Humne Aapka Saath Hai Paaya (08/17/2020)

August 17, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 911

    Humne Aapka Saath Hai Paaya

Pyaare Guruji,

Jabb agyaan ke timir mein so gaye hum,
Aapne neend se jagaaya,
Jabb path par chaltey huey girey hum,
Aapne Apni goad mein uthaaya.

Jab bhautikvaad ke shor se hum huey pareshaan,
Aapne ruhaaniyat se judwaaya,
Jabb zamaane ne dabaana chaahe hamein,
Aapne utsaah pradaan kar hamein behlaaya.

Kewal maree hui machhlee bahaav ke sangg behti hai,
Aapne hamein yeh bataaya,
Atma-prayaas kar ke satya ka saath dena,
Is tathya se Aapne samjhaaya.

Aapki nazar hum sab par hai sadaa,
Aapne har pal hai yaad dilaaya,
Ahem aur jhooth nahin hai changaa,
Aapne yeh baar baar samjhaaya.

Saari sangat ka itna uddhaar kar ke bhi,
Aapne kabhi bhi nahin jataaya,
Itne saare laukik rishton mein,
Aapne dikhaaya kaun apna hai kaun paraaya.

Humse jo zamaane ne chheen liya thaa,
Aapne veh aadar aur pyaar hamein dilvaaya,
Apni divya leela aur mamta se,
Aapne hamaara maargdarshan karaaya.

Dil ko itna sukoon mila hai jabb se,
Aapki mahima ka geet humne gungunaaya,
Hum toh sach mein itne khushnaseeb hain,
Kyunki humne Aapka saath hai paaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Humne Aapka Saath Hai Paaya (08/17/2020)

MahaShiv Dharti Par (08/16/2020)

August 16, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 910

          MahaShiv Dharti Par

MahaShiv dharti par Guruji ke roop mein aaye,
Janam lete hee Unhonei sangat ko divya nazaare dikhaaye,
Unka prem, Unkee leela, Unka prataap,
Duur karne lagaa bhakton ke dukh aur santaap.

Veh kalam ko chhoote hee usmein siyaahi ka bhar jaana,
Veh do do jageh mein ek hee waqt par nazar aana,
Veh sachkhand ka prasad jo itne bhakton ko mil paaya,
Veh mehar jis se Unhonei kitnon kee so rahi kismat ko jagaaya.

Aaj Guruji chaahe bashar roop mein nahin Hain hamaare sangg,
Lekin Unkee maujoodagi kee chhaaon mein beet raha vartmaan hai,
Kyunki Unkee divya shakti pehle se aur bhi zyaada hai,
Aur Unkee kripa kee baarish mein bheeg raha yeh jahaan hai.

Guruji jab sapnon mein aayein toh bhi veh nahin koi brahm,
Guruji kahein ki sangat Unke maanav roop ke jaane ka na karey koi bhi gumm,
Balki Unkee mehre-nazar mein hum bitaayein apni zindagi ka afsaana,
Aur Unke divya roop mein sarv-vidyamaan honei ka hum sadaa karein shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

MahaShiv Dharti Par (08/16/2020)

Kalyuga Laaya Hai Apne Saath (08/15/2020)

August 15, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 909

    Kalyuga Laaya Hai Apne Saath

Kalyuga laaya hai apne saath,
Har tarehn kee museebat aur uljhan,
Mahavipadaa, udaasi, aur niraasha hai,
Har koi dhoondh raha hai suljhan.

Ek pal jo shaqs apna hota hai,
Veh dooje pal bann jaata hai begaana,
Jaisa bhi lagey, yahee dastoor hai,
Aisa hee hai aajkal ka zamaana.

Nekneeyat ko kamzor samajhna,
Aajkal kee duniya kee fitrat hai,
Vikaaron ka badhte jaana,
Kalyuga kee khaasiyat hai.

Kaheen kaheen hai paarivaarik mann mutaav,
Toh kaheen aur itna bura hai swabhaav,
Vikaaron ne itna zulm hai dhaaya,
Ashaanti laa rahi hai yeh maaya.

Aisa nahin ki anand aur sachchaayee nahin hai,
Aisa nahin ki khushi aur achchaayee nahin hai,
Lekin bewafaai bhi yaheen hai,
Aur ruswai bhi yaheen hai.

Guruji jabb maanav roop mein thei,
Toh kaha thaa Unhonei ki maada waqt hai aa raha,
Paath aur simran karna bachne ke liye zaroori hai,
Kyunki har kisee kee koi na koi majboori hai.

Guruji ne thaama hai har jann ka haath,
Guruji Hain har bhakt ke saath,
Guruji Hain hum sabke naath,
Kalyaan hoga maankar Unkee baat,

Chaahe samay ka jharna bahega, phir bhi
Kalyuga toh abhi rahega,
Bhavishya hamaare vartmaan ke karmon kee kahaani kahega.
Guruji kee sharan mein jageh milee hai, yeh khushnaseebi hai hamaari,
Guruji Apni mehar se harenge sabki peeda, mushkil, aur beemari.

Imaandaari se apne karam karein,
Sewa aur simran hum karte jaayein,
Satsang sunn kar aur suna kar,
Bhakti mein ruhaani rangg bharte jaayein.

Saari kee saari duniya par,
Banee rahe Guruji kee kripa drishti,
Dua hai ki Guruji ke ashirwaad se,
Sadaa surakshit rahe yeh srishti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji

Dhirja

Kalyuga Laaya Hai Apne Saath (08/15/2020)

Guruji Ke Ruhaani Dar Par (08/14/2020)

August 14, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 908

       Guruji Ke Ruhaani Dar Par

Guruji ke ruhaani dar par,
Guruji aaye hamaare liye bann kar bashar,
Tum naman karo Unke bachche bannkar,
Guruji kee mamta barasti hai sab par.

Guruji ke ruhaani dar par,
Jo bhi aata hai shraddha se kar jod kar,
Uskee bhakti laati hai asar,
Jaise jaise jeevan hota hai basar.

Guruji ke ruhaani dar par,
Jo bhi jhukaata hai sir,
Jo nahin karta hai agar-magar,
Uskee jholi Ve dete Hain bhar.

Guruji ke ruhaani dar par,
Bann jaata hai bigda muqaddar,
Guruji kee har saadhak par hoti hai nadar,
Har santaap ko Unka ashirwaad leta hai har.

Guruji ke ruhaani dar par,
Har bhakt jaata hai tarr,
Nahin lagtaa hai phir kaal se darr,
Kyunki divya suraksha milti hai umr bhar.

Guruji ke ruhaani dar par,
Hai hamaara aslee ghar,
Vaheen hai Kailash ka nagar,
Vaheen aata hai sach khand nazar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Ruhaani Dar Par (08/14/2020)

Unkee Khudaayee Mein Kho Jaayein (08/13/2020)

August 13, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 907

Unkee Khudaayee Mein Kho Jaayein

Guruji kee divyataa ka jo hai spandan,
Uske aagey toh pheeka laagey chandan,
Unka noor, Unkee ruhaaniyat,
Uskey aagey jhuk jaati hai saari insaaniyat.

Unka maasoom mamta bharaa pyaar,
Jo karta hai Unke prataap ka sringaar,
Uss pyaar se sushobhit prataap se,
Mukt hotey hain hum har santaap se.

MahaShiv Hain Ve, Unkee aseem hai divyataa,
Unkee leela ke aagey na chale koi bhi vidvataa,
Chup Hain Ve agar toh yeh nahin ki Ve anjaan Hain,
Balki isliye kyunki Ve sarvgyani Bhagwaan Hain.

Jo bhi socha hai Guruji ne,
Hamaare bhavishya ke liye,
Achchaa hee hoga, karna hoga vishwaas,
Kyunki hamaara uddhaar hee hai Unkee aas.

Isliye bin sanshay, bin kisee uljhan,
Unhee ko kar ke sab kuch arpan,
Unkee Khudaayee mein kho jaayein,
Aur sadaa ke liye Guruji ke ho jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unkee Khudaayee Mein Kho Jaayein (08/13/2020)

Yahaan Veh Divya Pyaar Hai (08/12/2020)

August 12, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 906

     Yahaan Veh Divya Pyaar Hai

Guruji ke roop mein Rabb mil gaya,
Rabb ke milne se toh sab mil gaya.
Har oar Guruji ka noor hai chhaaya,
Jis se saari sangat ne sukoon hai paaya.

Bhatkey huey ko dikh jaati hai sahi raah,
Guruji ke protsaahan aur maargdarshan se,
Sabko milta hai Guruji ka aashirwaad,
Unkee sharan mein beete huey har kshan se.

Tayy karte chalein hum raasta,
Aanchal mein lekar aasthaa,
Guruji ko divya roop mein paane kee,
Unkee jyot mein samaane kee.

Is se zyada shubh aur sukhdayee,
Kuch ho hee nahin sakta,
Jisne is raaste par chalna shuru kiya,
Uska kalyaan nahin hai rukta.

Khushnaseebi kee seema nahin rahi hai,
Jab se hum aaye hain Guruji kee sharan mein,
Kyunki kalpana aur ichchaa se bhi zyada sukh,
Humne paaye hain Unke kamal charan mein.

Buss, inhee charnon mein hum samaa jaayein,
Sadaa Guruji kee paawan mamta paayein,
Kyunki yahaan veh divya pyaar hai,
Jiska hamaari rooh ko kab se intazaar hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Yahaan Veh Divya Pyaar Hai (08/12/2020)

Janmashtami Ka Tyohaar (08/11/2020)

August 11, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 905

      Janmashtami Ka Tyohaar

Aaj Janmashtami ka tyohaar hai,
Chhaayee har oar khushi kee bahaar hai,
Manaayein hum sab Bhagwaan Krishna ka janam,
Aur Vishnuji ke aathvein avataar ka aagaman.

Vasudev aur Maa Devki ne,
Pyaare Baal Gopal ko janam diya,
Mathura ke ek kaaraagaar mein,
Tufaani raat ke andhiyaar mein.

Aisee divya leela thi chhaayee,
Ki gehri si neend mein so gaye sipaahi,
Har bedi, har hath-kadi khud hee khul gayi,
Aur phir Vasudev ko azaadi mil gayi.

Navjaat shishu ko tokari mein daal,
Vasudev ne liya bachche ko sambhaal,
Aur Ve gaye Gokul ke sundar se gaaon mein,
Saumpne Krishna ko Yashoda kee mamta kee chhaaon mein.

Jaise Vishnuji ne liya Krishna ka avataar,
Aur Kans ke liye kar liya kaal ko pukaar,
Vaise hee MahaShiv aaye Guruji ke roop mein,
Taarne yeh poora sansaar.

MahaShiv mein toh Brahma, Vishnu, Rudra,
Teenon shaktiyaan hain samaayee,
Isliye Guruji ke divya prataap kee mehar,
Saari duniya par hai chhaayee.

Guruji chaahein ki hum Krishna roopi chetna se,
Apna jeevan karein vyateet,
Taaki agyaan aur nakaaraatmakta kee raatri,
Sadaa ke liye jaaye beet.

Vehem, andhvishwaas, aur vikaaron kee hathkadiyaan,
Inse mukt hon hamaare soch vichaar kee ladiyaan,
Sakaaraatmakta ka sur bajaaye har dil kee baansuri,
Aur bhakti mein ho shraddha aur saboori.

Jab anyaaya aur vikaaron par lagega poornaviraam,
Phir dharti par hee bann jaayega Baikunthdhaam,
Guruji hum sabse kitne prasann hongei,
Aur Unhe prasann kar ke hum sab sampann hongei.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Janmashtami Ka Tyohaar (08/11/2020)

Unkee Muthhi Mein (08/10/2020)

August 10, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 904

               Unkee Muthhi Mein

Jis pal se miley hamein hamaare pooran Guru,
Usee pal se ho gaya hamaara kalyaan shuru,
Sach mein bahut hee khushnaseeb hain hum,
Guruji ne sambhaalein Hain hamaare khushi aur gumm.

Anant se bhi paar dekhti hai Unkee divya drishti,
Unke aagey sir jhukaa deti hai poori srishti,
Unke ek ishaare se tufaan rukh badal leta hai,
Unke ek hukm se Yamraaj haar maan leta hai.

Guruji hamaara sadaa rakhte Hain itna dhyan,
Koi bhakt nahin hai is meethe sach se anjaan,
Ve swechha se Hain hum sab mein vidyamaan,
Aur sadaa karte Hain hum sabka kalyaan.

Guruji pooran Guru aur MahaShiv Bhagwaan Hain,
Ve hee sampoorna srishti mein sabse mahaan Hain,
Unke prataap se hee zameen aur aasmaan hai,
Unkee muthhi mein toh saara ka saara jahaan hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unkee Muthhi Mein (08/10/2020)

Guru Prem (08/09/2020)

August 9, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 903

                   Guru Prem

Guru prem hai prerna,
Guru prem hai chetna,
Guru prem hee shiksha,
Guru prem hee deeksha.

Guru prem hai bandhan,
Jiska sab karte hain vandan,
Guru prem veh chandan,
Jis se mehek jaaye yeh mann.

Guru prem hee shakti,
Guru prem hee bhakti,
Guru prem se nirmaan,
Guru prem hai divya dhaam.

Guru prem hai simran,
Guru prem hai samarpan,
Guru prem hai satsang,
Guru prem hai sadaa angg sangg.

Guru prem hai aradhana,
Guru prem hai sadhna,
Guru prem hai ek aas,
Guru prem hai vishwaas.

Guru prem hai santosh,
Guru prem hai ruhaani josh,
Guru prem hai pooja,
Guru prem hai oorja.

Guru prem hai ashirwaad,
Guru prem hai prasad,
Guru prem hai dukh haran,
Guru prem hai mangal karan.

Guru prem hai uphaar,
Guru prem se paropkaar,
Guru prem praanon ka aadhaar,
Guru prem se hai sansaar.

Guru prem hai sahaara,
Guru prem hai jeevan dhaara,
Guru prem hai vardaan,
Guru prem ko prem bhara pranaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Prem (08/09/2020)

Aaradhya Banaa Lo Guruji Ko (08/08/2020)

August 8, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 902

     Aaradhya Banaa Lo Guruji Ko

Sewa kar lo, simran kar lo,
Kar lo Guruji ko yaad,
Guruji kee maujoodagi se,
Kar lo apne dil ko aabaad.

Satsang kar lo Guruji ka,
Kar lo tum fariyaad,
Ki Guruji tumhare dil ko,
Karvaayein vikaaron se azaad.

Langar khaa lo shraddha se,
Veh hai Unka diya prasad,
Langar aur chai prasad mein hai,
Guruji kee divyataa ka swaad.

Dhyan lagaa lo Guruji mein,
Chod do har vaad vivaad,
Jab bhi koi baat sataaye,
Kar lo Guruji se samvaad.

Samarpan kar do Guruji ko,
Chinta matt karo uske baad,
Guruji sambhaalenge sab kuch tumhaara,
Dekar tumhe ashirwaad.

Aaradhya banaa lo Guruji ko,
Ve dete Hain itna pyaar aur laad,
Shukrana karte raho Guruji ka,
Unmein baste Hain Om aur Naad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aaradhya Banaa Lo Guruji Ko (08/08/2020)