Veer Viraaj (11/13/2021)

November 13, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1364

                       Veer Viraaj

Kabhi toh ye hansaati hai
Kabhi bahut rulaati hai
Jo bhi kaho, bahut khoobsoorat hai
Yeh daastaan jo zindagi kehlaati hai.

Kabhi sab kuch lagta hai itna suhaana
Toh kabhi lagta hai udaasi ka afsaana
Jaisa bhi ho, bahut dilchasp hai
Is zindagi ke tamaashe ka taraana.

Kabhi is kahaani mein lagta hai har koi apna
Kabhi aisa lagta hai ki vo hai hamaari kalpana
Jaisa bhi lagey, bahut anokha hai
Yeh kahaani roopi adbhut sa sapna.

Kabhi lagta hai ki sab hai theek
Kabhi lagta hai ki qayamat hai nazdeek
Jaisa bhi lagey, bahut romaanchak hai
Yeh anubhav, jiska Guruji ke vash mein hai naseeb.

Jaisa bhi mehsoos ho is jeevan mein
Jo bhi ho mann mein iskee paribhaasha
Guruji kee nigraani mein hai jeevan ka har pal
Ve dekh rahe Hain saara tamasha.

Is satya se miltee hai itnee saantvanaa
Ki chaahe sooraj kee roshni ho ya aa jaaye baadal ghanaa
Guruji ka aanchal sadaa deta rahega hamein panaah
Srishti ka har kann hai is tathya ka gavaah.

Buss, phir toh har pal hai Guruji ke hukm ka mohtaaj
Ve Hain sabki neeyat ko parakhkar niyati ka nishchay karne wale sartaaj
Tabb bhi Unka raaj thaa, aur abb bhi hai Unhee ka raaj
Ve hee Hain mata aur pita, aur Ve hee Hain vishal Vishweshwar aur veer Viraaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

VeVeer Viraaj (11/13/2021)

Leave a comment