Hamaari Chetna Kee Awaaz (12/12/2018)

December 12, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 297

      Hamaari Chetna Kee Awaaz

Hum sab hain ajeeb insaan
Sochte hain apne aap ko mahaan
Kitni kshanbhangur hai hamaari jaan
Yeh bhool jaatey hain hum naadaan

Apni ‘mai’ mein mehfooz hokar
Sochte hain ki duniya par hamaari hukoomat hai
Ek pal ka bharosa bhi nahin hai
Phir bhi bhool jaate hain, ki hamein Guruji kee zaroorat hai

Waqt ke mahatv ko jaanei na hum
Guruji kee baatein maanei na hum
Maut har pal sir par mandaraa rahi hai
Aakhiri ghadi har din paas aa rahi hai

Phir bhi, ahem kee tedhi seedi hum chadhey jaa rahey hain
Apne ahankar kee zidd par adhey jaa rahey hain
Vehemon ke bann rahey hain hum gulaam
Andhvishwaas kee pakadte hain hum lagaam

In sabse toh atma hoti chali jaayegi kamzor
Is timir ko duur karein, aur laayein jaagriti kee bhor
Shaktishaali banaayein apni antaratma ko
Poojein Guruji ko, hamaare Paramatma Hain jo

Guruji kee dikhaayee raah par chalna hee Unkee sachchi pooja hai
Guruji ke siva na koi maargdarshak dooja hai
Swayam MahaShiv ke avataar Hain Guruji
Hamaare Dev, hamaare paalanhaar Hain Guruji

Maafi maange Unse apne burey karmon kee
Ahemiyat samjhein hum jeevan ke lamhon kee
Neevanpan aur saralta laayein apne taur tareekon mein
Kya rakha hai dikhaavey aur burey saleeqon mein

Sewa aur Simran mein dhyan lagaayein
Apne Guruji ka maan badhaayein
Satsang mein baithein aur Unkee mahima suney aur sunaayein
Har insaan ke bhaley kee hum karein duaayein

Hamaari rooh kee chetna hamein har pal pukaare
Hamaara uddhaar ho sakta hai keval Guruji ke sahaare
Sab kuch chod kar aa jaayein hum Guruji ke dwaare
Baksh denge hamein Guruji, bakshanhaar Hain Ve hamaare

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Hamaari Chetna Kee Awaaz (12/12/2018)

Leave a comment