October 10, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2426
Aise Prataapi Hain
Behta hai amrit yahaan
Har sees yahaan jhuk jaata hai
Ye Guruji ka dar hai bhakton
Jo aaye, yaheen ruk jaata hai.
Kahaan kahaan se aate hain sab
Paate Hain sab Guruji mein Rabb
In charnon mein lagg jaati hai lagan aisee
Pehle kaheen bhi na lagi thi jaisi.
Yahaan ahem vehem ka sthaan nahin
Koi insaan yahaan pradhaan nahin
Guruji Hain Sahib ek
Jinhe poojey bhakt pratyek.
Yahaan kamee nahin hai gungaan kee
Guruji kee mahima mahaan kee
Is mahima ko sunkar sunaakar
Is mahima ko gungunaakar
Paapi bhi tarr jaate hain
Bigde kaaj sanvar jaate hain.
Yahaan aksar rooh ko leti hai chhoo
Guruji Maharaj kee anokhi khushboo
Koi Guruji ke samaksh bahaata hai aansoo
Toh muskuraata hai kisee kisee ka muh.
Guruji bhaav ko Hain parakhte
Bhinn bhinn bhaav se dil hain dhadakte
Sangat ke alag alag jann ke
Kuch antarmukhi, kuch das apne mann ke.
Manobal ko Guruji badhaate Hain
Apni ichcha se sewa simran karaate Hain
Patit ko paawan banaate Hain
Sachchi neeyat se prasann ho jaate Hain.
Antas ko karte Hain saaf
Galatiyon ko karte Hain maaf
Sudharne ka mauka dete Hain kayi baar
Har pal nigraani rakhte hain Unke nayn kayi hazaar
Koshish karne waalon kee sahaayata awashya karte Hain
Dayavaan Hain, bhakton ko nirbhay karte Hain.
Anokhi hai Guruji kee leela
Anupam Unka gyan dene ka silsila
Unka satsang hai suraksha ka kila
Unkee agya bin patta bhi na hila.
Shwaas shwaas hai Unpar nirbhar
Shwaas shwaas naman karey Unke dar par
Shwaas shwaas hai Unkee karzdaar
Aise prataapi Hain Shiv avatari Guru sarkar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Aise Prataapi Hain (10/10/2024)