Subah Shaam Ka Khel (10/20/2024)

October 20, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2436
             Subah Shaam Ka Khel

Subah shaam ke khel se
Koi nahin bach paaya hai
Kintu har veh jann khushkismat hai
Jis par Guruji kee chhatra chhaaya hai.

Kabb aa jaaye jeevan kee shaam
Kisee ko nahin hai khabar
Isliye kyun na jeevan kee subah kee har kiran ka
Anand lekar karein jeevan basar.

Shaam ke baad swaabhaavik hai subah ka aana
Lekin aksar mushkil ho jaata hai shaam ke saath raat ko bitaana
Guruji ke charnon mein ho jiska ashiyaana
Uske liye vaheen guzarta hai subah shaam ka afsaana.

Pehne huey Guruji ke naam ka raksha kavach
Bhakt kitne anginat kashton se jaata hai bach
Shaam kee mayoosi aur chunautiyan uska santulan nahin sakti hain toad
Kyunki Guruji uss se muh moad kar kabhi nahin dete usey chod.

Jiska ekmaatra sahaara ho Guruji ka naam
Uske liye Guruji ke charnon mein hai sukh ka dhaam
Ek vahee toh sthaan hai jahaan
Subah jaisi hee sunehri ho sakti hai jeevan kee shaam.

Kyunki Guruji ke charnon mein behti hai mamta kee dhaara
Kyunki Guruji ke charnon mein hai ruhaaniyat ka ujiyaara
Tabhi toh Unke charnon mein jhuk kar miltee hai ruhaani oonchaayee
Guruji ke charnon mein hai gyan kee gehraayee.

Guruji ke charnon mein hoti hai sabki sunvaayee
Unke charnon mein subah shaam kee niyati kee ho sakti hai dobaara likhwaayee
Guruji ke charnon ka amrit hai kalyaanmayi aur jeevan daayi
Unke prataapi charnon kee hai aisee vaddi vadiyaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Subah Shaam Ka Khel (10/20/2024)

Ye Guruji Ka Dar Hai (10/19/2024)

October 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2435
 Ye Guruji Ka Dar Hai

Ye Guruji ka dar hai
Ye Bholenath ka ghar hai
Yahaan nirantar behta hai pyaar ka amrit
Har pal hota hai yahaan bhakton ka hit.

Guruji ka sparsh sheetal ruhaani
Paati hai saari sangat deewaani
Guruji ka hai aisa spandan
Ki bhaav vibhor ho jaata hai mann.

Is dar par bhoole bhatke aakar
Paa lete hain sahi disha
Is dar par Guruji ke darshan paakar
Beet jaati hai niraasha kee nisha.

Guruji khud hee yahaan bulaate Hain
Koi yoon hee nahin aa sakta yahaan
Janmon ke paap dhul sakte hain
Mit sakte hain atma par se paapon ke nishaan.

Guruji ke dar par mumkin hai
Bhakt ka sampoorna kalyaan
Unke liye sab ek se hain
Sabhi bhakt hain Unkee santaan.

Kalyuga ke is samay mein jo bhi
Pahunch paaya hai Guruji ke dar par
Usey zaroorat nahin jeene kee museebaton se darr kar
Kyunki uske angg sangg Hain mahaan Shiv avatari Guruvar.

Guruji ke dar par hotei aayein hain
Anginat bhakton ke imtehaan
Kaun, kabb, aur kaise utteerna hoga
Iska kewal Guruji ko hai gyan.

Roag ho tann ka
Bartan ho mann ka
Ya abhaav ho dhan ka
Guruji har kamee karein poori
Guruji ke dar par aa jaane se
Uddhaar kee khwaahish na rahe adhoori.

Guruji kee sharan mein har lok ka sukh hai
Unke dar kee oar hee pyaasi hawaaon ka rukh hai
Unke dar kee divyata ke aagey jhukta har dukh hai
Ve jaanein kaun Gurumukh aur kaun mannmukh hai.

Apna aanchal ashish se bhar kar
Guruji viraajmaan rehte Hain dar par
Unke dar par bhakt ka har janam jaaye guzar
Koi vardaan ho hee nahin sakta is se badhkar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ye Guruji Ka Dar Hai (10/19/2024)

Phoolon Ka Guldasta (10/16/2024)

October 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2432
Phoolon Ka Guldasta

Phooldaan mein sajaakar
Ichchaaon ke guldaste ko
Phooldaan mein ahankar ka jal bhar kar
Maanav chal pada duniya ke baazaar mein.

Bheed bahut thi, bharaa thaa baazaar
Aawazein bhi aa rahin thi kayi hazaar
Kuch jann chal rahe thei, kuch kisee savaari par thei savaar
Kuch bheekh maang rahe thei, kuch lagg rahe thei raees zameendaar.

Har koi apni hee dhun mein raha thaa baazaar se guzar
Sabhi ko jaldi thi ki mukammal ho jaaye safar
Sooraj dhalne lagg raha thaa
Jinhonei din bhar dhoop ko saha thaa
Ve huey vyaakul aur idhar udhar bhaagne lagey
Jaise lambi neend se hon jaagne lagey
Kisee konei mein shuru ho gayi ladaayi
Toh dooje moad par kisee ko rulaane lagi mann kee tanhaayee
Kaheen duur bajne lagi ghantiyan mandir kee
Kisee kisee ko yaad aane lagi apne ghar kee.

Jaise jaise sooraj dhalta raha
Maanav guldasta thaame huey chalta raha
Veh thakaa nahin, bhatka nahin, uska hua usey abhimaan
Ek khambhe se takraaya aur gir gaya uske haath se phooldaan.

Toot gaya veh phooldaan
Ichchaaon ke phool gaye bikhar
Lekin maanav mein ik lau jalee
Uskee jaagriti gayi nikhar.

Usey sab kuch nirarthak sa honei lagaa prateet
Usey ehsaas hua ki kitnee khokhli hai har duniyavi ichcha aur preet
Unn phoolon ke guldaste ke phooldaan kee bhanti
Aur uske mann mein hui bahut ashanti.

Tabhi kisee ne thaama uska haath
Aur kaha uss se ki veh chale uske saath
Maanav ne dekha ki vo thaa ek farishte ke jaisa
Usne maanav ko achanak ek raasta dikhaaya aisa
Jahaan bahut saari sangat thi
Sabb par ruhaani si rangat thi
Maanav ko lagaa ki veh ek pal mein hee pahunch gaya ho kisee doosre sansaar mein
Ek kashish ne usey kheench liya uss sundar se darbar mein.

Vahaan goonj rahi thi Gurbani
Sabb chupchaap rahe thei sunn
Maanav ko bahut raas aane lagi
Veh sakaaratmak si dhun.

Baithe huey vahaan
Dekha usne jahaan jahaan
Usey farishte ka swaroop nazar aaya
Aur jabb dhoondha usne farishte ko
Toh farishte ko maanav ne gaayab paaya.

Gurbani ke baad hua jaap aur Shivji kee Aarti
Maanav kee rooh toh rahi farishte ko pukaarti
Usey mehsoos hua farishta apne saath hee
Tabhi Aarti ke baad ek sangat ne baat kee-
Veh baat thi anubhav uss sangat ka Guruji ke sangg
Aur swaroop ko dekhte dekhte maanav par chadhne lagaa Guruji ka rangg
Usey samajh aaya ki Guruji aaye thei farishte ke roop mein swayam
Maanav ko lagaa ki usey mil gaya ho uss shaam ek naya janam.

Abb Guruji kee kripa se veh Guruji se jo juda
Toh vaapis kaheen aur na muda
Satsang simran sewa bann gaye uskee dincharya ka hissa
Guruji kee sharan mein sudharne lagaa uske jeevan ka kissa.

Vinamrata ka jal bhara usne phooldaan mein
Bakhshishon kee ichchaaon ke phool usmein sajaaye
Usne Guruji ke prati shukrana ke geet gaaye
Aur Guruji ke charnon mein apne jeevan ke pal bitaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Phoolon Ka Guldasta (10/16/2024)

Bagiya Mein Khiley (10/15/2024)

October 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2431
 Bagiya Mein Khiley

Bagiya mein khiley thei phool
Aayi unhe bahut anokhi khushboo
Ye soch kar ki khushboo unse hee hai aayi
Phool toh kya, har kalee bhi itaraayi.

Bagiya ne unhe samjhaaya
Ki itraane mein na karein ve waqt zaaya
Bagiya ne unhe bataaya
Ki Guruvar baghban ke roop mein hai aaya.

Bagiya ne ishaara kiya jahaan
Kaliyon aur phoolon ne dekha vahaan
Dikha unhe ik sundar sa purush noorani
Jiske abha mandal kee shakti thi bahut ruhaani.

Rutaba thaa Unka alishaan
Jaise maanav roop mein hon Bhagwaan
Bagiya ne prem se kiya ailaan
Ki Ve Hain Guruji, bagiya ke baghban.

Ye sunte hee kaliyon aur phoolon ne sees jhukaaya
Guruji ka ashish sab par khushboo bann kar chhaaya
Guruji ne sabhi par Apni rehmat ka amrit barsaaya
Kuch phool khushi se phoole nahin samaaye, kuch ko prem bhaav mein rona bhi aaya.

Guruji ne bagiya mein kee sayyr
Jahaan jahaan padey Unke payyr
Hari bhari ho gayi vahaan kee ghaas
Guruji ke sparsh se hua parivartan khaas.

Guruji kee ruhaani maujoodagi sada ke liye
Karne lagi bagiya mein vaas
Ve shaareerik taur par bagiya se chale gaye
Par bagiya bann kar rahi Guruji ka das.

Guruji kee meher se hum sabke jeevan kee bagiya
Khilee rahe Unn baghban ke pyaar se
Hamaare antas aur rooh ka poshan hota rahe
Guruji Maharaj ke ashish bhare dulaar se.

Baghban Hain Guruji Maharaj
Bhagwaan Hain Ve sundar sartaj
Nishchay hee sanvarte rahenge hamaare kaaj
Buss, Guruji karte rahein hum par raaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bagiya Mein Khiley (10/15/2024)

O Guruji Ke Pyaare (10/14/2024)

October 14, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2430
                 O Guruji Ke Pyaare

O Guruji ke pyaare
Tujhe raasta karey ishaare
Manzil tujhe pukaare
Uth, chal tu Guruji ke sahaare.

Na baith haath par haath dhar ke
Tu charnon mein hai Ishwar ke
Zaroorat nahin jeene kee darr darr ke
Zaroorat nahin bhatakne kee dar dar pe.

Unhonei hee sambhaala thaa tujhe kal
Jabb tu maayoos rehta thaa har pal
Ve sambhaal rahe Hain tujhe aaj
Kal bhi tujhe sambhaalenge Ve Guru sartaj.

Guruji dekh rahe Hain teri asthaa
Ve seench rahe Hain tera raasta
Anugraha ke amrit se har kadam par
Rehem karte Huey tere har praarabdh karam par.

Ye nahin ho raha itefaaq se
Balki tu mukt ho karmon ke hisaab se
Isliye Guruji karaa rahe Hain ye raasta tayy
Ve angg sangg Hain, tu reh nirbhay.

Na vilamb kar Unke hukm ke amal mein
Buss, samarpit kar khud ko Unke charan kamal mein
Tujhe khonei na denge Guru sarkar
Ve awashya pahunchaayenge tujhe uss paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

O Guruji Ke Pyaare (10/14/2024)

Ramne Lagi… (10/13/2024)

October 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2429
                       Ramne Lagi…

Param poojya Guruji Maharaj,

Ramne lagi mai Aapke rangg mein
Aap chalne lagey mere sangg mein
Ye Aapki rehmat hai Guruvar
Ki mai bhatakti nahin idhar udhar
Aapka shukriya baarambaar
Ki Aap Hain mere jeevan ka aadhaar.

Khol deejiye gaanthein mere chitt kee
Buddhi dete rahiye mujhe mere hitt kee
Aapki sharan mein hoon toh bachi hui hoon na jaane kitne aur santaapon se
Aap hee mukti dilaayiye mujhe mere mann, karma, vachanon se jude paapon se.

Kyunki mujhe toh kuch gyat nahin
Mai karna chaahti hoon vahee
Jo Aap chaahein ki mai karoon
Jabb takk mai aakhiri saans loon.

Aakhiri saans ke pehle aur baad
Meri rooh ko milta rahe Aapka ashirwaad
Namumkin hoga Aapke ashish ke bin rooh ka safar safal
Kyunki Aap hee Hain jo karmon ke parinaam takk sakte Hain badal.

Aapke ek ishaare se rukh badal leti hain hawaayein
Aapke hukm ka amal kar bhakt jann apna kalyaan karva jaayein
Har veh shakhs itna bhaagyashaali hai jisey Aap Apne paas bulaayein
Aapki sharan mein sabhi bhakt anupam ashish aur adviteeya anand paayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ramne Lagi… (10/13/2024)

Samaa Hee Thaa Mushkil (10/11/2024)

October 11, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2427
          Samaa Hee Thaa Mushkil

Samaa hee thaa mushkil
Ye nahin ki raahi thaa buzdil
Kashti dhoondh rahi thi kinaara
Khud saagar bhi dhoondh raha thaa sahaara
Raahi ne pukaara, β€œAao Guruji, aao na
Aap hee mere pita aur Aap hee meri maa.”

Raahi chal na paa raha thaa
Raaste ka hee nahin thaa pataa
Raahi ne maangi bakhshish Guruji se
Ki Ve Kshamaa karein uskee har khataa.

Raasta bhi thaa manzil kee talaash mein
Lekin usey khud bhi nazar na aa raha thaa moad
Roshni mein bhi raahi ka yoon kho jaana
Uske vishwaas ko dene lagta thaa toad.

Phir usey mehsoos hua Guruji ka spandan
Uske sanshay ka honei lagaa khandan
Ve chalta gaya karte huey vandan
Udaasi se murajhaaya thaa uske mann ka upvan.

Kuch palon ke baad takk bhi usey hota raha ehsaas
Ki Guruji ka ruhaani spandan jaise chal raha thaa uske saath
Ye ehsaas usey lagne lagaa bahut hee khaas
Spandan ke sangg ruhaani khushboo se bheegne lagey uske shwaas.

Veh jaan gaya, veh maan gaya
Ki Guruji Hain uske sangg
Murajhaaye huey upvan mein phaile
Indradhanush ke rangg.

Raaste mein hui roshni sundar
Vishwaas dridh hua uske bheetar
Tez honei lagi uskee chaal
Pehle se bahut behtar thaa abb uska haal.

Guruji ka chintan karte huey
Raaste par se guzarte huey
Jaise jaise manzil kee oar veh badhne lagaa
Vaise vaise ruhaani oonchaayee par bhi chadhne lagaa.

Uskee duvidhaayein honei lagi duur Guruji kee kripa ke dwaara
Kareeb lagne lagaa saagar ko sahaara aur kashti ko kinaara
Sakaaraatmakta se khil gaya uska har jazbaat
Raahi ka roam roam tarr gaya kar ke Guruji ka dhanyawaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Samaa Hee Thaa Mushkil (10/11/2024)

Aise Prataapi Hain (10/10/2024)

October 10, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2426
    Aise Prataapi Hain

Behta hai amrit yahaan
Har sees yahaan jhuk jaata hai
Ye Guruji ka dar hai bhakton
Jo aaye, yaheen ruk jaata hai.

Kahaan kahaan se aate hain sab
Paate Hain sab Guruji mein Rabb
In charnon mein lagg jaati hai lagan aisee
Pehle kaheen bhi na lagi thi jaisi.

Yahaan ahem vehem ka sthaan nahin
Koi insaan yahaan pradhaan nahin
Guruji Hain Sahib ek
Jinhe poojey bhakt pratyek.

Yahaan kamee nahin hai gungaan kee
Guruji kee mahima mahaan kee
Is mahima ko sunkar sunaakar
Is mahima ko gungunaakar
Paapi bhi tarr jaate hain
Bigde kaaj sanvar jaate hain.

Yahaan aksar rooh ko leti hai chhoo
Guruji Maharaj kee anokhi khushboo
Koi Guruji ke samaksh bahaata hai aansoo
Toh muskuraata hai kisee kisee ka muh.

Guruji bhaav ko Hain parakhte
Bhinn bhinn bhaav se dil hain dhadakte
Sangat ke alag alag jann ke
Kuch antarmukhi, kuch das apne mann ke.

Manobal ko Guruji badhaate Hain
Apni ichcha se sewa simran karaate Hain
Patit ko paawan banaate Hain
Sachchi neeyat se prasann ho jaate Hain.

Antas ko karte Hain saaf
Galatiyon ko karte Hain maaf
Sudharne ka mauka dete Hain kayi baar
Har pal nigraani rakhte hain Unke nayn kayi hazaar
Koshish karne waalon kee sahaayata awashya karte Hain
Dayavaan Hain, bhakton ko nirbhay karte Hain.

Anokhi hai Guruji kee leela
Anupam Unka gyan dene ka silsila
Unka satsang hai suraksha ka kila
Unkee agya bin patta bhi na hila.

