January 8, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1420
Aapke Aashirwaad Ke Bin
Pyaare pyaare Guruji,
Na hai meri koi aukat
Phir bhi milee hai Aapke ashirwaad kee saugat
Is se shubh nahin hai mere liye koi bhi baat
Is saugat ke liye mai Aapka dhanyawaad karoon din raat.
Atyant hitkaari hai Aapka paawan ashish
Milee hai isee ashish dwara simran aur sewa karne kee bakhshish
Aap Devon ke Dev Hain, aur Hain har praani ke Ish
Aap hee Jagdish Hain, Aap hee Hain Gireesh.
Yeh saans jo mai le paati hoon
Yeh sees jo mai nivaati hoon
Har kaam jo mai kar paati hoon
Veh Aapki mehar kee misaal hai
Varna meri aukat toh itnee tucch hai
Kyunki meri atma toh paapon se maalamaal hai.
Yeh prakriti ka nirmal nazaara
Akash mein timtimaata har tara
Yeh sansaar saara ka saara
Sakriya hai paakar Aapka sahaara.
Bhakton ke gunaahon ko Aapne sada hai baksha
Karte Hain sadaiv Apne bachchon kee Aap raksha
Mai bhi hoon Aapki ek aisee hee bachchi
Aapke bin hoon kuch bhi nahin, yeh baat hai shat pratishat sachchi.
Meri toh poori kaayinaat mein ek tinke kee bhi aukat nahin
Kaise jaan sakoon mai ki mere liye kya galat hai aur kya sahi
Aap maargdarshan karte rehna taaki mai chalti rahun vaheen
Jahaan Aapko sajda karte huey jhuki rahe zameen
Jahaan Aapki mehar ke barasne se spandan ho shubh aur haseen
Kyunki Aapke ashirwaad ke bin toh chayyn nahin hai kaheen.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja