Aapke Charnon Mein (11/15/2021)

November 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1366

              Aapke Charnon Mein

Pyaare Guruji,

Mujhe kisee aur hamdard kee zaroorat nahin
Mere dil kee baat mainey Aapse hai kahi
Buss, Aapke charnon mein rehne kee hai mujhe chaah
Vaheen se shuru vaheen par khatm ho mere har janam ke jeevan kee raah.

Aapke charnon ke sukoon se zyada sukoon mil nahin sakta aur kaheen
Aapke charnon ke sparsh se dhanya hoti hai ye zameen
Aapke charnon mein sir jhukaata hai akash
Aapke charnon kee toh dhool se bhi anugrihit hota hai samast srishti ka sakash.

Rehematon ka dariya Aapke charnon ko chhoo kar
Mehar se maalamaal hai ho jaata
Aur Aapki dee hui rehematon kee daulat se
Veh dariya bhakton par rehematein hai barsaata.

Kshamaasheelta ka gehra saagar
Paakar Aapke charnon ke amrit kee gaagar
Uss amrit ko kar leta hai swayam mein atmasaat
Aur pahunchaata hai bhakt janon ko Aapke diye kshamaa daan kee daat.

Ibadat aur sarv-samarpan ka sandesh
Karta hai Aapke charnon ke ashirwaad mein samaavesh
Yeh sandesh karta hai anta-karan mein pravesh
Bann kar Aap Sarvesh ka aadesh.

Aapke charnon kee vaddi hai vadiyaayee
Aapke charnon mein hoti hai sabki sunvaayee
Jabb se Aapki kripa se mai Aapke charnon mein aayi
Tabb se jeevan mein anokhi sadgati hai aayi.

Guruji, Apne charnon mein rakhna sadaa mujh nadaan ko
Aapke charnon mein rehkar japti rahoon Aapke naam ko
Sabhi devi devta Aap mein Hain samaaye, sabhi pranaam karein Aap Bhagwaan ko
Aapke charan kamal ka ashish paakar saari sangat ka kalyaan ho.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapke Charnon Mein (11/15/2021)

Leave a comment