Na Koi Dard Ho….. (04/30/2022)

April 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1532

         Na Koi Dard Ho…..

Na koi dard ho, na ho koi laukik dukh
Aisa toh ho nahin sakta ki har pal ho laukik sukh
Yaheen par tere karma hain katne
Isliye na padd tu duvidha ke jhanjhat mein.

Tu nibhaata chal apna farz
Taaki adaa hota rahe tere karmon ka karz
Guruji teri madad kar rahe Hain poori
Tu bhi toh apni madad kar le thodi.

Guruji bade dayalu Hain
Guruji bade kripalu Hain
Beshak kayi baar lenge tera imtehaan
Lekin har baar karenge tera kalyaan.

Unhonei Apni sharan mein tujhe liya hai
Taaki Ve karein tera uddhaar
Ve karte Hain tujhse behad pyaar
Isliye tu himmat matt jaana haar.

Tu buss Shukrana kiya kar
Ve denge tujhe nirbhayta ka var
Unke haath mein hai doar tere jeevan kee
Tujhe bilkul bhi kamee nahin hai suraksha ke dhan kee.

Isee dhan se tu hoga is tareh se dhanwaan
Ki laukik sukh dukh bhi ho jaayenge sab ek samaan
Har pal tu karega Guruji ka chintan
Har pal divyata mein khoya rahega tera mann.

Bin kuch kahey kisee aur se
Tu Guruji ko sabb kuch bol
Tu maane ya na maane, tu jaane ya na jaane
Guruji kee nazar mein tere bhaav ka hai mol.

Tu rakhta chal saral aur shuddh bhaav
Ve bharte chalenge tera har ghaav
Tu buss jeeta chal Unke naam ke sahaare
Ve Apne pyaar aur dulaar se pahunchaayenge teri naiya ko kinaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Na Koi Dard Ho….. (04/30/2022)

Jeevan Kee Sarita (04/29/2022)

April 29, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1531

   Jeevan Kee Sarita

Behti hai sarita pahaadon ke beech se
Na sharmaati hai oonch neech se
Himmat aur dheeraj dhar kar rehti hai veh mastt
Saagar ko dhoondhne mein rehti hai veh vyast.

Kuch pahaad chhote, kuch vishal
Lekin sarita ka nahin badalta khayaal
Uska behna nahin rukta hai
Uska utsah nahin jhukta hai.

Agar aa bhi jaaye koi aandhi ya tufaan
Aur mayyla ho jaaye sarita ka neer
Behte behte veh patharon se takraaye
Aur isee se veh dobaara swachh ho jaaye.

Jeevan kee sarita bhi isee tareh se behti hai
Jeevan jeete jeete sukh aur dukh sehti hai
Mal rahit hokar shuddh hona hai uskee daud ka chhor
Taaki veh dekh paaye mukti kee bhor.

Uss uddeshya takk pahunchne ke liye hee
Guruji ne liya hamein Apni sharan mein
Taaki hum shraddha bhaav se karein aradhana
Aur yeh jeevan hee bann jaaye sadhna.

Jeevan kee sarita ka moksh ke saagar takk pahunchna hai zaroori
Guruji ke ashirwaad se awashya tayy hogi yeh beech kee duuri
Lekin apna dharma toh hoga nibhaana
Varna baar baar padega yahaan aana.

Isliye na honei dein atma ko ghaayal ya kalankit
Har haalaat se guzarte huey shant rakhein chitt
Utsaah rakhein barkaraar
Bin aasakti karein pyaar.

Guruji ka simran deta rahega ye sab kar paane kee kaabiliyat
Apni oar se prayatna karte rehna hoga rakhkar sahi neeyat
Guruji toh bhakton kee har zaroorat ka rakhte Hain khayaal
Unka ashish sada rahega hamaari suraksha kee dhaal.

Yoon hee guzarte huey zindagi kee khushi aur gumm kee raahon se
Bin katraaye, bin ghabraahat kee aahon se
Hota rahe ruhaaniyat se nirantar deedar
Aur Guruji kee mehar se hum pahunchein uss paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jeevan Kee Sarita (04/29/2022)

Shukrana Karte Rehna (04/28/2022)

April 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1530

            Shukrana Karte Rehna

Shukrana nahin hai sirf ek alfaaz
Shukrana hai sukhi rehne ka raaz
Kyunki Shukrana bakhshta hai veh santosh
Jis se sukh ka anubhav hota hai har pal har roaz.

Shukrana hai veh avastha, veh sthiti
Jo hai lobh se bachne kee vidhi
Aur lobh se bachna hai zaroori
Taaki na ho panj choron ke samaksh majboori.

Kaam, krodh, lobh, moh, ahankar
Shukrana bachaata hai inse baar baar
Aur jis irshya ko janam dete hain ye vikaar
Shukrana nahin karne deta uss irshya ko bhakt par vaar.

Shukrana se miltee hai mann ko shanti
Shukrana ka spandan laata hai astitva par kanti
Shukrana Guruji ko karta hai prassann
Shukrana bhakt ko banaata hai sampann.

Shukrana aur khushi ek dooje par hain nirbhar
Isliye Shukrana deta hai khush rehne ka avsar
Aur Shukrana ka vishwaas ke saath hai aisa sundar naata
Ki dono mein se ek doosre ko hai badhaata.

Shukrana sakaraatmakta se aagey badhne kee prerna hai
Shukrana shuddhi par chalne kee chetna hai
Shukrana karte rehna, yeh rakhna yaad
Shukrana mein basaa hai Guruji ka ashirwaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shukrana Karte Rehna (04/28/2022)

Waqt Leta Hai Pareeksha (04/27/2022)

April 27, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1529

          Waqt Leta Hai Pareeksha

Waqt leta hai pareeksha
Isliye bahut aawashyak hai Guruji ke naam kee deeksha
Kyunki waqt kee haan mein haan milaana kaise kiya jaaye sahi andaaz se
Guruji hee waaqif kara sakte Hain is ruhaani raaz se.

Unka simran deta hai atma-shakti
Jo hai sehensheelta kee yukti
Ho jaati hai na badalne wale haalaat kee sweekriti
Aur badal sakne wale haalaat ko badalne ke liye janam leti hai jaagriti.

Guruji ke naam mein pyaar hai aparampaar
Guruji ke naam se Unpar vishwaas badhta hai baarambaar
Guruji ka naam laata hai ruhaani bahaar
Guruji ke naam se roag se mukt ho sakta hai jann beemaar.

Guruji ka naam hai shanti ka paigaam
Guruji ke naam se ho paata hai dhyan
Guruji ke naam se mit jaata hai chitt ka andhera
Guruji ke naam se dikh paata hai ujjwal savera.

Waqt kee dee hui pareeksha mein safalta dega Guruji ka naam
Safar mein yeh naam pahunchaayega sachkhand ke dham
Guruji ne Apna naam dekar kiya hai hamaare poorna kalyaan ka intazaam
Guruji ka naam lete lete Unke naam mein ho jaayein hum gumnaam
Na rahega koi wajood, ho jaayega poorna yog
Kuch virlon ko hee milta hai ye shubh sanjog.

Jo hai andhkaar aur prakash aur shabd ke bhi paar
Guruji ka naam dikha sakta hai veh divya sansaar
Guruji ka naam karta hai har japne wale ka uddhaar
Guruji ka naam yakeenan deta hai taar
Guruji ke naam mein hai Brahmand ka saar aur vistaar
Guruji ka naam hai santushti aur mukti ka dwaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Waqt Leta Hai Pareeksha (04/27/2022)

Tere Aaspaas Hai Niswaarth Pyaar (04/26/2022)

April 26, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1528

  Tere Aaspaas Hai Niswaarth Pyaar

Kalyuga mein bhi tere aaspaas hai niswaarth pyaar
Tu kyun usey thukraa kar ho raha hai mann se beemaar
Tann ka roag toh phir bhi jaayega mit
Lekin maansik beemaari ghaayal kar sakti hai tera chitt.

Abb irshya mein aur na jal, varna kaise hoga tera mann sheetal
Pyaar ke baare mein soch har pal, taaki tu hota jaaye komal
Kyun chaalaaki aur ahankar se sabko vash mein karne chalaa hai, is se tu na ho paayega taral
Abb atma par aur daag na lagaa, balki usey paak kar ke tu ho jaa nirmal.

Trishna chhootegi toh hee milegi tripti
Isliye lobh chod kar paa le santushti
Bandhan chhootega toh hee tu paayega mukti
Isliye vehem kee kayyd se nikal kar tu kar bhakti.

Chor ghar se bhagaayega toh tu paayega suraksha
Isliye panch choron se peechha chhuda kar tu kar apni raksha
Tujhe har janam mein Guruji ne simran hai bakhsha
Isliye tu simran ke nirantar prayaas se nikhaar le apne jeevan ka naksha.

Jab takk jhooth, chori, hinsa ka aayega tere mann mein vichaar
Ya phir teri soch ya karma mein hoga nasha ya vyabhichaar
Na ho paayega jitna hona chahiye tera uddhaar
Isliye tyaag de tu ye paap aur tyaag de har vikaar.

Har roz nireekshan kar tu swayam ka
Na chod iraada aur prayaas parishram ka
Parishram, khud ko sudhaarne ka
Parishram, atma ko sanvaarne ka.

Bhautik bhaag daud mein kho na jaana kaheen
Varna ek din shaayad paaon rakhne kee izaazat bhi na de ye zameen
Aadar kar tu zameen aur aasmaan ka
Kyunki ye agni, jal, aur vayu ke jaise roop hain Bhagwaan ka.

Na bhool kisee bhi pal tu karna Guruji ka Shukrana
Yaad rakh, ki ruhaaniyat hai atma ke liye khazaana
Atma-sanyam aur atma-bal badhaane mein kamzor matt bann jaana
Chaahe tujhe bhatkaane kee lakh koshish kar le ye zamaana.

Lagaa le gale se pyaar ko, aur har oar baant tu pyaar
Tu de apna yogdaan de taaki nirogi ho yeh sansaar
Tere shuddh spandan se kisee ek ke jeevan mein bhi ho jaaye sudhaar
Toh tujhse atyant prassann hongei tere Guru, tere parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tere Aaspaas Hai Niswaarth Pyaar (04/26/2022)

Pyaare Guruji Ko Prem Bhara Pranaam (04/25/2022)

April 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1527

        Pyaare Guruji Ko Prem Bhara Pranaam

Kaise kuch palon mein sunaaoon Guruji kee rehmaton kee kahaani
Unkee rehmaton ne hee toh sanvaari hai meri zindagaani
Alfaaz na soojhein toh samajh lena isey meri bezubaani
Aur maan lena isey is nacheez kee naadaani.

Jinhonei sweekar karte hee Apni goad mein le liya
Jinhonei mera har kasht har beemari ko swayam par le liya
Jinhonei bin maange sab kuch diya
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

Jinke pyaar ne mata pita kee kamee kee poori
Jinkee sharan mein aane ke baad na majboor kar paayi koi bhi majboori
Jinhe sab keh dene se mann kee koi baat na rahi adhoori
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

Jinhonei dikhaaya raasta bin vehem ka
Jinhonei bataaya nuksaan ahem ka
Jinhonei asar dikhaaya Apne rehem ka
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

Jinhonei qubool kee meri khaamiyaan
Jinhonei sanvaari jeevan kee dastaan
Jinhonei dikhaaya ki kaisa hai ye jahaan
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

Jo rehte Hain har pal angg sangg
Jinhonei bakhsha hai ruhaaniyat ka rangg
Jinke ashirwaad dene ke anokhe hain dhangg
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

Jinka anant shukrana karein toh bhi veh kaafi nahin
Jinke charnon mein koi aisa dosh nahin jiskee maafi nahin
Jinkee drishti se chhipi kisee kee bhi gustakhi nahin
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

Jinse juda rishta hai parampriya bandhan
Jinhe poojne se nikhar jaata hai vandan
Jinkee khushboo ke aagey sharmaa jaaye chandan
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

Jinke liye saari sangat hai ek samaan
Jinhonei hamesha kiya hai har zaroorat ka intazaam
Jo sahi samay par banaate Hain sabke bigde kaam
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

Jinkee ichcha aur koshish hai ki hum banein achche insaan
Jinka anugraha hai sab bhakton ke liye vardaan
Jinke vandan mein jhuk jaata hai aasmaan
Jinka roop lekar dharti par swayam aaye Shiv Bhagwaan
Unn pyaare Guruji ko prem bhara pranaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pyaare Guruji Ko Prem Bhara Pranaam (04/25/2022)

Chitr Ke Rangg (04/24/2022)

April 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1526

                     Chitr Ke Rangg

Jaise chitr mein anek rangg hotey hain aksar
Vaise hee jeevan mein rangg bharne ka mila hai hamein avsar
Jaise rangg hum chitr ko rangne ke liye chunte hain
Vaise hee hamaare karam bante hain.

Laal, safed, hara, ya peela
Kaala, kesari, gulabi, ya neela
Aur bhi rangon ka mishran
Deta hai chitr ko roop
Vaise hee anek rangg har kshan
Laate hain jeevan mein chhaaon aur dhoop.

Pichhle janmon ke gehre rangg
Kabhi kabhi is janam ke chitr par chhaaye rehte hain
Tabhi toh unn praarabdh karmon ko
Hum is janam mein bhugat kar sehte hain.

Lekin ve rangg jo kriyamaan karma ke prateek hain
Unka chunaav karna toh hai hum par nirbhar
Guruji sumat bakhshte Hain har avsar par
Lekin uchit rangg soojhta hai kewal matt ka sahi prayog karne par.

Isliye anivaarya hai chetna ka saath
Aur karte rehna Guruji se baat
Taaki agar aa jaaye jeevan mein raat
Hum sahi rangg chun-ne mein na khaayein maat.

Guruji kee mehar se shuddhi ho buddhi kee
Guruji kee kripa se changa hota rahe charitra
Mann ka paatr hota jaaye pavitra
Taaki ruhaani rangon se khil jaaye is jeevan ka chitra.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Chitr Ke Rangg (04/24/2022)

Sada Meharbaan (04/23/2022)

April 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1525

                 Sada Meharbaan

Guruji kee guruyaayee kee hai vaddi vadiyaayee
Guruji ne hamesha sangat par mehar hai barsaayee
Aaj takk barsaayee hai aur aagey bhi barsaate rahenge
Sada hamaare bhale kee baat Ve kahenge.

Na bhatko tum idhar udhar abb aur
Guzar jaayega ye duvidha ka daur
Dheeraj dharo
Bilkul na daro
Na himmat haaro niraasha se
Na ho vyaakul abhilaasha se.

Jinhonei kitnon ke kaaj Hain sanvaare
Ve Guruji Hain angg sangg tumhaare
Unkee sharan mein aane ka asal laabh uthaao
Vyarth kee maangon mein ardaas na ganvaao
Unhonei diya hai tumhe Unse baat karne ka adhikaar
Tum apna koi farz na bhoolna abb kee baar.

Subah ka bhoola shaam ko ghar aaye
Toh usey bhoola nahin kaha jaata
Isliye jo Guruji kee mehar se apni chetna ko jagaa hai paata
Veh apni shuddh swatantrata ichcha aur apni nek neeyat se Guruji ko hai rijhaata.

Isliye tum apna farz nibhaao
Aur Guruji ka anusaran karte jaao
Guruji Apni vaddi vadiyaayee se
Guruji Apni divya garima aur guruyaayee se
karte rahenge tumhaara kalyaan
Kyunki Ve Apne bhakton par hotey Hain sada meharbaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sada Meharbaan (04/23/2022)

Jisey Dhoondh Raha Hai Saara Zamaana (04/22/2022)

April 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1524

Jisey Dhoondh Raha Hai Saara Zamaana

Na bikherne de tu apne aansooon idhar udhar
Is se tere haalaat toh nahin jaayenge sudhar
Lekin ye samaa bhi jaayega guzar
Is satya ke sangg jeevan kar le basar.

Kuch na haasil hoga gumm kee numaish se
Ek nayi khwaahish ubharegi teri har khwaahish se
Yahaan har koi karmon ke khel mein vyast hai
Jisne Guru par sab chod diya, kewal vahee mastt hai.

Tu bhi apni bhakti ko sajaa de samarpan se
Taaki Guruji aur bhi khush hon tere kiye vandan se
Guruji kee mehar ka aisa hoga asar
Ki tu pahunch jaayega aise haseen mukaam par
Na karna hoga tujhe Unse kisee bhi mushkil ka zikr
Na sataayegi tujhe phir koi bhi fikr
Tere aansuon bahenge bhi toh khushi aur pyaar ve karenge bayaan
Kyunki Guruji sanvaarenge tere haalaat aur teri dastaan.

Tujhe Guruji kee preet mein milega itna chayyn
Ki santosh se susajjit hongei tere din rayyn
Yeh santosh hai veh sukh ka khazaana
Jisey dhoondh raha hai yeh saara zamaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jisey Dhoondh Raha Hai Saara Zamaana (04/22/2022)

Guru Tegh Bahadur Ji Ka Avatar Purab (04/21/2022)

April 21, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1523

Guru Tegh Bahadur Ji Ka Avatar Purab

Guru Tegh Bahadur ji ka
Avatar Purab hai aaj
Jinkee bahaduri aur sadasheelta kee chhavi
Sangat ke dilon par aaj bhi karti hai raaj.

Amritsar sheher kee hai ye baat
Milee sansaar ko ek divya saugat
1621 ke April kee pehli taareekh
Aayi bannkar bahut khushnaseeb
Mata Nanaki aur Guru Hargobind ji ke sabse chhote putr ne liya janam
Sanvaarne aaye Ve sangat ke karam
Bachpan mein naam thaa Unka Tyaaga Mal
Aagey chalkar kiya sarbat kee mushkilon ka hal.

Bhai Gurdas ji ne dee Tyaaga Mal ko shiksha
Bhai Jetha ji ne dee shastra vidya
Mughalon ke saath ladte huey itna khoob chalaaya Unhonei kripaan
Ki Unhe Tegh Bahadur ka mila naam
Vedon, Upanishad aur Puranon ka bhi
Thaa Unhe poora poora gyan
Guru Harkrishan ji ke baad Guru Tegh Bahadur
Bakaala mein Guru ke roop mein huey viraajmaan.

Guru Nanak Dev ke dikhaaye raaste ka
Guru Tegh Bahadur karte rahe anusaran
Zabardasti kee jabb Mughalon ne
Toh na karne diya unhe panditon ke dharma mein parivartan.

Sees katvaana kiya manzoor lekin kesh nahin katvaaye
Itnee bahaduri se Guru Tegh Bahadur ne sanskaar nibhaaye
Tabb takk bhi Ve kar rahe thei kitnon ka kalyaan
Aur dharma kee raksha ke liye antt mein diya Unhonei jeevan daan.

Mughalon dwaara sees katvaakar Unhonei 1675 mein diya saanson ka balidaan
Aaj bhi sammaanit Hain isliye Guru Tegh Bahadur mahaan
Gurudwara Sis Ganj Sahib aur Gurudwara Rakaab Ganj Sahib
Hain Unkee deh chodne aur antim sanskaar ke sthaan.

β€˜Hind Kee Chaadar’ kehlaane ka mila Unhe aadar
Unkee prerna se liya sangat ne ummeed bhara shwaas
Guru Tegh Bahadur ji ke kamal charan mein saadar naman
Unka kissa itihaas mein sada rahega khaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Tegh Bahadur Ji Ka Avatar Purab (04/21/2022)