Atma-Nireekshan (01/03/2022)

January 3, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1415

                 Atma-Nireekshan

Kyun na har kshan
Karein hum atma-nireekshan
Taaki jaagrit rahe hamaara mann
Aur rahe veh atma-sudhaar mein magn.

Guruji ka naam veh kavach hai
Jo karta hai hamaari raksha
Guruji ka naam hai veh anmol dhan
Jis se safal ho paayega atma-nireekshan.

Karte rahenge jo Guruji ke naam ka hum simran
Toh nipun ho jaayega atma-nireekshan
Aur saath saath karein hum atma-samarpan
Aur saaf karte rahein mann ka darpan.

Atma-nireekshan se apni trutiyon ko pehchaanein
Unhe duur karne ka karein abhyaas
Nek neeyat se jo hum koshish karenge
Toh zaroor safal hoga yeh prayaas.

Atma-nireekshan se panj choron ko karein majboor
Ki ve hum par na karte rahein aakraman
Jitnee koshish karenge subah aur shaam
Utna hee saral hota jaayega yeh kaam.

Jitnee dhan-daulat badhe, utna zyada adaa karein farz gupt daan ka
Prayaas karein swayam ke charitra ke nirmaan ka
Mann mein badhaate chalein utsah is armaan ka
Is se hoga sammaan Guruji mein basey Bhagwaan ka.

Dheere dheere saaf hoga mann
Bann jaayega veh sadasheel upvan
Mann mein hogi sadbhaav kee hariyaali
Mann kee gati hogi shubh aur niraali.

Chaahe atma-nireekshan ko samjhein hum majboori
Ye har haal mein hai zaroori
Isee se atma-sudhaar kee koshish hogi poori
Aur kumm hogi atma aur Paramatama ke beech kee duri.

Is duri ko mitaana hee toh hai
Is zindagi ka maqsad
Isey poora karne ke liye
Paar kar dein hum har hadd.

Aisee hadd paar karne mein hee hai asal uddhaar
Mann ko apna daas banaayein, taaki veh sudhaar ko karey sweekaar
Atma-nireekshan mein jo hoga sabka apne apne mann se saakshaatkaar
Toh sabke uddhaar se unnat ho jaayega yeh saara sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Atma-Nireekshan (01/03/2022)

Leave a comment