September 9, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 934
Devon Ke Dev, MahaShiv Mahaan
Duniya tumhaara kuch nahin bigaad sakti kar ke atyaachaar,
Kyunki Guruji ni-sandeh Hain tumhaare paalanhaar,
Saump do Unhe apne jeevan kee naiya,
Na milega tumhe Unse zyada dhyan rakhne wala khewaiya.
Tumhaare raaste ke har shool ko hataane ka kiya hai jisne intazaam,
Ve yakeenan Hain Guruji, jo Hain tumhaare baagbaan.
Na sochna ki tumhaara raasta kabhi bhi hai gumaa,
Kyunki tumhe raasta dikhaayenge Guruji, tumhaare rahnuma.
Chaahe saare sagey sambandhi tumse toad dein naata,
Guruji mein paaoge tum bandhu, naath, aur bhraata.
Vipda jo aaye chaahe kitni bhi bhaari,
Tum chinta na karna, kyunki Guruji Hain kalyaankaari.
Na niraasha ke aansuon se numm karna apne lochan,
Guruji Hain dayaalu aur Ve Hain sankatmochan,
Uljhan aayegi toh suljhan bhi milegi har baar,
Ye nahin bhoolo, ki Guruji Hain taaranhaar.
Agar lagaa ki ho gaya jeevan mein khushi ka khaatma,
Toh bhi sab theek karenge Guruji jo Hain Paramatama.
Sab kuch lut gaya toh bhi naye daur se zindagi hogi shuru,
Kyunki pyaare Guruji Hain pooran Guru.
Isliye na khona tum apna sukh, chayyn, aur aaraam,
Kyunki tumhaare sangg Guru ke roop mein Hain Bhagwaan,
Na karna fikr, ki kaise hoga tumhaare karmon ka bhugtaan,
Kyunki Guruji Hain Devon ke Dev, MahaShiv mahaan.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja