Asal Anand (08/04/2025)

August 4,2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2724
          Asal Anand

Khushiyan, duniyadaari
Ameeri, gareebi, swaasthya, beemari
Chinta, bhayy
Shok, sanshay
Bhog, vikaar
Maya vatika ka ye sansaar
Isey karna hoga paar
Rehte huey yaheen
Bheetar se pahunch kar vaheen
Jahaan anand hai asal
Jahaan saans lena hai safal
Guruji kee yaad par rehkar nirbhar
Unke simran par aashrit rehkar
Unke naam kee jyot antas mein jalaa kar
Tayy karte jaana hai ye safar.

Guruji ke aasare hee thaa sab kuch pehle bhi
Guruji ke bharose hee hai sab kuch aaj bhi
Aane wale kal kee bhi hai ye khushkismati
Ki Guruji ke ashish se hee hogi gati.

Safar tayy karte karte pakka ho gaya hai yakeen
Ki bhala nahin hai rehkar maya ke adheen
Kintu prapanch se azad karaa sakte Hain kewal Guruji Maharaj
Dekar vo chetna jis se hum sanvaar lein apne kaaj.

Kaaj jo hum sanvaar lenge aaj
Toh usee pal se sudharne lagega aane wala kal
Guruji se judey rehkar
Bhole bhaav mein behkar
Pahunch jaayenge hum vahaan
Asal anand hai jahaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Asal Anand (08/04/2025)

Aapne Hee Mujhe Thaama Thaa Kal (08/03/2025)

August 3,2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2723

Aapne Hee Mujhe Thaama Thaa Kal

Param poojya Guruji Maharaj,

Aapne hee mujhe thaama thaa kal
Aaj bhi Aapne sambhaala hua hai
Aap thaame rahenge mujhe kal
Ye bharosa mujhe nihal karta hai pal pal.

Jaisa bhi ho bhaagya ka mukh
Jeevan mein aaye sukh ya dukh
Shukr hai ki mujhe mila hai Aapka sahaara
Varna na chal paata mera guzaara.

Mere liye sukh mein bhi Aap, dukh mein bhi Aap
Yahee bhaav rahe banaa
Jitne bhi janam lene padein
Mera kann kann rahe Aapse juda.

Duniya ka toh badalta rehta hai kaayda
Duniya ko khush karne ka nahin koi faayda
Is prayaas se na thakoon
Ki Aapko mai khush kar sakoon.

Dete rahiyega aisee prerna
Ki badhe mujh mein chetna aur samvedana
Jeevan ka vann hai bada mayavi aur ghana
Meri raksha keejiye dekar sada Apni paawan panaah.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Aapne Hee Mujhe Thaama Thaa Kal (08/03/2025)

Moti Apne Jazbaat Ke (08/02/2025)

August 2, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2722
               Moti Apne Jazbaat Ke

Param poojya Guruji Maharaj,

Moti apne jazbaat ke
Piro kar prem kee mala mein
Aapke kamal charan mein karoon arpan
Kripa kar ke qubool keejiye, mere Bhagwan.

In motiyon par mayll chadhi hai mere mann kee
Pashchaataap ke aansoo se veh dhul na paaye
Aap hee bataayein, Guruji Maharaj
Ye nimaani jaaye toh aur kahaan jaaye.

Mere pashchaataap ke aansoo mein Aapko rijhaane kee kshamta nahin
Jaisi Aap chaahein mere mann mein vo samta nahin
Kintu Aap bakhshanhaar Hain
Aur Aap hee taaranhaar Hain
Aap kar deejiye mujhe maaf
Aapki rehmat se hee moti hongei saaf.

Aap chaahein jaisa
Aapke prati mera prem ho vaisa
Mere sir par rahe Aapka haath
Mann kee mayll dhulti rahe saath saath
Itne paawan Aapke charan
Unmein kar paaoon pavitra mala mai arpan
Aapki daya ke bin ye nahin mumkin
Kyunki mere avgun toh itne ki mai na sakoon gin.

Aapke charnon mein hai mera sansaar
Aapki sharan mein nishchit hai mere ghar parivaar ka uddhaar
Mere prem kee mala kar leejiye sweekaar
Guruvar mere, Aapka hoga bada upkaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Moti Apne Jazbaat Ke (08/02/2025)

Samay Ka Safar (08/01/2025)

August 1, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2721
                    Samay Ka Safar

Samay thaa ik aise moad kee talaash mein
Chaahe vo miley dharti par ya akash mein
Jahaan se uske pallu ko khushiyan yoon lein thaam
Ki gum ho jaaye gumm ka naam-o-nishaan.

Samay ne poochha bhaagya se
Bhaagya ne kaha apne Araadhya se
Jo Guruji Maharaj ke roop mein thei virajmaan
Ki samay kiske paas jaaye aur jaaye kahaan.

Guruji Maharaj ne bhaagya se kaha
Ki samay vyarth mein idhar udhar poochhta raha
Unhonei samay ko bulaaya Apne paas
Aur samay ko dilaaya ehsaas
Ki koi nahin Unse zyada saamarthyavaan
Aur Ve swayam karenge naye moad ka nirmaan.

Samay ko kabb se thi saantavana kee chaahat
Guruji kee baat se usey milee raahat
Guruji par chod kar moad ka nirmaan
Samay baitha karne Guruji ka dhyan.

Guruji kee kripa ka hona hee thaa kalyaanmayi asar
Naye moad dikhne lagey samay ko, usne dekha jidhar
Khushiyan dikhne lagi har moad par
Ve samay ka pallu thaame jhukaane lagin apna sir.

Samay ke kasht hotey gaye kumm
Duur honei lagey sabhi gumm
Guruji kee meher se samay badhaata gaya kadam
Aur har naye moad se sakaaratmak banta gaya uska jeevan.

Guruji ke kamal charan mein kar ke sarvsamarpan
Samay guzaarta gaya pal pal aur ghadi ghadi
Guruji kee inaayat har kadam par samay ke saath thi khadi
Samay ke safar kee raahein Guru kripa se huin hari bhari.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Samay Ka Safar (08/01/2025)

Aap Hain Taral Taruvar (07/31/2025)

July 31, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2720
             Aap Hain Taral Taruvar

Aap Hain taral taruvar, mere Guruji Maharaj
Apne se jodey rakhna mujhe sada
Mai toh agyani naadaan hoon
Mujhe na aaye iskee ada.

Mujh par aisee kripa karna mere Bhagwan
Ki mai patjhad ka patta na jaaoon bann
Jo taruvar se alag hokar dharaa par gir jaata hai
Aur phir kabhi bhi taruvar se jud nahin paata hai.

Meri ragon mein Aapke prati shraddha bhaav bahe
Mera mann aur mukh sada Aapko shukrana kahe
Mujhe bakhshte rahiye aisee shuddhi
Mujhe bakhshte rahiye aisee subuddhi
Ki baahar jo aur jaisa bhi ho mausam
Meri rooh mein chale bhakti kee aisee sargam
Ki hariyali se matvaali mai rahoon
Har mausam, har tufaan ko sahoon
Aapse juda na ho jaaoon jhad kar
Balki hari bhari rahoon tarr kar.

Aap hee Hain mere taaranhaar
Aap hee Hain mere praanon ka aadhaar
Jeena mumkin nahin Aapke sahaare bin
Chaahoon bhi toh Aapki rehmatein nahin mai sakti gin.

Mere taruvar mahaan
Rahiyega sada meharbaan
Jagaaye rakhiye meri chetna
Dete rahiye mujhe prerna
Aapka sahaara lete huey Aapki daal par rahoon
Har aane jaane wale raahi se Aapki mahima din raat kahoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Aap Hain Taral Taruvar (07/31/2025)

Jinka Har Hukum (07/30/2025)

July 30, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2719
                   Jinka Har Hukum

Jinka har hukum
Jinka har vachan
Le chale Unkee hee oar
Aur Shivmayi ho vo doar
Unn Guruji Maharaj ko namaskaar
Unka shukrana baarambaar.

Jinkee raza mein razi rehkar
Jinke prem ke bhaav mein behkar
Milta hai jeevan ko kinaara
Kyunki Ve swayam bante Hain sahaara
Unn Guruji Maharaj ko namaskaar
Unka shukrana baarambaar.

Jinkee leela koi na jaan paaye
Jinkee divyata har bhakt maan jaaye
Aaj nahin toh kal
Jo naseeb sakte Hain badal
Unn Guruji Maharaj ko namaskaar
Unka shukrana baarambaar.

Jinkee daya kee aseem hai gehraayee
Jinkee kripa kee anant hai vadiyaayee
Jo Swayambhu SadaShiv Hain swayam
Jinkee sharan mein sanvar jaata hai jeevan
Unn Guruji Maharaj ko namaskaar
Unka shukrana baarambaar.

Jo bhakt ke sanshay karte Hain duur
Jo bhakt ka ahankar karte Hain chuur
Jinkee mahima har tark vitark ke paar hai
Jinkee meher ka mohtaaj saara sansaar hai
Unn Guruji Maharaj ko namaskaar
Unka shukrana baarambaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Jinka Har Hukum (07/30/2025)

Raaston Se Poochha Deewane Ne (07/29/2025)

July 29, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2718
    Raaston Se Poochha Deewane Ne

Raaston se poochha deewane ne
Ki manzil kitnee duur hai
Raaston ne kaha ki vahaan hai manzil
Jahaan Guruji ka noor hai.

Deewane ne raaston ko bataaya
Ki uske antas mein hai Guruji ka noor
Raaste hanse aur kehne lagey uss se
Ki phir manzil nahin hai kaheen duur.

Deewane ne Guruji se kee ardaas
Aur dhyan mein baitha Guruji ke paas
Toh Guruji usey le gaye uske bheetar
Jahaan divya noor thaa idhar udhar
Har taraf, har kann mein
Roshni karte huey uske antakaran mein
Uskee rooh ko prakashit karte huey
Uske bheetar aisee prakampan bharte huey
Ki har kona achhaadit hua Guruji ke prasad se
Aur deewana bheegta gaya Guruji ke ashirwaad se.

Ashirwaad ka amrit thaa sheetal
Deewane ko ehsaas hua itna nirmal
Ki usey mehsoos hua ki uska ye androoni safar
Safal ho raha hai pal pal.

Guruji ka thaa uspar pehra
Uska dhyan hota gaya gehra
Guruji ke jyotirmay roop ka hua usey darshan
Adbhut aur anmol thaa uske jeevan ka vo kshan.

Atmabodhswaroop darshan Guruji Maharaj ka
Banaa yathaarth uss deewane ke aaj ka
Buss, phir toh usne liya jaan aur maan
Ki Guruji kar rahe Hain uska kalyaan
Aur zaroorat nahin phir bhi de rahe Hain pramaan
Aise Hain Ve karunanidhaan.

Deewana shukrana mein yoon dooba
Ki usey aur kuch na soojha
Maan liya usne ki manzil nahin hoti duur
Jahaan hota hai Guruji ka saakshaat noor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Raaston Se Poochha Deewane Ne (07/29/2025)

Raat, Sundar, Suhaani (07/28/2025)

July 28, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2717

Raat, Sundar, Suhaani

Raat, sundar, suhaani
Chandni ruhaani
Pareshaan praani
Chalta raha.

Na mukh par muskaan
Na dil mein armaan
Na jhoothi na sachchi shaan
Buss, praani pareshaan.

Koi chaahat nahin
Koi raahat nahin
Apnon kee aahat nahin
Praani chalta raha.

Bheetar duvidhaaon ka tufaan
Dekhkar ajab jahaan
Tann mann zehen zubaan
Reh gaye bilkul hairaan.

Praani thaa gyani
Gyan uska thaa ruhaani
Usne Guruji kee leela pehchaani
Aur kumm honei lagi uskee pareshaani.

Guruji pahuncha rahe Hain vairagya ke mukaam par
Jahaan se aur bhi aagey badhega uska safar
Praani ko apne bheetar se hee milee ye khabar
Hua uspar chetna ka aisa asar
Ki pareshaani honei lagi duur
Har duvidha honei lagi chuur chuur
Sab hai karmon ka dastoor
Aur Guruji kalyaan kar rahe Hain zaroor
Gaya vo samajh
Uske vichaar gaye sulajh
Suhaani raat kee chandni ruhaani mein
Aagey badha karmon kee kahaani mein
Koi kamee nahin thi Guruji kee meharbaani mein
Ve uske angg sangg rahe uskee zindagaani mein.

Jaisi bhi ho bhakt kee kahaani
Guruji karte Hain har bhakt par meharbaani
Ye hai bhakt ke kalyaan kee sabse badi nishaani
Ye sachchaayee aaj nahin toh kal sabne hai jaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Raat, Sundar, Suhaani (07/28/2025)

Madhu, Aapki Meharbaani Ka (07/27/2025)

July 27, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2716
        Madhu, Aapki Meharbaani Ka

Mere sundar sartaj
Mere Guruji Maharaj
Soumya SadaShiv sarvagyani
Anant akhand antaryami
Koi nahin Aapsa daani
Daya ka daan maange ye nimaani.

Aap sarvasaamarthyavaan
Aap sarvashaktimaan
Aapse chale ye saara jahaan
Aap maya ke swami, Aap meharbaan.

Aapse jude rehne kee hai aas
Aapse jude rehne ka hai prayaas
Jabse hua hai ye ruhaani ehsaas
Ki kitnee anmol hai divya madhu kee mithaas.

Divya madhu, Aapki meharbaani ka
Hai aisa sahaara meri zindagaani ka
Jiske bin mumkin nahin meri zindagi
Jis par nirbhar hai meri kee bandagi.

Kyunki Aapki meher bin
Aapka simran bhi nahin mumkin
Aur Aapki yaad bin na jee paaoon ek bhi din
Beshak apna loon mai anya tareeke bhinn bhinn.

Aapse hee mera har shwaas hai
Aap par hee vishwaas hai
Aapke hukum se hee jeevan mein loon har kadam
Toh yakeenan sahi disha aur dasha kee oar chalega mera jeevan.

Aapki meharbaani ka madhu milta rahe
Uss se mere bheetar ka phool khilta rahe
Toh jaanti hoon ki tarr kar sanvar jaayegi meri ye atma
Aapki meharbaani se hee chalti hai meri zindagaani, mere Paramatama.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Madhu, Aapki Meharbaani Ka (07/27/2025)

Oonchaayee Kee Oar (07/26/2025)

July 26, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2715
 Oonchaayee Kee Oar

Oonchaayee kee oar chadhna mushkil
Par oonchaayee se neeche aana kitna aasaan
Chadhte chadhte gir na jaayo kaheen
Rehna har pal saavdhaan.

Darne se kuch nahin milega aye insaan
Chinta na karo, angg sangg Hain Bhagwaan
Guruji ke param sundar roop mein
Jeevan kee chhaon dhoop mein.

Guruji ka hai sahaara
Prayaas hoga tumhaara
Toh oonchaayee ka nazaara
Dikhega saara ka saara.

Shraddha aur saboori
Guruji kee prashansa bhuri bhuri
Mitaani Guruji se har duuri
Ye hain bilkul zaroori.

Guruji ke haath mein saump kar apni naiya kee patvaar
Badhte chalo oonchaayee kee oar karte huey koshish baar baar
Girne par kaheen maan na lena tum haar
Jodey rehna tum Guruji sangg seedhi ruhaani taar.

Ye hai tumhaara Unke sangg seedha naata
Na koi bichauliya na hee beech mein koi baadha
Na koi dikhaawa na karmakand na chadhaava
Bhole bhaav se seenchit ho ye rishta seedha saada.

Girte uthte chalte chalte
Oonchaayee kee oar badhte badhte
Guruji kee meher ka awashya hota chalega asar
Aur Ve pahunchaayenge tumhe shikhar par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Oonchaayee Kee Oar (07/26/2025)