Aapka Shukrana Karti Rahoon (04/28/2024)

April 28, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2261

Aapka Shukrana Karti Rahoon

Param poojya Guruji,

Aap miley toh
Mujhe meri disha aur manzil mil gayi
Aapke aanchal mein sweekaare jaane se
Meri kismat kee toh kalee khil gayi.

Aapne jabb mujhe Apni sharan mein liya
Aur itna pyaara pyaar diya
Toh mere antas mein jal gaya bhaav ka deeya
Jisey Aapne Apni abha kee lau se ujjwal kiya.

Mai toh sapne mein bhi jaisa sochne ke kaabil na thi
Aapne aisee mamta aur karuna dee
Udaasi aur niraasha ke pal beshak aate hain abb bhi
Lekin abb pehle jaisi bechayyni aur bebasi nahin hoti.

Kyunki Aapki meher pradaan karti hai
Aapke angg sangg honei ka meetha ehsaas
Aapka protsaahan uttejit karta hai
Nirantar chalte rehne ka prayaas.

Aapki paawan prerna se hota hai
Aapke prati aakarshan itna khaas
Ki jo bhi Aapse duur le jaana chaahe
Mai hona na chaahoon aise kisee prabhaav ke bhi paas.

Shaayad pehle kabhi aisee chunautiyan bhi na aayin
Jaisi abb hain aati
Kintu Aapki sharan mein hoon
Toh ve Aapke samaksh jhuk hain jaati.

Aap swayam par adhiktar bhaar lete hain mere har karam ka
Aur mujh par itna kumm hota hai in karmon ka bojh
Aap hee har uljhan kee suljhan dete Hain
Mujhe nahin karni padti kisee hal kee khoj.

Meri rooh ke har janam roopi upvan mein
Aapki kripa se kismat kee kalee khiltee rahe
Mere har janam mein meri saanson ko
Aapki kripa se Aapke naam kee daat miltee rahe.

Kaabiliyat deejiyega aisee, Prabhu
Ki Aapki udaarataa ka gungaan karti na thakoon
Aapki sewa dil-o-jaan se karoon
Param poojya Guruji, mai sada tahe dil se Aapka shukrana karti rahoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapka Shukrana Karti Rahoon (04/28/2024)

Mandir Mere Mann Ka (04/27/2024)

April 27, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2260
             Mandir Mere Mann Ka

Guruji ke prem mein doob kar
Jalmagn hua hai mandir mere mann ka
Is ruhaani saagar kee leheron kee hai jo meethi awaaz
Usmein basaa hai aisee aseem shanti ka raaz
Jo mil sakti hai kewal is saagar ke jal kee gehraayee mein
Aur jo mujhe Guruji se jodey rakhti hai meri tanhaayee mein
Kewal mere Guruji kee mahima kee badaulat
Dekar mujhe Unke ruhaani deedar kee daulat.

Yeh daulat Guruji ke ruhaani deedar kee
Yeh bakhshish hai Guru sarkar kee
Unkee kripa se ye pehchaan hai uss paar kee
Jahaan roshni hee roshni hai Parwardigaar kee.

Chal padi hoon is safar par
Poojya Guruji ke sahaare
Unhee ke ishaare aur hukm par
Malte huey Unke naam kee marham apne har zakhm par.

Zarra zarra mere antakaran ka
Unkee kripa se roshan hota rahe
Katra katra mere rakt ka
Unke naam se nirmal hota rahe
Mera astitva Guruji ke Shivatva mein yoon khota rahe
Jaise saagar mein sarita, jaise kitaab mein koi kavita.

Reh jaaye toh buss ekaatmaktaa
Guruji aur Unkee divyata sangg akhand ikaayi
Kyunki ek Guruji Maharaj hee apne Hain
Baaki saari duniya toh hai aur rahegi sada paraayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mandir Mere Mann Ka (04/27/2024)

Ek Yuvak Thaa Awaara (04/26/2024)

April 26, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2259

Ek Yuvak Thaa Awaara

Ek yuvak thaa awaara
Dekha usne saagar ka kinaara
Aaya sawaal uske mann mein
Ki aakhir kya karna chahiye jeevan mein.

Thaa jaise vo dishaheen
Buddhi ho chuki thi ksheen
Apni soch mein hua vo leen
Swayam ko mehsoos karne lagaa veh deen.

Achaanak usey aayi ek khushboo ruhaani
Ek nutan anubhav karne lagi uskee zindagaani
Usey dikhee ek titlee aate huey apni oar
Na jaane kaisi shakti thi usmein ki vo ho gaya bhaav vibhor.

Usey lagaa ki uske liye ho rahi ho akash vaani
Usey hukm kee awaaz aayi ki veh sunei Gurbani
Sooraj abb thaa dhalne lagaa
Ghar kee oar veh chalne lagaa.

Apne vichitra anubhav ke soch vichaar mein
Na jaane kabb usey neend gayi aa
Nidra mein ik sapna dekha
Jismein ek sundar se purush rahe thei muskuraa.

Kaha Unhonei yuvak se ki Guruji hai Unka naam
Unhonei akashvaani dwaara diya thaa usey aadesh aur paigam
Unn Guruji ne sapne mein yuvak ko Gurbani sunn-ne ka raasta dikhaaya
Sapne mein uss se baatein kar usey simran aur dhyan karna sikhaaya.

Subah hui jabb akash mein toh aayi uske jeevan mein ek subah nayi
Uskee dishaheen avastha tabb se itihaas bann gayi
Sunn sunn kar Gurbani
Usne apne har farz kee mahatta jaani
Apna har farz veh nibhaane lagaa
Guruji kee khoj mein jaane lagaa.

Guruji aaye phir se swapn mein ek raat
Kee Unhonei yuvak se baat
Usey satsang ka raasta dikhaaya
Vahaan jaane ka samaa bataaya.

Guruji ne usey diya nirdesh
Ki usey kya karna hai vahaan pahunchkar
Yuvak ne nirdesh ka paalan kiya
Bin kisee sanshay vo pahuncha uss dar par.

Jabb dekha swaroop Guruji ka Unke darbar mein
Toh apne sapnon ko rakhte huey apne vichaar mein
Usne pehchaan liya ki Guruji hee Hain abb uske Guru
Aur Unkee kripa se uske jeevan mein naya pehlu hua hai shuru.

Guruji ne dhoondha yuvak ko aur jod liya apne se
Akashvaani se jo baat shuru hui veh aagey badhi sapne se
Guruji kee meher thi is poore silsiley ke har kadam par
Is ehsaas ka hua yuvak par gehra kalyaanmayi asar.

Khatm hui dishaheenta aur deenta kee nisha
Poojya Guruji Maharaj ne yuvak ko dikhaayee disha
Guruji ke kiye maargdarshan se usey safar ka agala kadam aata gaya samajh
Guruji kee meher aur leela se yuvak kee har uljhan gayi sulajh
Yuvak ka hua kalyaan
Uske safar ko mila sundar anjaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ek Yuvak Thaa Awaara (04/26/2024)

Param Poojaneeya Sarkar (04/25/2024)

April 25, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2258
          Param Poojaneeya Sarkar

Yahaan aana kisee kaam ka nahin
Agar galatiyon se seekh kar na karein karma sahi
Mann ko gulam banaa paayega vahee
Jo sunn-na chod dega asthir mann kee kahi.

Baat ghoom phir ke aa jaati hai vaheen
Ki zaroori hai mann na bhatak jaaye kaheen
Varna oopar aasmaan aur neeche zameen
Inke beech hee rooh na reh jaaye dabee.

Rooh ko vahaan pahunchaana hai zaroori
Jahaan mit jaaye Paramatama se uskee har duuri
Shareer ko karna hoga dhyan ke dauran sthir
Mann par kaam karna hoga phir.

Sarvapratham awashyak hai Guruji se vandan
Ki Ve bakhshein Apna dhyan aur simran
Vaisa hee jaisa Ve chaahte Hain
Kyunki Ve hee toh Hain jo bhakti sikhaate Hain.

Unhee kee karein bhakti Unhee kee meher se
Shivmayi layy mein leen ho jaayein is bhakti kee leher se
Guru kripa se andheri raat mein roshni aayegi sakaaraatmak seher se
Bhayy hona kumm hota jaayega kalyuga ke keher se.

Mann jaise jaise hoga sthir
Ooncha hoga bhakti ka starr
Galatiyon kee oar jaayegi mann kee nazar
Aur unhe phir na doharaane kee oar hum hongei agrasar.

Jeevan mein yakeenan aayega sudhaar
Agar prayaas jaari rahega baarambaar
Neeyat dekhte Hain Guruvar taaranhaar
Ve Hain nyaaya aur niyati ke param poojaneeya sarkar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Param Poojaneeya Sarkar (04/25/2024)

Baaki Har Bandhan Se (04/24/2024)

April 24, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2257
           Baaki Har Bandhan Se

Tum ruk kar Guruji ke pyaar mein thoda bahut samay bitaao
Dekhna, Guruji tumhe vipattiyon ke bavajood rukne na denge
Tum Guruji ke charnon mein har pal antas ka sees jhukaao
Dekhna, Guruji tumhe haalaat ke saamne jhukne na denge.

Tum Guruji se judey rehne ka prayaas karte raho
Guruji tootne ne denge tumhaare manobal ko
Tum Guruji ke simran aur vandan ka abhyaas karte raho
Guruji swayam tumhaare samaksh laayenge har mushkil ke hal ko.

Tum das bann kar raho
Guruji tumse laad karenge
Tum Guruji se apne dil kee kaho
Guruji bhi tumse baat karenge.

Tum Guruji ka kaha maankar banda bann jaane kee koshish rakho jaari
Guruji tumhe tumhaari koshish mein safal awashya karenge
Tum beshak bhugat rahe ho kaisi bhi chunauti ya beemari
Guruji adhiktar bojh swayam par lekar tumhaara bhaar aaj ya kal awashya harenge.

Tum jeevan ka har pal apne farz nibhaate huey bitaa lo Guruji ke chintan mein
Guruji tumhaare antas ko Apni maujoodagi ke ehsaas se aabaad karte rahenge
Tum bandhe raho Guruji sangg bhakti ke bandhan mein
Guruji tumhe baaki har bandhan se azad karte rahenge.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Baaki Har Bandhan Se (04/24/2024)

Janam Kayi Hazaar (04/23/2024)

April 23, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2256
                Janam Kayi Hazaar

Guruji kee ek nigaah
Ujjwal kar deti hai andheri raah
Deti hai uspar chalne ka utsaah
Badha deti hai Unke kareeb aane kee chaah.

Guruji kee pyaar bhari inaayat
Bakhsh deti hai ghar mein barkat
Nikhaar deti hai bhakt dwara kee gayi ibadat
Mita deti hai har shikva, har shikayat.

Guruji kee ek nazar
Kar deti hai bhakt par aisee nadar
Ki anugrahit ho jaata hai uska safar
Vo janam janamaantar ke liye jaata hai tarr.

Guruji ka paawan pyaar
Bhakt ko bulaata hai Unke dwaar
Jahaan hota hai uska uddhaar
Paakar Guruji kee kripa aparampaar.

Guruji kee har rehmat
Sanvaarti hai bhakt kee kismat
Sulajhaati hai bhakt kee duvidha aur dikkat
Deti hai bhakt ko taakat aur himmat.

Guruji kee meethi meher bhari muskaan
Bhakt ke veerane ko banaati hai gulistaan
Dekar komal kalyaan ka divya daan
Bhakt ko dhanya kar dete Hain Guru karunanidhaan.

Guruji kee dee har bakhshish, har daat
Hai param aadarneeya saugat
Chod kar har shart aur sabhi sawaalaat
Guru charnon mein rehne ko jee chaahe din raat.

Guruji se judi hui seedhi taar
Karti hai bhakt ka beda paar
Beshak jeevan ke din hon do chaar
Kintu sanvar jaate hain janam kayi hazaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Janam Kayi Hazaar (04/23/2024)

Nihaal, Nihaal, Nihaal (04/22/2024)

April 22, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2255
             Nihaal, Nihaal, Nihaal

Thaa ik raahi deewana
Jagg lagta thaa usey begaana
Dinacharya chal rahi thi seedhi saadi si
Utnee bhautik bhaag daud uske liye kaafi thi.

Darasal usey thi khoj
Vo khoj rehti thi har roz
Ki kya hai uska uddeshya asal
Jis se uska janam hoga safal.

Kayi teerath sthaanon ka kiya usne bhraman
Kahee bhi shanti na paata thaa uska mann
Lagg na paata thaa uss se dhyan
Veh pehchaan paa raha thaa apne bheetar ka agyan.

Uske antas mein thei kayi ruhaani sawaal
Jawaab dhoondhte dhoondhte hua bechayyn uska haal
Unn sawaalon ne kiya usey nidhaal
Kintu Guruji ne sapne mein aakar usey kaha
β€˜Nihaal nihaal nihaal.’

Utha veh, toh usey yaad aaya achaanak veh kshan
Jabb kayi saal pehle usey Guruji ke huey thei darshan
Vo gaya thaa Guruji ke mandir Unke ek bhakt ke saath
Usey yaad aayi veh shubh raat.

Hua usey ehsaas ki sapne mein thei Ve Guruji Maharaj
Usey achcha lagaa ki Unhonei usey yaad kiya aaj
Usne mann hee mann kee Guruji se ardaas
Ki Ve uskee madad karein aakar uske paas.

Arzi sunn lee Guruvar karunanidhaan ne
Baithaaya Unhonei raahi ko simran ke vimaan mein
Uskee lagan badhti gayi simran aur dhyan mein
Guru kripa se badhauti hui uske ruhaani gyan mein.

Guruji kee meher se vo apne sawaalon ke jawaab paane lagaa
Uske jeevan se bechayyni ka pehlu jaane lagaa
Dikhne lagi thi usey ruhaani raah
Laut aaya thaa uska utsaah
Vahee raahi jo hua thaa kabhi bilkul nidhaal
Aaj Guruji kee daya se veh hua nihaal, nihaal, nihaal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nihaal, Nihaal, Nihaal (04/22/2024)

Anubhavon Ke Afasaanon Ka Aangan (04/21/2024)

April 21, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2254
 Anubhavon Ke Afasaanon Ka Aangan

Anubhavon ke afasaanon ke aangan mein
Satsang ke phool khilte hain sundar
Chaahe hamein lagey chhota ya bada
Guru kripa dikhtee hai har satsang ke bheetar.

Guruji ke har satsang ke anubhav mein
Guruji hotey Hain angg sangg mein
Uss ruhaani anubhav ke dauran
Chaahe kasht taley ya bachey jaan
Milta hai Guruji kee ruhaani maujoodagi ka pramaan
Ehsaas hota hai ki aisa anubhav bakhsh sakte Hain kewal Bhagwaan.

Jitna grahan sheel ho bhakt ka antakaran
Utna samaahit kar paayega veh Guruji ke ashirwaad ko
Aur antakaran jaise jaise karta jaayega Guru kripa ko grahan
Mehekne lagega aubhavon ke afasaanon ka aangan
Guruji ke divya ashish kee khushboo se
Aur ye khushboo rooh takk ko chhoo ke
Kar ke uska shringaar, degi usey taar
Aur Guruji kee mehar se hoga bhakt ka uddhaar.

