October 1, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2417
Tumhaare Vishwaas Kee Shila
Tumhaare vishwaas kee shila
Aur Guruji dwaara bakhsha satsang ka kila
Ye sab saubhagya se tumhe hai mila
Sabka bhaagya aise nahin hai khila.
Vishwaas kee shila ko na samjho saadhaaran patthar
Ye shila le sakti hai bade se bade tufaan se takkar
Is shila par sada rehti hai Guruji kee meher-e-nazar
Is shila par sabr se tum khade raho nirantar.
Jabb takk hoge tum is shila par khade
Tum seh paaoge sangharsh bade bade
Guruji kee vadiyaayee se
Guruji kee guruyaayee se.
Is shila par chal rahi tumhaare bin dekhe
Aisee nakkaashi Guruji dwaara
Ki shila bann rahi hai ek mazboot buniyaad
Jo deti rahegi tumhe sahaara.
Jabb Guruji Hain sangg-taraash swayam
Toh awashya katenge tumhaare karam
Is shila ka karte raho sammaan
Aur Guruji ke satsang ka rakho tum maan.
Guruji ke satsang sunte sunaate
Unkee mahima sunte aur gaate
Tumhe miltee rahegi satsang ke kiley mein suraksha
Jahaan Guruji ne anginat sangat ko hai bakhsha.
Safar mushkil ho ya aasaan
Tumhe mila hai shila ka vardaan
Satsang ka kila kar raha hai tumhaara kalyaan
Kyunki bade hee dayavaan Hain Guruji mahaan.
Vishwaas sangg tumhaari aas mein rahegi mithaas
Meethi aas se kaayam rahegi satsang kee pyaas
Satsang ka kila tumhe honei na dega udaas
Kyunki Guruji kee yaad mein ramta rahega tumhaara har shwaas.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Tumhaare Vishwaas Kee Shila (10/01/2024)