Guruji Ne Dikhaaya Ye Raasta (10/16/2020)

October 16, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 971

     Guruji Ne Dikhaaya Ye Raasta

Raaste ne kuch kaha nahin mujhse,
Mainey bhi nahin kuch poochha,
Chalti rahi magar mai uspar,
Na dhoondha koi raasta dooja.

Kyunki Guruji ne dikhaaya ye raasta,
Mere vishwaas ko hai Guruji ka vaasta.
Na koi kintu-parantu, na koi agar-magar,
Buss, shraddha aur prem se chalun apni dagar.

Guruji ne chalaaya hai is dagar par,
Toh yeh buri ho hee nahin sakti.
Buss, dua hai Guruji se ki is raaste par,
Pal pal khiltee rahe meri naadaan bhakti.

Guruji ka naam lekar,
Is raaste par mai chaloon,
Koi mushkil jo aa jaaye,
Toh mai bilkul na daroon.

Guruji par kiye vishwaas se,
Mai itnee himmat paaoon,
Ki har chunauti ka saamna kar ke,
Mai aagey badhti jaaoon.

Raaste mein jo laukik aakarshan aayein,
Unse mera atma-bal na ho jaaye kamzor,
Isliye raaste par simran karti chaloon,
Thaam kar Guruji ke naam kee doar.

Safar karte huey Guruji kee mahima gaati jaaoon,
Har avsar par Unkee vadiyaayee sunoon aur sunaaoon,
Unke kahe anusaar gupt paath, sewa, aur daan karna rakhoon mai yaad,
Aur vinamrataa aur khushi se apanaaoon Unkee dee hui har saugat.

Andhere se na ghabraaoon mai,
Roshni ka karoon intazaar,
Uth kar chaloon har baar nayee umang ke sangg,
Chaahe giroon mai jitnee baar.

Guruji har pal saath Hain mere,
Ye har dum rakhoon yaad,
Ve mujhe sambhaalte rahein,
Buss, yahee karoon fariyaad.

Shukrana karoon Guruji ka,
Ki abhi takk ka safar tayy hai karaaya,
Isee raaste par chalte huey mainey jaana,
Ki Guruji apne Hain, baaki jagg hai paraaya.

Yoon hee shukrana karte karte,
Safar rakhoon mai jaari,
Guruji, kripa kar Apne sangg lekar jaana,
Jabb bhi aaye meri baari.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ne Dikhaaya Ye Raasta (10/16/2020)

Simar Simar Le (10/15/2020)

October 15, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 970

                    Simar Simar Le

Simar simar le,
Naam simar le praani,
Guruji ka simran karne se,
Dhanya hogi teri zindagaani.

Sukh aur dukh toh aate jaate rahenge,
Kabhi tu muskuraayega, kabhi karega naadaani,
Kabhi kisee pal tere aansoon bhi bahenge,
Aisee hee hoti hai jeevan kee kahaani.

Simran se tu dukh jhel sakega thodi aasaani se,
Kuch na kuch toh seekhega tu har kahaani se,
Simran kee urja jab jud jaayegi teri zindagaani se,
Toh yeh madad kar ke nikaalegi tujhe har pareshaani se.

Simran se karam kat-te jaayenge,
Simran se utsah ke lamhe aayenge,
Simran se agyaan ka andhera hoga duur,
Simran se har vikaar honei lagega chuur.

Simran zindagi mein aisa prakash laayega,
Simran jeevan mein aisa sakaash laayega,
Ki tu aur bhi khichta jaayega uskee oar,
Kyunki simran se anubhav hogi sukh kee bhor.

Jitna karega tu is naam ka gungaan,
Yeh naam tujhe utnee shanti karega pradaan,
Simran se tu banta jaayega dhanwaan,
Kyunki tujhe ashish dete jaayenge Bhagwaan.

Isliye simar simar simar le naam,
Rakhta chal tu Guruji ka maan,
Jinhonei diya hai naam ka daan,
Is naam ko banaa le is rishte kee pehchaan.

Rishta Guruji aur tera,
Jo har pal aur bhi gehra ho,
Simran se kar le jeevan mein aisa savera,
Jis par har pal pyaare Guruji ka pehra ho.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Simar Simar Le (10/15/2020)

Hamaara Mann, Swaami Ya Das? (10/14/2020)

October 14, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 969

  Hamaara Mann, Swaami Ya Das?

Jaisa bhi karaayein hum mann ko abhyaas,
Veh banega ya toh hamaara swami ya phir das.
Hum par hee karta hai yeh nirbhar,
Ki hamaara kitna niyantran hai mann par.

Mann hee dost hai, mann hee dushman,
Sach mein bada hee chanchal hai mann,
Isey vash mein karna hai bahut zaroori,
Chaahe ichchaa se karein ya phir samajhkar majboori.

Mann toh atma kee unglee pakad kar,
Sach mein pauncha hee pakad leta hai,
Atma ko vivash karta rehta hai,
Aur antt mein nirbaltaa ke kaaran dukh deta hai.

Bahut aawashyak hai mann ko sikhaana,
Taaki isey aa jaye atma se sahi rishta nibhaana.
Nahin toh der nahin lagti isey galat raasta apnaane mein,
Aur atma ko kayee janam lagg jaate hain apne asli ghar takk jaane mein.

Guruji kee dikhaayee simran kee raah par,
Jitnee wafaa se hum chalenge,
Utnee hee wafaa se,
Hamaari atma kee kamzori ke bhaari greh talenge.

Atma-bal jitna zyaada hoga,
Utna aasaan hoga mann par kaabu paana,
Jaise jaise simran aur dhyan badhta rahega,
Mann ko padega aur bhi kum samjhaana.

Kyunki Guruji kee dee hui simran kee jo hai deeksha,
Ye degi mann ko niyantran mein rehne kee shiksha,
Dheere dheere mann banega hamaara das,
Aur hum hotey jaayenge Guruji ke aur bhi paas.

Har buraayee se khud hee duur rehne lagega phir mann,
Jis se swasth rahenge hamaare vichaar, atma, aur tann,
Badhne lagega achche karmon ka sunehra dhan,
Guruji mein mann sadaa rehne lagega magan.

Dekhna, jaise jaise mann maanega atma ko sarkaar,
Hamaare vaatavaran ke spandan mein bhi hoga sudhaar,
Guruji mauka de rahein hain, humne toh buss koshish karni hai,
Changi neeyat ho, Guruji poori madad karenge, humne toh buss jholi bharni hai.

Toh kyun na is pal se hee le lein yeh prann,
Ki Guru naam ke simran ka batorenge hum dhan,
Jis se har pal atma-bal ka sewak bann jaayega mann,
Aur Guru kripa se kalyaan se phalega jeevan ka har kshan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Hamaara Mann, Swaami Ya Das? (10/14/2020)

Atma Ka Pratibimb (10/13/2020)

October 13, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 968

       Atma Ka Pratibimb

Jheel ke shant paani mein dekho,
Toh apna pratibimb aata hai saaf nazar,
Jaisa chehra hai uss samay,
Pratibimb vaisa dikhne mein na chode koi bhi kasar.

Lekin agar paani mein leher bann jaaye,
Ya phir phaynko koi pathhar,
Toh pratibimb bigad sa jaata hai,
Chehre se bilkul hatkar.

Moh maya aur lobh kee leheron se,
Hamaari atma ka pratibimb bhi bigad gaya hai,
Jis maasumiyat ke saath hum yahaan aaye thei,
Uss maasumiyat ka astitva toh jaise ujad gaya hai.

Krodh aur ahankaar ke patharon ne,
Jeevan kee jheel ko kar diya hai ashaant,
Dhyan se sochein aur sunein hum,
Toh humse yahee kahega hamaara ekaant.

Hamaare liye bahut anmol saugat hai,
Ki Apni sharan mein Guruji ne hamein liya hai,
Kyunki jo hamaari atma ka asal charitra hai,
Humne shaayad abhi takk uske anusaar nahin jiya hai.

Guruji ke simran aur dhyan se,
Karte chalein hum atma ka pavitrikaran,
Taaki jaise jaise waqt beetey,
Hamaara sudharta jaaye chaal chalan.

Sudhar jaayein hamaare vichaar,
Sudhar jaaye hamaara vyavhaar,
Nek neeyat ho jeevan ka aadhaar,
Varna hamaara jeevan ho jaayega bekaar.

Akhandata jab aayegi atma mein,
Tabhi samaa sakegi veh Paramatama mein,
Guruji ne dikhaaya hai raasta mangalkaran ka,
Yahee toh hai uddeshya maanav janam ka.

Toh kyun karein hum aur vilambh?
Aayiye karein apne uddhaar ka praarambh.
Guruji kee kripa se har leher, har pathhar raaste se ho jaayega duur,
Aur atma ke pratibimb par chhaa jaayega Guruji ka divya noor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Atma Ka Pratibimb (10/13/2020)

Abb Guruji Ke Dar Tu Aaja (10/12/2020)

October 12, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 967

   Abb Guruji Ke Dar Tu Aaja

Bahut bhatak liya tu pyaare,
Abb laut ke ghar tu aaja,
Bahut ghoom liya bin disha ke,
Abb Guruji ke dar tu aaja.

Guruji kee divya sharan mein,
Unse baatein karne tu aaja,
Unke ashirwaad ke amrit se,
Mann kee gaagar bharne tu aaja.

Vyaakulta aur bechayni mein kabb takk jeeyega,
Shaant hokar dheeraj dharne tu aaja,
Guruji tujhe bulaava de rahey Hain,
Swayam ko sadaa ke liye tarne tu aaja.

Kabb se tu uljhaa hai jagg mein,
Abb kee baar sulajhne tu aaja,
Guru praapti ke sukh se bada koi sukh nahin,
Is sachchaayee ko samajhne tu aaja.

Sewa, satsang, simran mein jo anand hai,
Usey karne mehsoos tu aaja,
Guruji ko sarvsamarpan karne mein jo suraksha hai,
Usmein honei mehfooz tu aaja.

Adhyatmik oonchaayee par chadhte chadhte,
Guruji ke charnon mein jhukne tu aaja,
Guru praapti ko apni manzil banaakar,
Is takk pahunch kar yahaan rukne tu aaja.

Ateet kee kadvaahaton ke ghaav,
Aaj ke sakaraatmak marham se bharne tu aaja,
Aaj har shikva, har shikaayat chod kar,
Guruji ka shukrana karne tu aaja.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Abb Guruji Ke Dar Tu Aaja (10/12/2020)

Dhonndan Jo Mai Chali Guru Ko (10/11/2020)

October 11, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 966

   Dhonndan Jo Mai Chali Guru Ko

Dhoondhan jo mai chali Guru ko,
Guru kaheen na milya paaye,
Jo haar maan lee mainey phir toh,
Guruji ne Aap hee liya bulaaye.

Niraasha se bhare pyaale ko phainka jo mainey,
Aur Guru vandan ka tilak jo liya lagaaye,
Guruji ne charnon mein baithaaya mujhko,
Aur sir par haath diya dharaaye.

Pyaar se dekhat thi Guruji ko,
Dil ka haal Unhe diya sunaaye,
Guruji ne kaha, β€˜kalyaan kitta,’
Aur phir diyo muskuraaye.

Unkee muskaan mein prem aisa,
Ki mann kee shankaa ko diyo bhagaaye,
Kalyaan ke karunamayee ashirwaad ne,
Dukh ke bojh ko diya ghataaye.

Guruji ka simran karte karte,
Mann halka hota jaaye,
Itnee niswaarthtaa se Unhonei apnaaya,
Ye soch dil khushi se phoola nahin samaaye.

Dua hai ki Guruji ka Shukrana karte karte,
Mera mann kabhi bhi na thakk paaye,
Dua hai ki Guruji ko poojte huey,
Vishwaas aur shukrana kee mitrataa ho jaaye.

Khushi bann jaaye in dono kee sakhi,
Toh jeevan mein anand hee anand aa jaaye,
Shukrana, vishwaas, aur khushi ke yog mein magn hokar,
Mera roam roam har pal Guruji kee mahima gaaye.

Guruji kee mahima likhte aur gaate,
Yeh zindagaani beet jaaye,
Guruji ne mujhe sweekaar liya hai jabse,
Mera toh jeevan safal hui jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dhonndan Jo Mai Chali Guru Ko (10/11/2020)

Ruhaaniyat Ka Aaftaab (10/10/2020)

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 965

 Ruhaaniyat Ka Aaftaab

Sannaate kee parchhaayiyon se aakhir kabb takk,
Yoon hee dabee rahegi ye udaasi kee rayn?
Yahee sochte sochte,
Jabb bhar aaye mere nayn,
Tabhi andhere mein ek hawaa ka mehekta jhonka aaya,
Jisne jaise poochhaa mere dil ka haal,
Aur jaise hee uss jhonke ne mujhe chooma,
Vaise hee mai honei lagi nihaal.

Uss jhonke kee khushboo mein basaa thaa,
Mere sawaal ka ruhaani jawaab,
Ki rayn ko abb aur na dabna padega,
Kyunki usey azad karega ruhaaniyat ka aaftaab.

Veh khushboo thi Guruji kee divyataa kee,
Jisne jeevan kee rayn ko sannaate se mukt kiya,
Rayn ne azad hokar apna astitva khoya,
Aur sooraj ne apne tej se akash ko tript kiya.

Guruji yakeenan aftaab kee roshni ko rakhenge barkaraar,
Har aandhi, tufaan, aur baarish ke paar mujhe le jaayega Unka pyaar,
Yeh kewal ummeed nahin, yeh mera vishwaas bol raha hai,
Is vishwaas bhare vandan mein mera mann dol raha hai.

Jaise jaise rayn mukt hoti jaaye,
Guruji, meri atma Aap mein khoti jaaye,
Aaftaab se roshan hoti rahe ruhaaniyat kee raah,
Aapko paane ke alaawa na ho aur koi bhi chaah.

Is vandan ko kar leejiye sweekaar Guruji,
Yeh vintee hai mujh naadaan kee,
Aap mein mujhe sampoorna chhavi dikhtee hai,
Mere antar-mann mein basey Bhagwaan kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ruhaaniyat Ka Aaftaab (10/10/2020)

Ye Kalyuga Hai Janaab (10/09/2020)

October 9, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 964

           Ye Kalyuga Hai Janaab

Is akash mein bin garajte huey baadal ko baraste dekha hai,
Is duniya ko girgit se bhi tez rangg badalte dekha hai,
Kehte hain taali ek haath se nahin bajti,
Lekin ye kalyuga hai janab, yahaan toh neki ko thappad padte dekha hai.

Kalyuga ke aise samay mein Guruji ne le liya hai apni sharan mein,
Shukr hai is baat ka, varna na jaane kya ho jaata,
Maada waqt hai aaya itna, aur hum baithey hain Guruji ke charan mein,
Nahin toh sach mein hamaara kalyaan kaise ho paata?

Guruji ke oopar har pal bharosa rakhna,
Hamaari fitrat bani rahe toh achchaa hoga,
Guruji ke naam ka simran karne se,
Hamaari himmat bani rahe toh achchaa hoga.

Jis yug mein lobh itna badh gaya hai,
Ki apne apnon ke saath bhi baant kar nahin khaate hain,
Aise mein Guruji ne sab kuch kaise sambhaala hai,
Ye soch kar Shukrana ke aansoon aankhon mein bhar aate hain.

Atma-sammaan diya hai hamein,
Atma-vishwaas ke saath,
Hum mushkil mein chod bhi dein chaahe,
Par Guruji na chodein hamaara haath.

Pyaar diya hai itna saara,
Ki hamaari ek jholi mein na ye samaaye,
Isliye kyun na sab kuch Unpar chod dein,
Taaki Unka pyaar hamaare roam roam par chhaaye.

Koyle ko Guruji banaa sakte Hain heera,
Aur paaras ko banaayein Ve sona,
Abb jo Unkee sharan mein Hain hum,
Toh ho jaaye jo bhi hai hona.

Sabse pyaare meet Ve hee Hain,
Phir aur kaheen kyun jaana hai?
Guruji toh sampoorna Srishti ke shehenshaah Hain,
Unke payron taley saara zamaana hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ye Kalyuga Hai Janaab (10/09/2020)

Jeevan Ke Is Daur Par (10/08/2020)

October 8, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 963

      Jeevan Ke Is Daur Par

Pyaare Guruji,

Hamaare khoon ka katra katra ,
Aapki mehar ka mohtaaj hai,
Dil ke roam roam par,
Aapki marzi ka raaj hai.

Kal jo hua so ho gaya,
Abb hamaare saamne aaj hai,
Aapki mehar se isey sanvaar lein,
Hamaare karmon ke haath mein hamaari laaj hai.

Duniya ka drishya toh dekh liya,
Yahaan se chala jaayega jo bhi yahaan aaya hai,
Chaahe jitna bhi gehra rishta ho kisee se,
Phir bhi yahaan har koi paraaya hai.

Kyunki sabke saath laukik naata hai,
Jisne vyarth mein kayee baar sataaya hai,
Sadhna mein archan hai yeh sansaar,
Lekin karmon ka khel bhi isi mein samaaya hai.

Isliye yahaan par rehte huey hee,
Seekhna hai alag hona adhyatmik taur par,
Taaki dil ko chot na pahunche,
Jeevan ke is daur par.

Kyunki ruhaani seedhi par chadhte huey,
Dil kamzor ho toh nahin hai achchaa,
Niswaarth bhakti ke sangg yeh bhi chaahiye,
Ki iraada ho nek, dridh, aur sachchaa.

Isliye dikhaawe ka koi kaam nahin,
Na hee faayda hai kisee vikaar ka,
Banda bann ne ke liye hona zaroori hai,
Changey vyavhaar aur vichaar ka.

Jo khushi hum bhautikvaad mein dhoondh rahe hain,
Uss se zyada khushi ruhaaniyat mein paayein hum,
Guruji, aisee kripa keejiye humpar,
Ki abb toh bande bann jaayein hum.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jeevan Ke Is Daur Par (10/08/2020)

Sab Rishton Ka Samraat (10/07/2020)

October 7, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 962

         Sab Rishton Ka Samraat 

Guruji kee mamta kee mithaas,
Sangat kee Guruji ko paane kee aas,
Guruji ka naam leta hua sangat ka shwaas,
Sangat kee Guruji ke charnamrit ke liye pyaas,
In sabse banta hai yeh rishta bahut hee khaas.

Guruji ka laad aur pyaar,
Sangat par Unke kiye upkaar,
Guruji ka sangat ko diya dulaar,
Sangat kee Guruji ko pukaar,
In sabse rehta hai yeh rishta barkaraar.

Guruji ka sangat ko diya maargdarshan,
Sangat ka karte rehna Guruji ka smaran,
Guruji kee har bhakt par karuna har kshan,
Sangat ka pehen lena Guru naam ka aabhushan,
In sabse hota hai yeh rishta bahut paawan.

Guruji kee Apne bachchon par nadar,
Sangat kee Guruji par pyaar bhari nazar,
Guruji kee bhakti karne ka hamaari chetna par asar,
Sangat ke sukh mein na rahey koi kasar,
In sabse hota hai yeh rishta agrasar.

Guruji ka diya hua langar prasad,
Sangat kee Guruji sunte Hain fariyaad,
Guruji ka diya hua anant ashirwaad,
Sangat ko Guruji se milee hui uddhar kee buniyaad,
In sabse rehta hai yeh rishta sadaa yaad.

Guruji kee maujoodagi har pal,
Sangat ke kasht jo jaate hain tal,
Guruji ke paas hai har mushkil ka hal,
Sangat ka Guruji par bharosa atal,
In sabse hai salaamat yeh rishta kal, aaj, aur kal.

Guruji ne tabb tabb bhi diya sahaara,
Sangat ne jabb jabb Guruji ko pukaara,
Guruji bin hamaare boley bhi jaanein haal hamaara,
Sangat ka jeevan Guruji ne hai sanvaara,
In sabse banaa hai yeh rishta duniya mein sabse pyaara.

Guruji ne dee hai simran aur dhyan kee daat,
Sangat ka Guruji ke prati komal jazbaat,
Guruji ne dee hai sewa aur satsang kee saugat,
Sangat ke karam Guruji dete Hain kaat,
In sabse yeh rishta hai sab rishton ka samraat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sab Rishton Ka Samraat (10/07/2020)