Roop Chaudas (10/23/2022)

October 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1708

                Roop Chaudas

Kaartik maas ke Krishna Paksh kee Chaturdashi hai aayi
Roop Chaudas ka tyohaar hai laayi
Chhoti Deepawali bhi hai iska naam
Is parv kee har katha ko pranaam.

Vishnu Bhagwaan ne is khaas din par devtaaon ko
Gyani Raja Bali ke aatank se mukti dilaayee
Maanga Unhonei kewal teen paaon jitnee zameen ka daan
Aur diya Bali ko varsh mein ek din yaad kiye jaane ka vardaan.

Narakasur ka vadh hua is din
Bhagwaan Shri Krishna, Kali Maa, aur Satyabhama dwaara
Isliye Narak Chaturdashi aur Kali Chaudas bhi kaha jaata hai isey,
Aur Yamraj ka hota hai vandan
Taaki akaal mrityu se bhayy ka ho khandan.

Abhyang snaan, ubtan, mehndi aur shringaar
Mann mein shukrana ka vichaar
Aise mein pooja karta hai saara parivaar
Ki gyan ke deepon se mitey andhkaar.

Ghar kee achche se kee jaati hai safaai
Har dooshit vastu kee hoti hai vidaayee
Shaam kee pooja ke pashchaat ghar ke dwaar par
Jalaakar rakhey hain jaate hain deeye
Ye sabb kiya jaata hai Maa Laxmi ke swaagat ke liye.

Jaise kee jaati hai safaayee ghar kee
Divyata ke niwaas ke liye
Vaise hee apne bheetar kee safaai anivaarya hai
Antakaran kee shuddhi ke liye.

Guruji ka kaha maankar
Apni khaamiyon ko pehchaan kar
Hum Unke ashish se swayam par mehnat kar
Unkee sharan mein jaayein tarr.

Guruji, khandan ho jaaye hamaare har vikaar ka
Hriday mein vaas ho ruhaani pyaar ka
Aapki dee hui sumat se hum nibhaate chalein apna farz
Aapki kripa se har pal kumm hota rahe hum par chadha hua karmon ka karz.

Guruji, hamaari neeyat rahe nek
Aapko arpan karein hum karma pratyek
Hamein deejiye kshama daan
Mita deejiye hamaara aalasya aur agyan.

Guruji, Aapki mehar se hota rahe simran
Aapki karuna se simran se saaf hota rahe mann
Tann mein ho shakti aur roop Aapka diya hua
Khud ko aur baaki sab ko dete rahein hum dua.

Roop Chaudas ke is parv par
Shuddhi aaye sabke ghar
Sankaton ka ho jaaye haran
Mann ka ho pavitrikaran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Roop Chaudas (10/23/2022)

Dhanwaan Banein (10/22/2022)

October 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1707

                Dhanwaan Banein

Dhanvantari Hain Dev Ayurveda ke
Pauraanik kathaaon mein hai Unka gungaan
Amrit se bharaa sonei ka kalash liye aaye
Ve samundra manthan ke dauran.

Is amrit ke paan se devta Huey amar
Aur honei lagaa Dhanvantari Dev ka sammaan
Diwali panchotsav ka yeh pehle din
Hota hai Dhanvantari Bhagwaan ke naam.

Unke prakat honei ke do din pashchaat
Prakat huin Laxmi Mata
Isliye Unkee pooja ke sangg
Maa Laxmi ka poojan bhi hai kiya jaata.

Ganesh ji, Kuber Devta aur Yaamraaj ka hota hai vandan
Maanyata hai ki dhaatu ke bartan, sona, chandi khareedane se badhta hai bhautik dhan.

Ruhaaniyat ka raasta
Rakhta hai sanatan dhan se vaasta
Aur awashya prasann hon Paramatama
Jabb dhani ho hamaare tann, mann, aur atma.

Jabb takk hamaare tann mein hain praan
Hamaara farz hai rakhna is tann ka dhyan
Nirogi kaaya ke liye karein apni oar se prayatna
Shaareerik swaasthya hai anmol ratna.

Guruji Apni sangat ko dein is oar jaane kee prerna
Aur simran karne ko kahein taaki jaagrit hoti chale chetna
Guruji se seedhi taar jodkar karein har soch aur karma Unhe arpan
Taaki nek neeyat aur sadaasheelta se ho antakaran ka poshan.

Khud khaane se pehle
Guruji ko pehla nivaala shraddha se khilaayein
Guruji ke ashirwaad se
Mann ke vikaar mit jaayein
Humne suna hai, ki jaisa ann, vaisa mann
Aur jaisa paani, vaisee vaani
Isliye khaayein, peeyein, vichaarein shuddhi aur subuddhi se
Taaki swasth tann aur mann se khushhaal ho zindagaani.

Simran, sewa, sadhna se hota chale
Atma kee sadgati kee oar vikas
Guruji ke ashirwaad se ye sabb hai mumkin
Basharte nek ho hamaara iraada aur prayaas.

Guruji kee daya se kat-te rahein karma
Unke ashish se nibhaate chalein hum insaaniyat ka dharma
Badhti chale bhautik bhog mein anaasakti
Badhti chale atma kee shakti.

Swasth tann, swasth atma, aur swasth mann
Ye hain sabse anmol dhan
Asthaayee hai baaki dhan sabb
Khatm ho jaaye na jaane kabb.

Sona chaandi aadi khareedne mein nahin hai buraayee
Magar yaad rahe ki aise dhan ka sukh hai asthaayee
Isliye tann, mann, aur atma ke swaasthya ke liye karein parishram
Aur Guruji kee kripa se dhanwaan banein paakar asal dhan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Dhanwaan Banein (10/22/2022)

Aapke Naam Kee Jyot Se (10/21/2022)

October 21, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1706

Aapke Naam Kee Jyot Se

Guruji kee mehar ho
Jyot jaley aur anta karan mein sehar ho
Jyot pyaar kee
Jyot aitbaar kee
Jyot samarpan kee
Jyot simran kee.

Guruji kee kripa se mitey andhkaar
Guruji kee karuna se jyot jaley har baar
Jyot mitrataa kee
Jyot pavitrataa kee
Jyot dhyan kee
Jyot gyan kee.

Guruji ke ashish se ho prakash
Jyot roshan kar de dharti aur akash
Jyot achche vyavhaar kee
Jyot shuddh vichaar kee
Jyot saamanjasya kee
Jyot kartavya kee.

Diwali ke buss aa hee gaye hain din
Diwali na lagegi Diwali jyot ke bin
Kyun na hriday kamal mein har jyot ko liye
Jalaayein bheetar aur baahar satyugi deeye.

Apne aap se kar lein aaj hee vaada
Ki chaahe khud ke paas kumm ho ya ho zyada
Shukrana kee jyot se ujjwal rakhenge antarmann ko
Guruji kee bhakti se sanvaarenge jeevan ko.

Guruji, Aapse hai ye arzi
Ki chalaana hum par Aap Apni marzi
Aaj ho ya ho kal, Aap hum par barsaate rahiyega Apna ashirwaad
Din ho ya ho raat, Aapke naam kee jyot se rahe hamaara mann aabaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Naam Kee Jyot Se (10/21/2022)

Guruji Karte Rahein Saari Sangat Ka Bhalaa (10/20/2022)

October 20, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1705

Guruji Karte Rahein Saari Sangat Ka Bhalaa

Lakhon taare beshak hon aasmaan mein
Lekin anokhi baat hai chaand kee shaan mein
Kalaayein niyam se hoti hain kumm aur zyada
Chaand kabhi poora dikhta hai kabhi aadha.

Chuppi chaand kee, aur chaand kee sheetalta
Uskee shakti hai ye, na ki uskee nirbalta
Nazar nahin aata hai chaand jabb hukoomat hoti hai baadal aur baarish kee Aur tabb bhi jabb aati hai raat amaavas kee
Phir dheere dheere har din dikhti hai uskee badhti kala
Chalta aaya hai aur aagey bhi chalta rahega ye silsila.

Lekin chaand ke astitva ko lekar kisee ko nahin hai sanshay
Veh phir bhi nibhaata rehta hai apna kartavya
Shivji ke mastak ka lekar veh aashray
Sajaa rehta hai Unpar bina kisee bhayy.

Guruji Hain karuna ke mahasaagar
Hum sabko dete Hain Ve aashray
Apne aanchal mein dete Hain hamein Ve sahaara
Taaki hamein na sataaye koi bhi bhayy.

Jaise jaise hamaare pichhle aur is janam ke karmon kee dhaara
Hamaare naseeb kee nadiya mein hai behti
Hamaare jeevan mein hamaari khushiyaan
kumm zyada hoti hain rehti
Atma mein basee veh buniyaadi shanti waqt ke khel ke prabhaav ko chuppi se hai sehti
Guruji ke ashirwaad ke amrit kee nirmalta
Deti hai is dauran bhi atma ko divya sheetalta.

