Pita Ka Paawan Pyaar (06/19/2022)

June 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1582

Pita Ka Paawan Pyaar

Mai na jaanoon kab Guruji ne Apne charnon se lagaaya
Lekin ye jaanoon ki tabb se yakeenan mera naseeb jagmagaaya
Shukrana Unka ki mere jeevan mein veh suhela vela aaya
Kitne kashton se toh mere bin jaane hee yakeenan hai Unhonei mujhe bachaaya.

Beemari mein dheeraj bandhaaya
Kitne roagon ko duur bhagaaya
Udaasi mein hansna sikhaaya
Mere har ghaav par mamta ka marham lagaaya

Duniya ka aslee roop dikhaaya
Girne lagi toh himmat dee aur uthaaya
Mann kee har uljhan ko suljhaaya
Mere karmon ka adhiktar bhaar uthaaya.

Andhere mein nidarr hona sikhaaya
Roshni ka raaz bataaya
Duvidha hui, toh duur karna samjhaaya
Har haalaat mein saath nibhaaya.

Aansuon ke baavjood muskuraana sikhaaya
Museebaton mein aagey badhne ka utsaah dilaaya
Dete hee rahe par kabhi na jataaya
Meri har zaroorat aur chaahat par gaur farmaaya.

Thakk gayi jabb jabb duniya kee dhoop se
Apni goad kee thandi chhaaon mein bithaaya
Jabb jabb neend na aa rahi thi mujhe
Simran karvaakar mujhe sehlaaya.

Insaaniyat ka paath padhaaya
Ruhaaniyat ka raasta dikhaaya
Satsang mein bulaaya
Prasad khilaaya, amrit pilaaya.

Asal dhan se parichit karvaaya
Thode samay mein adhik karmon ka bhugtaan karaaya
Kitnee saari sangat se milvaaya
Ghar parivaar ka mahatva bataaya.

Aish se jeevan jeena sikhaaya
Befikr, beparwah honei ka nuskha bataaya
Samarpan karna yaad dilaaya
Mujh par daya kar mujhe sewa mein lagaaya.

Mai toh is sabke kaabil bhi nahin thi
Phir bhi Guruji ne diya hai aisa anokha dulaar
Ki Unhee mein paaya mainey Ishwar ko
Aur Unhee mein paaya mainey pita ka paawan pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pita Ka Paawan Pyaar (06/19/2022)

1 thought on “Pita Ka Paawan Pyaar (06/19/2022)”

Leave a reply to Kyra Cancel reply