Diwali Ka Parv Hua Sampann (11/01/2024)

November 1, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2448
      Diwali Ka Parv Hua Sampann

Diwali ka parv hua sampann
Gyan kee lau se ujjwal rahe mann
Diwali ke baad bhi
Har din aur har raat bhi.

Jalta rahe gyan ka deep
Noorani hota jaaye sabka naseeb
Sabhi ho paayein Guruji ke kareeb
Toh aaj ke baad koi na rahe gareeb.

Kyunki bin Guruji ke na miley vivek aur gyan
Guruji Hain sumat aur bakhshish kee khan
Ve karte aaye Hain sangat ka kalyaan
Aur aagey bhi dete rahenge daya ka daan.

Har din savera, har raat Diwali Guruji ke charan mein
Buss, mann yoon rahe Unke samaksh samarpan mein
Ki meetha lagta rahe Unka bhaana
Na shikva shikaayat, na koi bahaana.

Guruji bin gyan nahin
Gyan bina andhera
Guruji ke kamal charnon mein
Uddhaar tera aur mera.

Buss, phir toh aaj aur abhi se
Shuru karein agley varsh kee diwali kee tayyaari
Samast sangat par hai Guruji ka ashirwaad
Sabhi ke jeevan ke ujjwal honei kee aayegi baari.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Diwali Ka Parv Hua Sampann (11/01/2024)