November 2, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»# 1353
Dhanteras Ka Tyohaar Hai Aaya
Dhanteras ka tyohaar hai aaya
Apne sangg Deepawali ka Sandesh hai laaya
Kisee ne momabatti jalaayi toh kisee ne diya jalaaya
Har oar sakaaratmak Spandan hai chhaaya.
Dhanatrayodashi ya Dhanvantari Trayodashi bhi isey hai kaha jaata
Judi hai is parv se Samundra Manthan kee gaatha
Maa Laxmi aur Kuber ji huey prakat
Mitaane har nirdhan ka sankat.
Jagg mein karne chikitsa ke gyan ka vistaar
Vishnuji ne liya jo ansh avatar
Ve thei Dhanvantari Bhagwaan
Jo is din laate Hain aarogyataa ka paigaam.
Amaratva ka amrit kalash mein lekar Apne saath
Bhagwaan Dhanvantari ne rakha bhakton ke sir par haath
Unhe kaha jaata hai Ayurveda ke Bhagwaan
Aur diya jaata hai Dhanteras par khaas sammaan.
Janma patri ke anusaar shadi ke chaar din pashchaat
Raja Hima ne hona thaa mrityu ko praapt
Unkee patni ne jalaaye anek deep uss raat
Soney aur chaandi ke sikkon ke dher kee banaayi paraat
Yamraaj aaye bannkar naag
Lekin patni ne bachaaya apna suhaag
Usne poori raat kiya gungaan chod kar sab kaam kaaj
Diyon aur sikkon kee chamak se theek se na dekh paaye Yamraj
Madhur sangeet ne naag ko kiya itna prasann
Ki ve subah aate hee laut gaye Hima ko liye bin.
Kayi kathaaon mein yeh Yamraj aur Hima raja ka kissa
Hai darasal Unke putr aur bahu kee kahaani ka hissa
Lekin sandesh vahee padta hai jaan
Ki mila akaal mrityu se bachaav ka daan.
In sab kathaaon ke aadhaar par
Maa Laxmi aur Bhagwaan Kuber ko pooja hai jaata
Ghar ke aangan aur dwaar par mitti ke deep jalaakar
Har koi mithai ka prasad hai khaata aur khilaata.
Kartik maas ke krishnapaksh kee trayodashi par
Manaaya jaata hai yeh tyohaar
Swaasthya ka dhan, akaal mrityu se nirbhay honei ka dhan
Is dhan ka mahatva hai aparampaar.
Hum Guruji ke hain bachche
Unkee kripa se hamaare vichaar hon achche
Karmon mein ho sachchaayee aur achchaayee
Har pal hamein yaad rahe Guruji kee vaddi vadiyaayee.
Aaj ke is shubh din par
Jaane na dein vintee ka avasar
Nirogi ho yeh kaaya, Guruji se karein yaachna
Mann bhi rahe swasth, Guruji se karein praarthna
Mann mein ho sampannataa ka santosh
Duur ho vikaaron aur paapon ka dosh
Abhay daan ka maangein dhan
Aur Shukrana kehte rahein har kshan.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja