Har Shwaas Kee Yeh Aas Hai (07/06/2024)

July 6, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2330
         Har Shwaas Kee Yeh Aas Hai

Param poojya Guruvar,

Abb bahut lamba lagne lagaa hai intazaar
Lekin dil kahe mujhse, β€œ Ummeed na haar”
β€œ Bahut dayavaan Hain Guruvar sarkar”
β€œ Ve awashya karenge tera beda paar. β€œ

Dil kee in baaton ne rooh ko liya chhoo
Aur rooh se niklee hai ye arzoo
Ki khol deejiye gaanthein kismat kee
Barsaa deejiye boondein rehmat kee
Ichhuk hoon Aapki dee hidaayat kee
Meri kismat mohtaaj hai Aapki inaayat kee.

Aur jaaoon bhi toh jaaoon kahaan
Aur kyun mai jaaoon yahaan vahaan
Mere liye toh Aapse hai saara jahaan
Aap hee nikhaar sakte Hain meri dastaan.

Nazar andaaz kar deejiye meri khaamiyan
Maaf kar deejiye meri gustaakhiyan
Aapne anginat paapiyon ko hai taara
Mujhe bhi aaj takk Aapne diya hai sahaara.

Aapki rehmaton ke bina aagey bhi bilkul na hai mera guzaara
Aap toh jaante hee Hain haal saara
Khatkhataa rahi hoon aaj bhi Aapka dwaara
Yakeen hai haalaat sudhar jaayenge paakar Aapka ek ishaara.

Shiv avatari Guruvar pyaare
Aapke tareeke hain anokhe aur nyaare
Kuch bhi nahin hai Aapke liye namumkin
Aap din kahein raat ko, toh raat hakeekat mein bann jaaye din.

Aapki chaukhat par jhuka hai mera sees
Aapke dar par mujhe aaj bhi milega ashish
Ye ummeed nahin, balki mera vishwaas hai
Niraash na karna mujhe, mere har shwaas kee yeh aas hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Shwaas Kee Yeh Aas Hai (07/06/2024)

Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar (07/05/2024)

July 5, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2329
    Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar

Teri raahon mein chetna ke deep rahein hain jagmagaa
Dhyan rakh tera kadam na jaaye dagmagaa
Tu in raahon par chalne mein na ghabraa
Guruji kar rahe Hain tera maargdarshan
Unkee nigraani mein beet raha hai tere safar ka har kshan.

Guruji sangg tu apne rishte ko na bann-ne de shabdon ka mohtaaj
Is rishte mein teri oar se prem aur shraddha ke bhaav ka rahe raaj
Tabhi toh tu Guruji ke aadesh aur nirdesh ko jaan aur maan paayega
Varna tu asmanjas ke aasmaan ke baadalon mein kho jaayega.

Guruji aur apne beech kee har deewar toad
Unke sangg apni rooh kee seedhi taar joad
Unhonei tere naseeb ko Apne sanchaalan kee oar diya hai moad
Tu bhi abb baaki har aasare se ummeed rakhna chod.

Kyunki Guruji Hain sarvopari sarvshaktimaan
Unke charnon mein toh sabhi devi devta bhi karein pranaam
Adbhut hai Unkee leela, Ve Hain mahapratapi mahaan
Tu kismat wala hai jo Unhonei diya hai tujhe Apne naam ka daan.

Japp se dhyan, dhyan se japp
Jaisa ho paaye tujhse jabb jabb
Abhi se kar le, varna karega kabb
Maan le, jaan le, Guruji Hain Rabb.

Japp aur dhyan se mann kee aankhein jaayengi khul
Japp aur dhyan se tere paap bhi jaayenge dhul
Chetna ka har jagmagaata deep tujhe ujjwal nazar aayega
Tere bheetar ka har sanshay, har sankoch duur ho jaayega.

Tu mehsoos kar kar paayega Guruji ke maargdarshan ka anusaran
Karte rehna Unkee sharan mein tu prem bhaav arpan
Unke charnon mein rehne kee badhti jaayegi jo teri lagan
Toh tu hota chalega Unke khayaalon mein magan.

Buss, phir tu kabhi bhi na dagmagaayega
Tujhe tera lakshya saaf nazar aayega
Guru kripa se tu hota chalega lakshya kee oar agrasar
Bin dagmagaaye Unkee daya se tu tayy kar paayega apni dagar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar (07/05/2024)

Fakir Aur Yuvak (07/04/2024)

July 4, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2328
                    Fakir Aur Yuvak

Andheri si thi raat
Baras rahi thi barsaat
Koi nahin thaa saath
Fakir Khuda se kar raha thaa baat.

Keh raha thaa veh Khuda se
Tum kyun ho juda juda se?
Baarish kee boondein bhejte ho
Mere aansoo nahin dekhte ho?

Mai kab se raha hoon tumhe pukaar
Mujhe toh vyarth lagta hai sansaar
Yahaan rehkar karoon kya, aata nahin samajh
Jitna sochta hoon, utna jaata hoon sawaalon mein ulajh.

Achaanak kisee ne fakir ke kandhe par rakha haath
Fakir ne dekha, ek sundar sa yuvak khada thaa uske saath
Pata na chala vo kahaan se aaya
Vo fakir ko dekh kar muskuraaya.

Khuda ke bande bannkar raho sansaar mein
Khuda kee har rachna kee sewa karo
Khuda kee ibadat karo aur karte raho Uska dhanyawaad
Vo tumhaare karmon ka bhaar halka karega aur deta rahega ashirwaad.

Khuda se tumhe jodne mai hoon aaya
Sundar yuvak ne fakir ko bataaya
Usee ko yaad karo, Usee se fariyaad karo
Sansaar mein jeeyo kintu Khuda se judo.

Jitna tum usey karoge yaad
Vo karega tumhaara antas aabaad
Shiv Guru Nanak Isa Allah sab Hain ek
Uss ek divya jyot ke naam hain anek.

Fakir ne poochha, β€œAap kaun?”
Toh yuvak tabb ho gaya bilkul maun
Kintu Unke maathe par ujjwal hua noorani Om aur Ek Onkar
Aur fakir ko samajh aane lagaa yuvak kee baaton ka saar.

Fakir ne kaha yuvak se ki vo kaun hai
Jiskee daya se uskee jaagriti hui hai shuru
Yuvak ne kaha ki Ve swayam Guruji Maharaj Hain
Aur fakir ne Unkee agya se banaa liya Unhe apna Guru.

Aarambh hua fakir ka ek naya safar
Rehte huey usee sansaar mein
Guruji kee sharan mein kar ke jeevan basar
Veh bheegne lagaa Unke kiye upkaar mein.

Andheri raatein huin
Guruji ke dhyan se roshan
Guruji ke simran se miley ruhaani gyan ne Kiya fakir kee atma ka poshan.

Abb bhi aksar hoti thi barsaat
Par abb Guruji thei fakir ke saath
Shukrana ke aansoo behte thei
Guruji se bahut kuch kehte thei.

Vo sab fakir aur Guruji ke beech kee hai baatein
Jinmein guzarti gayi fakir ke din aur uskee raatein
Fakir kee rooh ne jodi Guruji se seedhi taar
Aur Guruji ne fakir ko Apni meher se diya taar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Fakir Aur Yuvak (07/04/2024)

Nazaaron Ne Poochha (07/03/2024)

July 3, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2327

Nazaaron Ne Poochha

Nazaaron ne poochha
Mai kisey dhoondh rahi hoon
Bahaaron ne poochha
Mai kyun jhoom rahi hoon.

Mai dhoondh rahi hoon Apne Guruji ko
Mainey kaha nazaaron se
Unke khayaalon mein jhoom rahi hoon
Mainey kaha bahaaron se.

Nazaaron se mujhse mere bheetar nazar daalne ko kaha
Mainey unka kaha maana
Mere bheetar hee toh Guruji Hain
Mainey phir ye jaana.

Jaise jaise mai Guruji ke khayaalon mein rahi thi jhoom
Bahaaron ne mere antas mein machaayi ek adbhut anand kee dhoom
Uss ruhaani si aantrik dhvani se milee mujhe anokhi shanti
Dhyan lagaa aur ruhaani naynon ko dikhee Guruji kee kanti.

Anandmayi drishya
Jyoti divya
Jismein Guruji ke darshan
Dikhey uss kshan.

Bheeni bheeni si sugandh
Ne kiya dhyan ka antt
Chehre kee aankhein jo khuli
Toh lagaa bheetar kee dhool udi
Vahaan kee bahaaron mein
Aur ghul gayi kaheen nazaaron mein.

Kintu antas kee aankhon ko saaf dikhne lagaa
Bheetar kee chetna ka soya baalak jagaa
Guruji kee kripa se Unse duuri kee uljhan gayi sulajh
Guruji kee karuna se aane lagaa samajh
Ki Guruji Hain Bhagwaan, mai hoon nimaana das
Aur Guruji swayam karte Hain mere bheetar vaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nazaaron Ne Poochha (07/03/2024)

Mere Parwardigaar Aapki Kripa Apaar (07/02/2024)

July 2, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2326
Mere Parwardigaar Aapki Kripa Apaar

Mere Satguru sarkar
Mere Guruji paalanhaar
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Mere taaranhaar
Aapka pyaar hai aparampaar
Mere Shiv avatar
Aap Hain shabdon ke paar
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Mai aayi Aapke dwaar
Ye hai Aapka upkaar
Aapse hee hai sangat ka ghar parivaar
Mere param poojya pyaare daataar
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Aap Hain pyaare Shiv avatari
Aapki deewani hai sangat saari
Aapki leela hoti hai nyaari
Sabke bhale kee aati hai baari
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Karte ho sangat ka kalyaan
Dete ho Apne naam ka daan
Mahima Aapki sabse mahaan
Is se nahin hai koi bhakt anjaan
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Aapki prerna se chal raha hai sangat ka kaarvaan
Aapki daya par nirbhar hai har bhakt kee dastaan
Aapki sharan mein mil gaya mujhe saara jahaan
Aapke charnon mein jaaoon mai samaa
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mere Parwardigaar Aapki Kripa Apaar (07/02/2024)

Teri Dastaan (07/01/2024)

July 1, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2325
                       Teri Dastaan

Jhuk jaata hai aasmaan
Guruji jaate Hain jahaan
Unse anugrahit hai teri dastaan
Na bhatak tu yahaan vahaan.

Guruji ke kamal charnon mein hai tu
Samarpan aur shraddha bhaav se unhe tu chhoo
Unhe hee toh dhoondh rahi thi teri rooh
Unkee kripa se hee tujhe miley Ve yoon.

Dekhega tu dastaan ke dauraan
Ki lega jitna tu Guruji ka naam
Teri dastaan lagne lagegi aasaan
Chaahe tujhe parishram karna padey bina koi vishraam.

Baadal bijlee barkha barsaat
Sunehri subah ho ya andheri raat
Ho ghar, gharonda ya ho raaste ka koi ghat
Dastaan mein Guruji har pal Hain saath.

Jitna sanyam rakhega tera mann
Tufaanon ka zor lagega utna kumm
Jitnee sakaaraatmak hogi teri vichaardhaara
Utna utsaahit karega tujhe Guruji ka diya sahaara.

Dastaan mein mil jaaye tujhe asal khazaana
Isliye Guruji se surt jodne ka koi mauka na gavaana
Phir ek pal ke liye bhi sooni na rahegi teri dastaan
Tujhe Guruji ke angg sangg honei ka ehsaas hoga tu hoga jahaan
Guruji Hain komal karunanidhaan
Saarthak karenge Ve teri dastaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Teri Dastaan (07/01/2024)

Sab Ho Mangalmay (06/30/2024)

June 30, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2324
                  Sab Ho Mangalmay

Koi chinta na ho bhakt ko
Guru kripa se jo sashakt ho
Guruji karein aur karvaayein
Bhakt ke kaaj sanvar jaayein.

Guruji bakhshein simran
Dein sumat ka dhan
Kar usey tu grahan
Kar ke saaf mann.

Aye Guru bhakt
Tu ho sashakt
Nikaal waqt
Ki kar de vyakt
Tu Guruji ke prati pyaar
Laa swayam mein sudhaar
Varna jeevan hai bekaar.

Na ho tu udaas
Guruji Hain aas paas
Jaanein Ve teri aas
Tu kar vishwaas.

Vishwaas jeet jaayega
Guru kee preet tu paayega
Patjhad beet jaayega
Basant laut kar aayega.

Guruji Hain khade
Aur kaun dukh harey
Guru sabse bade
Unhee se tu tarey.

Na kar sanshay
Chod de tu bhayy
Guruji karenge tayy
Ki sab ho mangalmay.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sab Ho Mangalmay (06/30/2024)

Guruji Swayam Hee Sab Sambhaalein (06/29/2024)

June 29, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2323
 Guruji Swayam Hee Sab Sambhaalein

Bhakt kee fariyaad
Uske mann kee muraad
Uske jazbaat
Paayein Guruji ka ashirwaad.

Bhakt kee minnat
Bhakt par rehmat
Bhakt kee ibadat
In sab par hoti hai Guruji kee inaayat
Dekar simran aur dhyan mein ashish aur hidaayat
Guruji karein bhakt kee poori hifaazat.

Bhakt ka Guruji se pyaar
Bhakt ka Guruji se is pyaar ka izhaar
Bhakt kee Guruji ko pukaar
Guruji karte Hain sweekaar
Dekar Apna darshan aur deedar
Barsaa kar mehar kee bahaar.

Bhakt kee bhakti
Bhakt kee shakti
Bhakt kee mukti
Sab hai Guruji kee yukti
Bhakt ke uddhaar kee
Uskee atma ke nikhaar kee.

Bhakt ka jeevan
Bhakt ka antakaran
Bhakt ka maran
Sab Guruji ko samarpit
Unke charnon mein arpit
Unkee kripa se ho sabka hitt.

Bhakt ka ghar parivaar
Uske karmon ka bhaar
Uske safar ka sudhaar
Uske sankat ko taalein
Usey har jaal se nikaalein
Guruji swayam hee sab sambhaalein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Swayam Hee Sab Sambhaalein (06/29/2024)

Naseeb Nyaare (06/28/2024)

June 28, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2322
      Naseeb Nyaare

Hum sabhi hain fakir
Jo Guruji ke protsaahan bin ho jaate hain adheer
Jinkee Guruji todna chaahein har paash aur zanjeer
Taaki hum bann jaayein adhyaatmikta mein ameer.

Hum sabhi hain anjaan
Jinkee agyanta kee Guruji ko hai poori pehchaan
Jinhe mila hai Guruji se daya ka daan
Varna kaise tarenge hum nirdhan naadaan.

Hum sabhi hain nasamajh
Jinke kaaraj Guruji kee kripa bin jaate hain ulajh
Kyunki Ve hee sakte Hain hamaari duvidhaaein samajh
Varna hum kabhi na sakein sulajh.

Hum sabhi hain bhagyawaan
Jinka Guruji karte rahe aur rahenge kalyaan
Jinko Guru kripa se milta hai gyan aur dhyan ka daan
Jinke liye Guruji Hain Guru ke roop mein Bhagwaan.

Hum sabhi hain Guruji ke pyaare
Jinke liye Guruji Hain ekmaatra sahaare
Jinhe Guruji ne bulaaya hai Apne dwaare
Jinke Guru kripa se hotei hain naseeb nyaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Naseeb Nyaare (06/28/2024)

Har Pal Nirmal Anand Mein (06/27/2024)

June 27, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2321
         Har Pal Nirmal Anand Mein

Guruji ke kamal charan mein mil gaya ik naya janam
Guruji se arzi hai ki shuddh ho jaayein atma, mann, aur tann
Guruji dena chaahte Hain jo asal dhan
Hum kaabil banein karne ke liye usey grahan.

Bheetar hota rahe Guruji ka simran
Har saans se lein Guruji ka naam
Toh jeete jee Guruji mein ramaa rahega mann
Yahaan rehte rehte pahunchenge Guruji ke dhaam.

Anivaarya hai antakaran aur atma ka poshan
Ye Guruji kee naam jyoti se hotei rahein roshan
Guruji kee ruhaani maujoodagi ke hotei rahein darshan har kshan
Toh saarthak honei lagega jeevan.

Badhti rahe jo Guruji ko paane kee pyaas
Chalti rahe Guruji ke samaksh iskee ardaas
Jo bhi Guruji se duur karey, usko chodne ka karein upvaas
Guru praapti ke prayaas mein leen rahe har shwaas
Guruji kee mehar se hota rahe simran aur sadhna ka abhyaas
Guruji ke prati shraddha bhaav aur prem rahe khaas
Toh Guru kripa se mit-ta rahega har traas
Aur har pal nirmal anand mein rahega Unka har das.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Pal Nirmal Anand Mein (06/27/2024)