Shant sheetal chaand
Shant sheetal hamaari atma
Sambhaalne wale Ve hee
Guruji Shiv Paramatama.

Kitne bhaagyashaali hain hum
Khushi gumm beshak hon zyada kumm
Lekin Guruji raksha karte Hain har dumm
Hamaare aansuon se karein Ve Apni aankhein numm.

Chaand ko maana jaata hai mann ka adhipati
Shiv avatari Guruji Hain hum pashuon ke pati
Shivji ke ashish se kaayam hai chaand kee kalaaon ka silsila
Guruji ke ashish se hoti jaaye hamaari chadhdi kala
Guruji kee kripa se sada har kasht hai talaa
Guruji karte rahein saari sangat ka bhalaa.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Karte Rahein Saari Sangat Ka Bhalaa (10/20/2022)

Yoon Hee Toh Nahin (10/19/2022)

October 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1704

           Yoon Hee Toh Nahin

Yoon hee toh nahin humne janam liya
Kuch na kuch toh hoga kiya
Kuch achche kuch bure karam
Tabb jaakar mila hai ye janam.

Reh gaya hai abhi karmon ka karz
Nibhaane hain abhi kayi aur farz
Nahin chalega bann-na khudgarz
Bhakti hee davaa hai, jo bhi ho marz.

Trutiyon par karna hai kaam
Shukrana kar ke japna hai naam
Bhog bhogna hai bin lagaav
Atma par nahin honei dena koi ghaav.

Niyantran mein rakhna hai raag
Taaki atma par na lagg jaaye uska daag
Abb toh apne uddeshya kee oar lein jaag
Na bitaayein har janam Brahmagyan se bhaag.

Mal ko dhoyein
Sadhna mein khoyein
Vikaaron mein na royein
Sat karma ka beej boyein.

Na jaane kitne janam ke liye chalega atma ka ye safar
Na jaane aur kitne shareeron mein karna padega atma ko basar
Prayaas rahe ki is janam mein toh ho gyan praapti ke prayaas ka aisa asar
Ki atma Paramatama mein samaane ke liye hoti chale agrasar.

Guruji dekh rahe Hain hamaari neeyat
Guruji jaante Hain ki kitnee hai hamaari uss disha kee oar mehnat
Ve nikhaarte aaye Hain har janam mein kismat
Ve hee aagey bhi karenge inaayat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Yoon Hee Toh Nahin (10/19/2022)

Tera Adhyaatamik Uddhaar (10/18/2022)

October 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1703

Tera Adhyaatamik Uddhaar

Guzar gaya hai beeta hua kal
Aaj bhi jaayega guzar
Guruji tere angg sangg Hain har pal
Isliye tu chinta na kar.

Kal bhi Unhonei hee dee thi tujhe himmat
Aaj bhi Ve de rahe Hain tujhe taakat
Poora jagg bhi kar le agar bagaavat
Guruji karte rahenge tujh par inaayat.

Agar kisee ne diya tujhe dhokha
Toh bhi ronei se kya hoga?
Badalte hain duniya ke rangg
Lekin badalenge nahin Gurujī ke dhangg.

Agar badalenge, toh ve bhi tere kalyaan ke liye
Tujhe bachaane ke liye
Tujhe Apne aur bhi kareeb laane ke liye
Tera naseeb jagaane ke liye.

Teri oar se zaroorat hai sarvsamarpan kee
Teri oar se zaroorat hai shraddha aur simran kee
Mann na bhi lagg raha ho, toh bhi koshish kar dhyan kee
Tujh par vrishti hogi Gurujī ke ashish roopi gyan kee.

Teri har chinta jaayegi mitt
Kyunki tera chitt chintan par ho jaayega kendrit
Tu rehne lagega ekaagrachitt
Teri atma ka hota rahega hitt.

Har sukh dukh ek sa ho jaayega
Koshish kar, dekhna, aisa din zaroor aayega
Jabb yahaan rehte huey bhi tujhe na hoga bhog ka khumaar
Aur Guruji kee kripa se hoga tera adhyaatamik uddhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tera Adhyaatamik Uddhaar (10/18/2022)

Ahoyi Ashtami (10/17/2022)

October 17, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1702

                   Ahoyi Ashtami

Kaartik maas ke Krishna Paksh kee ashtami tithi hai aayi
Ahoyi Maa kee vishesh pooja ka mahoorat hai ye laayi
Maatayein apni santaan kee lambi aayu aur unke mangal ke liye karti hain vrat aur vandan
Ahoyi Mata kee tasveer ko deewar par banaakar vandan ke sangg hota hai katha ka shravan.

Jin naariyon kee santaan nahin ho
Aur unhe ichcha ho santaan kee
Ve bhi rakhein upvaas is din
Poorti karne apne armaan kee.

Koi maa gobar se toh koi chaandi se bhi
Banaati hain Maa Ahoyi kee aakriti
Chitra aur aakriti mein banaaye jaate hain saahi aur bachche
Sabhi mataaon ke bhaav hotey hain mamta se bharey aur sachche.

Ganesh ji aur Maa Ahoyi ke sangg
Pooja kee jaati hai poore Shiv Parivaar kee
Maa Parvati toh paawan moorat Hain maa ke pyaar kee
Aur Ahoyi Ashtami pooja prerna deti hai is pyaar par aitbaar kee.

Raat mein arghya diya jaata hai taare ko
Maa Parvati swayam ashish deti Hain is pyaare nazaare ko
Ahoyi Maa Hain Maa Parvati ka swaroop
Isliye Ve Hain sampoorna mamta ka roop.

Santaan par koi mushkil na aaye
Santaan deergh aayu paaye
Maa Ahoyi kee kripa se aulad sukhi rahe
Vrat rakhne wali har mata pooja mein ye kahe.

Maanyata hai ki honei wali hai jo ghatna anhoni jeevan mein
Ahoyi Maa usey de sakti Hain badal
Is vishwaas se maatayein Ahoyi Ashtami par vrat hain rakhti
Taaki mangalmay ho unkee santaan ka aane wala kal.

Guruji ke liye har bhakt hai Unkee santaan
Ve karte Hain har bhakt ka kalyaan
Maa kee mamta aur pita ka pyaar
Inke dwaara Guruji karte Hain sabka uddhaar.

Hamaare achche swaasthya aur lambi umr ke liye
Guruji uthaate Hain itne kasht
Agam agochar Hain Ve beshak
Lekin Unhe chinta hai hamaari, yeh satya hai spasht.

Ahoyi Ashtami ke shubh din par
Guruji ke maatritva ka pun: karein dhanyawaad
Apne sab bachchon ko sambhaala hai Guruji ne
Ye hai hamaare liye sabse uttam ashirwaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ahoyi Ashtami (10/17/2022)

Ujjwal Hogi Bhakti (10/16/2022)

October 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1701

              Ujjwal Hogi Bhakti

Beshak kshanabhangur hai yeh sansaar
Lekin jeevan mein ichchaayein hain aparampaar
Mann ka swami hona- ye hai iska aadhaar
Iska upaay hai atma ka uddhaar.

Mann hai bahut hee chanchal
Tez hai iskee daud
Mann ko kaabu mein kar le bande
Atma ke kalyaan kee oar mann ko moad.

Guruji ne bakhshi hai daat simran kee
Simran se yakeenan sthiti sudharegi mann kee
Simran hotey hotey hota jaayega gehra
Aisa hotey hotey badhta jaayega mann par pehra.

Jabb simran hoga pal pal
Tabb ye pehra hoga har pal
Mann galat sochne se katraayega
Aur bhatakne se bach paayega.

Kumm hota jaayega vishayon kee oar aakarshan
Simran aur dhyan kee badaulat anushaasan -baddh hota jaayega mann
Veh dheere dheere ekaagrataa aur sanyam se sajj jaayega
Aur waqt ke saath sthir honei lagg jaayega.

Mann ka sthir rehna bahut zaroori hai
Sthir mann kee durgati se alanghya duuri hai
Mann kee sthirtaa sadgati kee pradaata hai
Yahee raasta oordhvagati kee oar jaata hai.

Guruji Apne bhakton ko dete Hain
Simran aur dhyan dwaara gyan
Aawashyak hai bhakt ka nishchit prayaas
Varna veh banaa rahega mann ka das.

Yeh prayaas banaayega bhakt ko safal
Ruhaani hota chalega bhakt ka safar
Kumm hoti jaayegi vishayon kee oar aasakti
Kusangat ko tyaagne kee miltee rahegi shakti
Veh pal bhi aayega jabb hogi har vishay se poorna anaasakti
Aur jeete jee hee Brahma gyan se ujjwal hogi bhakti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ujjwal Hogi Bhakti (10/16/2022)

Parivartan (10/15/2022)

October 15, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1700

                      Parivartan

Parivartan ho raha hai nirantar
Chaahe hamein maalum chale ya nahin koi antar
Kyunki parivartan achaanak ho, aisa nahin hota sada
Balki, parivartan kee aksar hoti hai dheemi aur sankuchit si adaa.

