Chitt Ka Chaarul ChamanΒ (01/31/2022)

January 31, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1443

Chitt Ka Chaarul Chaman

Ashirwaad bikaaoo nahin hota
Na hee bikaaoo hota hai pyaar
Jisne is satya ko samajh liya
Uska yakeenan ho gaya uddhaar.

Kyunki paise se sukh khareedna naadaani hai
Jo is sukh ko anant maanega, veh jann toh agyani hai
Nirdhan kee sewa niswaarth ho, aur shraddha mein ho paawan pyaar
Toh uss jaisa dhanwaan koi aur nahin, chaahe khoj lo saara sansaar.

Guruji toh bheetari bhaav dekhte aur jaante Hain
Ve Apne sabhi bhakton kee neeyat aur ichchaaon ko pehchaante Hain
Karte Hain Ve sabhi ka uddhaar
Lagaate Hain sab ka beda paar.

Ve jaante Hain hamaare sanchit karmon ka bhaar
Praarabhd karma ko bhogne ke liye dete Hain hamein janam baar baar
Karmon ka adhiktar bhaar lekar swayam par
Karun aur komal ashirwaad dete Hain Ve Parwardigaar.

Unke kisee bhi ashirwaad ka mol lagaana hai namumkin
Aur aisee koshish karna bhi hai khataa aur naadaani
Paise se nahin khareed sakte Guruji kee daat
Ye tathya poorna baat sabhi ne aaj nahin toh kal hai maani.

Pyaar aur gyan bhi hain anmol
Unka nahin hai koi naap ya tol
Agaadh hai inkee gehraayee
Inkee pavitrata mein hai Guruji kee vadiyaayee.

Bilkul asthir hai laukik dhan
Nashwar hai hamaara tann
Inmein aasakti kar ke na bhatkaayein apna mann
Kyunki ye khatm ho sakte hain kisee bhi kshan.

Sada rahein Guruji ke naam mein magn
Aur sanchit karein Unke ashirwaad ka dhan
Inn se sukhi ho jaayega hamaara har janam
Is dhan se susajjit karein apne chitt ka chaarul chaman.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Chitt Ka Chaarul ChamanΒ (01/31/2022)

Banda Bann-ne Ka Dharam (01/30/2022)

January 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1442

       Banda Bann-ne Ka Dharam

Chaahe kahein hum Ram Ram
Ya karein Shri Krishna ko pranam
Sabka maalik toh ek hee hai
Phir chaahe jo bhi ho naam.

Guruji MahaShiv ke roop Hain
Bashar bann kar aaye yahaan
Saare devi devta Unmein samaaye Hain
Is baat ka diya Unhonei gyan.

Jis bhi devi devta ko pooja jaaye
Guruji takk zaroor pahunchti hai Unke bhakt kee arzi
Khud ke bhale ke liye yahee hai achchaa
Ki maan lee jaaye Guruji kee marzi.

Kyunki apni soch toh hai chhoti itnee
Ki chaahe hum yojna banaa lein jitnee
Kabhi nahin ho sakti hai veh Guruji kee soch se behtar
Kyunki maanav buddhi ke liye agamya hai divya soch ka starr.

Maana hai hum sabne ki jahaan hamaari soch khatm hoti hai
Vaheen se Guruji kee soch hoti hai aarambh
Guruji se karein vintee ki hum Unkee mehar se changa sochein
Kyunki har soch kee shuruaat mein hai ek karma ka praarambh.

Soch ya kriya ya pratikriya mein
Agar humse koi khataa ho jaaye
Toh jitnee maafi Guruji dete Hain
Utnee koi aur na dene paaye.

Guruji se oonchi nahin hai koi shakti
Guruji Maharaj Hain Sarvesh
Jitna hum judenge Unse
Utnee sheeghr mitenge jeevan ke klesh.

Kar dein Unhe arpan apni har kriya, aur har vichaar
Toh Unkee mehar se aayegi in sab mein shuddhi
Unhe de dein hum apna shraddha bhaav
To antt-karan mein vaas karegi subuddhi.

Hamaari nek neeyat aur Guruji kee kripa se mann behakne se bach jaayega
Hamaara har karma Guruji kee mehar se nikhar jaayega
Guruji kee divyata se prabhaavit hoga hamaara har karam
Aur hum Unhe khush kar sakenge nibha kar banda bann-ne ka dharam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Banda Bann-ne Ka Dharam (01/30/2022)

Naam Ka Anmol Gehna (01/29/2022)

January 29, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1441

         Naam Ka Anmol Gehna

Na ho tu is mushkil samay mein adheer
MahaShiv Guruji sanvaar rahe Hain teri taqdeer
Tu buss barkaraar rakh apna zameer
Ve Hain daata, tu hai Unka das aur fakeer.

Jo bhi tu Unhe bhog mein chadhaata hai
Veh sab Unhee ka diya hua hee toh hai
Unhonei tere paapon aur kashton ke alawa
Kabhi tujhse kuch liya hee nahin hai.

Tere paas dene ke liye hai hee kya
Tu toh sanchit karta hai har pal karma naya
Khushkismat fakeer hai tu, kyunki tujhpar barasti hai Guruji kee daya
Jo bhi Guruji kee sharan mein aaya, veh shakhs yakeenan hai tarr gaya.

Tu de de Unhe shuddh bhaav apna
Seekh le Unkee raza mein raazi rehna
Apne har janam ke liye maang le Unse
Unke nirmal naam ka anmol gehna.

Is gehne ka rehamat-e-noor hai aparampaar
Iske saamne pheeka hai har solah sringaar
Iske aagey kumm hain pooja ke solah upchaar
Yeh naam hee sakta hai jeevan ko sanvaar.

Is naam ko japte rehna hai sabse shubh kaam
Is shubh kaam mein der na kar tu ek bhi pal kee
Waqt ret kee tareh haathon se nikla jaa raha hai
Isliye is naam ko japne ke liye intazaar na kar tu aane wale kal kee.

Jabb tu har pal Guruji ka chintan karte huey japega Unka naam
Toh teri har shikayat aur har chinta ka ho jaayega khaatma
Tere nirmal bhaav se prassann hongei Guru Paramatama
Unke naam kee mehar se sukoon paayegi teri atma.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Naam Ka Anmol Gehna (01/29/2022)

Titlee Hai Tu (01/28/2022)

January 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1440

         Titlee Hai Tu

Nibha le Guruji se preet kee reet
Ve anant ke liye rahenge tere meet
Gaa tu Unke stavan ke geet
Na ho kisee se bhi bhaybheet.

Jabb Guruji Hain tere angg sangg
Aur chadha hai tujh par Unke naam ka rangg
Phir koi nahin kar sakta tere sukh ko bhangg
Kyunki Guru naam se hai tere antarmann mein ruhaani umang.

Titlee hai tu Unke pyaare ke upvan kee
Kaha kar tu Unse baat apne mann kee
Ichhuk reh tu Unke naam ke sanatan dhan kee
Unhe saump de fikr tu apne jeevan ke har kshan kee.

Jinhonei banaaya hai tujhe illee se titlee
Jinke kehne par tere liye sukh kee kaliyaan khilee
Tu abb takk bhi Unhee kee goad mein hai palee
Unke aanchal mein tujhe laad kee chhaaon hai milee.

Tere pyaare se safar ko phoolon se Ve sajaayenge
Tu har phool par ruk kar karna uska naman
Tu karna is kadar Guruji ka shukrana
Ki teri prerna se Unke vandan mein jhuk jaaye saara chaman.

Udd kar upvan kee har disha mein tu
Karti jaana Guruji kee mahima ka gungaan
Hawaa ke jhonke bhi mehek jaayenge
Dete huey Guruji kee maujoodagi ka pramaan.

Guruji ko sarvsamarpan kar ke
Tujhpar na rahega kisee tareh ka bhaar
Guruji ne tere jeevan kee doar hai thaami
Diya hai Unhonei tujhe tere upkaar ka uphaar.

Yoon hee mauj aur masti mein
Khush swabhaav se tu udtee rehna
Har pal har din har mausam mein
Guruji ko Shukrana zaroor kehna.

Guruji ko tu ek lamhe ke liye bhi na bisraana
Guruji ke naam kee dhun mein tu udti jaana
Jahaan Guruji kahein, tu uss disha mein mudti jaana
Kyunki Unhee ke hukm mein reh kar milega tujhe param sukh ka khazaana.

Leti chal har pal tu Guruji ka naam
Bhar le is gagan mein tu umda udaan
Tere Guruji Hain MahaShiv mahaan
Unhee ko arpit kar de tu apne praan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Titlee Hai Tu (01/28/2022)

Aansuon Ka Koi Bhaar Nahin Hota (01/27/2022)

January 27, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1439

   Aansuon Ka Koi Bhaar Nahin Hota

Aansuon ka koi bhaar nahin hota
Phir bhi na jaane kyun palkon ko lagte hain ye bhaari
Jaise hee palkein jhapak kar ye aankhon se beh jaate hain
Toh halkapan mehsoos karti hai mann kee bhi chaar deewari.

Lekin, na jaane aisa kyun hota rehta hai
Ki karmon ka bhaar insaan dhota rehta hai
Ho kar uss bhaar se bilkul bekhabar
Bina kisee hichkichaahat ya darr.

Oopar se agar jaagriti na aaye
Toh aur karma sanchit honei se badhta jaata hai bhaar
Palak jhapakne se aansoo toh beh jaata hai
Lekin, karma ka bhaar toh atma par hee reh jaata hai.

Atma isee bojh ko dhote dhote
Karti hai na jaane kitne safar
Har janam mein alag shareer ko kar ke dhaaran
Atma dhoondhti rehti hai apna nivaaran.

Guruji ko toh sab hai pataa
Ki kisne kee hai kaunsi khataa
Kaun khota hai aur kaun kharaa
Kaunsa paap chhota hai aur kaunsa hai bada.

Unhonei toh diya hai bhakton ko Apne naam ka sahaara
Hamaare karmon ka bhaar kumm ho sakta hai is sahaare ke dwaara
Jis jis ne shraddha bhaav se hai Guruji ko pukaara
Guruji ne uske ateet ke karmon ke vartmaan parinaam ko hai sanvaara.

Guruji ke naam se hoti hai antar-mann kee shuddhi
Jis se bhaar ka ehsaas hona shuru ho jaata hai
Guruji ke naam se aati hai jaagriti aur subuddhi
Aur bhakt bhavishya ke liye zyada saavdhaan ho jaata hai.

Guruji bakhshte Hain saahas maafi bhi maang lene ka
Guruji bakhshte Hain neevanpann sabhi ko duayein dene ka
Simran, sewa, satsang se karte rehte Hain Ve bhakt ka pavitrikaran
Unka ashish hota hai kasht haran aur mangal karan.

Aisee hai Guruji kee mehar
Ki Ve toh har pal karte Hain nadar
Hota rehta hai bhakt ke antar-mann par Unkee mehar ka asar
Pichhle karmon ka bhaar kumm hota rehta hai
Jaise jaise samay jaata hai guzar.

Tann aur mann ke saath saath
Guruji karte Hain bhakt kee atma ka uddhaar
Karmon ka bhugtaan bhi karaa dete Hain Guruji
Har tareh se kumm hota jaata hai atma par bhaar.

Kewal yahee nahin, balki Guruji kee kripa toh itnee aseem hai
Ki Ve aksar lekha bhi likh dete Hain dobaara
Bhakt ke shraddha poorna bhaav aur samarpan ko dekhkar
Pehle se bhi zyada chamakne lagta hai kismat ka sitaara.

Buss, aish karte huey yeh yaad rakhna hai anivaarya
Ki Guruji se hee mila hai karmon ke bhaar ko kumm karne ka upaay
Isliye Unka Shukrana karna zaroori hai har pal har din
Kyunki banda bann-na namumkin hai Guruji ke ashirwaad ke bin.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aansuon Ka Koi Bhaar Nahin Hota (01/27/2022)

Pichhle Karmon Ke Kisson Kee Kahaani (01/26/2022)

January 26, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1438

Pichhle Karmon Ke Kisson Kee Kahaani

Pichhle karmon ke kisson kee kahaani
Bann jaati hai vartmaan kee zindagi kee zubaani
Chaahe lagey vo timir tufaani
Ya phir lagey ek subah suhaani.

Chaahe yeh niyam pasand aaye ya nahin
Guruji ke anusaar toh yahee hai sahi
Isliye hamein isey maan-na hee hoga
Varna hum khud ko de rahe honge dhokha.

Hamaare haath mein hai hamaari swatantra ichcha
Isliye hum swayam hee soch-vichaar aur karam kar sakte hain achcha
Isliye rakhkar iraada nek aur sachcha
Kyun na hum mein se har koi baney Guruji ka pyaara bachcha.

Ye bhi toh rakhna hai yaad
Ki is janam ke jeevan ke antt ke baad
Isee janam ke isee jeevan ke karam saath jaayenge
Jo aane wale janmon ke jeevan mein kismat bann kar laut aayenge.

Aise hee yeh silsila chalta rahega
Pichhle karmon ka prabhaav bahega
Jabb takk bachte rahenge bhugatne wale karam
Chaahe lene padein hamein jitne bhi janam.

Kyun na abhi se rok lein is bahaav ko
Aur tyaag dein anuchit soch, karam, aur har burey bhaav ko
Taaki abb aur na badhe yeh khaata
Kyunki bhaari khaata mukti ko pasand nahin aata.

Aur zaroori hai paana mukti
Kyunki yahee toh hai ek yukti
Sadaa ke liye Guruji ke charnon mein samaane kee
Aur janam maran se sada ke liye chhutkaara paane kee.

Kar dein Guruji aisee mehar
Ki mann mein simran chalta rahe aathon pehar
Anuchit karma karne ka na mauka miley na aaye vichaar
Aur Apni karuna se Guruji dein hamein taar.

Phir khatm hogi pichhle karmon ke kisson kee kahaani
Aur ye na banegi aane wali zindagi kee zubaani
Hamaari nek neeyat dekh hamaare soch vichaar par hoti chalegi Guruji kee meharbaani
Aur mukti kee haseen manzil par pahunch kar muqammal hogi yeh yaatra ruhaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pichhle Karmon Ke Kisson Kee Kahaani (01/26/2022)

Jahaan…… (01/25/2022)

January 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1437

                Jahaan……

Jahaan tumhe gunaahon ke saath sweekaar liya jaata hai
Jahaan pashchaataap se tumhaara har paap dhul jaata hai
Jahaan tumhaare asahaay mann ko atma-vishwaas mil jaata hai
Jahaan tumhaara udaas chehra khil paata hai.

Jahaan ansuon kee keemat anmol hai
Jahaan paawan arzi ka bada mol hai
Jahaan bhookhe pyaase rehne kee zaroorat nahin
Jahaan jo sachche bhaav se kiya jaaye, vahee tapp hai sahi.

Jahaan simran aur dhyan se miley chayyn
Jahaan divyata ka ehsaas ho, chaahe khule ya moonde hon nayyn
Jahaan raasta khud bakhud bann jaata hai manzil
Jahaan parkhaa jaata hai mann ka mandir

Jahaan karmakaand ka nahin hai riwaaj
Jahaan bahut mahatva rakhta hai β€˜aaj’
Jahaan aaj hee beete huey kal ka bojh kar sakte hain hum kumm
Jahaan aaj hee sudhar jaane se kumm ho sakte hain aane wale gumm

Jahaan tarti hai sangat kar ke sewa aur satsang
Jahaan gehra hota rehta hai simran ka rangg
Jahaan langar prasad kee aushadhi nirogi kar deti hai tann mann ko
Jahaan samarpan se raahat mil jaati hai har bhakt jann ko

Jahaan sukh badhta hai dil aur labon par Shukrana rehne se
Jahaan sukoon milta hai nirmal aur saral bhaav ke behne se
Jahaan neevenpann par chadhta hai divya noor
Jahaan miltee hai santushti bharpoor.

Jahaan banda bann kar aish karne ko kaha jaata hai
Jahaan MahaShiv dwaara bhakt ka adhiktar kasht saha jaata hai
Jahaan niswaarth hoti hai prem kee bhaasha
Jahaan tript hoti hai ruhaaniyat kee abhilaasha.

Jahaan pahuchkar mit jaati hai har thakan
Jahaan ho jaata hai chintaaon aur kashton ka haran
Jahaan miltee hai bhatki hui atma ko sharan
Ve Hain pyaare Guruji Maharaj ke kamal charan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jahaan…… (01/25/2022)

Simran Kee Syaahi (01/24/2022)

January 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1436

               Simran Kee Syaahi

Kalam mein bharenge jaisi syaahi
Usee rangg kee hogi likhaayi
Kyunki kalam toh kewal hai ek paatr
Jismein bhari syaahi se likhta hai chhaatr
Usey diye huey imtehaan mein
Vidyaalay ya kisee anya sthaan mein.

Vidyaalay hee toh hai yeh zindagi
Adhyaatmik imtehaan hai ik bandagi
Hamaara mann hai ek paatr
Aur hum sab hain Guruji ke chhaatr.

Hamaari chetna hai hamaari buddhi
Isliye anivaarya hai iskee shuddhi
Kyunki kalam toh chetna ke hukm par chalega
Aur lekha syaahi ke rangg mein dhalega.

Isliye kyun na mann roopi kalam mein
Bhar lein hum simran kee syaahi
Taaki bandagi ke imtehaan mein
Shuddh aur shubh ho hamaari likhaayi?

Hum jo banenge chhaatr honhaar
Toh hamaare Guruji ko lagega achchaa
Kyunki Guru ko veh chhaatr awashya bhaata hai
Jo adhyayan mein prayaas karey sachcha.

Nek neeyat aur prayaas dekhkar anekon baar
Guruji hamaari maasoom galatiyon ko kar denge nazar andaaz
Isliye adhyaatmik adhyayan mein jo honge sachchi lagan aur pyaar
Toh hum imtehaan mein likh paayenge achche alfaaz.

Simran kee ye syaahi
Feeki na padne paaye
Simran kee is syaahi mein
Mayyl na jamne paaye.

Mann roopi kalam ko rakhna hoga swachchh
Nikaalna hoga mann se har khayaal jo ho tuchchh
Saaf kalam mein shuddh syaahi hogi, aur chetna sochegi sahi
Toh phir likhaayi mein koi bhi galati hogi hee nahin.

Saath mein ekaagrata rakhni hogi zaroor
Isliye vikarshanon ke prabhaav se na hon hum majboor
Hamaara lakshya ho imtehaan mein hona safal
Isliye hum prayaas ko na honei dein vifal.

Shuddh syaahi kee boondein banti rahein pal pal ke nirantar simran se
Jaagrit chetna likhwaaye uttam likhaayi mann roopi kalam se
Adhyatmik imtehaan mein safal hokar karein hum Guruji ko prassann
Aur Unkee mehar se hamaara yeh ruhaani safar ho sampann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Simran Kee Syaahi (01/24/2022)

Is Kaayinaat Ke Chitrakaar (01/23/2022)

January 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1435

         Is Kaayinaat Ke Chitrakaar

Vo ghaas aur paudhon ke beech
Dikhti hai jo nanhi si kali
Vo baag mein khelti hui bachchi
Jo bade laadon se hai pali
Pavitra prem mein bandhe huey premi
Nirantar chalti hui waqt ke pahiye kee nemi
Veh bagiya mein khila hua sundar sa phool
Jo hawaa ke jhonke mein raha hai jhool
Veh akash kee aseemta mein udta hua vihangam
Ve nirmal nadiyaan, jinka hota hai saagar se sangam
Veh sooraj, jo baadalon mein khele aankh micholi
Aur vahee baadal, jo tehelein bannkar ke ek toli
Veh chaand, jo apni chaandni se jagg ko sajaata hai
Har veh taara, jo ambar mein timtimaata hai
Prakriti ke ye sabhi nazaare
Khatkhataate hain hamaare anubhav ke dwaare.

Guruji kee mehar se hai inn sabka vajood
Aur inn sab mein divyata hai maujood
Inkee saralta mein bhi hai gehraayee
Inhe nikhaarti hai Guruji kee vadiyaayee.

Jeevan bhi shaayad hai kuch kuch aisa
Aur nitya khushiyon ko nahin khareed sakta hai paisa
Saralta mein basta hai anokha sukh
Saralta kitna kuch sikhaati hai bin khole apna mukh.

Lekin hamein ye rehta nahin hai yaad
Isliye toh Guruji se kar lete hain hum fariyaad
Uskee, jo asal daulat hee nahin hai
Uskee, jiska maangna sahi nahin hai.

Guruji toh hamein yaad dilaate jaa rahe Hain
Ki itne dukh humne apni maangon kee vajeh se sahe hain
Inhee maangon se ulajh gaya hai jeevan hamaara
Inhee maangon se asthir aur ashaant hua hai mann hamaara.

Isliye agar sanvaarna hai jeevan ko
Aur shaant aur sthir rakhna hai mann ko
Toh karte huey Guruji ka Shukrana
Hamein har maang, har shikaayat ko hoga bhulaana.

Jo bin hamaare maange sab dein, jo bin hamaare boley sab kuch jaanein
Jo hamaari neeyat, ravaiye, aur swatantra ichcha ko pehchaanein
Unhonei jo socha hai hamaare liye hamaare karmon ke anusaar
Usee ko sweekaar lein hum, bin kuch maange ek bhi baar.

Abhi takk nahin kiya agar, to abb na karein aur vilamb
Guruji par sab kuch chod kar, lein hum zindagi ka anand
Hum sabka yakeenan lagega beda paar
Kyunki Guruji thei, Hain, aur rahenge is kaayinaat ke chitrakaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Is Kaayinaat Ke Chitrakaar (01/23/2022)

Dhanya Ho Jeevan (01/22/2022)

January 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1434

   Dhanya Ho Jeevan

Kisne kya kiya ya kya kaha
Kaun kaun bin jawaab diye na raha
Kis kis ne chup hokar saha
Jabb ki aisa nahin ki aansoo na baha….

Aisa hota aaya hai aur aagey bhi hota rahega
Manobhaav hai na, kisee disha mein toh zaroor bahega
Guruji se dua hai ki Unhee kee disha mein hamaara bhaav bahe
Unhee mein hamaara dhyan rahe
Hamaare mann mein Guruji ke prati sammaan rahe
Phir beshak chaahe jo bhi ye jahaan kahe.

Guruji se judi rahe paawan rishte kee seedhi doar
Phir kyun jaana hai kaheen aur
Hamaare Guruji takk rahe hamaari daud
Aur kabhi na mehsoos karein swayam ko kamzor.

Satya ke liye khade hokar satya bann jaayein hum
Jo kuch ya koi Guruji se duur le jaane lagey, usey chodne mein na katraayein hum
Guruji angg sangg Hain isliye kisee bhi chunauti se na ghabraayein hum
Dhanya ho jeevan is kadar, ki Guruji mein hee samaayein hum.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dhanya Ho Jeevan (01/22/2022)