02/26/2018 and Sadh Sangat Ka Saath (02/26/2019)

Feb. 26, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

Boond boond se hee ghadaa bharey
Chhote se beej se hotei vriksh khade
Guru ke har hukm par amal kar bande
Usi se tu moksh ke kareeb badhe

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

Dhirja

02/26/2018

February 26, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

              Sadh Sangat Ka Saath

Ik bhanvre ki dosti
Hui ek gobari keede ke saath
Ek dost ne dooje se
Muskuraakar milaaya haath

Gobar mein rehne waale ne
Bhanvre ko diya nyota
Bhanvre ko mil gaya mitr
Veh khush kyun na hota?

Bhanvre ko hua pachhtaava
Jabb veh keede ke ghar aaya
Bhojan mein keval gobar thaa
Usne majbooran veh gobar khaaya

Abb aayee bhanvre ki baari
Usne gobari keede ko kiya nimantrit
Bhanvre ne bahut pyaar se
Gulab ke phool kiye ekatrit

Gobari Keede ko aadar se
Bhanvre ne gulab par bithaaya
Usee gulab ko pujaari ne aakar
Apni pooja ki thaali mein sajaaya

Gobari keeda thaali mein baith kar
Pahunch gaya divya sharan mein
Pujaari ne usey gulab ke sangg
Arpit kar diya Guruji ke charan mein

Bhanvre ki sangati ke kaaran
Gobari keede ka hua udhdhaar
Achche saath se usey praapt hua
Divya manzil ka uttam uphaar

Sadh sangat ke sangg reh kar
Sadgunn ka mil jaaye dhan
Kusangati ka saath dene se
Bhatakta reh jaaye mann

Guruji kee chaahat ke anusaar kyun na
Hum achchee sangati ko apnaayein
Taaki jeevan bann jaaye satsang
Aur hum Guru sharan mein samaayein

Achchee sangati se behtar ho jaati hai Insaan ki soch aur vichaardhara
Karmon ki naiya ko mil jaata hai
Guruji ki kripa ka komal kinaara

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Sadh Sangat Ka Saath

1 thought on “02/26/2018 and Sadh Sangat Ka Saath (02/26/2019)”

Leave a reply to alkachauhansingh Cancel reply