October 10, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1330
Maanav Bann Kar Aaye Thei
Ishwar kee leela se maanav ne janam liya
Satyug mein toh sadbhaav se maanav ne karam kiya
Jaise jaise yug badle toh tretayug aur phir dwaapar yug aaya
Aur uske pashchaat yeh kalyuga chhaaya.
Jisne janam liya thaa bann kar maanav
Uska swabhaav ho gaya jaise veh ho daanav
Jo bhi maanav aur daanav mein thaa fark
Veh kumm honei lagaa bin koi tark-vitark.
Phir toh kya hee kehna
Prakriti ko pada is hakeekat ko sehna
Swaarth aur vikaar karne lagey raaj
Chaahe ho veh koi bhi kaam kaaj.
Maanav bhoolne lagaa Bhagwaan ko bhi
Bhool gaya ki jeevan imtehaan hai, yeh bhi
Itna magn hua bann-ne mein bhautik ameer
Ki maano baych diya maanav ne apna zameer.
Guruji aaye dharti par bann kar bashar
Ve sarvgyani Hain, isliye jaante thei ki kalyugi hawaa ka kya hoga asar
Unhonei na chodi Apni oar se uddhaar karne kee koi bhi kasar
Lekin maanav kee bhautikvaad kee bhookh hoti chali agrasar.
Guruji ne kaha ki koi maangta hee nahin cheez asal
Guruji dekhte rahe ki maanav kaise raha hai badal
Apni shakti aur Apne prataap ko kiya Guruji ne pehle se bhi zyaada
Unhonei mahasamadhi lee aur nibhaate rahe kalyaan karte rehne ka vaada.
Maanav phir bhi karta raha daanav ke jaisa vyavhaar
Badhne lagaa laalach, krodh, kaam bhaav, irshya, nashaa, aur vyabhichaar
Prakriti ka bhi sammaan na kiya toh prakriti hui laachaar
Aur saare sansaar mein honei lagin praakritik vipattiyaan kayee hazaar.
Maanav phir bhi sudhar na paaya aur anuchit hota gaya uska vyavhaar
Phir mahaamaari aayi aur hua poora jagg laachaar
Kewal shaareerik sehat se hee nahin, balki mann aur charitra se maanav hua beemaar
Abb toh ek hee ummeed bachi hai, vo hai MahaShiv Guruji ka dwaar.
Maafi maang lein Guruji se hum sab maanav
Chod dein hum sabb bann-na daanav
Guruji chaahte Hain hum sudhar jaayein
Jaisa Ve chaahein hum sab kyun na vaisa bann paayein?
Chod dein daanav wale vichaar aur vyavhaar
Khud sudhar kar sanvaarein yeh sansaar
Guruji samjhaate Hain kayee tareekon se baar baar
Ve le jaana chaahte Hain hum sabko bhav saagar ke paar.
Guruji ne diya hai jo jeevan daan
Daanav bann kar na karein is daan ka apmaan
Maanav bann kar aaye thei, yahaan maanav bann kar hee rahein
Guruji ke diye huey jeevan daan ke liye sadaa Unhe Shukrana kahein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja