Maa Ka Pyaar (05/08/2022)

May 8, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1540

         Maa Ka Pyaar

Dhanya Hain Mata ji
Jinhonei Guruji ko diya janam
Bachpan mein hee Guruji ne Unhe
Apne Shiv roop ke diye darshan.

Mata ji ne Guruji ko apni mamta dee
Unke sangg thaa Unke putr ka ashirwaad
Kaisa adbhut aur nirmal naata hai
Shiv Avatari Guruji aur Unkee mata ka.

Aulad kee jitnee bhi aayu ho jaaye
Maa ka pyaar na kumm honei paaye
Aulad beshak ruhaani ya bhautik oonchaayee ko chhoo jaaye
Veh oonchaayee maa kee mamta ke samaksh sir jhukaaye.

Maa ka yogdaan maana jaata hai mahaan
Maa se janam, paalan poshan aur sanskaar paati hai santaan
Lekin har atma ka apna anokha hai safar
Jis par praarabdh aur kriyamaan karma ka hota hai asar.

Guruji dete Hain sangat ko maa kee komal mamta
Dete Hain Ve har tufaan ka saamna karne kee kshamtaa
Paa kar Unmein maa ka ruhaani roop
Chhaaon mil jaati hai chaahe jitnee bhi kadak ho kalyuga kee dhoop.

Khaaskar jis aulad kee maa
Aaj nahin hain is sansaar mein
Tasalli rakhey har veh santaan
Kyunki unkee mamta aaj bhi hai Guruji ke pyaar mein.

Duniya mein jitnee bhi hain mataayein
Unn sabko pyaar bhari shubhkaamnaayein
Jis maa ne janam diya, ya jis maa ne goad liya
Aayiye, kewal aaj hee nahin, balki hamesha adaa karein dono ka shukriya.

Guruji ka Shukrana aparampaar
Jo dete Hain sabko maa ka pyaar
Maa ke pyaar mein basaa hai jo laad aur dulaar
Uss se nikhar jaata hai har bhakt ka ghar parivaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Maa Ka Pyaar (05/08/2022)

1 thought on “Maa Ka Pyaar (05/08/2022)”

Leave a reply to Ganga Aunty Cancel reply