaan kee kadar.

Jaise jaise safar aagey chalta hai chhaatr ka
Pavitrikaran hota jaata hai uske mann roopi paatr ka
Nikhar kar spasht hokar khilta hai bhakt ke bheetar ka Shivmayi roop
Gehra hota jaata hai Guruji aur bhakt ka rishta anoop.

Dheere dheere Guruji kee rehmat se
Guru kripa se bhakt kee mehnat se
Bhakt Guruji ke prati ho jaata hai sarvsamarpit
Shivroopi bhakt aur Guruji ke beech kee har duuri jaati hai mitt.

Aise safar ka mil jaaye jisey mauka
Uske liye hai yeh avsar sundar aur anokha
Jo bhakt jann Guruji kee oar ek kadam badhaayein
Guruji sainkdon kadam chalkar unke kareeb aayein
Jinhe bhi miley Guruji kee suraksha kee sharan
Unka har bhaar sambhaal lete hain Guruji ke charan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Mehar-e-Nazar (12/11/2023)

Chaahe Buri Hoon Ya Hoon Achchi (12/10/2023)

December 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2121

Chaahe Buri Hoon Ya Hoon Achchi

Param poojya Guruji,

Aapke daras pe
Mai balihaari jaaoon
Aapke taras pe
Mai sees jhukaaoon.

Aapki nazar se
Mai tarti jaaoon
Aapki nadar pe
Shukrana karti jaaoon.

Aapke daya daan se
Ho mera uddhaar
Aapke har vardaan se
Ho jeevan mein sudhaar.

Aapki dee prerna se
Badhe mera utsaah
Aapki dee chetna se
Dikhe mujhe raah.

Aapki rehmat se
Mai karoon mehnat
Aapki inaayat se
Mai karoon ibadat.

Qubool ho sada Aapki marzi
Koi haisiyat na rakhe meri koi marzi
Jabb Aapne thaam lee hai doar
Toh phir kyun jaana kaheen aur?

Mera toh sab kuch yahaan hai
Aapke charnon mein hee mera jahaan hai
Chaahe buri hoon ya hoon achchi
Sada maaniyega mujhe Apni bachchi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Chaahe Buri Hoon Ya Hoon Achchi (12/10/2023)

Vahee Kshan (12/09/2023)

December 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2120
         Vahee Kshan

Hota hai vahee kshan
Kintu kaheen hoti hai khushi kaheen gumm
Kaheen kisee kee mrityu kaheen navjaat shishu le janam
Har kshan se judte jaayein praaniyon ke karam.

Jabb takk hai srishti, yahee hai niyam
Waqt chalte ye silsila na ho khatm
Kisee ko lagey kismat dhaa rahi hai sitam
Toh khushkismati anubhav karey kaheen aur kisee aur ka mann.

Mann, jo mitr hai jabb usmein ho sanyam
Varna jo baney insaan ka dushman
Kamzor ho toh vikaar karein uspar aakraman
Balshali ho toh usey na prabhavit karey koi bhi aakarshan.

Mann mein hee Ram, mann mein hee Raavan
Mann hee hai bheetar ka darpan
Is mann mein ekatrit ho jaaye jo Guruji ke naam ka dhan
Toh ye mann kisee bhi janam mein na rahe nirdhan.

Sabse paawan hai Guruji ke naam se juda bandhan
Ismein bandh kar nikhar jaata hai Guru Govind ka vandan
Mann mein khushboo phaylaata hai Guru chintan ka charul chandan
Guruji aur Unke naam mein ramm kar saarthak ho jaata hai jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Vahee Kshan (12/09/2023)

Aapki Ek Nazar Se (12/08/2023)

December 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2119
                Aapki Ek Nazar Se

Param poojya Guruji Maharaj,

Aapki ek nazar se nazariya jaata hai sudhar
Aapki nadar se bhakt dekhna chod deta hai idhar udhar
Buss, Aap hee Aap nazar aate Hain
Jidhar takk jaati hai bheetar aur baahar nazar.

Vintee hai ki Aap hee rahein vandan mein
Aap hee basey rahein chintan mein
Aap dikhein sada mann ke aur bhautik darpan mein
Aap hee dikhein har phool aur har upvan mein.

Aisee shuddhi bakhsh deejiye mujhe mere antakaran mein
Ki yaad rakh paaoon Aapki divyata hai har jann mein
Aapki kripa aur Aapki bakhshi koshish se yoon jud jaaoon simran mein
Ki dhyan hota jaaye gehra aur samta aa jaaye mann mein.

Aapki daya se samta badhaayegi kshamta
Aur ruhaani seedhiyan aayengi raas
Jis bhi avastha mein, jaise bhi haalaat mein rakhiyega
Apni sharan mein rakhiyega, Aapse hai ye ardaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapki Ek Nazar Se (12/08/2023)

Vaastavik Swaroop Hamaara (12/07/2023)

December 7, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2118

Vaastavik Swaroop Hamaara

Adviteeya hai vaastavik swaroop hamaara
Jiske anubhav ke liye atma-bodh hai zaroori
Jo liya nahin simran aur dhyan ka sahaara
Toh Param Purusharth kee praapti reh jaayegi adhoori.

Aawashyak hai duur hona avidya ka andhkaar
Taaki Brahm ke satya ka bodh ho paaye
Taaki sansaar ke mithyaroop kee pehchaan ho jaaye
Taaki parmaarth ka gyan deepak bheetar prakash phaylaaye.

Guruji Hain Maha Dev ke avatar
Sambhaalte Hain sangat ke ghar parivaar
Sirjanhaar aur paalanhaar Hain Ve, aur Hain Ve taaranhaar
Anginat sangat ka karte aaye Hain Ve uddhaar.

Guruji kee sharan mein bakhshish miley simran kee
Unhee kee mehar se ho paaye dhyan
Kalyaankaari hai Guruji kee kanti
Pradaan karey bhakt ko shaashvat shanti.

Itne dayaavaan Hain hamaare Guru
Adhyaatmik unnati karaate Hain shuru
Na chodni hai ghar grahasthi, buss soch aur karma mein laana hai parivartan
Unke bakhshe simran, sewa, satsang se saaf karna hai mann ka bartan.

Koshish karna toh hai hamaara hee farz
Utaarna hai agar karmon ka karz
Guruji karein har bhakt kee madad aur dein ashirwaad
Taaki bhakt ho har tareh ke paash se azad.

Guruji kee mehar se hoti rahe antas kee shuddhi
Guruji sumat bakhshein taaki badhe subuddhi
Apne dharma ka paalan karna rahe smaran
Guruji kee sharan mein safal ho jaaye janam maran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Vaastavik Swaroop Hamaara (12/07/2023)

Bhakti Ke Utsaah Kee Jwaala (12/06/2023)

December 6, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2117

Bhakti Ke Utsaah Kee Jwaala

Sabr rakhta chal
Kasht jaayega tal
Na jaane aaj hoga ya kal
Par tu zaroor hoga safal.

Bilkul na soch ki tu hai anath
Tere pyaare Guruji Hain tere saath
Mat pita ka farz Ve nibhaayein din raat
Ye sach mein hai bahut badi baat.

Chunautiyon se agar lagey darr
Guruji se tu baatein kiya kar
Abhi tera bura waqt hai agar
Tu phir bhi jeete jee na marr.

Koshish kar rakhne kee sakaaratmak vichaardhaara
Arey, Guruji Hain tera sahaara
Bahut dayalu Hain Ve aur Unka dwaara
Unka prataap hai mahaan aur pyaara.

Guruji kee guruyaayee mein basta hai bhakt ka kalyaan
Guruji kee vadiyaayee deti hai bhakt ko karuna ka daan
Baadalon ke peechhe chhipa sooraj dikhega aur phaylaayega apna ujaala
Tu apne bheetar jaagrit rakh bhakti ke utsaah kee jwaala.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhakti Ke Utsaah Kee Jwaala (12/06/2023)

Har Haal Mein Albela (12/05/2023)

December 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2116
             Har Haal Mein Albela

Kisee ne poocha mujhse
Ki kaisa hai mera haal chaal

Meri tabeeyat thi kuch nasaaz
Lekin bataana na chaahti thi ye raaz
Kahe bin bhi gaya na raha
Toh mainey kuch yoon kaha…

β€˜Ye hai bahut khoobsoorat sawaal
Haal aur chaal dono hain kamaal
Kyunki Guruji Haina, Ve kar ke rakhte Hain nihaal
Kyunki Unka ashirwaad hai bhakton kee dhaal’

Aane bhi lagey kabhi anuchit khayaal
Toh Unke shukrana mein miltee hai taal se taal
Bhaybheet hai Jinse swayam kaal
Ve swayam hee rachte Hain maya ka aakarshak jaal.

Kaam, krodh, lobh, moh, ahankar
Jhooth, hinsa, chori, nasha, vyabhichaar
Irshya, dvesh aur ninda
Bhautikvaad se judi har chinta
In mein se ek ho ya hon anek
Inse prabhavit hai jann pratyek.

Shiv roopi hain hum sabb
Jeevan mein pehle bante hain Shiv se Jeev
Isee safar mein chhipi hoti hai neev
Jiske sahaare bante hain phir jeev se Shiv.

Guruji hee Hain veh neev, veh sahaara
Ye safar mukammal hota hai Jinkee kripa dwaara
Unkee har leela hai anupam anoop
Maya hai Unkee shakti ka hee roop.

Unke ashish aur hamaari nek koshish se
Niyantran mein aa paayenge hamaare vikaar
Ye prayaas jaari rakhna hoga baarambaar
Tabb hee aayega khud mein sudhaar.

Jaise sooraj uday hota aur dhalta rahega
Vaise hee sukh dukh ka khel toh chalta rahega
Kabhi honei lagenge behaal
Kabhi hoga changa haal
Kintu Guruji har pal rahe Hain sambhaal
Isliye jaise jaise guzarenge din, maheene, aur saal
Hum oopar uthte jaayenge sukh dukh se
Guru mukh bante jaayenge mann mukh se.

Nirantar hogi bandagi kee bela
Har lamha haal hoga suhela
Koi bhakt na hoga niraash ya akela
Har bhakt rahega har haal mein albela.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Haal Mein Albela (12/05/2023)