March 3, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar # 744
Guruji Aaye Hain
Kalyuga ke jaal mein phansey huey hain hum
Hamein is se mukti dilaaney Guruji aaye Hain
Yeh jeevan moh maya ka khel hai
Hamein yeh samjhaane aaye Hain
Apne karam aur kartavya par hum dhyan dein
Hamaare paapon ka bojh ghataane aaye Hain
Deen dukhi aur naadaan hain hum
Guruji hum par Apni rehmat barsaane aaye Hain
Abhimaani hain hum, tuchh khayaalaat hain hamaare
Hamaara ahem mitaane aaye Hain
Anjaan hain hum,
Hamein hamaari asliyat se parichay karvaane aaye Hain
Dhyan aur simran karein, kusangati se duur rahein
Ve hamein ye bataane aaye Hain
Gupt daan, gupt paath, gupt sewa karein
Ve hamein ye sikhaane aaye Hain
Divya srijan Hain, MahaShiv Hain
Hamaare uddhaar karne aaye Hain
Unhee ko sarv samarpan hum kar dein
Hamaare jeevan mein Ve sudhaar karne aaye Hain
Saral Hain Ve, aur taral Hain
Saadagi ka paath padhaane aaye Hain
Komal Hain, nirmal Hain
Satya aur prem ka maarg dikhaane aaye Hain
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja