Swami Vivekananda Kee Saalgirah (01/12/2022)

January 12, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1424

Swami Vivekananda Kee Saalgirah

Kalkatta mein hua janam Narendranath Datta ka
Jo aagey chalkar baney Swami Vivekananda
Taareekh January 12 thi, 1863 ka thaa saal
Aaj takk duniya maanti hai Unke jeevan ko bemisaal.

Darshan shaastra ke adhyayan ke dauran
Unhe Ramakrishna Paramahans ji se milne ka mila avsar
Pehle pehle toh kewal sanvaad chale dono ke darmiyaan
Lekin pita kee mrityu ke pashchaat Shri Ramakrishna baney Unke Guruvar.

Jab Guru ne tyaag diya apna shareer
Toh Ve de gaye apne shishya ko choga apna
Sadhu ka jeevan jeena shuru kiya Vivekananda ji ne
Poora kiya dharmik ekta ke prachaar ka sapna.

Gaye Ve desh ke kayee praanton mein
Aur gaye Ve videsh
Har jageh insaaniyat ke dharma ka mahatva samjhaaya
Aur diya ekta aur saamanjasya ka sandesh.

Subhash Chandra Bose aur Mahatma Gandhi ne bhi
Swami Vivekananda ka kiya poorna sammaan
Darshan shastra aur yog par aadhaarit shastron kee rachna kee Unhonei
Swami Vivekanand ji ko thaa prashansneeya adhyatmik gyan.

Ramakrishna Ashram ka hua
Swami Vivekananda ji ke netritva mein nirmaan
Maanav jaati mein jaagriti laana thaa
Unka mahatvapoorna yogdaan.

Karmakaandon se duur karna chaaha Unhonei jann jann ko
Taaki bheetar kee chetna ko jaagrit karne mein sabb magn hon
Ve chaahte thei ki andhvishwaas ka ho jaaye antt
Taaki maanav jaane ki uska adhyatmik saamarthya hai anant.

Apne Guru Shri Ramakrishna ka maana Unhonei har vachan
Samaj mein sudhaar laane ka kiya Unhonei poorna yatan
Aaj Swami Vivekananda kee saalagirah par
Hum bhi apni bhakti mein laayein naya utsaah
Aur kehna maanein Guruji ka
Jo har pal dikhaate Hain hamein jeene kee raah.

Andhvishwaas aur vehemon se rahein hum duur
Na hon kisee bhautikvaad se hum majboor
Banda bann-ne kee koshish karein Guruji ke kahe anusaar
Insaaniyat ka dharma nibhaakar sanvaarein ghar parivaar aur yeh sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Swami Vivekananda Kee Saalgirah (01/12/2022)

Leave a comment