Sunehra Savera Aayega Zaroor (08/08/2022)

August 8, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1632

    Sunehra Savera Aayega Zaroor

Aayega, zaroor aayega veh sunehra samay
Tu Guruji par bharosa rakh, mann se mita de har sanshay
Pareshaani swaabhaavik hai jo aaya hai pralay
Samarpan kar aur ho jaa nirbhay.

Itna toh hai bilkul tayy
Ki Shivmayi hai teri layy
Guruji kee karta chal tu Jai
Duur hoga tera har bhayy.

Tu akela nahin hai
Tu Guruji ke saanidhya mein hai
Guruji kee agya ka paalan
Chhalakta tere har kartavya mein hai.

Yahaan takk laayein Hain tujhe Guruji
Aagey bhi zaroor lekar jaayenge
Tera haath Guruji ne thaama hai
Ve tujhe chod kar nahin jaayenge.

Yakeen kar
Tu bilkul na darr
Guruji ka hai sarvochch starr
Kyunki Ve Hain avatar-e-Har.

Rangoli hai ye jeevan kee
Prateek hai rangon ke mishran kee
Hokar ekaagrachitt aur kar ke abhyaas
Har rangg ka hissa aata hai raas.

Guruji mein swayam ke chitt ko kar ke kendrit
Apne har kaarya ko Unke charnon mein kar ke arpit
Pehen le Unka diya hua nirbhayta ka nageena
Jeevan ke har rangg mein rangg kar aa jaayega tujhe jeena.

Jaan jaayega tu ki har rangg par hai Guruji ka pehra
Bhakti ke rangg par chhaaye huey noor se khilega tera chehra
Har sanshay, har bhayy ho jaayega duur
Veh sunehra savera aayega zaroor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sunehra Savera Aayega Zaroor (08/08/2022)

Leave a comment