Janamashtami Hai Aayi (08/18/2022)

August 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1642

            Janamashtami Hai Aayi

Janamashtami Hai Aayi
Har oar madhur prem kee bajey shehnaayee
Vinamrata ka paigaam hai laayi
Sabhi ko ho bahut bahut badhaayi.

Vishnu ji ke aathvein avatar
Mathura mein janme pyaare Bal Gopal
Devaki aur Vasudev ka dhanya hua janam
Vasudev ne Unhe Gokul le jaane ka kiya karam.

Nanda aur Yashoda ne Krishna ji ko goad liya
Aur Krishnaji ne apne bhakton ka kalyaan kiya
Dushta-taa ka kiya antt
Baney sabke priya Bhagwant.

Pyaare se maakhan chor
Jinkee mahima phaylee chaaron oar
Aaj bhi Govinda pathak ka samudaayak kaaryakram
Badhaata hai utsaah ka spandan.

Ek doosre ke sehyog se
Oopar chadh kar handi todta hai yeh mandal
Aaspaas utsav ke geet hain chalte
Mehsoos hota hai har mann mein mangal.

Sabko milta hai maakhan aur dahi ka prasaad
Panjeeri aur charnaamrit se praapt hota hai ashirwaad
Bin aasakti ke bhog bhogne ka milta hai sandesh
Ekta se jeene kee prerna jaagrit rehti hai, mitaakar har tareh ka dvesh.

Krishna Ji Bhagwaan bhi Hain aur Guru bhi
Bhagwad Gita ke dwaara adhyaatmik deeksha Unhonei hai dee
Kitna shubh din hai aaj punah vichaar ka
Isey avsar maanein sudhaar dwaara uddhaar ka.

Ahem kee haandi ko hum todein
Swayam ko divyata se hum jodein
Khud jeeyein aur doosaron ko bhi jeene dein
Srishti ke sakaraatmak poshan mein yogdaan dein.

Ekta aur samanjasya ka karein apne vichaar aur karmon mein samaavesh
Guruji hamaare bhi dete Hain yahee aadesh
Gokul ashtami ke paawan parv par swayam ko ye yaad dilaayein
Aur Guruji ke dikhaaye raaste par hum chalte jaayein.

Simran karein, karein hum dhyan
Karein satya ka sangg
Samarpan karein, karein gupt daan
Apnaayein gupt paath, Shukrana, aur gupt sewa ka dhangg.

Karte rahein Krishna ji mein basey Guru aur Guru mein basey Krishnaji ka dhanyawaad
Jinke ashish bin na reh sakey bhakt ka jeevan aabaad
Guru hee Govind, Guru Hain pooja
Guru Hain hamre Thaakur, aur koi na dooja.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Janamashtami Hai Aayi (08/18/2022)

Leave a comment