Divyata Aur Ruhaaniyat Ka Madhur Milan (01/21/2022)

January 21, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1433

    Divyata Aur Ruhaaniyat Ka Madhur Milan

Har jageh har pal har mauke par
Divyata se judein aankhein mann kee
Toh Guruji kee mehar se
Praapti hoti rahegi adhyatmik dhan kee.

Kaheen duur jaane kee zaroorat nahin
Chaahiye koi mahoorat bhi nahin
Kyunki har pal shubh hai is prayaas ke liye
Guruji ka darbar sada khula hai Unke das ke liye.

Mann ke mandir mein basaa hua hai yeh darbar
Simran karne se khulte hain is darbar ke dwaar
Shraddha aur sabr rakhne se vahaan hota hai satsang
Pyaare Guruji ke divya satya ke sangg.

Dhyan gehra honei se darbar ka spandan hota chala jaata hai ruhaani
Guruji ka naam japte japte mann kee gati ho jaati hai mastaani
Guruji kee divya khushboo se hawaa ho jaati hai suhaani
Mann hee mann mein haseen ho jaati hai zindagaani.

Guruji kee kripa se mehsoos karo is ruhaani spandan ka saaz
Ek Guruji hee jaante Hain tumhaare dil ka har raaz
Shaant mann se koshish karo, tum sunn sakoge Unkee awaaz
Aur Unkee awaaz mein barsegi mehar-e-mumtaaz.

Is mumtaz mehar se badhta chalega adhyaatmik dhan
Isliye abb bin ganvaaye tum ek bhi kshan
Lagaa lo Guruji kee disha mein apna mann
Karte chalo Unkee mahima ka shravan aur manan.

Ye mehar hai, isliye toh kalyaankaari hai Guruji kee sharan
Yahaan kashton ka hota rahega haran
Yahaan ashirwaad milta rahega mangalkaran
Aur hoga divyata aur ruhaaniyat ka madhur milan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Divyata Aur Ruhaaniyat Ka Madhur Milan (01/22/2022)

Guruji Kee Cheli (01/20/2022)

January 20, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1432

                 Guruji Kee Cheli

Aye maut matvaali
Tumhaari adaa hai ek paheli niraali
Tumne toh aane ka dhoondh hee lena hai koi bahaana
Jabb yahaan se jaane ke waqt ne hai aana
Phir kaahe ka hichkichaana
Aur kaahe ka sharmaana.

Koi bhi tumse bach na paaya hai aaj takk
Na hee aagey jaakar koi bachega
Is baat mein bhi nahin hai koi shak
Ki tumhaara yeh kaarya chalta rahega.

Guruji sabhi praaniyon ke Hain niyantaa
Aur tumhaari bhi Unkee kripa ke bin nahin hai kshamtaa
Sabke janam maran par Guruji ka raaj hai
Tumhaara saamarthya bhi Unke hukm ka mohtaaj hai.

Isliye mai jaanti hoon ki tum Unke kehne par hee aaogi
Aur Unkee manzoori se hee mujhe lekar jaaogi
Hai ye mera vishwaas mere uss aakhiri pal se sambandhit
Ki Guruji na rakhenge tabb bhi mujhe Apne saath se vanchit.

Dar-asal yeh jeevan toh mithya hai
Aye maut, tum toh ho sachchaayee
Tumse bhayy nahin hai koi
Ye bhi hai pyaare Guruji kee hee vadiyaayee.

Guruji swayam satya Hain
Aur tum bhi ho sachchaayee
Jaise jaise Guruji ke kareeb hui mai
Unhonei har sachchaayee se hai mitrataa karaayee.

Apne anginat divya haathon se
Guruji sambhaalein tumhe aur jeevan ko
Ve atma ko raasta Hain dikhaate
Jabb tum le leti ho praaniyon ke tann ko.

Tum ho satya, tum ho ek saheli
Guruji har pal tum par karein niyantran, isliye tum bhi nahin ho akeli
Koi baat nahin, agar tum lagti ho ek paheli
Dhanya ho tum, kyunki tum bhi mere jaise ho Guruji kee cheli.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Cheli (01/20/2022)

Mukti Paane Ka Hai Yeh Raasta (01/19/2022)

January 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1431

     Mukti Paane Ka Hai Yeh Raasta

Mukti paane ka hai yeh raasta
Simran hai is raaste kee chaal
Shuddh bhaav se badhti jaayegi chaal kee oorja
Jeevan mukti ke liye raasta nahin hai koi dooja.

Is raaste par chalte chalte satsang mein lagaao haaziri
Ve hain is raaste mein ve saumya shivir
Jahaan Guruji kee mahima ka gungaan karne aur sunn-ne se
Mit jaata hai raaste mein aane wala timir.

Yeh raasta nahin hai kaheen baahar
Yeh toh bheetar hai antarmann ke
Isliye is aantrik safar ka karo aadar
Ye le jaayega tumhe paas asal dhan ke.

Uss asal dhan ko paane mein jut jaao tum
Uskee khoj mein beshak mit jaao tum
Idhar udhar bhatakne mein na waqt ganvaao tum
Raaste se har vikarshan ko hataao tum.

Pashchaataap kar lo kiye huey paapon ka
Isee mein hal hai tumhaare santaapon ka
Raasta tayy karte samay chinta ke bajaaye kar lo chintan
Har pichhle kadam ke liye karo shukrana aur aane wale kadam ke liye samarpan.

Aati rahengi raaste mein pareekshaaein har moad par
Lekin niraash ya na-ummeed hokar na jaana raaste ko chod kar
Baadhaayein anand lena chaahengi tumhe toad kar
Lekin tum datt kar chalte rehna, vishwaas ko shraddha ke sangg jod kar.

Gupt sewa, gupt paath, gupt daan karo
Kalyuga mein satyugi bann-ne se na daro
Jahaan takk ho sakey punya kee poonji apne khaate mein bharo
Safar mein mrityu bhi aaye agar toh kuch achcha karte huey maro.

Guruji ne Apne pyaar ke pushpon se yeh raasta sajaaya hai
Aur har seema chinh par naya imtehaan rachaaya hai
Shuddh bhaav kee oorja se simran kee chaal ko banaakar mastaani
Ho jaane do apni rooh ko Guruji kee bhakti mein deewani.

Na ho tumhe koi aur sudh budh
Buss, bhaav banaa rahe shuddh
Ho jaao panj choron ke viruddh
Tyaag do ve vichaar jo hon ashuddh.

Swayam mein laate chalo sudhaar
Tumhaari madad karenge Parwardigaar
Yeh raasta chalega jabb talak chalegi zindagaani
Guruji kee mehar se raasta aur manzil dono hongei ruhaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mukti Paane Ka Hai Yeh Raasta (01/19/2022)

Prakriti Agar Hai Lekhakaar (01/18/2022)

January 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1430

           Prakriti Agar Hai Lekhakaar

Prakriti agar hai lekhakaar
Toh Guruji Hain sampaadak
Niyati agar hai nyaayaadheesh
Toh Guruji Hain niyati ke bhi sanchaalak
Guruji Hain pratipaalak
Guruji hee Hain maalik
Phir kyun tu ghabraata hai?

Guruji Hain chetna
Guruji Hain prerna
Guruji Hain samvedana
Phir kyun tu ghabraata hai?

Guruji Hain paalanhaar
Guruji Hain taaranhaar
Guruji hee Hain bakhshanhaar
Phir kyun tu ghabraata hai?

Chod de abb ghabraana
Shuru kar Guruji mein dhyan lagaana
Tera kaam hai buss Unse jud jaana
Isliye bheed mein vaapis na mud jaana.

Jabb yahaan se toone hai jaana
Kisee aur ne saath nahin hai aana
Guruji ne anant takk saath hai nibhaana
Unke charnon mein hai tera thikaana.

In baaton mein koi banaavat nahin
Vyarth kee koi sajaavat nahin
Baaki sab hai mithya
Ek Guruji ka saath hai nitya
Yahee satya hai
Yahee tathya hai.

Isliye jo samay beet gaya uss se tu le seekh
Tujhe Pooran Guru miley Hain bin maange bheekh
Milti hai bade saubhagya se yeh durlabh daat
Is se behtar ho hee nahin sakti koi baat
Kyunki isee se tera janam janam ka uddhaar hai
Aur yahee toh janmom se teri atma kee praarthana bhari pukaar hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Prakriti Agar Hai Lekhakaar (01/18/2022)

Sabke Rab Rakhwaale (01/17/2022)

January 17, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1429

            Sabke Rab Rakhwaale

Khokar Jinkee aankhon kee gehraayee mein
Sambhav hai sanatan sukh ke dhan ko paana
Jhuk kar Jinke charnon mein
Na pade kaheen aur sees jhukaana
Ve Hain Guruji Dugri wale
Hain Ve sabhi bhakton ke pyaare.

Sunaakar Jinhe mann kee vyathaa
Mann halka ho jaata
Jinkee sharan mein shuddh bhaav kee hai prathaa
Jiske dwaara gehra hota hai naata
Ve Hain Guruji Dugri wale
Baney Hain Ve sabhi bhakton ke sahaare.

Kar ke Jinka simran aur dhyan
Aati hai antarmann mein jaagriti
Kar ke Jinkee mahima ka gungaan
Sudhar jaati hai naseeb kee aakriti
Ve Hain Guruji Dugri wale
Hain Ve bhakton ko sumat dene wale.

Jinke satsang sun-ne aur sunaane se
Milta hai har baar ashirwaad
Jinka mandir mann mein banaane se
Mann hota hai divyata se aabaad
Ve Hain Guruji Dugri wale
Hain Ve mann ko roshan karne wale.

Jinke taral komal nirmal naam se
Har nakaaraatmakta badal leti hai rukh
Jinke kamal charnon ke paawan dham mein
Mil jaata hai saare teerath dham ka sukh
Ve Hain Guruji Dugri wale
Hain Ve sabke Rab rakhwaale.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sabke Rab Rakhwaale (01/17/2022)

Paawan Rishte Ka Dhan (01/16/2022)

January 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1428

Paawan Rishte Ka Dhan

Pyaare Guruji,

Jaante huey ki kitne ayb hain hum mein
Na choda Aapne hamein kabhi bhi akela khushi ya gumm mein
Dee hamein Aapne Apne aanchal mein suraksha
Hamein hamaare gunaahon ke liye bakhsha.

Khauf kee kampan mein jabb Aapne rakha hamaare sir par haath
Toh hamaari kampan hui shaant paakar Aapke spandan ka saath
Gumm ke aansuon se jabb palkein huin bhaari
Toh mann mandir mein Aapka darshan banaa sukhkaari
Aapne Apni hatheli par hamaare aansuon ko le liya
Aur unhe palkon ka karzdaar bann-ne se bachaa liya.

Jabb kabhi vishwaas dagamagaaya toh Aapne usey kiya kaayam
Hamaare naseeb mein thi jo sakhti usey Aapne Apni nirmal narmi se kiya mulayam
Isliye toh buss itne se hee kasht ho rahe hain
Kyunki Aap Apne kandhon par hamaare baaki saare kasht dho rahe Hain.

Tann aur mann kee aarogyata ka dete Hain Aap daan
Lauta dete Hain zamaane ke zulm se khoya hua bhakton ka sammaan
Aapke hukm se hee apni aukat mein rehte hain ye zameen aur aasmaan
Aapki inaayat par nirbhar hai ye saara jahaan.

Aisa hunar deejiye, Daata, ki shukrana mein rehna
Bann jaaye avastha hamaare mann kee
Aur neeven mann se sadaa izzat karein
Aapke sangg baney is paawan rishte ke dhan kee.

Hum chaahe hon swaarthi insaan
Lekin Aap sada rahe Hain dayalu Bhagwaan
Har janam mein har saans se bhi karein Aapka Shukrana hum insaan
Toh bhi kabhi nahin chuka paayenge Aapka ehsaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Paawan Rishte Ka Dhan (01/16/2022)

Raakh Kee Dheri (01/15/2022)

January 15, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1427

    Raakh Kee Dheri

Chaahe hogi teri ya phir veh hogi meri
Ek hee jaisi hogi sabke shareer kee raakh kee dheri
Rutaba ya roop jaisa bhi ho
Sab marne par jaata hai kho
Uss raakh mein tann jaata hai so
Jabb bhi nirdhaarit karta hai Vo.

Vo Paramatama, Vo Ishwar
Jisne banaaya hai hamein nashwar
Isliye shareer mein moh na dhar, aye praani
Shareer khatm ho jaayega jaise hee khatm hogi zindagaani.

‘Body’ ho jaayega tera aur mera naam
Jald se jald hoga hamaari vidaayi ka intazaam
Yahee prathaa kabb se chali aa rahi hai
Har ek kee zindagi yahee anjaam suna rahi hai.

Atma ka jo bhi naseeb hoga iske baad
Is faisle ke liye Guruji kholenge hamaari kitaab
Prabhu ka naam kitna japaa, atma ko dena hoga iska jawaab
Karam kaise rahe hamaare, uska bhi hoga hisaab.

Isliye Guru aur Gobind ka japp le naam
Is naam ne hee aana hai kaam
Is naam mein hee hai hamaari mukti ka paigaam
Isee se pahunchege hum sachkhand ke dhaam.

Hamaare liye Guruji mein basey Hain MahaShiv Bhagwaan
Hamaare adhiktar karam swayam par lekar
hamein taarte Hain karunanidhaan
Karte Hain bhakton ke antakaran ka pavitrikaran
Rehti hai Unhe har bhakt kee har soch smaran.

Unkee sharan mein Unkee mehar se
Mulaakaat karte rahein har din sudhaar kee sehar se
Apni har soch aur apne har karam par dein hum dhyan
Guruji ka naam jap kar ke karein har pal ka sammaan.

Mann hee mann mein chalta rahe paath
Karmon ka bhugtaan hota rahe saath saath
Taaki jabb raakh bann-ne kee aaye baari
Toh karmon ka bojh na ho bahut bhaari.

Khushakismat hain hum jinhe Guruji ne hai sweekaara
Hamaare anginat ayb ke baavjood diya hai Unhonei hamein sahaara
Har bhakt pahunchega sachkhand Unkee mehar ke dwaara
Aur phir veh raakh kee dheri na banega kabhi bhi dobaara.

Yahee hakeekat hai teri aur meri
Isliye chod kar karmon mein hera pheri
Na karein swayam ke sudhaar mein deri
Na jaane kis pal tann bann jaayega raakh kee dheri.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Raakh Kee Dheri (01/15/2022)

Makar Sankraanti Aayi (01/14/2022)

January 14, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1426

           Makar Sankraanti Aayi

Makar Sankraanti aayi Lohri ke ek din baad
Kheton mein fasal aane ke utsaah se
Saj gaye jazbaat
Surya Dev ko samarpit kiya jaata hai ye tyohaar
Lambe dinon ke aane ka khatm hota hai intazaar.

Gujarat mein Uttarayan ke naam se is parv ko pukaarein
Assam mein isey Bihu naam se jaanein
Uttarakhand mein isey Gughuti keh kar bulaayein
Maagh Saaji hai iska naam, Himachal wale bataayein.

Tamil Nadu mein Pongal isey kaha hai jaata
Aur ye tyohaar Karnataka mein Ugaadi ka naam hai paata
Magha Sankraanti bhi hai is parv ka dooja naam
Har naam mein hai shubhta ka paigaam.

Kaheen nutan chawal se kheer banaayi jaati hai
Aur kaheen kaheen til aur gurh kee chikki aur barfi khaayi jaati hai
Dal aur chawal kee khichadi khaane ka bhi hai riwaaj
Ghar ke saath saath antar-mann kee safaai bhi karein aaj.

Patang udaane ke saath saath
Uss Satguru ko karein yaad
Jinhonei thaami hai doar hum patangon kee
Karein Unse sanaatan saath kee fariyaad.

Kauon aur chidiyon ko khilaayein mishthaan aur ann
Bator lein gupt sewa aur daan ka anmol dhan
Naye kapadon se sajaayein yeh shareer puraana
Sudhaarein atma ke sanskaaron ka khazaana.

Guruji ke diye prasad ke roop mein
Kshudha kee bhookh mitaane hetu khaayein swaadisht pakvaan
Atma ke poshan ke liye
Karein hum simran aur dhyan.

Lohri ke jaise Makar Sankraanti ka tyohaar
Beet jaayega jaise beet-ta hai har baar
Jaari rakhein hum antarmann aur ghar kee safaai
Sikhaati hai ye hamaare Guruji kee guruyaayee.

Saari sarbat ke liye dua sada karein
Sehyog dwaara apna farz adaa karein
Sabhi uthaayein zimmedaari swayam kee aur sansaar kee
Sabhi ko bahut pyaar bhari mubarak ho is tyohaar kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Makar Sankraanti Aayi (01/14/2022)

Guruji Ke Sangg Lohri Manaao (01/13/2022)

January 13, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1425

Guruji Ke Sangg Lohri Manaao

Makar Sankraanti kee poorva sandhya par
Lohri ka tyohaar hai aaya
Sharad ritu hai jaane wali
Yeh sandesh hai laaya.

Surya Dev ka karo naman
Lambe honei lagey hain din
Antar mann mein bhi prakash ho
Kisee bhi nakaraatmakta ke bin.

Dulha Bhatti ka karo sammaan
Karke geeton mein Unka gungaan
Ladkiyon ko shoshan se mukt karvaaya
Unka yogya varon se vivah karvaaya
Kitne parivaaron ka uddhaar kiya
Samaj ka sudhaar kiya.

L se lakdi, oh se uple, aur ri hai revri ka prateek
Mausami parv hai aaya, gaa lo milkar geet
Daksh kee putri Maa Sati ka jo hua yoagaagni mein dehen
Unhee kee yaad mein jalaayi jaati hai agni, kuch loag aisa bhi kahein
Agni kee parikrama karke agni ko revri kee bhent chadhaao
Aag ke aaspaas baitho, aur vaataavaran ko
harsh se sajaao.

Guruji kee ruhaani maujoodagi aaj bhi Apne bhakton ke sangg hai hoti
Chaahe ho koi bada tyohaar ya phir chaahe ho koi baat chhoti
Isliye Ve Lohri par bhi Hain saath
Tabhi toh anugrihit hai is tyohaar kee raat.

Bhangra kar lo, gidda paao
Guruji ke sangg Lohri manaao
Gajjak aur gurh jee bhar kar khaao
Guruji ko sabse pehla nivaala khilaao.

Simran aur sewa na chodo
Satsang bhi suno sunaao
Makki kee roti, sarson ka saag banaa sako toh changaa
Ya phir langar mein jo Guruji aur tum chaaho, tum vahee banaao.

Baaki har tyohaar ke jaise
Vehemon ko na banaane do mann mein ghar
Prem bhaav se tyohaar manaao
Jis se khush hongei Guruvar.

Guruji se dua hai ki Lohri ka tyohaar
Laaye saari sarbat ke liye khushiyaan kayi hazaar
Jo bhi hain tann ya mann se beemar
Unke roag ka ho jaaye antt
Guruji saari srishti par
Mehar barsaayein anant.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Sangg Lohri Manaao (01/13/2022)

Swami Vivekananda Kee Saalgirah (01/12/2022)

January 12, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1424

Swami Vivekananda Kee Saalgirah

Kalkatta mein hua janam Narendranath Datta ka
Jo aagey chalkar baney Swami Vivekananda
Taareekh January 12 thi, 1863 ka thaa saal
Aaj takk duniya maanti hai Unke jeevan ko bemisaal.

Darshan shaastra ke adhyayan ke dauran
Unhe Ramakrishna Paramahans ji se milne ka mila avsar
Pehle pehle toh kewal sanvaad chale dono ke darmiyaan
Lekin pita kee mrityu ke pashchaat Shri Ramakrishna baney Unke Guruvar.

Jab Guru ne tyaag diya apna shareer
Toh Ve de gaye apne shishya ko choga apna
Sadhu ka jeevan jeena shuru kiya Vivekananda ji ne
Poora kiya dharmik ekta ke prachaar ka sapna.

Gaye Ve desh ke kayee praanton mein
Aur gaye Ve videsh
Har jageh insaaniyat ke dharma ka mahatva samjhaaya
Aur diya ekta aur saamanjasya ka sandesh.

Subhash Chandra Bose aur Mahatma Gandhi ne bhi
Swami Vivekananda ka kiya poorna sammaan
Darshan shastra aur yog par aadhaarit shastron kee rachna kee Unhonei
Swami Vivekanand ji ko thaa prashansneeya adhyatmik gyan.

Ramakrishna Ashram ka hua
Swami Vivekananda ji ke netritva mein nirmaan
Maanav jaati mein jaagriti laana thaa
Unka mahatvapoorna yogdaan.

Karmakaandon se duur karna chaaha Unhonei jann jann ko
Taaki bheetar kee chetna ko jaagrit karne mein sabb magn hon
Ve chaahte thei ki andhvishwaas ka ho jaaye antt
Taaki maanav jaane ki uska adhyatmik saamarthya hai anant.

Apne Guru Shri Ramakrishna ka maana Unhonei har vachan
Samaj mein sudhaar laane ka kiya Unhonei poorna yatan
Aaj Swami Vivekananda kee saalagirah par
Hum bhi apni bhakti mein laayein naya utsaah
Aur kehna maanein Guruji ka
Jo har pal dikhaate Hain hamein jeene kee raah.

Andhvishwaas aur vehemon se rahein hum duur
Na hon kisee bhautikvaad se hum majboor
Banda bann-ne kee koshish karein Guruji ke kahe anusaar
Insaaniyat ka dharma nibhaakar sanvaarein ghar parivaar aur yeh sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Swami Vivekananda Kee Saalgirah (01/12/2022)