Kyunki swayam Guruji Hain is aangan ke baghban
Aur har anubhav mein Ve karte Hain bhakt ka kalyaan
Andekhe anjaane sankat bhi jaayenge tal
Aisa hota aaya hai aur hoga aaj aur kal
Darasal aisa hota hai hamaare bin jaane bhi har pal
Aisa hai param poojya Guruji ka prataap aur bal.

Guruji se hai vinamr ardaas
Ki aisa aangan ho saari sangat ke paas
Har uss aangan mein khilte rahein sundar phool
Aur har shool kee chubhan mita de Shiv avatari Guruji ka trishul.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anubhavon Ke Afasaanon Ka Aangan (04/21/2024)

Jinhe Paane Ke Liye…… (04/20/2024)

April 20, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2253

Jinhe Paane Ke Liye……

Jinhe paane ke liye khud ko khona kewal jaayaz hee nahin, balki hai zaroori
Jinke kareeb aane ke liye badhaani hogi har vishay, har vikaar, har duniyavi aasakti se duuri
Jinke ashirwaad ke bin purusharth kee yatra nahin hogi poori
Jinke hukm kee avahelna se reh jaayegi kalyaan kee aas adhoori
Unn sarv-vardaata Sadashiv Guruvar ko naman
Unke kamal charnon mein hai vinamr vandan
Ki Unke sangg bandhan mein bandhi rahoon har janam
Aur har janam ke har kshan mein laagi rahe Unse lagan.

Guruvar Maharaj ke vash mein hai mera aaj
Arzi hai Unse ki mere aane wale kal par bhi Ve karein raaj
Meri har soch ho Unkee dee hui sumat kee mohtaaj
Unke paas hee hai mere har marz ko mitaane ka ilaaj.

Guru sahib swayam Hain maalik mere muqaddar ke
Unhonei anumati dee hai ki mai maatha tek sakoon Unke dar pe
Unhonei mujh par rehmat kee hai na jaane mere kitne kasht har ke
Unkee kripa se mai jeeti hoon Unkee bakhshishon se apni jholi bhar ke.

Mai toh bakhshish ke bhi kaabil nahin
Khushnaseeb hoon kyunki Guruji kee itnee vaddi hai vadiyaayee
Jis jis ko bhi sweekaara hai Guruji Maharaj ne Apni sharan mein
Har uss shakhs ne Unkee daya aur mamta bhari inaayat hai paayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jinhe Paane Ke Liye…… (04/20/2024)

Atoot Akshay Sahaara (04/19/2024)

April 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2252
              Atoot Akshay Sahaara

Yahaan na koi lagey apna na begaana
Mann buss ho Guruji ka deewana
Ve hee apne thei, Hain, aur rahenge sada
Seekhni hai toh buss Unhe paane kee adaa.

Guruji kee praapti hai praapti Ishwar kee
Isliye bahut mahaanta hai Guruji ke dar kee
Yahaan kintu parantu se kuch milta nahin
Yahaan sanshay karna nahin hota sahi.

Jitne hotey jaaoge tum Guruji ke deewane
Jitna sunoge sunaaoge Unkee mahima ke afsaane
Jitne kumm banaaoge Unhe yaad na kar paane ke bahaane
Utna hee Guruji ke prati bhakti bhaav lagega tum mein samaane.

Uss bhakti bhaav mein ramm jaayega zarra zarra tumhaara
Tumhe beech majdhaar mein bhi dikhne lagega kinaara
Tufaan aur kohre mein bhi tumhe saaf nazar aayega raasta saara
Guruji ko arpit kar do har karma apna, Ve Hain tumhaara atoot akshay sahaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai GurujiπŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Atoot Akshay Sahaara (04/19/2024)