January 14, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1426
Makar Sankraanti Aayi
Makar Sankraanti aayi Lohri ke ek din baad
Kheton mein fasal aane ke utsaah se
Saj gaye jazbaat
Surya Dev ko samarpit kiya jaata hai ye tyohaar
Lambe dinon ke aane ka khatm hota hai intazaar.
Gujarat mein Uttarayan ke naam se is parv ko pukaarein
Assam mein isey Bihu naam se jaanein
Uttarakhand mein isey Gughuti keh kar bulaayein
Maagh Saaji hai iska naam, Himachal wale bataayein.
Tamil Nadu mein Pongal isey kaha hai jaata
Aur ye tyohaar Karnataka mein Ugaadi ka naam hai paata
Magha Sankraanti bhi hai is parv ka dooja naam
Har naam mein hai shubhta ka paigaam.
Kaheen nutan chawal se kheer banaayi jaati hai
Aur kaheen kaheen til aur gurh kee chikki aur barfi khaayi jaati hai
Dal aur chawal kee khichadi khaane ka bhi hai riwaaj
Ghar ke saath saath antar-mann kee safaai bhi karein aaj.
Patang udaane ke saath saath
Uss Satguru ko karein yaad
Jinhonei thaami hai doar hum patangon kee
Karein Unse sanaatan saath kee fariyaad.
Kauon aur chidiyon ko khilaayein mishthaan aur ann
Bator lein gupt sewa aur daan ka anmol dhan
Naye kapadon se sajaayein yeh shareer puraana
Sudhaarein atma ke sanskaaron ka khazaana.
Guruji ke diye prasad ke roop mein
Kshudha kee bhookh mitaane hetu khaayein swaadisht pakvaan
Atma ke poshan ke liye
Karein hum simran aur dhyan.
Lohri ke jaise Makar Sankraanti ka tyohaar
Beet jaayega jaise beet-ta hai har baar
Jaari rakhein hum antarmann aur ghar kee safaai
Sikhaati hai ye hamaare Guruji kee guruyaayee.
Saari sarbat ke liye dua sada karein
Sehyog dwaara apna farz adaa karein
Sabhi uthaayein zimmedaari swayam kee aur sansaar kee
Sabhi ko bahut pyaar bhari mubarak ho is tyohaar kee.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja