Kahaani Ek Maanav Ke Jeevan Kee (03/08/2025)

March 8, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2575

Kahaani Ek Maanav Ke Jeevan Kee

Ye kahaani hai ek maanav ke jeevan kee
Guruji kee kripa se sadgati kee oar badhauti hui uske mann kee
Uskee kismat kee hui uske sangg ann-bann
Aa gaye ek din uske saamne uske praarabdh karam
Bach toh nahin thaa sakta
Unhe bhogte huey thaa vo thakta
Kisee punyamayi manushya ke dwaara
Mila usey Guruji ka divya dwaara
Phir toh aisa safar hua shuru
Jo karaa sakte Hain kewal ek pooran Guru.

Aisa nahin ki mushkilein gayi ruk
Lekin ve Guruji ke samaksh gayin jhuk
Isliye maanav ko sehni padi mushkilein apne bhaagya se kumm
Guruji ne sakaaraatmakta bakhshi aur usey kumm lagne lagey apne gumm.

Karmon ka khel hai sab, veh samajh gaya
Jitna uljha thaa pehle, utna hee abb sulajh gaya
Sabse badi baat thi usne Guruji kee maani
Buss, phir Guruji kee marzi se chali uskee zindagaani.

Paakar Guru sharan mein panaah
Hota chala vo beparwaah
Guruji se ho gaya uska aisa judaav
Ki khatm honei lagaa vyarth kee baaton se lagaav
Chhaayi uske bheetar Guruji ke naam kee aisee masti
Ki vo bhoolta gaya apni hee hasti
Uske bheetar banaa Guruji ke naam ka aisa dham
Ki mann se honei lagaa har teerath ko pranaam
Kyunki veh jaan gaya
Aur maan gaya
Ki sab mein Hain Guruji
Aur Guruji mein Hain sabb
Na raha usey koi sanshay abb
Ki Guruji swayam Hain Rabb.

Guruji kee meher se veh banda bann gaya
Har din Guruji mein aur bhi zyada ramm gaya
Uske niswaarth yogdaan se behtar hua sansaar
Guruji ke saanidhya mein usne bhavsaagar ko kiya paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Pyaas Aapke Simran Kee (03/07/2025)

March 7, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2574
        Pyaas Aapke Simran Kee

Param poojya Guruji Maharaj,

Pyaas Aapke simran kee
Aas Aapke darshan kee
Preet Aapke kamal charan kee
Hain ye prerna mere pal pal kee.

Aapki soch, Aapki yaad
Aapke sangg baat
Aapka saath
Hain ye pyaare vardaan Aap Guruvar ke.

Aapki sewa, Aapka satsang
Aapki bandagi ka rangg
Aapki sadh sangat ka sangg
Hain ye utsah strot mere har aaj aur kal ke.

Aapki awaaz
Aapka ruhaani raaz
Aapki maujoodagi ka ehsaas
Hain ye chetna strot mere jeevan ke.

Aapke vachan
Aapka hukum
Aapki sharan
Hain ye shaasak mere mann ke.

Aapki guruyaayee
Aapki vadiyaayee
Aapki roshni jo sab mein hai samaayee
Hain ye shikshak mere har kshan ke.

Aapki komalta aur saralta
Aapki gambheerta aur nirmalta
Aapki taralta
Hain ye stutya gunn mere Bhagwan ke.

Mere Bhagwan, Aap Guruvar
Mere mata, pita, murshid, mere Har
Kabhi na chodoon mai Aapka dar
Deejiyega aisee bhakti ka var.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Pyaas Aapke Simran Kee (03/07/2025)

Aapka Swaroop (03/06/2025)

March 6, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2573
                  Aapka Swaroop

Param poojya Guruji Maharaj,

Jabb bhi kabhi
Kaheen bhi
Dikh jaata hai Aapka swaroop
Hota hai Aapki oar aakarshan anoop
Aapka hai hee itna pratibhamayi roop
Kyunki Aap swayam Hain SadaShiv ke roop.

Aapke chehre par aisee ruhaani chhavi
Jiska poora bakhaan kar na paaye bade se bada kavi
Itna sundar Aapka abhamandal
Ki poora ghar hee ho jaaye ujjwal
Aapke naynon ka toh kya kehna
Jee chaahe ki abb Unhee mein hai rehna
Aisee hai Aapke naynon kee gehraayee
Ki meri ekaagrata jaati hai Unhee mein samaayee
Chamakte Hain Aapki naasika aur gaal
Aapke labon ko dekh kar bhool jaaoon apna har sawaal.

Swaroop dekh kar laage ki kaan Aapke
Saari sangat kee baatein rahe hain sunn
Haathon ko kabhi kabhi gaal par rakhe
Na jaane Aap gungunaate Hain kaunsi dhun?

Maathe par itna noorani tej
Aur teesri aankh ke darshan
Jisey jabb dekhoon gaur se
Toh veh cheer de mera antakaran.

Sees Aapka toh maano Shivlinga swayam
Ye yakeenan nahin hai mera bhram
Kyunki Aap toh khud hee Hain Parabrahm
Jo sanvaarte bhi Hain hamaare karam.

Kisee swaroop mein mudraayein haathon dwaara
Jinse anugrahit ho sangat samooh saara
Toh kisee swaroop mein Aap dikhein karte namaskaar
Saari sangat ko maano rahe hon taar.

Kisee swaroop mein ashirwaad dete huey Aap aate Hain nazar
Har swaroop ka hota hai itna gehra aur prataapi asar
Besharte dekha jaaye jodkar seedhi taar
Aur prem aur shraddha se nihaara jaaye baar baar.

Seedhi taar se jodkar rooh ko Aap Paramatama ke sangg
Aapke har swaroop mein har bhakt ko dikhein bhinn bhinn darshan ke rangg
Jo aur jaisa Aap jisey chaahein dikhaana
Usey milta hai vaise hee darshan ka khazaana.

Aksar bhakt jann karein Aapke swaroop ko viraajmaan
Ghar ke kamron ya puja sthaan mein
Koi koi toh inhe rakhein batuye ya pustak mein bhi
Kaheen bhi ho, Aap swaroop mein se jhankte Hain har bhakt ke girebaan mein.

Koi rakhe Aapke swaroop ko apni gaadi mein
Koi apne takiye ke paas
Khaaskar jabb koi bhakt hota hai udaas
Ya jabb karni hoti hai Aapse ardaas
Toh Aapke swaroop se hota hai ehsaas
Ki Aap Hain angg sangg, bilkul aas paas.

Sach mein Aapka swaroop kewal tasveer nahin
Kyunki har swaroop dwaara hotey hain Aapke darshan
Aap swaroop dwaara baatein sunte aur karte Hain
Aap swaroop dwaara kitnon ke roag, kasht, aur paap harte Hain.

Aapke har swaroop mein hai itnee ruhaani shakti
Ki veh shakti protsaahit karti hai bhakti
Aapko aur Aapke har swaroop ko koti koti naman
Aapki sangat karey Aapke har swaroop mein Aapka vandan
Sumat aur nishtha bhaav bakhshiyega aisa ki kabhi na karein Aapke kisee bhi swaroop ka tiraskaar
Aapko aur Aapke har swaroop ko tahe dil se
shukrana baarambaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Aapka Swaroop (03/06/2025)

Safalta Kee Oar (03/05/2025)

March 5, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2572
                    Safalta Kee Oar

Jaagoge toh uth paaoge
Kaise uthoge agar sotey hee reh jaaoge?
Isliye sabse pehle toh jaagna hoga, paarth
Dhyan se socho, ismein chhipa hai yathaarth
Tumhe raasta dikha rahe Hain Guruvar mahaan
Jeevan kee ruhaani safalta ka, aye insaan.

Yeh neend, bhog vilaas kee, agyan kee
Hai ye shatru apni hee jaan kee
Guruji jaagne kee kala sikha rahe Hain
Ve satsang, simran,sewa ka raasta dikha rahe Hain.

Indriyon ko sametne ke saadhan hain ye
Ye jaagriti ko protsaahit karte hain
Neend mein bhi satark rahoge
Ye bheetar aisee oorja bharte hain.

Utho aur apna farz nibhaao
Apne bheetar sakaaraatmakta badhaao
Atma-vishwaas badhega jo hai anivaarya
Shraddha bhaav se karo har kaarya.

Samay ret kee tareh hatheli se fisalta jaa raha hai
Har pal yahaan se ravaana honei ka pal kareeb aa raha hai
Har pal anmol hai, har pal ka karo sadupyog
Taaki tumhe phansa na paayein aalasya ya bhautik bhog.

Jaago, jaago, baahar se aur bheetar se
Uddhaar kee daat mil rahi hai Guruji ke dar pe
Guruji ne bulaaya hai tumhe yahaan
Ye hai tumhaari khushkismati ka nirmal nishaan.

Is nishaan ke mahatva ko na nakaaro
Beshak Guruji ko madad ke liye pukaaro
Ve jagaayenge bhi, Ve uthaayenge bhi
Ve tumhe safalta kee oar le jaayenge bhi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Safalta Kee Oar (03/05/2025)

O Guruji Ke Pyaare (03/04/2025)

March 4, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2571
  O Guruji Ke Pyaare

O Guruji ke pyaare
O raahi thakey haare
Raasta raha hai katt
Manzil aa rahi hai nikat
Tu buss chalta chal
Na vyarth gavaa koi bhi pal.

Guruji ka naam lete huey
Apne mann ko tu sametey huey
Nishtha bhaav ka deep jalaaye
Chalta jaa bina ghabraaye.

Tu iklauta nahin jiske saath kismat ne khel kheley hain
Aksar aise raahi sochte hain ki ve akele hain
Parantu kismat ke khel ne anekon ko nahin choda hai
Aur kitnon ko is khel ne bhakti ke maarg se moda hai.

Imtehaan kathin hai yakeenan
Lekin isee ka naam hai jeevan
Shiv se jeev bankar aayegi jeev se Shiv bann-ne kee baari
Darasal isee ke liye Guruji karaa rahe Hain saari tayyaari.

Guruji rahe Hain tujhe taar
Tu himmat bilkul na haar
Tu manzil paane ke liye reh atal
Aaj ya kal, tu awashya hoga safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

O Guruji Ke Pyaare (03/04/2025)

Udaan Bharne Kee Intazaar (03/03/2025)

March 3, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2570
       Udaan Bharne Kee Intazaar

Kandhon par dho kar pahaad
Panchhi udd na paaye
Aise mein vo kaise
Apni manzil takk jaaye?

Hamaari haalat toh hai is se bhi zyaada kasht-daayak
Ek toh hum hain nahin udne ke laayak
Oopar se aasakti ksheen kar deti hai hamaari atma-shakti
Isliye bahut zaroori hai hamaare liye bhakti.

Bhakti mein bhi anivaarya hai bhaav
Aur swayam ko sudhaarne ka chaav
Aawashyak hai Guru dwaara maargdarshan
Taaki atmabodh hota rahe har kshan.

Buddhimaan hona mumkin hai
Lekin kya galat hai aur kya sahi
Ye toh vivek hee bataata hai
Isliye viveksheel hee asal gyaata hai.

Guruji Hain Guru pooran
Unkee shakti hai anant anupam
Maangein Unse aisee bhakti ka daan
Ki praapt ho hamein vivek aur asal gyan.

Guruji dwaara dikhaaya raasta ruhaaniyat ka
Guruji dwaara dikhaaya maarg insaaniyat ka
Bina ahem, vehem, aur andhvishwaas
Chaahiye toh kewal samarpan aur vishwaas
Jo nishtha se badhta jaaye
Jaise jaise bhakt prayaas karta jaaye.

Guruji se badhti jaaye lagan
Mann rahe Guruji mein yoon magan
Ki aur koi aasakti na rahe
Mann vikaaron ka aakraman na sahe
Beshak vikaar vaar karein baar baar
Ve vikaar har baar jaayein haar.

Sochiye, mann ko kitna halka mehsoos hoga kal
Jabb vikaaron ka aakraman na hoga safal
Jabb har duniyaavi aasakti ho jaayegi khatm
Viveksheelta dwaara mitt jaayega har bhram.

Aise mein kumm hota jaayega bhautikvaad ka bhaar
Hum ruhaani udaan ke liye hotey chalenge tayyaar
Badhega atmabodh, badhegi atmashakti
Guruji kee kripa se nikharti jaayegi bhakti.

Ruhaani pankh se mumkin ho jaayega udna
Isliye, bahut zaroori hai Guruji se judna
Guruji se seedhi taar jod kar karein toh hum prayatan
Dekhna, hamaari udaan bharne kee intazaar kar raha hai gagan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Udaan Bharne Kee Intazaar (03/03/2025)

Khushnuma Bhor (03/02/2025)

March 2, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2569
              Khushnuma Bhor

Beshak tumhe dikhtee nahin
Vo doar jis se Guruji ne tumhe thaama hai
Is doar mein hai Guruji kee shakti aparampaar
Tabhi toh itnee chunautiyon ke baavajood tum baithe ho Unke dwaar.

Ye doar hai bahut mazboot
Ye doar yakeenan hai ruhaani
Guruji kee pakad hai itnee prataapi
Ki Unhonei sambhaali hai tumhaari zindagaani.

Yahaan takk bhi Guruji laayein Hain tumhe
Ve hee tumhe aagey bhi lekar jaayenge
Tumhaare kamzor waqt par bhi tumhe thaame huey
Tumhe iske paar Ve pahunchaayenge.

Har anubhav, har sukh dukh kee har ghadi
Tumhe beshak lagey veh chhoti ya badi
Har veh ghadi hai anmol hissa tumhaari zindagaani ka
Tumhaare kalyaan kee kahaani ka.

Guruji Mata pita Hain tumhaare
Na chodenge tumhe bina sahaare
Murshid Hain Ve, de rahein Hain gyan aur maargdarshan
Tum lene wale bano, sudharta rahega tumhaara jeevan.

Guruji Hain tumhaare Ish roopi mitra
Jinke saanidhya mein chamkega tumhaara charitra
Ve hee Hain SadaShiv swayam
Unke vash mein hai tumhaara janam maran.

Unke haathon mein hai tumhaare uddhaar kee doar
Unhee par tum do sab kuch chod
Tum lo buss Unke naam kee chunariya odh
Tumhaare jeevan mein khud chal kar aayegi khushnuma bhor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Khushnuma Bho (03/02/2025)

Maya Ke Nayyn (03/01/2025)

March 1, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2568
                   Maya Ke Nayyn

Maya ke nayyn hain kayi hazaar
Na bach paaya iskee nazar se ye sansaar
Rochak lagta hai idhar udhar ka samaachaar
Maya agyani ko aakarshit karti hai baar baar.

Maya ke chanchal nayynon se
Bach na sakaa hai insaan
Paash hai ye hum pashuon ko baandhe huey
Pashupati Hain Guruji sarvshaktimaan.

Maya Unkee ek shakti hai
Jiske dwaara Ve lete Hain hamaara imtehaan
Ye hai is imtehaan ka uddeshya mahaan
Shiv se jeev bankar bann-na hai hamein jeev se Shiv Bhagwaan.

Yahee hai is safar ka saar
Isee mein lagg jaate hain aksar janam kayi hazaar
Ya phir is se bhi adhik
Aur chalta jaata hai pathik.

Anivaarya hai purusharth nibhaana
Agar raaste kee manzil ko hai paana
Guruji se judaav hota chale jitna
Har paash se azad hona mumkin hai utna
Maya ke chakravyuh mein phansey ko bhi Guruji bachaate Hain
Imtehaan lete Hain Ve aur Ve hee utteerna karaate Hain.

Guruji kee kripa bin koi paash na toote
Guruji kee meher bin buri aadat na chhoote
Jaan kar hamaari koshish aur neeyat
Ve karte Hain bharpoor inaayat.

Guruji ke saanidhya mein beeta shraddha ka har ik pal
Badhaata hai shraddhaalu ka manobal
Guruji le chalte Hain aisee azadi kee oar
Ki bhakt ko baandhti hai kewal Unke sangg rishte kee doar
Kyunki baaki sabb duniyavi hai
Baaki sabb mayavi hai
Guruji hee SadaShiv Hain
Guruji hee Hain satya
Ye kewal vishwaas nahin hai
Ye hai param tathya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Maya Ke Nayyn (03/01/2025)

Bheetar Ka Ujiyaara (02/28/2025)

February 28, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2567
               Bheetar Ka Ujiyaara

Jabb bheetar chhaaya ho andhiyaara
Jabb jeevan kee naiya ko na dikhey kinaara
Toh Guruji par bharosa banta hai ekmaatra sahaara
Kyunki yahee naam dikhaata hai bheetar ka ujiyaara.

Baahar ka ujiyaara hai maya
Bheetar ka ujiyaara hai gyan
Vo gyan, jo Guruji ke kareeb laata hai
Vo gyan, jo baahar dhoondhne se nahin aata hai.

Baahar ka ujiyaara hai asthaayi aur seemit bhi
Kintu sthaayi aur anant hai ujiyaara bheetar ka
Phir bhi baahari ujiyaara yoon kheenchta hai apni oar
Ki hum bhool jaate hain karna apne bheetar gaur.

Hamein sachet rakhta hai Guruji ka chintan
Taaki asal ujiyaare kee oar dhyan de antakaran
Aur bheetar rahe yoon roshan
Ki ujiyaara hee ujiyaara ho har kshan
Phir baahar andhiyaara bhi ho toh bhakt rahe beparwaah
Bheetar ka ujiyaara roshan karey uskee raah.

Isee se miley asal gyan
Isee ke dwaara ho kalyaan
Guruji kee meher se
Guruji kee nadar se.

Varna toh kitne aaye aur chale gaye
Baahari ujiyaare se mohit hokar
Usee mein apna vivek khokar
Anek aur janam lene ka beej bokar.

Bharose ke bin sab vyarth hai
Bharose se hee is safar ka arth hai
Guruji par bharosa rakhne waalon ko Awashya dikhta hai bheetar ujiyaara
Der beshak ho dikhne mein
Parantu dikhta hai ujiyaara bahut hee nyaara.

Isliye bharosa rakhte chalo
Koshish tum karte chalo
Guruji ne sambhaalna hai baaki sabb
Tum ye jaan aur maan lo abb
Ujiyaara nahin hai tumse kaheen duur
Tumhe dikh bhi jaayega zaroor
Guruji par tum dhyan dharo
Dekho, abb aur vilamb tum na karo
Bahut hua maya main phansna
Bahut hua daldal mein dhansna
Abb aur nahin, abb mann ke nayn kholo
Pashchaataap ke aansuon se unhe dho lo
Duur honei lagega agyan saara
Dikhne lagega tumhe bheetar ka ujiyaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bheetar Ka Ujiyaara (02/28/2025)

Aapse Itnee Meethi Mamta Milee (02/27/2025)

February 27, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2566
   Aapse Itnee Meethi Mamta Milee

Param poojya Guruji Maharaj,
Aap sartaajon ke sartaaj,

Aapse itnee meethi mamta milee
Ki mann kee murjhaayee kali khilee
Mila Aapse itna dulaar
Ki sambhal gaya mera ghar parivaar
Kyunki jisey Aap mata pita ke roop mein mil jaayein
Sulajh jaati hain Uske ghar parivaar kee saari duvidhaayein.

Kahaan se karoon shuru
Kahaan par karoon khatam
Karna Aapka shukrana, mere pita param
Mere Guruvar, murshid mere
Beshak lene padein janmon ke phere
Rakhna har janam mein mujhe Apni sharan mein
Taaki Aapki kripa miltee rahe har janam mein
Jitnee baar bhi aana jaana lagaa rahe janam aur maran mein
Jageh dete rahiyega Apne kamal charan mein.

Bakhshte rahiyega satsang kee ghadiyan
Ve hoti hai Shivmayi layy kee ladiyan
Jinse judti hain kadiyan
Ruhaani safar kee.

Bakhshte rahiyega sewa aur simran
Jinse sanvarta hai mere jeevan ka har kshan
Aap Bhagwaan, mujhe banaa deejiye aisa insaan
Ki mai sansaar ko behtar banaane mein de paaoon apna yogdaan.

Aapki rehmat hai toh sab kuch hai
Varna sab hotey huey bhi hoon gareeb
Changa rahega mera naseeb
Jo Aap rakhenge mujhe Apne kareeb.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapse Itnee Meethi Mamta Milee (02/27/2025)