July 7, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 #
1235
Guruji Ka Bulaava Aaya
Guruji ka bulaava aaya,
Guruji ka bulaava aaya,
Paigaam pyaar ka laaya,
Guruji ka bulaava aaya.
Hum dekhein jidhar jidhar,
Guruji hee dikhte Hain,
Hum bhaagan wale hain,
Hamein darshan milte hai,
Poora sansaar hai aaya,
Guruji ka bulaava aaya.
Satsang mein aane se,
Hamein lagta achchaa hai,
Sewa aur simran ka,
Anand bhi sachcha hai,
Tyohaar hai aaj aaya,
Guruji ka bulaava aaya.
Paani ko bhi Guruji,
Amrit Hain banaa dete,
Beghar bechaaron ko,
Jholi mein panaah dete,
Adhikaar sabhi ko dilaaya,
Guruji ka bulaava aaya.
Ye jeevan sanvar gaya,
Unkee vadiyaayee se,
Abb darr hee nahin lagta,
Yahaan se vidaayee se,
Vyarth hai ye moh maya,
Guruji ka bulaava aaya.
Yahaan apna koi nahin,
Laukik ye naate hain,
Logon ka kya kehna,
Yoon aate jaate hain,
Sansaar toh hua paraaya,
Guruji ka bulaava aaya.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja