Ajab Prabal Hai Tumhaara Saaya (10/25/2023)

October 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2075

Ajab Prabal Hai Tumhaara Saaya

O maya, ajab prabal hai tumhaara saaya
Jisne bade badon ko neeche hai giraaya
Har kisee ko tumne apni paheli mein phansaaya
Shaayad koi virla hee tumse bach paaya.

Tumne gyaniyon ko bhi hai bhatkaaya
Tumne rahnumaaon ko raasta hai bhulvaaya
Mahadev ne hee jeev aur jagat banaaya
Tumne unn teenon mein bhed karne par majboor karaaya.

Tumse mohit hua purush saansaarik bandhan mein bandh paaya
Maanav is kaaran se pashu hai kehlaaya
Aur jis pashu ne sarvottam Guru ko hai paaya
Guru ne usey kalyaan ki manzil par hai pahunchaaya.

Guruji Maheshwar ka Hain roop
Aur tum ho shakti Maheshwar kee
Bashar bann kar aaye Guruji
Jabb ki Unmein pradhaanta hai swayam Ishwar kee.

Guruji lete Hain bhakton ka imtehaan
Ismein bhi tumhaara yogdaan hai mahaan
Tumhaare prabhaav se apni hee divyata bhoolta hai agyani insaan
Aur Guruji uska pavitrikaran kar usey yaad dilaate Hain ki uske aur sabke bheetar Hain Bhagwaan.

Sabhi par hai Guruji ka ashirwaad
Sabhi ko milta hai Unka kripa prasad
Tum toh rehti rahogi is sansaar mein
Kintu Guruji Hain leen bhakton ke uddhaar mein.

Guruji, Aapki karuna karey sab bhakton ka paropkaar
Maya ke kaaran jo agyan hai, usey duur karey Aapka pyaar
Aapke bhakton ke liye ekmaatra sahaara hai Aapka dwaar
Aapki mehar le jaaye bhakton ko bhav saagar ke paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ajab Prabal Hai Tumhaara Saaya (10/25/2023)

Manorathon Ke Rath Par Savaar (10/24/2023)

October 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2074

Manorathon Ke Rath Par Savaar

Manorathon ke rath par savaar
Mann kee hukoomat se laachaar
Musaafir thaa bahut bekaraar
Jhel raha thaa trishna ka bukhaar.

Chalna chaah raha thaa
Guruji ke dikhaaye path pe
Kintu utar na paa raha thaa
Manorathon ke rath se.

Ashant thaa, thaa veh pareshaan
Mann ke ravaiye se thaa hairaan
Mann bann baithaa thaa shaitaan
Jokhim mein thi musaafir kee jaan.

Jabb jabb koshish karta
Apne mann se veh darta
Suna thaa Guru har duvidha hai harta
Unse kehta toh mann uss se thaa ladta.

Mann chalaata raha apni marzi
Kintu musaafir karta raha Guruji se arzi
Ki uska mann ho jaaye uske niyantran mein
Taaki usey shanti miley jeevan mein.

Guruji ne kiya musaafir par taras
Unkee daya gayi uspar baras
Guruji ne usey bakhsha simran
Jiske abhyaas se vash mein honei lagaa mann.

Waqt lagaa, kintu musaafir ne jaari rakha prayaas
Simran karte karte badhti gayi uskee Guruji kee praapti kee pyaas
Veh Guruji kee bhakti mein gaya yoon ramm
Ki usne dhyan dena chod diya ki kya kehta thaa uska mann.

Mann apni hukoomat chalaane mein honei lagaa asamarth
Musaafir ko gyat honei lagaa insaani jeevan ke uddeshya ka arth
Mann par uska hukm chalne lagaa raat din
Ye kewal Guruji kee kripa ke kaaran hua mumkin.

Guruji kee badhti gayi musaafir par nadar
Toota musaafir kee trishna ka jvar
Manorathon ke rath se utar kar
Aanandit hua uska safar
Usey mila mann ko sanyam mein rakh paane ka var
Guruji kee mehar se veh hua ruhaani path par agrasar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Manorathon Ke Rath Par Savaar (10/24/2023)

Guruji Se Hee Raasta (10/23/2023)

October 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2073
 Guruji Se Hee Raasta

Guruji se hee raasta
Guruji se hee manzil
Isliye bekaar kee baaton se
Tu pareshaan na ho, aye dil.

Unhonei tujhe Apne saath hai joda
Aaj takk tujhe asahaay nahin choda
Aagey bhi Ve rahenge angg sangg
Chaahe duniya badalti rahe apna rangg.

Tere har zakhm kee hai Unhe khabar
Unhe tere zakhm ka hota hai tujh se zyada asar
Ye toh shukr kar ki Unkee hai tujh par nadar
Toh bahuton se behtar hai tera safar.

Tu niraash na ho
Gumm mein na kho
Agyan mein na so
Gyan amrit se paap dho.

Guruji ne thaami hai teri doar
Badhta chal tu manzil kee oar
Tera intazaar kar rahi hai bhor
Tu Guruji mein reh bhaav vibhor.

Guruji tere bhaav se hongei prasann
Isliye, aye dil, tu poshit kar apni dhadkan
Bhole bhaav se, shuddh swabhaav se
Aur banda bann jaane ke chaav se.

Guruji se hee manzil teri
Beshak lagey thodi deri
Nishchit hai tera kalyaan
Tu buss leta chal Guruji ka naam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Se Hee Raasta (10/23/2023)

Mera Muqaddar (10/22/2023)

October 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2072
     Mera Muqaddar

Sanvar gaya mera muqaddar
Jabb Guruji ne bulaaya mujhe Apne dar par
Nikhar gaya mera muqaddar
Guruji ne meri har peeda lee har.

Sundar hua hai mera muqaddar
Guruji kee sharan mein jeevan ho raha hai basar
Behtar hua hai mera muqaddar
Guruji meri raksha mein nahin chodte koi bhi kasar.

Sudhar gaya hai mera muqaddar
Jabb se Guruji ne diya hai uddhaar ka var
Uttamtar hua hai mera muqaddar
Kyunki Guruji kee mehar se rahi hoon tarr.

Jabb Mahadev ke niyantran mein hai muqaddar
Toh phir kaahe ka darr
Unkee kripa se bheeg raha hai muqaddar
Pheeka padd jaata hai har sankat kee agni ka asar.

Maalaamaal hua hai mera muqaddar
Kyunki Guruji ne Apne naam ka dhan dekar kee hai mehar
Apni anupam leela se Ve unnat kar rahe Hain mera safar
Mai Guruji ka shukrana karoon apne dono kar jod kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mera Muqaddar (10/22/2023)

Aapke Kadmon Ke Nishaan Par Chalte Chalte (10/21/2023)

October 21, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2071

Aapke Kadmon Ke Nishaan Par Chalte Chalte

Pyaare Guruji,

Sunte Hain Aap meri ankahi awaaz
Jaante Hain Aap mere pichhle janmon ke bhi raaz
Mera gaaya geet sweekarte Hain chaahe na aaye mujhe sur aur saaz
Kripa kar kabhi na hona mujh nacheez se naaraaz.

Kyunki Aap hee Hain mere rahnuma ruhaani
Aapke prem bin raasta kho degi meri zindagaani
Mai toh janam janam mein rehna chaahoon Aapki deewani
Aapke kamal charnon ke taley sharan paaye meri kismat kee kahaani.

Kyunki phir meri kismat kee kahaani paripoorna hogi kalyaan se
Meri kahaani ka har kissa juda hoga Aapke naam se
Har kathinaayi, har aaraam milega Aapke diye daan se
Toh koi shikaayat nahin hogi mujhe jahaan se.

Meri har kathinaayi mein basee hogi Aapki daya
Kyunki Aapne karmon ka bhaar awashya kumm hoga kiya
Bakhshish ke dhaage se Aapne mera mal bhara dupatta hai siya
Apni vadiyaayee se sada mujhe meri yogyata se zyaada hai diya.

Har din ehsaas hota jaata hai aur bhi gehra
Ki Aapne jo mujhe sweekaara, to mai hoon kitnee khushnaseeb
Har din tamanna badhti jaati hai
Ki hoti jaaoon Aapse aur bhi kareeb.

Mai toh sada vaari jaaoon Aapki Khudaayee par
Mai pal pal qurbaan hoti rahoon Aapki vadiyaayee par
Rehmat keejiyega aisee ki abb kabhi na chhoote Aapka dar
Aapke kadmon ke nishaan par chalte chalte guzar jaaye mera safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Kadmon Ke Nishaan Par Chalte Chalte (10/21/2023)

Karmon Ka Kaafila (10/20/2023)

October 20, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2070
               Karmon Ka Kaafila

Jaise jaise har din ka sooraj dhalta rahega
Karmon ka kaafila aur samay ka silsila chalta rahega
Guruji ke ashirwaad se
Guruji ke kripa prasad se.

Jo hua so hua pichhle janmon mein
Parivartan nahin ho sakta tabb ke karmon mein
Guruji ne hai dekha
Unn karmon se banaa lekha
Ve hee Hain nyaayadheesh
Ve Hain param prataapi Ish.

Hui jo Unkee marzi
Toh lekha badal denge Ve bin kisee arzi
Aisa ho ya nahin, bahut badi tasalli hai magar
Ki Ve Apne oopar lenge unn karmon ka bhaar adhiktar.

Sooraj ke dhalte dhalte
Samay ke chalte chalte
Karmon ko hum sudhaar lein agar
Toh behtar ho jaayega aagey ka safar.

Beshak ho gayi hai der
Phir bhi abhi hai saver
Sudhaar laane ke liye
Uss paar jaane ke liye.

Guruji dekhenge jo neeyat nek
Toh maaf kar denge hamaare paap anek
Unkee nazar mein hai bhakt pratyek
Agochar Hain Ve swayam, kintu sab lete Hain dekh.

Neeyat hogi hamaari nirmal
Toh atma-sudhaar hoga saral
Jabb zamaana dega chunauti
Guruji karenge haunsle mein badhauti
Samay ke silsile se pareshaan na hoga antarmann
Karmon ka kaafila hoga jaise kamal ka suman.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Karmon Ka Kaafila (10/20/2023)

Tu Sanshay Na Kar (10/19/2023)

October 19, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2069
               Tu Sanshay Na Kar

Jyot Guruji ke naam kee
Chitthi Unke paigaam kee
Manzil Unke dhaam kee
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Unkee bakhshish se hota hai jo simran
Unkee nadar se judta hai jo mann
Unkee kripa se saaf hota hai jo darpan
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Guruji se judi hai teri jo seedhi taar
Tera veh hissa jo pukaarta hai Unhe baar baar
Jahaan dhyan mein hota hai tera Unse deedar
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Guruji kee tujhe dee hui prerna
Guruji dwaara daan kee gayi chetna
Guruji kee mamta bhari samvedana
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Guruji ka tere liye prem aparampaar
Guruji ke liye tera bhaav bharaa pyaar
Is pavitra bandhan ka saar
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Jis oorja se anugrahit ho raha hai tera angg angg
Jis gehraayee mein tujh par chadha hai Guruji ka rangg
Jis oonchaayee par tu ho jayega Guruji mein malang
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tu Sanshay Na Kar (10/19/2023)

Meri Ruhaani Dastaan (10/18/2023)

October 18, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2068
Meri Ruhaani Dastaan

Baahar hai baazaar
Maya banee hai sarkaar
Vichaaron ka hai vyaapaar
Shuddhi laata hai moh rahit pyaar.

Nirvichaar honei ka hai vichaar
Kintu mann mein bharein hain vikaar
Kaise jaaoon uss paar
Jahaan na ho vikaaron ka bhaar.

Guruji, bakhshiye shuddhi
Guruji, bakhshiye subuddhi
Aapki mehar se nikhar jaaye charitra
Aapki rehmat se antas ho jaaye pavitra.

Bakhshiye bhaav mein bholapan
Bakhshiye ravaiye mein neevanpann
Mann ka hota rahe pavitrikaran
Vikaaron par honei lagey niyantran.

Ek oar hoon Aapki mamta kee pyaasi
Dooji oar bann kar rehna chaahoon Aapki daasi
Ya bhikharin ya poojaarin banaa kar rakhiye Apni sharan mein
Jaise bhi rakhiye, buss rakhiye sada Apne charan mein.

Aapki sharan kee suraksha ka sukoon milta rahe
Aapki prerna ke prataap se har paap dhulta rahe
Beshak rahega jahaan mein maya ka saaya
Kintu meri raksha karti rahe Aapki kripa kee chhaaya.

Mujhe toh ho hee nahin sakta kabhi bhi anumaan
Aapki karuna ka, mere karunanidhaan
Mere liye toh Aap hee Hain Guru, Aap hee Hain Bhagwaan
Aapki mehar se hee safal hogi meri ruhaani dastaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Meri Ruhaani Dastaan (10/18/2023)

Meri Rooh Ko Chhoo Kar (10/17/2023)

October 17, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2067
          Meri Rooh Ko Chhoo Kar

Meri rooh ko chhoo kar
Guruji ke ashish ne meri peeda lee har
Guruji ne charnon mein jo baithaaya
Mera toh jeevan gaya sanvar.

Guruji ne bakhsha simran din aur raat
Toh mann bhi maan-ne lagaa meri baat
Jabb kabhi dikhta nahin koi mujhe apne saath
Toh bhi mehsoos hotey Hain Guruji Jinhonei thaama hota hai mera haath.

Guruji ne bakhsha satsang
Jeevan mein aayi nayi umang
Gehra honei lagaa mujh par Unka rangg
Guruji vahaan bhi hotey Hain angg sangg.

Guruji ne bakhshi hai ye zindagi
Guruji ne bakhshi hai bandagi
Unkee bakhshish bin ghar parivaar nahin
Unkee bakhshish bin mera toh sansaar nahin.

Har bakhshish ke liye Guruji ka shukrana beantt
Guruji ke hain mujh nacheez par upkaar anant
Guruji kee karuna aur mahima hai aparampaar
Har veh jann khushnaseeb hai, jisey Ve bulaate Hain Apne dwaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Meri Rooh Ko Chhoo Kar (10/17/2023)

Shubh Mahoorat (10/16/2023)

October 16, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2066
                    Shubh Mahoorat

Kaheen hai apnapan aur pyaar
Kaheen dhokha miley baar baar
Kaheen behte hain jharne dhan ke
Toh kaheen bahein aansoo kisee nirdhan ke.

Kaheen prakash hai gyan ka
Kaheen andhera agyan ka
Kaheen kaheen sukhi hai poora ghar parivaar
Kaheen chal rahe hain dukh ke teer hazaar.

Zameen bhi vahee
Vahee hai aasmaan
Jinke vajood se
Zinda hai har insaan
Phir bhi apne pichhle karmon ka chalta hai yahaan bhugtaan
Tabhi toh sabki taqdeer nahin hoti hai ek samaan.

Apni sangat ko taarne
Apne bhakton kee taqdeer sanvaarne
Guruji ne maanav roop mein liya janam
Aur aaj takk karte Hain sangat ke kashton ka haran.

Guruji anginat sangat ko bulaate Hain Apne dar par
Aur bhakton ke anekon kasht lekar swayam par
Unke karmon ka adhiktar bhaar lete Hain har
Jis se bhakton kee taqdeer jaati hai sanvar.

Kewal is janam kee hee taqdeer nahin
Balki bhavishya ke janmon kee bhi
Guruji kee kripa ka hota hai aisa shubh asar
Ki susadhya hota hai atma ka aagey ka safar.

Isliye Guruji par hee sab chodne mein hai bhalaayee
Aur saath saath karni hai Guruji ke naam kee kamaayee
Naam kee kamaayee hoti chale zyada se zyada
Karmon ka bhaar hota jaaye kumm se kumm
Toh Guruji kee mehar se sanvar jaayegi taqdeer
Aur asal mainey mein dhanwaan banenge hum.

Aur jo Guruji se Guruji ko maang liya
Toh aur kuch maangne kee hogi hee nahin zaroorat
Phir toh bin maange hee jholi bharegi kalyaan ke daan se
Aur jeevan ka har pal bann jaayega shubh mahoorat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shubh Mahoorat (10/16/2023)