Mausam ho ya hon praani
Parivartan badalta hai sabki zindagaani
Yeh aasmaan, yeh dharaa
Har vriksh jo hai khadaa
Aur bhi badalte pehlu prakriti ke
Har pal ho rahe faisle niyati ke
Rishton kee duriyan aur nazdeekiyan
Ehsaas kee gehraayee kee baareekiyan
Kaam karne ke tareeke
Sansaar ke niyam aur saleeqe
Ye parivartan kewal baahar nahin ho raha
Balki hamaare bheetar bhi nirantar hai ho raha.

Hamaare siwa shaayad hamaara zor na chale kisee aur parivartan par
Lekin hamaari soch aur hamaare karma ka ho raha hai asar
Asar, na kewal swayam par
Balki aaspaas ke spandan par.

Guruji kee kripa se aaye hum mein vaisa parivartan
Jaisa Gurujī swayam chaahein
Uss parivartan se hum Gurujī ke aur bhi kareeb hotey chalein
Sahaara banee rahein Unkee baahein.

Guruji kee mehar se hamaare mann ko sthir karey simran
Simran aur dhyan se atmabal badhta rahe har kshan
Aisa ho pavitrikaran
Ki saaf hota rahe mann roopi bartan.

Bhaav kee shuddhi hoti chaley pehle se bhi zyada
Sakaaraatmak soch se aur bhi zyada sajey har iraada
Hamaara aantrik parivartan
Chhalkega hamaare vyavhaar mein
Sabhi jo ye tareeka apna lein
Toh kitna parivartan ho sakta hai sansaar mein.

Guruji kee dee prerna se
Guruji se milee chetna se
Kalyuga kee chunautiyon se hum na darein
Aur satyugi aatmaayein banein.

Parivartan toh hai hona hee hona
Kyun na koshish karein ki ho veh salona
Hamaare prayatn se santusht hoga mann
Aur Guruji hamaari koshish se hongei prasann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Parivartan (10/15/2022)

Jeevan Kee Naiya (10/14/2022)

October 14, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar # 1699

                  Jeevan Kee Naiya

Jeevan kee naiya
Dol rahi thi beech majdhaar
Janam maran ke maalik ko
Dil raha thaa pukaar.

Dekh kar akash
Rooh kar rahi thi talaash
Aisa anokha prakash
Jo karey har andhkaar ka vinaash.

Agyanta ka andhkaar
Chinta ka andhkaar
Har vikaar ka andhkaar
Har paap ka andhkaar.

Mann mein sawaal thaa ki jeevan kee naiya
Paayegi ya nahin aisa khivaiya
Jo swayam ho prakash ka swaroop
Veh prakash, jo ho anokha aur anoop.

Beshak mujhe lagaa ki hui thodi si deri
Lekin bahut khushanaseebi thi meri
Ki Gurujī ne bulaaya mujhe Apne dar par
Dene naiya ko kinaare takk pahunchaane ka avsar.

Yakeenan uss se pehle mera waqt na thaa aaya
Guruji ne yakeenan tabb bhi Apna aanchal hoga bichhaaya
Aur mujhe goad mein tabhi bhi sambhaala hoga zaroor
Meri hee naadaani thi agar mujhe lagaa mai tabb thi Unse duur.

Guruji kee kripa se mit gaya hai har sanshay
Ve hee sambhaalte aaye Hain har pralay
Ve hee Hain veh anokha anupam prakash
Jiskee thi mujhe kabb se talaash.

Abb jaise bhi doley jeevan kee naiya
Swayam Gurujī Hain khivaiya
Mujhe na bhi dikhe, Unhe dikh raha hai kinaara
Unkee kripa se chamka hai meri kismat ka sitaara.

Duur ho raha hai andhkaar Unkee mehar se
Divya prakash ka dikhne lagaa hai noor
Mulaakaat nishchit hai ruhaani sehar se
Kalyaan hota rahega zaroor.

Shukrana karte karte karoon tayy is safar ko
Guruji se hai ye praarthanaa
Shraddha bhaav bakhshein Gurujī
Taaki nikharti rahe meri sadhna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jeevan Kee Naiya (10/14/2022)