Shwaas shwaas hai Unpar nirbhar
Shwaas shwaas naman karey Unke dar par
Shwaas shwaas hai Unkee karzdaar
Aise prataapi Hain Shiv avatari Guru sarkar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aise Prataapi Hain (10/10/2024)

Jud Gaya Hai Jo Guruji Se Naata (10/07/2024)

October 7, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2423
   Jud Gaya Hai Jo Guruji Se Naata

Jud gaya hai jo Guruji se naata
Toh yakeenan saaf hoga karmon ka khaata
Bahut khushkusmati se milte Hain pooran Guru
Bade naseebon se Unke charnon mein hota hai safar shuru.

Ye nahin hai saath pal do pal ka
Ye rishta hai kal aaj aur kal ka
Guruji hee jaanein asal avadhi iskee
Aur kaisi wafa hai kiskee.

Hum sabb kathputaliyan hain Unn Rabb ke aagey
Vaheen takk hamaari daud jahaan takk Ve le jaayein hamein chalaane wale dhaagey
Phir bhi Ve dete Hain azaadi swatantra ichcha kee bin kiye hastakshep
Aur hamaare kalyaan ke liye aksar dobaara bhi likhte Hain hamaare lekh.

Jis bhi tareh se dekha jaaye
Nishchit hai laabh hamaara
Kitne bhaagyashaali hain hum
Jo mila hai hamein Guruji ka sahaara.

Guruji se hee baatein saari
Guruji sangg hansna rona
Duniya mein jeete huey bhi
Buss, Guruji ka hee hona
Zaroori hai ye rakhna yaad
Varna bahut aasaan hai khona
Is kalyuga kee bheed mein
Jahaan mushkil hai paapon ko dhona.

Guruji jaisa aur Guru na dekha
Guruji jaisa na hai koi saathi
Jeevan mein aayi hai jo ananyata
Vo yakeenan Unhee ke sangg se hai aati.

Guruji Maharaj se nazdeekiyaan
Suljhaa rahi hain zindagi kee baareekiyaan
Unkee raza mein raazi rehne se sweekriti aur samarpan se sajta rahe ye safar
Guruji kee sharan mein hain toh yakeenan har pehlu par hoga Unke ashish ka asar.

Saraahein har din hum apni taqdeer ko
Naman karein mann mein basee Guruji kee tasveer ko
Unhonei thaama na hota toh hum hotey kitne laachaar
Shukrana ki hamein sambhaal rahe Hain Guruji Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jud Gaya Hai Jo Guruji Se Naata (10/07/2024)

Aapki Rehmat Kee Aushadhi (10/03/2024)

October 3, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2419
       Aapki Rehmat Kee Aushadhi

Param poojya Guruji,

Aapse hoti hai baat
Toh baat hoti hai Khuda se
Lagta hee nahin
Ki hum kabhi bhi thei juda juda se
Aisa apnapann, aisa pyaar
Aisa bandhan ki abb peechhe chhootne lagaa hai sansaar.

Kashish rehti hai toh buss
Aapse judey rehne kee
Arzoo rehti hai
Dil kee har baat buss Aapse kehne kee.

Ye deewaanapann hai ya bhakti
Kyun mai ye soch kar rahoon thakti?
Aap jis bhi tareh se rakhein mujhe Apne charan mein
Mujhe manzoor hai is aur kisee bhi aur janam mein.

Aapki mamta, Aapka sneh, Aapki rehmat
Mere dil mein Aapke liye izzat aur mohabbat
In sab se kaayam rehti hain meri saansein
Jinhe Apna sahaara deti hain Aapki baahein.

Meri oar se kamiyan hain anginat
Lekin kabhi kumm nahin hoti hai Aapki rehmat
Veh toh barasti rehti hai har mausam mein
Bannkar aushadhi meri khushi aur mere gumm mein.

Khushi ke lamhon mein mujh mein ahankar na aa jaaye
Isliye Apni is aushadhi dwaara bakhshte rahiyega mujhe sumati
Aur gumm kee ghadiyon mein ruk na jaaye meri gati
Isliye unn lamhon mein bhi mujh par bakhshte rahiyega ye aushadhi.

Aapki rehmat kee aushadhi se mai rahoongi swasth
Mai Aapki yaad aur sewa mein rahoon mastt
Meri rooh deewaani hai Aapki aur Aapke dhaam kee
Kripa kar meri rooh ko har janam mein deejiyega daat Aap Apne naam kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja