Ghaayal Hai Har Koi (07/09/2023)

July 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1967

               Ghaayal Hai Har Koi

Ghaayal hai har koi
Kaal ke baan se
Phir bhi na chhoote vishayon mein aasakti
Toh kaise safal hogi jaagrit honei kee koi bhi yukti?

Dharma ka aacharan hai bahut zaroori
Agar bhayy aur sanshay se mitaani hai duuri
Thoda sa bhi prayaas jo kiya jaaye dharma ke aacharan kee oar
Toh shaayad na hogi durdasha ghor.

Arth aur kaam ke saath saath
Dharma ke haath mein rakhna haath
Adhyaatmik seedhiyon ka raasta hai vahaan
Vaheen se guzar kar milega unnat jahaan.

Arth, kaam aur dharma ke trivarg se aagey
Le jaayenge Guru shishya bandhan ke dhaage
Kyunki is bandhan mein hai mukti
Jo hai purusharth kee poorna saarthakta kee yukti.

Arth, kaam, dharma, mukti hain purusharth ke angg
Uddeshya samaan hain, isliye jeevan chalna hai inke sangg
Guruji kee kripa se dharma ke raaste par badhein
Guruji kee mehar se adhyaatmik seedhiyan chadhein.

Unhee ke kamal charan mein swarg hai hamaara
Moksh bhi milega Unhee kee daya ke dwaara
Unkee dee prerna aur chetna se uddeshya poorti kee oar chalte chalein kadam
Chaturvarg purusharth ke raaste aur manzil kee oar le jaayein hamaare karam.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Ghaayal Hai Har Koi (07/09/2023)

Roop Aapka Anoop (07/08/2023)

July 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1966

                Roop Aapka Anoop

Param poojya Guruji,

Roop Aapka anoop
Kabhi sardiyon kee meethi dhoop
Toh kabhi sooraj shaktimaan
Jiskee dhoop hai mahaan.

Chand bhi sharmaaye
Aapki toh sheetalta bhi itnee mahaan
Itne divya saundarya mein samaayee hai itnee shakti
Ki naadaan anjaan das kee bhi nikhar jaaye bhakti.

Ye Aapki mehar nahin toh aur kya hai
Sangat par barasti har rehmat Aapki hee daya hai
Rehmat, jiskee barsaat hoti hai har haalaat mein
Rehmat, jo samaayi hai Aapki dee har daat mein.

Is barsaat ke amrit mein bheeg rahi hai Aapki sangat
Aapki kripa rahe aisee ki chadh jaaye sab par Aapki rangat
Naadaan hain, galatiyon ko kar deejiye nazar andaaz
Aap jo samjhaana chaahte Hain, hamein samajh aa jaaye har veh raaz
Har janam ka safar hota rahe pehle se zyada aasaan
Aapki sharan mein milta rahe adhyaatmik mukaam takk pahunchne ka vardaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Roop Aapka Anoop (07/08/2023)

Guruji Maharaj Ka Avatar Divas (07/07/2023)

July 7, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1965

     Guruji Maharaj Ka Avatar Divas

Guruji Maharaj ka avatar divas hai aaj ka din
Ye na shuru ho na ho sampann Unhe shukrana ke bin
Unka ehsaan chukaana kisee ke liye bhi nahin hai mumkin
Na hee koi Unke kiye upkaar sakta hai kabhi gin.

Prithvi Jal Agni Vayu Akash
Guruji Hain in sabse bade
Dukh aur sukh, janam aur maran
Guruji Hain in sabse parey.

Jahaan soch hamaari khatm hai hoti
Guruji kee soch hoti hai vahaan se shuru
Kitne bhaagyashaali hain hum sangat Jann
Jo hamein miley Hain pooran Guru.

Shivji ke avatar Hain Guruji
Hamaare bakhshanhaar Hain Guruji
Saari sangat ka pyaar Hain Guruji
Taaranhaar Parwardigaar Hain Guruji.

Beintehaa pyaar param poojya Guruji ko aaj aur har pal
Anant shukrana Unka ki Unhonei diya hai saumya sahaara atal
Unhee ke maargdarshan par chalte rahein hum sada
Raazi rahein usmein jo ho Guruji Maharaj kee razaa.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Guruji Maharaj Ka Avatar Divas (07/07/2023)

Pagli Thi, Mastaani Thi (07/06/2023)

July 6, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1964

           Pagli Thi, Mastaani Thi

Pagli thi, mastaani thi
Guruji ke pyaar mein deewani thi
Khushi aur gumm se bhari uskee bhi kahaani thi
Guru prem ke sahaare chal rahi uskee zindagaani thi.

Ek shaam kee hai baat
Abhi hui nahin thi raat
Chal rahi thi Guruji ke khayaalon mein
Lagaaye huey phool apne baalon mein.

Gagariyan dekhi chalte chalte
Gagan mein sooraj ke dhalte dhalte
Uthaane lagi gagariyon ko baari baari
Anokhe dhangg se kee vandan kee tayyaari.

Ik gagari mein pyaar bharaa
Dooje mein bhar lee shraddha
Teesri mein kiya samarpan
Phir bhi pagli ka bharaa na mann.

Phir veh chauthi gagari laayi
Usmein bharaa shukrana
Itnee ruhaani khushboo aayi
Ki uska dil hua aur bhi deewana.

Aisee hui tabb uspar Guruvar kee inayat
Ki veh bhool gayi har shikaayat
Gungunaane lagi aur bhi Unke pyaar mein
Mann mandir ke Guru darbar mein.

Bhakti uskee nikhar gayi
Veh ghadi sanvar gayi
Bhaav hua aur bhi gehra
Guruji ka thaa jo vahaan pehra.

Bhari hui gagariyon ka anand antas mein samaaya
Guruji ke alaawa usey aur kuch bhi nazar na aaya
Jis pagli ne har saans kee hai Guruji ke naam
Unka naam japte huey ek din zaroor pahunchegi Unke dhaam.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Pagli Thi, Mastaani Thi (07/06/2023)

Jeevan Ke Har Pal Mein Buss Guruji Hee Guruji (07/05/2023)

July 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1963

Jeevan Ke Har Pal Mein Buss Guruji Hee Guruji

Guruji kee aankhon mein hai jo mahasaagar
Usmein doob kar bhakt tarr jaaye
Bahut khushnaseeb hain ve jann
Jo Guruji kee mehar se Unke dar aaye.

Kalyaan hota hai har uss rasna ka aur mukh ka
Jo Guruji kee mahima ka gungaan karey
Antt hota hai har peeda ka aur har dukh ka
Jisey Guruji kee shakti harey.

Har uss haath ko miley ashirwaad
Jo jod kar karey Guruji ko naman
Har veh sees ho neevan
Jo jhuke aur karey Guru charan mein vandan.

Har veh bhakt ho paaye pavitra
Jo nek neeyat se maang le kshama
Nikhar jaaye har uss bhakt ka charitra
Jo shraddha se Guruji sangg guzaar le samaa.

Har veh pal hai safal
Jismein ho Guruji ka soch vichaar
Har veh safar hai safal
Jismein ho Guruji ke sangg pyaar.

Har veh raasta hai suhaana
Jo pahunchaaye Guruji ke dham
Jaayaz hai har veh bahaana
Jis se mann hee mann ho paaye Unka dhyan.

Buss phir, vayu aur anal เค…เคจเคฒ mein Guruji
Dharti, gagan, jal mein Guruji
Har sthal mein Guruji
Aur jeevan ke har pal mein buss Guruji hee Guruji.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Jeevan Ke Har Pal Mein Buss Guruji Hee Guruji (07/05/2023)

Chitt Kee Chaadar (07/04/2023)

July 4, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1962

  Chitt Kee Chaadar

Raahi thaa matvaala
Guru thaa uska rakhwala
Guruji kehte thei sab Unhe sammaan se
Sabhi kritagya thei Unke kiye kalyaan se.

Guruji ne bakhshi raahi ko bhi chitt kee chaadar
Jismein bakhsha usey Unhonei Apne naam ka saagar
Naam ke prabhaav se jabb chetne lagi chitt kee chaadar
Toh chitt ko honei lagaa Guruji ka aur bhi zyada aadar.

Guruji kee mehar se badh gaya raahi ka simran aur dhyan
Uspar asar karne lagaa Guruji ke naam ka baan
Chitt mein chamak badhne lagi jaagriti kee
Ruhaaniyat se yoon sajaavat hui uskee aakriti kee
Ki jitne sanskaaron ke prabhaav thei uske chitt kee chaadar par
Ve sadhna se dhulte gaye aur chitt jaane lagaa tarr.

Chitt honei lagaa shant
Chitt ko raas aane lagaa ekant
Chaadar kee silvatein lagin hatne
Raahi ke karma lagey katne.

Chitt kee chaadar par ekaagrata ka noor chhaaya
Uspar gyan aur vairagya ka rangg chadh paaya

Raahi ke chitt kee chaadar ka roop rangg hua Shuddh sphatik mani ke samaan
Guruji ke kripa prasad ne
Uske chitt kee chaadar ko kee shreshth avastha pradaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Chitt Kee Chaadar (07/04/2023)

Is Safar Kee Dastaan (07/03/2023)

July 3, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1961

                 Is Safar Kee Dastaan

Jinkee daant mein bhi basey hamaari chinta aur hamaare liye sahaanubhooti
Jinhe hoti hai humse zyada hamaare dukh aur dard kee anubhooti
Jinka kripa prasad hai hamaare liye sabse uttam ashirwaad
Unn param poojya Shiv avatari Guruji Maharaj ko anantam dhanyawaad.

Naiya par savaar ko miley manjhi sangg patvaar
Jabb miley unhe Guruji aur Unka aparampaar pyaar
Dishaheen ko mil jaaye disha aur raasta
Jabb uska ho Guruji se vimal vaasta.

Bhakti par aaye nikhaar
Antas ka sanvar jaaye aakaar
Kalyaan ka sapna ho jaaye saakaar
Jabb bhakt pahunche Guruji ke dwaar.

Anek yug bhi jaayein beet
Karte huey Guruji ka dhanyawaad
Toh bhi namumkin hai Unka shukrana karna ada
Kyunki Unka hum par upkaar badhta rehta hai sada.

Guruji hee jyot Hain, Ve hee Hain gyan
Guruji hee preet Hain, Unhee se hain hamaare praan
Guruji hee daata Hain, Unhee se miley bhakti ka daan
Guruji hee rahnuma Hain, Unhee se hai mukammal is safar kee dastaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Is Safar Kee Dastaan (07/03/2023)

Guru Purnima (07/02/2023)

July 2, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1960

                  Guru Purnima

Adi Guru Mahadev se paaya
Saptarshiyon ne yog ka gyan
Sarvapratham Guru Hain Mahadev
Sada karte aaye Hain jagat kalyaan.

Vyas Purnima kahein
Ya Ashashdh Purnima kehlaaye aaj ka shubh din
Par satya hai ye
Ki gati nahin hai Guru ke bin.

Guru Shishya kee parampara
Iska mahatva aur saundarya hai bada
Maharishi Ved Vyas ke sammaan mein shuru hua yeh adhyaatmik tyohaar
Aur Gautam Buddh ne Sarnath mein upadesh diya thaa pehli baar.

Shiv Avatari Guruji Maharaj ne liya sangat ko sharan mein
Madad karne hamaare bheetar ke andhere ke haran mein
Ve haath na thaamte toh kitne asahaay se hotey hum
Kali kaal mein haunsala toh toad hee deta dumm.

Apni mahima sunvaakar Unhonei
Hamaare mann mein Apne prati preet jagaayee
Simran kee bakhshish dekar
Hamaare pavitrikaran kee vidhi shuru karaayee.

Guruji dein vyaavahaarik upayogi gyan
Karein bin vehem mein daale usey pradaan
Kumm hai jitna bhi kar lein hum Guru ka sammaan
Kyunki Guru toh sada hotey Hain amrit kee khaan.

Guruji ko hai apne har bhakt kee pratibha kee pehchaan
Apne har bhakt ko Ve dete Hain kalyaan ka daan
Guru Shishya ke paawan bandhan ka karte huey prem satkaar
Sabhi ko mubarak Guru Purnima ka yeh paawan adhyaatmik tyohaar.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Guru Purnima (07/02/2023)

Avidya Bheetar, Baahar Maya (07/01/2023)

July 1, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1959

Avidya Bheetar, Baahar Maya

Avidya bheetar, baahar maya
Koi virla hee inke saaye se bach paaya
Jo Guruji kee mehar se Unkee sharan mein aaya
Veh in do kee maujoodagi mein bhi tarr paaya.

Jabb takk asar karta rahe maya ka ghera
Tabb takk gehra ho andhera
Aur maya toh aaspaas hai raat aur din
Kewal Guru kripa se tarna hai mumkin.

Duur toh na hoga maya ka saya
Dhyan rahe ki is se badal na jaaye antas kee kaaya
Iske paash mein phanse na reh jaayein hum
Is se dabey bina isey seh paayein hum.

Guruji bakhshte rahein simran
Jis se manobal badhe har kshan
Bheetar kee avidya ka hota chale naash
Toot jaayein vikaaron ke bhi paash.

Guruji kee mehar se ruhaaniyat ke safar mein hon agrasar
Guruji kee daya se vidya kee vinamr jyot se ujjwal ho jaaye antas ka ghar
Purusharth kee poorti kee oar badhte jaayein raat din
Ye sab mumkin nahin hai Guru kripa ke bin.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Avidya Bheetar, Baahar Maya (07/01/2023)

Bhaagya Kee Pari Aur Fakir (06/30/2023)

June 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1958

     Bhaagya Kee Pari Aur Fakir

Bhaagya kee pari aayi
Sangg ek chhadi laayi
Jaadu kee nahin, kalyaan kee
Thee veh Guruji ke naam kee.

Guruji ne usey bheja fakir ke paas
Jabb veh dekh raha thaa sapna
Taaron kee chaadar ke taley leta thaa ghaas par
Koi bhi toh nahin thaa uska apna.

Bhaagya kee pari ne usey bataaya
Ki Guruji ka naam jisne bhi dhyaaya
Veh kabhi bhi na pachhtaaya
Kyunki Guruji ne uska beda paar lagaaya.

Guruji kee baatein karte karte
Bhaagya kee pari bhaav vibhor hui
Swapn toota jabb uss fakir ka
Uss pal hee bhor hui.

Akash mein bhi, aur fakir ke jeevan mein bhi
Usey yaad aayi swapn wali bhaagya kee pari
Usne Guruji ka naam japna kar diya shuru
Uska bhaagya khil gaya jo usey mil gaye Guru.

Uss pal se lekar aaj takk
Veh Guruji ka gungaan karta hai athak
Guruji kee mehar roshan karti hai uskee raah
Dukhi thaa kabhi jo fakir, vo abb hai mastt aur beparwaah.

Veh jaan gaya, veh maan gaya
Ki veh surakshit hai Guruji kee sharan mein
Jo bhi ho raha hai uske jeevan mein
Guruji usey akela na chodenge kisee bhi kshan mein.

Sab kuch Guruji par diya hai usne chod
Usey andhere mein bhi nazar aati hai bhor
Yaad aati hai usey veh pari jo hui thi bhaav vibhor
Aur veh Guruji aur pari ka shukrana karta hai haath jod.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Bhaagya Kee Pari Aur Fakir (06/30/2023)